May 17, 2014

Koi chupkay chupkay kehta hai



Koi chupkay chupkay kehta hai 

Koi geet liko meri ankhon par

Koi shair kaho meray lafzon par

In kushboo jaisi baton par

Chup chaap main sunta rehta hoon

Phir in jheel se gehri ankhon par

Ik taza ghazal likh deta hoon

In phool se jaisi baton par

Ik shair naya keh deta hoon

Yeh geet ghazal yeh shair meray

Sab us ke piyaar ka darpan hai

Sab us ke roop ka darshan hai

Sab us ki ankh ka kajal hai


Main janta hoon keh ab chat'ton par



Main janta hoon keh ab chat'ton par

Diye jalanay ki rasam baqi nahin rahi hai

Magar tumhain meri yaad aye

To yaad rakho...!! 

Tum apni ankhon se

Anso'on ke chamaktay moti na girnay dena

Bas itna karna

Keh apni chat par

Meri mohabbat ki nazam ga kar

Meri rafaqat ko yaad karna

diya jalana

Tum apni chat par kisi bhi konay main baith kar

Ik diya jalana

Yeh kamyabiyan izzat yeh naam tum se hai


Yeh kamyabiyan izzat yeh naam tum se hai

Khuda ne jo bhi diya maqaam tum se hai

Tumharay dam se hai meray lahoo main khiltay gulaab

Meray wajood ka sara nizaam tum se hai

Kahan bisaat jahan aur main kam'sin nadaan

Yeh meri jeet ka sab ehtamaam tum se hai

Jahan jahan hai meri dushmani sabab main hoon

Jahan jahan hai mera ehtaraam tum se hai

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui



Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui

So ab ke dono hi chalean badal ke dekhtay hain

Yeh kon hain sar-e-sahil ke doobnay walay

Samand'ron ki teh'on se uchal ke dekhtay hain

Abhi talak to na kundan huye na raakh huye

Hum apni aag main her roz jal ke dekhtay hain

Bhout dino se nahin hai kuch us ki khair khabar

Chalo faraz ko-e-yaar chal ke dekhtay hain

Sabab ronay ka woh poochain to itna kehna qasid


Sabab ronay ka woh poochain to itna kehna qasid

Mujhay hansa'na nahin ata , jahan par tum nahin hotay

Door tak cha'ye thay badal aur kahin saya na tha


Door tak cha'ye thay badal aur kahin saya na tha

Is tarah barsaat ka mousam kabhi aya na tha

Kiya mila akhir tujhay say'eyon ke peechay bhaag ke

Ae dil-e-nadaan , tujhay kiya hum ne samjhaya na tha

Uff yeh snata keh ahat tak na ho jis main mukhil

Zindagi main is qadar hum ne sukoon paya na tha

Khwaab roye chup ke ghar ki chaar dewari main hum 

Haal-e-dil kehnay ke qabil koi hamsaya na tha

Ab khula , jhonkon ke peechay chal rahi thi andiyaan 

Ab jo manzar hai woh pehlay nazar aya na tha

Na ghar hai, na dar hai . dawam-e-safar hai



Na ghar hai, na dar hai . dawam-e-safar hai

Asool-e-zamaan par chala be'khabar hai

HAin jitnay masa'eb khreeday huye hain

Yeh sab jantay hain aur sab ki khabar hai

Haqa'eq ko jab tak chup'ein  bukhal main

Magar meray mola ki sab pe nazar hai

Woh moatar jahan aur ujala qamar hai

Jo aiyariyon se raha be'khabar hai

Alam chahay haq ka utha'ye moeed 

Magar rab, jo bhoola wohi dar badar hai

Chah'haton main gilay nahin hotay



Chah'haton main gilay nahin hotay

Ishq main zabtay nahin hotay

Yad kartay hain dil hi dil main tujhay

Ab teray tazkaray nahin hotay

Kho ke sab kuch khyal ata hai

Kaash hum tum se milay nahin hotay

Meri qismat woh ban to jaye magar

Aj kal moujazay nahin hotay

Reza reza kiya tha guzista december ne mera wajood


Reza reza kiya tha guzista december ne mera wajood

Ab keh pir aya hai Khuda khair karay

Mohabbat dasht-e-furqat main



Mohabbat dasht-e-furqat main 

Bina rikhat safar chaltay

Kisi majzoob ke dil se nikalta aik noha hai

Mohabbat raston ke jaal main bhatka hua rahi

Kisi ke baam pe tehra hua ik ajnabi chehra

Mohabbat khwaab ban jaye to tabeerain nain milt'ein

Mohabbat ik barish hai

Jo ik ik boond kar keh tan se mann main jab utar'ti hai

Sureelay saaz bajtay hain , Anokhay baab khultay hain

Mohabbat jaltay taptay raston par phailta saya

Mohabbat mousamon ko husan ka paygham dati hai

Mujay tum se mohabbat hai



Mujay tum se mohabbat hai


Chupana raaz is dil ke

Agar tum chor do jana

 Mujay tum se mohabbat hai

Agar tum bol do jana

To jevan ke safar main

Rasta asaan ho jaye

Hamaray pass bhi jeenay ka kuch samaan ho jaye

Wagarna hum tumharay dil ke darwazay ke bahair

Ass main baitahy raha'ein ge

Keh kabhi to band darwazay ko kho lo go

Meray shanay pe sar rakh ke 

Kabhi dheeray se bolo ge

 Mujay tum se mohabbat hai


Dost jitnay thay sab mehfalon main milay




Dost jitnay thay sab mehfalon main milay

Diyar-e-tanhai main hum sada akelay hi rahay

Mujh se bhi kushnaseeb hain meray yeh chand haroof


Mujh se bhi kushnaseeb hain meray yeh chand haroof

Jin par der tak paray ge nigha teri

Ae kaash ! meri mohabbat sitara hoti



Ae kaash ! meri mohabbat sitara hoti
Takrati jo teri nazar mujh se
Ik sirf ik...isharay par
Toot ke girti , para para hoti
Bikhat jati teray qadamon main aisay
Lipti koi moj jaisay kinara hoti
Kaash na meri mohabbat utar'ti
Teray daman-e-dil par
Teray dil ki ankh ka tara hoti
Gil-e-lala sa bhar'poor sarapa liye
Rooh ki piyaas par rakhti naram bosa
Kaash.. meri meri mohabbat teri ankhon ka piyala hoti
Meray askhon se bhara, teray lab ka nala hoti
Utarti jism-o-jaan main tujh ko chu kar shayed
Meri mohabbat na angara hoti !!!

Zindagi main to sabhi piyaar kiya kartay hain



Zindagi main to sabhi piyaar kiya kartay hain

MAin to mar kar bhi meri jaan tumhain cha'on ga

Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko

Keh meri umar mohabbat kay liye thori hai

Ik zara sa gham-e-doraan ka bhi haq hai jis par

Main ne woh saans bhi teray liye rakh chori hai

Tujh pe ho jayon qurbaan tujhay cha'on ga

MAin to mar kar bhi meri jaan tumhain cha'yon ga

Apnay jazbaat main nagmaat rachanay kay liye

Main ne dharkan ki tarah dil main basaya hai tujhay

Main tasawar bhi judai ka bhala kaisay karoon

Main ne qismat ki lakeeron se churiya hai tujhay

Piyaar ka ban ke nighe'baan tujhay cha'yon ga

Main to mar kar bhi meri jaan tujhay cha'yon ga

Kon rok sakta hai laakh zabat khwaish kay



Kon rok sakta hai

Laakh zabat khwaish ke

Be'sumaar dayehon

Us ko bhool janay ke

Be'panah iraday hon

Aur is mohabbat ko tarak kar ke jaanay ka

Faisala sunanay ko

Kitnay lafaz sochay hon 

Dil ko us ki ahat par

Barmala dharaknay se kon rok sakta hai



Abhi aghaz-e-mohabbat hai tumhain adat nahin meri



Abhi tum soch sakti ho

Khud ko rok sakti ho

Abhi aghaz-e-mohabbat hai tumhain adat nahin meri

Bari khud gharz duniya hai

KAbhi milnay nahin de ge

Mujhay bhi tor dalay gi

Tujhay bhi tor dalay gi

Abhi tum soch sakti ho

Khud ko rok sakti ho

Abhi aghaz-e-mohabbat hai tumhain adat nahin meri

Abhi adat nahin tujh ko

Wasal ki haseen shamon ki 

Abhi adat nahin mujh ko

Teri ankhon main khonay ki

Abhi tum soch sakti ho

Khud ko rok sakti ho

Abhi aghaz-e-mohabbat hai tumhain adat nahin meri

Bara mushkil hota hai

Kisi ko chor kar jana

Ik dil ka rishta dosaray se tor kar jana

Yeh duniya chor datai hai

Bharam sab tor dati hai

Abhi aghaz-e-mohabbat hai tumhain adat nahin meri

Wohi mehsoos kartay hain saza dard-e-mohabbat ki


Wohi mehsoos kartay hain saza dard-e-mohabbat ki

Jo apni zaat se barh kar kisi se piyaar kartay hain

Chasham-e-saqi se talab kar ke gulaabi dooray



Chasham-e-saqi se talab kar ke gulaabi dooray
Dil ke zakhmon ko kahin baith ke si leta hoon 

Saghar-o-mea to bari cheez hai ik naemat hai
Asak bhi ankh main bhar ayein to pee leta hoon

Mila kar khaak main mujh ko woh kuch is ada se bola


Mila kar khaak main mujh ko woh kuch is ada se bola

Khilon atha yeh mati ka , kahan rakhnay ke qabal tha

Suna hai us ko mohabbat dua'ein dati hai



Suna hai us ko mohabbat dua'ein dati hai

Jo dil pe chot to khaye magar gila na karay

Shidat-e-dard main ayi na kami koi bhi janaa


Shidat-e-dard main ayi na kami koi bhi janaa

Dard phir dard raha , ulta likha ya seedha

Tanha'ei ik saza hai yeh aaj main ne jana


Tanha'ei ik saza hai
Yeh aj main ne jana
Dard be'intiha hai
Yeh aj main ne jana
Jo main rehta hoon din bhar hajoom main
Kitna tanha hoon
Yeh aj main ne jana
Dasta hai raat bhar yeh akela pan yeh tanha'ei
Phir bhi main zinda hoon
Yeh aj main ne jana
Raat ki tareeki main
Asmaan ko takta hoon
Dekhta hoon yeh kiya main
Chaand bhi akela hai....
AMin bhi bhout akela hoon.......

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main



Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Teray masoom sawalon se pareshaan hon main
Jeenay kay liye socha hi na tha dard sambhal'ny hon ge
Muskura'on to muskuranay ke qarz utarnay hon ge
Mukuraon kabhi to lagta hai
Jaisay honthon pe qarz rakha hai

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Aj agar bhar aye hain bond'ein baras jayein ge
Kal kiya pata in kay liye ankhain taras jay'ein ge
JAnay kahan gum hua , kahan khoya
Aik ansoo chupa ke rakha tha

Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main
Zindagi teray gham ne hamain rishtay naye samjhay
Milay jo hamain dhoop main milay cha'yon ke thanday saye
Tujh se naraaz nahin zindagi hairaan hoon main

Meri tanhai ko mera shouq na samjhna



Meri tanhai ko mera shouq na samjhna

Bhout piyaar se diya hai yeh tofha kisi ne

Apni tanhai meray naam pe abad karay


Apni tanhai meray naam pe abad karay
Kon ho ga jo mujhay is tarah yaad karay

Dil ajab shaher hai keh jis par bhi khula aur us ka
WOh musafir issay her simit se barbaad karay

Apnay qatal ki zahanat se preshaan hon main
Roz ik mout naye tarz ki ejaad karay

Salb-e-tanhai ke ehkaam milay hain jo kabhi
Roshni choonay ki khwaish koi shab-e-zaad karay

Soch rakhni bhi jraem main hai shamil ab to
Wohi masoom hai jo her baat pe jo saad karay

Us ki mujthi main raha bhout roz mera wajood
Meray satir se kaho ab mujhay azaad karay

Hawa ban kar bikharney se ussay kiya farq parta hai




Hawa ban kar bikharney se ussay kiya farq parta hai

meray jeenay ya marnay se ussay kiya farq parta hai

ussay to apni kushiyon se zara fursat nahin milti

main gham ke ubalnay se ussay kiya farq parta hai

Wasi us shakhs ki yadon main tum rotay raho lakin

Tum rotay rahao tumharay aisay karnay se ussay kiya farq parta hai

Aik din love aur dosti milay



Aik din love aur dosti milay

love ne kaha tum her us jaga kyn hoti ho

 jahan main hota hoon

dosti boli kyn keh mujhay wahan muskuraha'tein deni hoti hain

Jahan tum ansoo chor jatay ho

Wahan neend'ein deni hoti hain

jahan tum raton ko jaga jatay ho

wahan hath thamay hotay hain

jahan tum sath chor jatay ho

Jab dil toot jaye to awaz nahin ati



JAb dil toot jaye to awaz nahin ati
her kisi ko dosti raas nahin ati

yeh to apnay apnay naseeb ki baat hai
koi bhula nahin pata aur kisi ko yaad nahin ati

Jo qismat main na ho us se gila nahin kartay



Jo qismat main na ho us se gila nahin kartay

kuch log mil kar bhi mila nahin kartay

suna hai roz roz milnay se mohabbat kam hoti hai

yeh soch kar hum bhi un se mila nahin karatya

ae dil tu us se milnay ki umeed kyn karta hai

kuch log to umar bhar hi mila nahinkartay

waisay to ata hai her shajar pe bahar ka mousam

phir bhi her shaakh pe phool kila nahin kartay

Jab woh mila tha to us se rooh ka naata jura tha

jab rooh sath chor jaye to insaan jiya nahin kartay

Teray milan ko janay kitnay baras main tarsi




Teray milan ko janay kitnay baras main tarsi
Na koi sawan aya na koi barkha barsi
HAi tan piyasa aur man piyasa
Rooh bhi piyasi lage
Qaid-e-tanhai
Tu ne to jeena chaha aur kisi ka ho ke
Aaj bhi hoon main teri
Tan man apna jho ke
Tanha tanha reza reza
Duniya rogi lagay
Qaid-e-tanhai
KAisi lagan yeh laagi
KAisi agan yeh lagi
Na tan jaga na mann jaga
Na koi raina jaagi
Qaid-e-tanhai

The reason why i feel your love so naturally



The reason why
I feel your love so naturally,
it seems like you are the only
Love i have ever had.
and it makes me sad when i
think of all the times spent
searching for your love
I will love you the rest of my life.
That is why
I asked you to be
My wife

Sit by my side closing your eyes



Sit by my side

Closing your eyes

Together in silence

We call for

The end of torturing 

The end of killing

The end of the persecution

Compassion grows in our hearts 

Together is silence

Our wishes can make a difference

Friendship Rainbow


FRIENDSHIP RAINBOW

At the end of this rainbow

with light in your eyes

You will see much magic

Bringing greatest surprise


A story of old

At the end of this rainbow

A wish and a song

just to help you a long


A pot of gold

At the end of this rainbow

colors and hue

Painted radiantly true.


At the end of this rainbow

Your dreams may come true

 the end of this rainbow

My friendship is for you.


Until we meet again


Until we meet again

Those special memories of you

will alwaysbring a smile

if only i could have you back

for just a little while

Then we could sit and talk again

just like we used to do

you always meant so very much

and always will do too

the fact that you are no longer here

will always cause me pain

but you are forever in my heart

until we meet again

It is such a joy to feel really happy



It is such a joy

to feel really happy.

Your heart sings

Your feet dance

Your mind 

Sways in the wind .

The world id light

you float on abreeze.

the world moves

to the rhythm of your joy 

every note is sung

with the voice of contentment.

Your Love warms me



Your love
Warms me
Like my favourite morning tea
Your love
Comforts me
Like a lake in august heat
Yours love
Melts me
From my eyes to my toes
Your love
Means everything to me
and i will never
let you go.....

Have you ever seen an angel



Have you ever seen an angel
Who doesn't have their wings
Have you ever seen an angel
Who doesn't know how to sing.

Have you ever seen an angel
Who did not know how to fly
Have you ever known an angel
who knew just why you cried.

Have you ever met an angel
Who was always there for you
Have you ever met an angel
Who suck by you like glue.

Well i am here to tell you my friend
And i promise to tell you this true
I have met many angels like these
And one of them i know is you.

Have you ever felt like you knew someone



Have you ever felt like you knew someone
along, long time ago ?
Another place, another time,
A friendship of the soul?
Two people who share a bond
For reasons neither know,
A feeling that thay were friends,
a long, long time ago?

Did thay stumble onto each other
by pure circumstances ,
Or was it fate and destiny
That played a certain hand ?
Tow soul interwined,
Thay are words apart.
But the soul , it knows no diffrence,
in matters of the heart,

Somehow thay are drawn together,
fate has brought them back,
Each living words apart.
thay journey seprate paths,
when this life is over,
and a new life began,
Their soul will find each other,
Two souls that we call friends

Na kholna yeh dastaan-e-mohabbat ki kitab kisi kay samnay abaas


Na kholna yeh dastaan-e-mohabbat ki kitab kisi kay samnay abaas

Jis ne samjha woh reh na paye ga jo reh gaya woh samjh na paye ga

Sirf hum hain un ke dil main


Sirf hum hain un kay dil main 

Le doobi yeh ghalat fehmi hum ko

Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar


Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar 

Hotay hain aisay gham bhi keh sonay nahin detay

Agar yaadain rait hotein to kiya khoob hota Mohsin


Agar yaadain rait hotein to kiya khoob hota Mohsin

Mutthi se nikal jaatein , main pairon se urra deta

Us ne apni khushi ki khatar meray dil kay tukray tukray kar diye


Us ne apni khushi ki khatar meray dil kay tukray tukray kar diye 

Lakin khud hi ro para her tukray par apna naam dekh kar

Kitni mushkalon se falak par nazar aata hai


Kitni mushkalon se falak par nazar aata hai 

Eid kay chand ne bhi andaz tumharay seekhye

Tu suraj hai tujhay kahan maloom raat ka dukh



Dukh 

Tu suraj hai tujhay kahan maloom raat ka dukh 

Tu kisi roz meray ghar main utar shaam kay baad

Apnay matlab ke ilawa kon kisi ko pochta hai


Apnay matlab kay ilawa kon kisi ko poochta hai 

Shajar jab sookh jayein to prinday bhi basaira nahin kartay

Kis darja teray pyaar main ruswaiyaan milein


Kis darja teray pyaar main ruswaiyaan milein

Maangi thi qaid zulf ki tanhiyaan milein

Her nai'mat datiyaab thi duniya jahan ki


Her nai'mat datiyaab thi duniya jahan ki 

Lakin us ki kami ka azaala na ho saka
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...