Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Farhat Abbas Shah Poetry. Show all posts
Showing posts with label Farhat Abbas Shah Poetry. Show all posts
Dec 10, 2017
Feb 2, 2017
Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah
Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah
Ba'khabar hai bhout khuda ki tarah
Zindagi bhar tumhara naam meray
Dil se nikla kisi dua ki tarah
Main ne her morr pe tujhay dhoonda
Hijar kay shaher ki hawa ki tarah
Umar bhar tera dukh uthaya hai
Waqat ki di hui saza ki tarah
Kuch nahin soojhta mohabbat main
Khouf aur gham ki intihaa ki tarah
Jan 27, 2017
Ik baar kaho tum meray ho
Meray dil kay shaam saweray ho
Ik baar kaho tum meray ho
Mujhay tum bin kuch na dikhaai de
Kiyon itnay ghour andheray ho
Main punchi payar kay deson ki
Tum meray rain baseray ho
Main maal-o-manaal mohabbat ka
Tum daaku chor luteray ho
Kuch bolo ya azaad karo
Kiyon khamoshi se gheray ho
Apr 24, 2016
Apni mohabaton ki khudai na diya kar
Apni mohabaton ki khudai na diya kar
Her be'talab kay haath kamai diya na kar
Deti hai jab zara si bhi aahat aziyatein
Aisi khamoshiyon main sunai diya na kar
Pehlay hi haadsat kay imkaan kam nahin
Youn mujh ko raaston main sujhai diya na kar
Nazrein to pathron ko bhi kar jayein chaak chaak
Saj dhaj kay bastiyon main dikhai diya na kar
In mousamon main panchi palat'tay nahin sada
Dil ko udasiyon main rihaai diya na kar
Aata nahin badalna jo andaz-e-dushmani
Chehray badal badal kay dikhai diya na kar
Farhat koi to farq ho aam aur khaas main
Her aik aashna ko risai diya na kar
Apr 16, 2016
Lag raha hai shaher kay asaar se Aa laga jungle dar-o-dewaar se
Lag raha hai shaher kay asaar se
Aa laga jungle dar-o-dewaar se
Jin ko aadat ho gayi sehraaon ki
Mut'maein hotay nahin ghar baar se
Yeh to sara bazu'on ka khel hai
Sheh'ragein kat'ti nahin talwaar se
Aa giray hain ain veerani kay beech
Kuch prinday kuch shajar be'maar se
Raaston par ghaas ugg aayi agar
Kon lootay ga samandar paar se
Phatt na jaye dil kahin israar se
Is liye guzray nahin bazar se
Urtay urtay aakhir chand dil ki shaakh se uljha hai
Urtay urtay aakhir chand
Dil ki shaakh se uljha hai
Hum thak haar kay soye hain
Dard bhala kab soya hai
Sard mizaji ka mousam
Ik muddat se thehra hai
Rastay khali khali hain
Koi ronaq guzri hai
Aisa zor naseeb mera
Janay kis ne likha hai
Tera wada abhi talak
Taaq kay oper rakha hai
Itna karwa ishq sabhi
Logon en kab chakha hai
Bas ik chragh yeh roshan dil-e-tabbah main hai
Bas ik chragh yeh roshan dil-e-tabbah main hai
Keh us ki meri judai abhi nibah main hai
Tumhara hijar sadi do sadi to paa lain gay
Abhi kuch itni sakat to hamari chah main hai
Main mut'maein hoon keh tu mut'maein nahin dushman
Abhi to aik yahi chaal razm gaah main hai
Ajab ghroor meray qalb-e-munkasar main hai
Ajeeb ajz meri zaat-e-kuj kalaa main hai
Main pur'sakoon hoon muzafaat main baseray par
Keh shaher bhar ka tamasha meri nigah main hai
Chand hamesha saath meray shab bhar baith kar roya hai
Chand hamesha saath meray
Shab bhar baith kar roya hai
Aaj hamaray daman par
Khul kar barish barsi hai
Sara shaher adhoora hai
Sara shaher sawali hai
Aisay pathar mousam main
Dil ka bojh uthaye kon
Hum ne tera naam liya
Dil ne dard sambhala hai
Doori to phir doori hai
Pagal ko samjhay kon
Ik awara mousam ne
Us se ja milwaya tha
Raat aur din ki biyabani se mehsoos hua
Raat aur din ki biyabani se mehsoos hua
Kuch na kuch gayeb hai
Kuch na kuch aisa jissay hona tha
To teray khawab , tamanaein ya umeed koi
Muntazir dil ' lab be'aab ya chasham pur'nam
Koi mehroomi ya be'chaini koi
Kuch khalaa aisay bhi hotay hain keh aa jati hai roniq jin se
Umar kay ujray huye shehron main
Zindagi hoti hai kuch zehron main
Hum jo tariyaaq samjh kar tujhay bhoolay to samjh aaya keh jewan kya hai
Teray aa janay ki umeed pe atki hui saanson ki qasam
Zindagi kuch nahin Andho bina
Teray andar ko dekha hai alag kar kay to phir kuch bhi nahin baqi bacha
Teri yaadon main baha'iye huye aansoo jeewan
Teray khawabon se basai hui basti jeewan
Teray zakhmon se sajaya hua rasta jeewan
Raat aur din ki biyabani se mehsoos hua
Sari veerani teray baad hua hai paida
Woh tum jo chor gaye thay dukha hua mera dil
Woh tum jo chor gaye thay dukha hua mera dil
Safar ne dhoond liya hai raha saha mera dil
Kuch is tarahs e taziyat ki aas main tha
Kisi ne hans kay bhi dekha to ro diya mera dil
Hai apni apni risaai raah-e-mohabbat main
Hai apna apna tareeqa tera khuda mera dil
Nagar ne mohjaza maanga teri mohabbat ka
Tu jhoom jhoom kay sehraaon se utha mera dil
Kisi ne jab bhi yeh poocha keh kon hai "Farhat"
To muskura kay hamesha yeh hi kaha mera dil
Hum be'chain mizajon se neendein koson door huyein
Hum be'chain mizajon se
Neendein koson door huyein
Chotay se is jeewan main
Aik judai kaafi hai
Kis soraakh se dasay gaye
Hum ko yaad nahin rehta
Sampon ki abadi main
Rehna hai to dar kaisa
Bhook mitanay ki khatar
Tum ne sapnay beej diye
Suraj mukhi banta tha
Aik chragh na seh paya
Airay ghairay logon se
Kuch din to parhez kar
Kaho kisi pe kabhi dard aashkaar kiya ?
Kaho kisi pe kabhi dard aashkaar kiya ?
Kabhi kabhi kai logon ko so'gawar kiya
Kabhi kisi kay liye khud ko be'qaraar kiya ?
Tamam umar mohabbat ka intizaar kiya
Kisi ko sompi kabhi apnay waqat ki taqseem ?
Kabhi kabhi teri yaadon se kar-o-baar kiya
Yeh shaher bhar main kiyon akar kay phirtay ho ?
Hamein gharoor bhout hai keh hum ne pyar kiya
Koi tazaad koi ikhtilaaf is doran ?
Ghamon ko kund kiya dil ko tez dhaar kiya
Kaho jo logon pe ehsaan kartay phirtay ho ?
Khud apnay dil ko sada main ne zer baar kiya
Batao dukh ki riyazat main kya kya tum ne ?
Ajal ko phool kiya , zindagi ko khaar kiya
Main jis ki raah pe hoon her jaga pe hai mojood
Main jis ki raah pe hoon her jaga pe hai mojood
Main jis safar pe hoon khud bais-e-safar hai mujhay
Ae raat Aa aur meray galay lag ja
Ae raat !
Aa aur meray galay lag ja
Aa main tumhari aankhein , tumharay hont
Tumharay rukhsaar aur tumhari paishani chomon
Tumhari thorri pe bosa doon
Tumhain kajal lagaon
Tumharay baal sanwaron
Aur tumhari maang main sitaray bhar doon
Aur tumharay shano pe sar rakh kay
Bichray huye logon
Aur beetay huye lamhon ko yaad karo
Aur toot kay charon taraf bikhray huye aaino ki kirchiyan
Chun chun kay
Tumhein apni zakhmi porein dikhaon
Ae raat !
Aa aur meray wajood main utar
Aa aur meri hatheliyon pe aahista aahista
Apna tamaam roop phela de
Dukh aisa dariya hai jo aankh kay rastay behta hai
Dukh aisa dariya hai jo
aankh kay rastay behta hai
Tanhai ki baat na kar
Sara shaher hi tanha hai
Gham meray darwaze par
Dharna maar kay baitha hai
Hum ne apna aap sada
Us kay khoj main paya hai
Kala dard wichoray ka
Door door tak phaila hai
Dil ko dekh kay rota hoon
Kitna bhola bhaala hai
Ronay walay bhool gaye
Kon kahan khoya hai
Kuch na kuch shor machaein gay zaroor
Kuch na kuch shor machaein gay zaroor
Dard chup chaap to janay se rahay
Zindagi teray yahi tor hain to
Hum tera saath nibhanay se rahay
Jahan hum hain yahan to aitraaf-e-dard bhi ik masla thehra
Jahan hum hain
Jahan hum hain
Yahan to aitraaf-e-dard bhi ik masla thehra
Mohabbat ki saza wari pash-e-mani bani
Joro sitam kay hum'qadam ho kay
Dil-e-pa'maal kay ujray huye raston pe aisay dan'danati hai
Keh jaisay raat kay pichlay pehar
Tanhai khamoshi se mil kay rooh kay gum sum dareechay dhar'dharati hai
Jahan hum hain
Gham-e-duniya gham-e-wabastagi ki aar main
Aksar tamanaon kay baaz thaam kay dhachkay lagata hai
Gham-e-duniya praya'pan nahin to apna'pan bhi ho nahin sakta
Jahan hum hain
Kaf-e-afsos milnay ki bhi qeemat dena parti hai
Taseef bik nahin sakta magar shayed taseef ki kharidaari to laazim hai
Koi dekhay na dekhay zaat kay show'case main gum sum saja ehsaas se
Aankhein churaye muntazir rehta hai
Na'mehsoos lamhon ka
Yeh ik gham hai magar yaro yahan aisay hi kitnay aur bhi gham hain
Jahan hum hain
Be'chain mizaji main ajab kuch bhi nahin tha
Be'chain mizaji main ajab kuch bhi nahin tha
Socha to bicharnay ka sabab kuch bhi nahin tha
Is bakhat main ab laakh zamana tujhay chahay
Hum ne to tujhay chaha , tu jab kuch bhi nahin tha
Tu ne meri jaan jhaank kay dekha na tha dil main
Chehray pe jo tha woh to ghazab kuch bhi nahin tha
Jo mujh se faqeeron kay dilon main tha wohi tha
Logon ne jissay pooja woh rab kuch bhi nahin tha
Farhat jo koi bhi tha kahan se tha bas us ka
Ik ishq siwa naam-o-nasab kuch bhi nahin tha
Mudaton baad mera sog mana'nay aaye
Mudaton baad mera sog mana'nay aaye
Log bhool hua kuch yaad dilanay aaye
Barh gaya dil kay janazay main sitaron ka hajoom
Kitnay gham aik teray gahm kay bahanay aaye
Raat ik ujri hui soch meray paas aayi
Aur phir ujray huye kitnay zamanay aaye
Aik ik kar kay hawadasbari tarteeb kay saath
Marhala waar mera saath nibhanay aaye
Naqsh pukhta tha teray gham ka wagarna mousam
Baar ha dil se meray is ko mitanay aaye
Subscribe to:
Posts (Atom)





