Khiraaj hai yeh mohabbaton ka , adawaton ka
Azaab lamhon ki weh'shaton ka
Lahu main nikri hikayaton ka , badan se lipti shikayaton ka
Ragon main utri , utar kay bikhri , bikhar kay phaili baghawaton ka
Khiraaj hai yeh mohabbaton ka , adawaton ka
Unhein bhi dekho jo sar pe matti ko orhti hain
Jo apni hurmat ki kirchiyon ko jigar kay poron se chun rahi hain
Jo khawab palkon se bun rahi hain
Phir in ko khud hi udherti hain , bachi kuchi si jo apni saansein samait'ti hain
Samait kar khud bikharti hain
Koi to in ka jahan main ho ga , magar kahan hai ?
Panah main jo le lay in ko apni , woh ghar kahan hai ?
Khiraaj hai yeh mohabbaton ka , adawaton ka
Falak pe ugta hua yeh suraj gawahi de ga
Hawaein roti hain sun kar maaon kay bain her pal
Jo kookti hain , jo hookti hain
Sisak sisak kar jo jee rahi hain
Jo apnay baiton ki raakh ki laashein
Zameen par dewaar chun rahi hain
Khiraaj hai yeh mohabbaton ka , adawaton ka
MAgar woh pal door ab nahin hai , hamein yaqeen hai
JAhan main chaaron hi aur kirno ka raaj ho ga
Mittay huyon kay , luttay huyon kay saron pe khushiyon ka taaj ho ga
Niqaab utray ga dekh lena
Jo bhair lagtay thay , bhairiye hain
Aur un kay abru kay ik isharay pe mout raqsan thi
Chaaron janib
Aur aasteeno main in kay khanjir chuppay huye thay
Samjh lo youm-e-hisaab un ka qareeb hai ab
Niqaab utray ga dekh lena