Jun 15, 2014

Nazar tishna labi ki daastaan kehnay nahin deti


Nazar tishna labi ki daastaan kehnay nahin deti 
Zubaan honton pe tehray dard ko sehnay nahin deti 

Yeh dil be'taab rehta hai tarap jaata hai pehlu main 
Magar chahat , shikayat aankh main rehnay nahin deti 

Dukhon ki aandhiyaan uth'ti bikharti hain khayalon main 
Tabiyat hai keh aankhon se yeh gham behnay nahin deti 

Qareenay se liye jaata hoon main duniya se mehroomi 
Saleeqay se magar duniya mujhay sehnay nahin deti 

Aroos-e-ashk-o-dil'sozi milk rog-e-azadaariyaan 
"Qamar" is haal ko yeh be'khudi kehnay nahin deti

Suna hai tum yeh kehti ho , mohabbat kuch nahin hoti


Suna hai tum yeh kehti ho , mohabbat kuch nahin hoti 
Koi jazba , koi wada , kabhi bhi sach nahin hota 
Yeh jo kehtay hain hum ko ishq hai , woh jhoot kehtay hain 
Kisi bhi heer ya raanjha , kisi mirza kisi sahiba
Kisi sassi , kisi punoon , kisi laila , kisi majnoon 
Ne dil choo kar nahin dekha , mohabbat kuch nahin hoti 

Mujhay hai yaad woh din bhi , hamesha tum yeh kehti thi 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti 
Main tum ko phool deta tha , tum aankhon main takti thein 
Bhout gehri si koi soch main tum yeh kehti thein 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti 
Main jab bhi aankh bhar laata , ya koi geet main gaata 
Tumhain jab pyaar se takta , koi jab aah main bharta 
Zer-e-lab liye muskaan , mujh ko tum yeh hi kehti thein 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti

Bhout din ho gaye ab to ,bichar kar dono zinda hain 
Main ab bhi aahain bharta hoon , hamesha yaad karta hoon 
Yeh hi main gun'gunaat ahoon , mihabbat youn nahin hoti 
Suna hai tum yeh kehti ho , mohabbat kuch nahin hoti

Sab kushiyaan main tujh pe luta doon


Sab khushiyaan main tujh pe luta doon 
Aur tujhay kiya jaan-e-wafa doon 

Ta-ba-qayamat umar salaamat 
Umar da'raazi ki woh dua doon 

Tujh se jag mag mann ki nagri 
Suraj , taaray , chaand bujha doon 

Sang tera ho roop kumaari 
Raah ki her dewaar gira doon 

Tu jo na ho is jeewan rut main 
Sansoon ko bhi aag laga doon 

Chaar nafas ki kar dy inayat 
Teray liye jannat thukra doon

Ban ja :Abeer" is dil ki raahat 
Duniay kay sab dard bhulaa doon

Kushiyaan tujh pe qurbaan kar dain


Khushiyaan tujh pe qurbaan kar dain 

Aao tum pe khud ko meharbaan kar dain 
Jeewan apna teray naam kar dain 
Tumhain ghamon ki khabar na ho 
Is tarah khushiyon se maang bhar dain 
Teri takleefain , parshaaniyaan  jhailain khud 
Apni khushiyaan tujh pe qurbaan kar dain

Bhool janay ka to bas aik bahana ho ga


Bhool jaanay ka to bas aik bahaana ho ga 
Keh behar'tor ussay yaad to aana ho ga 

Koi mousam ho , mehakta rahay shadaab rahay 
Apni aankhon ko kanwal aisa banana ho ga 

Band muthi se jo urr jaati hai qismat ki pari 
Us hatheli main koi chaid puraana ho ga 

aablay paaon kay mehkain to magar dard na dain 
Dasht main rait kay zarron ko bataana ho ga

Zawiye us ki nigahon kay baray qaatil hain 
Samnay us kay bhout soch kay jaana ho ga 

Ghaao kitna bhi puraana ho beh'haal ussay 
Kachay mousam ki shraarat se bachaana ho ga 

Haath likhnay pe misar khour zamanay ka "Batool"
Pairr pe naam koi likh kay mitaana ho ga

Meri sada nighai ko bhi ik israar likha tha



Meri sada nighai ko bhi ik israar likha tha 
Nigahon main mohabbat thi magar inkaar likha tha 

Taaluq jo faqat jazbaat kay parday main pinhaan tha 
Usi khamosh rishtay ko sar-e-bazar likha tha 

Aqeedat se jhuki gardan kay mehni is tarah niklay 
Ibadat ko hamaray jurm ka iqraar likha tha 

Adaa-e-be'niazi se nishan us kay mitta dalay 
Jahan hum ne usi ka naam laakhon baar likha tha 

Chupa kay apnay aansoo muskuraya tha jo mehfil main 
Sitam'gar ne ussay bhi sharf ka pindaar likha tha

Koi sapna naya dekhain kisi armaan ka hum sochain


Koi sapna naya dekhain kisi armaan ka hum sochain
Gham-e-duniya se niklein to gham-e-jana ka hum sochein 

Kabhi fursat milay hum ko zamanay kay sarabon se
Wafa ko dhoondnay niklein dar-e-khoban ka hum sochein 

Kabhi ehad-e-guzishta se ijazat gar milay hum ko 
Mohabbat phir koi kar lain kisi paimaan ka hum sochein 

Nigahein khawab to bunti hain lakin wa-e-majburi 
Yeh ishrat rokti hai gar kisi mehmaan ka hum sochein 

Teri aankhein teray aariz teray lab aur teri zulfein 
Dukhon se faasla ho to kham-o-paigaan kahum sochein 

Faqat dard-e-mohabbat ka gila hota to kya gham tha 
Hazaron dard hain seenay main kis darmaan ka hum sochein 

Na janay kin khayalon main behay jata hai dewana 
"Qamar" aisa bhi din aaye dil-e-nadaan ka hum sochein

Teri aankhain sundar hain


Sundarta 

Teri aankhein sundar hain 
Main ne 
Yeh ik baar kaha tha 
Us din se
Woh pagal larki 
Khawab sajaey 
baithi hai 
Aas lagaye 
Baithi hai 

Meri aankhon se mat poocho


Safar-e-ishq

Meri aankhon se mat poocho 
Karb kay samandar ka 
Bikharna hai kaisa
Bachpan main jo sikhaya tha 
Guriya ko sajana 
Rait se gharonday banana
Sabar ki chaar dewari main 
Aanso'on se pyar goondhana 
Maan sab jaanti ho tum 
Meri aankhon se 
Mat poocho 

Kujh shouq yaar faqeeri da


Kuj shouq yaar faqeeri da 
Kuj ishq ne dar dar rol dita 
Kuj sajna hajat nahin chori 
Kuj zehar raqeeban ghol dita 
Kuj hijar firaaq da rang charya 
Kuj dard mahi anmol dita 
Kuj sar gayi qismat ghareeb di 
Kuj pyar wich logan rol dita

Main ne apnay dil ko jana


Main ne apnay dil ko jana 
Do hisson main to baant liya hai 
Ik tera 
Ik baqi sari duniya ka 
Phir bhi janay kiyon ?
Tera hissa barhta jata hai

Ajnabi si raahon ka ajnabi musafir


Ajnabi si raahon ka ajnabi musafir
Mujh se pooch baitah hai 
raasta bata do gay 
Ajnabi si raahon kay ajnabi musafir sun 
Raasta koi bhi ho 
Waasta koi bhi ho 
Manzilein nahin miltein 
Manzilein to dhoka hain
Manzilein jo mil jayein 
To justagoo nahin rehti 
Zindagi ko jeenay ki aarzoo nahin rehti  

Main jaanti hoon bicharna zaroor hai phir bhi


Main jaanti hoon bicharna zaroor hai phir bhi 

Abhi milay ho koi aur baat kartay hain 

Mujhay ik baat kehni hai


Mujhay ik baat kehni hai 

Mujhay ik baat kehni hai 
Jo tum hotay ho mujh se door
Udasi ki siyah chadar 
Na janay kis tarah , kiyon kar 
Meray sar par 
Kahin se aan girti hai

Tum se wabasta tamaam talkh-o-sheerin yadon ko main ne


Tum se wabasta 
Tamaam talkh-o-sheerin  yadon ko main ne 
Dil ki dharti main 
Ik qabar khod kar dafnaa diya 
Lakin.......
Khud ko isi qabar kar sirhanay mujawar ban kar 
Mujawar ban kar zinda rehnay ki saza di

Hain aankhein num hamari aur dil fariyad karta hai


Hain aankhein num hamari aur dil fariyad karta hai 

Chalay aao tasawur main dewana yaad karta hai

Mohabbat ki tabiyat main yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai


Mohabbat ki tabiyat main yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai 
Keh yeh jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye 
Issay ta'eed-e-taza ki phir bhi zaroorat rehti hai 
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon main leh'lahati ho 
Nigahon se tapakti ho , lahu main jagmagati ho 
Hazaron tarah kay dil'kash , haseen haalay banati ho 
Issay izhaar kay lafzon ki haajat phir bhi rehti hai 
Mohabbat maangti hai youn gawahi apnay honay ki 
Keh jaisay tifal-e-sada shaam ko ik beej boye 
Aur shab main baar ha uthay 
Zameen ko khod kar dekhay keh poda ab kahan tak hai 
Mohabbat main ajab takraar ki khu hai 
Keh yeh iqraar kay lafzon ko sun'nanay se nahin thakti 
Bicharnay ki gharri ho ya koi milnay ki sa'at ho 
Issay bas aik hi dhun hai 
Kaho mujh se mohabbat hai 
kaho mujh se mohabbat hai 
Tumhein mujh se mohabbat hai 
Samandar se kahin gehri , sitaron se siwa roshan 
Pyaron ki tarah qaaim , hawaon ki tarah daaim 
Zameen se aasman tak jsi qadar achay manazir hain 
Mohabbat kay kinaray hain , wafa kay ista'aray hain , hamaray hain 
Hamaray wastay yeh chandani raatein sanwarti hain , sunehra din nikalta hai 
Mohabbat jis taraf jaye zamana saath chalta hai 
Kuch aisai be'sakooni hai wafa ki sar zameeno main 
Jo ehal-e-mohabbat ko sada be'chain rakhti hai 
Keh jaisay phool main khushbu , keh jaisay haath main para , keh jaisay shaam ka tara 
Mohabbat karnay walon ki sehar raaton main rehti hai 
Gumaan ki shaakhon main aashiyana banta hai ulfat ka 
Yeh ain wasal main bhi hijar kay khadshon main rehti hai 
Mohabbat kay musafir jab zindagi kaat chuktay hain 
Thakan ki kirchiyan chu'nanay , wafa ki ajrakein pehnay 
Samay ki rah'guzar ki aakhri sarhad par ruktay hain 
To koi toot'ti saanson ki doori thaam kar 
Dheeray se kehta hai 
Yeh sach hai na ....!
Hamari zindagi ik doosray kay naam likhi thi 
Dhund'laka sa jo aankhon kay qareeb-o-door phaila hai 
Is ka naam chahat hai 
Tumhain mujh se mohabbat thi 
Tumhein mujh se mohabbat hai 

Badan se uthti thi us kay khushbu , saba kay lehjay main bolta tha



Badan se uthti thi us kay khushbu , saba kay lehjay main bolta tha 
Yeh meri aankhein thein us ka bistar , woh meray khawabon main jaagta tha 

Haya se palkein jhuki hui thein , hawa ki saansein ruki hui thein 
Woh meray seenay main sar chupaye , na janay kya baat sochta tha 

Koi tha chasham-e-karam ka taalib kisi pe shouq-e-wisal ghalib 
Sawal phailay thay chaar janib , bas ik main tha jo chup kharra tha 

Ajeeb sohbat , ajeeb rut thi khamosh baithay huye thay dono 
Main us ki awaz sun raha tha , woh meri awaz sun raha tha 

Bahar aayi to titliyon kay paron main rangon ko khawab jaagay 
Aur ik bhanwara kali kali kay labon ko reh reh kay choomta tha !

Woh aur hon gay keh jin ko "Amjad" naye manazir ki chah ho gi 
Main is kay chehray ko dekhta hoon , main us kay chehray ko dekhta tha 
 
 

Jaagty main sula dia hai mujh ko

Jaagty main sula dia hai mujh ko
Dil ne itna thakaa dia hai mujh ko

Shaher-e-khamosh , tere dedaar ki khatir
Tu ne lehjha naya dia hai mujhay

Meri aankhon ne kho dia tha jo khwaab
Teri aankhon ne laa dia hai mujhay

Kaisi gardish thi, kaisi larzish thi
Khaak par se utha dia hai mujhay

Pehlay main ne dia ganwaya tha
Ab diye ne ganwa dia hai mujhay

Dasht-o-dariya ne mujh se mil mil kar 
Apnay jaisa bana dia hai mujhay

Us ne aik baagh main bulaya hai
Aur dil ka pata dia hai mujhay

Milnay tujh se kai mulaqaat baaqi hain


Milnay tujh se kai mulaqaat baaqi hain
Thi jo adhoori woh baat baqi hai

Tujhay jane bina yeh dil de diya hum ne
Ab meri aankhon main kai sawalaat baaqi hain 

Jab waqat ly aya hai hamain paas tumharay
To phir na jayo abhi raat baaqi hai

Jazbon ki in bijliyon se hi dil dar raha hai 
Abhi to meri jaan pyaar ki barsaat baaqi hai

Milnay tujh se kai mulaqaat baaqi hain
Thi jo adhoori woh baat baqi hai




Piyaar ky deep jalanay wale kuch kuch pagal hoty hain


Piyaar ky deep jalanay wale kuch kuch pagal hoty hain 
Apni jaan se jane wale kuch kuch pagal hoty hain 

Hijar ky gehray zakham mile to mujh ko kuch ehsaas hua
Pagal ko samjhaney wale kuch kuch pagal hoty hain 

Jaan se piyaaray logon se bhi kuch kuch parda laazam hai
Saari baat bataney wale kuch kuch pagal hoty hain 

Khawabon main bhi anmol milan ky sapnay dekhtay rehtay hain 
Neendon main muskuranay wale kuch kuch pagal hoty hain 

Is jhooti nagri main hum ne yehi hamesha dekha hai 
Sach baat batanay wale kuch kuch pagal hoty hain 

Pyaar jinhain ho jaye chain bhala kab mil pata hai
Shab bhar ashk bahanay wale kuch kuch pagal hoty hain 

Apni zaat ky ujray gulshan se woh pyaar kahan kartay hain 
Auron ko mehkanay wale kuch kuch pagal hoty hain 

Us ky ishq main bheeg ky hum ko yeh ehsaas hua 
Dil ki baat main anay wale kuch kuch pagal hoty hain

Zindagi ne sikhaya hamain

Zindagi ne sikhaya hamain 
Kisi par umeed nahin rakhna
Par rakhna aitabaar her kisi par

Zindagi ne sikhaya hamain 
agar tum khud ko chaho gy
To her koi acha lagay ga

Zindagi ne sikhaya hamain 
Tum ko bura nahin lagay ga
Agar dekho gy samnay wale ki nazar se

Zindagi ne sikhaya hamain 
Na rona us par jo nahin hai tumhara 
Jo hai tumhara usi se khush rehna 

Zindagi ne sikhaya hamain 
Nafrat se mohabbat karo gy to
Nafrat ko mohabbat ho jaye gi
Mohabbat se nafrat karo gy to
Mohabbat nafrat main bdal jaye gi

Zindagi ne sikhaya hamain 
Na dhoondo khushi ko , na dhoondo chaain 
Khushi , chaain dhoondny se kahan milti hai
Yeh hai khud ky andar , mehsoos kar ky dekho

Chalo hum maan letay hain keh waqat-e-judai hai


Chalo hum maan letay hain keh waqat-e-judai hai

Magar yeh bhi to mumkin hai keh yeh waqat-e-judai ho

Ta'aluq tark kar dena tumhain asaan lagta hai 

Magar mumkin hai youn na ho 

Nahin manzal ki janaib yeh safar asaan sahi lakin 

Jissay ab chahatay ho woh kareeb-e-jaan sahi lakin 

Bhula saktay ho woh lamhay jinhain tum zeest ka hasil samjhtay thay

Keh meray lams ko waja-e-sukoon-e-dilsamjhty thay

Meri tasveer ko locket main rakh kar dil ki her dharkan sunatay thay

Meray khat chup ky parhty aur parh ky muskuratay thay

Kiya woh sab jhoot tha?

Hargiz nahin dil ko ab bhi yakeen hai keh 

Tum loat aayo gy

Jab se tum ko nahin dekha meri in aankhon ne


Jab se tum ko nahin dekha meri in aankhon ne 
Khuda ki qasam raat ko sone se inkaar karti hain 

Zindagi ky in dino tum mujh se door ho 
Yeh her waqat mujh se yahi sihkayat karti hain 

Jo teray sath guzray hain yeh in ki baat karti hain 
Khuda ki qasam raat ko sonay se inkaar karti hain

|Yaad hai woh her lamha jo teray sath beeta tha 
Lakin jab hum juda huwey Yeh us din ki baat karti hain 

Khuda ki qasam raat ko sonay se inkaar karti hain 
Saari duniya rooth jaye parwaah nahin 

Kahin tum na rooth jayo yeh is baat se darti hain 
Khuda ki qasam raat ko sonay se inkaar karti hain 

Seenay main jalan aankhon main toofan sa kiyon hai


Seenay main jalan aankhon main toofan sa kiyon hai
Is shaher main her shakhs parishaan sa kiyon hai

Dil tha to dharkan ka bahana koi dhoondy
Pathar ki tarah b'ehis ik baya'baan sa kiyon hai

Tanhai ki yeh kon si manzal hai rafeeqo
Tha had-e-nazar ek bayabaan sa kiyon hai

Hum ne to koi baat nikali hai gham ki 
Woh zood-e-pashemaan pashemaan sa kiyon hai 

Kiya koi nahin baat nazar ati hai tujh main 
Ayana hamain dekh ky hairaan sa kiyon hai

Kitnay qarb ka lamha tha meri zindagi ka

Kitnay qarb ka lamha tha meri zindagi ka 
Raah-e-wafa main jab dost bhi ajnabi ho gaye

Basaya tha us ki yaadon ka pur hole samandar dil main 
Ek hi pal main woh us ko sehra kar gaya

Sadiyon se chaha tha jissay main ne
Jaanay kiyon ab woh baigana ho gaya

Meray liye to ik haqeeqat hai woh lakin
Main us ky liye ik afsana ho gaya

Basi hain us ki chahatein mere dil main abhi tak
Woh hi meri nafraton main dewaar ho gaya

Tumhari yaad aa rahi hai pal pal rula rahi hai

Tumhari yaad aa rahi hai pal pal rula rahi hai
Meri tanhai bhi aaj bhout sata rahi hai

Raasta bhi hai ab samnay, darr bhai hai veeraan
Khamoshi bhi aaj tum ko khud hi pukaar rahi hai

Tumhari her baat se mehsoos kuch youn hota hai
Jaisay kisi phool ki kushboo sara aalam mehka rahi hai

Tumhari yaadon ky saharay din raat guzartay hain 
Jaisay aandhi main kahin roshni jag'maga rahi hai

Qadam qadam pe mujh ko ehsaas yeh hota hai
JAisay koi manzal khud mujhay bula rahi hai

Rukh  ab to aksar mujhay gumaan kuch youn hota hai 
Hawa bhi jaisay mil ky paighaam wafa ky laa rahi hai

Koi lamha bhi kabhi loat kar nahin aya


Koi lamha bhi kabhi loat kar nahin aya
Woh shakhs aisa gaya phir nazar nahin aya

Wafa ky dasht main raasta nahin mila koi 
Siwaye gar-e-safar hamsafar nahin aya

Kisi chraagh ne poochi nahin khabar meri 
Koi bhi phool meray naam pe nahin aya

Palat ky anay lagay shaam ky parinday bhi 
Hamara subha ka bhoola magar nahin aya

Hamain yaqeen hai woh wafa khilaaf 
Yeh umar kaisay katay gi gar woh nahin aya

Phir aaj wohi bhooli kahani yaad ati hai

Phir aaj wohi bhooli kahani yaad ati hai 
Tumharay sath guzri zindgani yaad ati hai

Tumhain bhoolay huwey bhi ik zamana ho gaya lakin
chalak jati hain aankhain jab purani yaad ati hai

Woh jis main markazi kirdaar hasil tha kabhi mujh ko
Main jitna bhulati hoon woh kahani yaad ati hai

Meray dil ko gham-e-duniya ki daulat bakhshany wale
Mujhy reh reh kar teri meharbaani yaad ati hai

Ujarti dil ki duniya dekhna khamosh reh jana 
Abhi tak dosto woh be'zubaani yaad ati hai

Meri sab wafaein tumharay liye


Meri sab wafaein tumharay liye
Meray ehad-o-paymaan tumharay liye
Meri sab adaein tumharay liye
Meri sab jafaein tumharay liye
Meri raaton ki neendain tumharay liye
Meri ratjagain bhi tumharay liye
Dharakta hai yeh dil bhi tumharay liye
Meri nas nas main chahat tumharay liye
Meri sansoon ki garmi bhi tumharay liye
Meray hathon ki narmi tumharay liye
Hai phoolon main kushboo tumharay liye
Hai taroon ki jhl'mil tumharay liye
Meri zindagi ab tumharay liye
Meri her kushi ab tumharay liye
Tu hai bani sirf meray liye
Main hoon bana sirf tumharay liye
Haan, sirf tumharay liye

Kisi aur hi safar main


Kisi aur hi safar main
Sar-e-raah mil gayi thi
Tujhay aur kiya bataon
Woh teri tarah koi thi
Kisi shair-e-bymaan main
Main watan badar akela
Kabhi mout ka safar tha
Kabhi zindagi se khaila
Mera jisam jal raha tha
Woh ghaat ka sayebaan thi
Main rafaqaton ka mara
Woh meri mizaaj daan thi
Mujhay dil se us ne pooja
Usay jaan se main ne chaha
Isi hamraahi main aakhir
Kahin aa gaya dohraha
Yahan gumrahi ka imkaan
Ussay rang-o-boo ka lapka
yahan daam thay hazaron
Yahan her taraf nafs tha
Kahin zar zameen ka dal dal
Kahin jaal tha hawas ka
Woh fiza ki fakhta thi
Woh hawa ki raaj'putri
Kisi ghaat ko na dekha
Kisi jheel par na utri
Phir ik shaam aisi ayi
Keh woh shaam aakhri thi
Koi zal'zala saaisa aya
Koi barq si giri thi
Ajab andiyaan chaliein phir 
Keh bikhar gaye dil-o-jaan 
Na kahin gul wafa thi
Na chragh ehad-e-paimaan 
Woh jahaz utar gaya tha 
woh jahaz utar gaya tha 
Teri aankhon main hain ansoo
Mera dil bikhar raha hai 
Tu jahan mujhay mili hai 
Woh wahan juda hui thi
Tujhay aur kiya bataon 
woh teri tarah koi thi

Jaa ky phir jo loat aye woh zamana kaisa

Jaa ky phir jo loat aye woh zamana kaisa
Teri aankhon ne chaira hai yeh fasana kaisa

Aankh sar'shaar-e-tamana hai tu wada kar le
Chaal kehti hai keh ab loat ky ana kaisa

Mujh se kehta hai keh saaye ki tarah sath hain hum 
Youn na milnay ka nikla hai bahana kaisa

Ishq shikwa ti nahin hai , na mile tum hum se
Ranj is ka hai keh tum ne hamain jana kaisa

Khud ho socha tha bhout us ne poocha tha bhout 
Haal jab khud hi na samjhay to suna'na kaisa

Tujh ko pane ki khwaish thi so kiya tha maloom 
Apne hi aap ko kho baithein gy pana kaisa

Ab ronay kay liye itnay ansoon kahan se laaon


Yeh aaj tumhari be'wafi ne

Tumhari be'atnaai ne

Mujhay tanha kar dia

Kirchi kirchi kar dia

Ab ronay kay liye itnay ansoon kahan se laaon

Aaj ki raat katay gi kaisay 

Kal ka din katay ga kaisay 

Zindagi meri katay gi kaisay 

Ab ronay ky liye itnay ansoon kahan se laaon 

Woh jo tumhari baatain 

Woh jo tumharay iraday 

Kahan gaye woh waadhy

Jo tum sab bhool chuki ho

Ab ronay kay liye itnay ansoon kahan se laaon 

Hamain koi gham nahin tha Gham-e-aashiqui se pehlay


Hamain koi gham nahin tha Gham-e-aashiqui se pehlay
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehlay 

HAi yeh meri bad'naseebi tera kiya qasoor hai 
Teray gham ne maar dala mujhay zindagi se pehlay 

Mera pyaar jal arha hai ,aray, chand aaj chup ja 
Kabhi piyaar tha hamain bhi teri chandani se pehlay 

MAin kabhi na muskurata jo mujhay yeh ilam hota 
Keh hazaron gham milain gy mujhay ik kushi se pehlay 

Yeh ajeeb imtihaan hai keh tumhi ko bhoolna hai
Mile kab thay is tarah hum tumhain be'dili se pehlay

Hamain koi gham nahin tha Gham-e-aashiqui se pehlay
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehlay

Mujhay kab arzoo thi ho mera anjaam chupky se

Mujhay kab arzoo thi ho mera anjaam chupky se
Tumharay dard ko hi aa gaya aaraam chuky se

saba, kushboo nahin hai yeh jissay tum mushtahir kar do
Saba ly jayo par dena ussay paighaam chupky se

Udhaar aankhain mili hum ne idhar dil de diya apna
Khreeda dard chori se chukaye daam chupky se

MAin teray dihaan main gum hoon to sab hi dihaan raktay hain 
Meray aangan main ati hai hamesha shaam chpky se

Jo hum ne waqat-e-aakhir , aakhri ik saans khichaa tha
Liya tha kaampty honton tera naam chupky se

 

Khizaan ky rang main abhi bahaar baqi hai


Khizaan ky rang main abhi bahaar baqi hai 
Chraagh-e-shaher hai par intizaar baqi hai 

Hamain salaam karo ay hawadis-e-douraan
tumharay sath hain phir bhi qaraar baqi hai

Guzar chuka hai umeedon ka qafila kab ka
Raah-e-yaqeen pe abhi bhi ghubaar baqi hai

Hamain pukaar lo jab chaho hum milain gy wahin 
Mile hain khaak main lakin waqaar baqi hai

Teri tarah hamain bhi yaad anay wala ho


Teri tarah hamain bhi yaad anay wala ho 
Teray siwa bhi koi to staanay wala ho

Her ik subha yahi dil main hook uth'ti hai 
Hamain bhi naaz se koi jaganay wala ho 

Woh kis umeed main ghar main rakhain keh jis ghar main 
Na anay wala ho na koi janay wala ho

Her ik se nazrain milayi hain un ky koochay main 
Keh jaisay ab koi hum ko bhulanay wala ho 

Hai dosti kay liye aaina nazar meri
Nazar milaye jo nazrain milanay wala ho 

Keh jaisay koi bal'la mujh pe anay wali hai 
Harass kehta hai koi bachnay wala ho 

Hamaray shaher main kiya kiya saje sajaye hain ghar 
Hamaray ghar ko bhi koi sajanay wala ho

Haasil ho mujh ko himmat itni keh faqat


Haasil ho mujh ko himmat itni keh faqat
Duniya ko dikha doon apni shuja'at ya rab

Ho mera naam bhi un naamon main shaamil
Jo mohabbat main kar gaye hain ooncha naam ya rab

Teray hathon pe sajay hinaa ky surkh rang 
Meray khoon main bhi shamil ho raang-e-hina ya rab 

Tujh ko bhi hasil ho uroosa ka rutba 
Mujh ko bhi us ka nosha bana dy ya rab 

Dy tofeeq itni to dani ko 
Na ho ussay koi nadaan ya rab

Ab ky tum khwabon ko meri jagah na do


Ab ky tum khwabon ko meri jagah na do
Taraptay dil ki dard ki youn dawaa na do

Duniya ky gham sounp kar mujhay 
Ab kush rehnay ki dua na do 

Dikhlaa kar mea'khanay ka rasta pahir
Aab-e-zam zam ki sada na do

Kaantay bhar kar meray daaman main 
Mujhay phoolon ki si ada na do 

Mila kar zehar meray jaam main 
Mujhay be'wajha mout ki waja na do

Gunnah jo sarzard hua hai mujh se
Pal pal be'gunahi ki saza na do 

Badnaam kar ky us ki galiyon main ab 
Us ky ashiyaanay ka tum hi pata na do

Mohabbat kartay hain dikhana nahin jantay
Ilzaam magroori ka de kar yeh sila na do

Jala rakha hai umeedon ka dia sadiyon se
Pal bhar ki khalish se issay bhujha na do

AMin ik na'cheez sahi kisi ky dil ka hissa hoon 
Mujhay youn safha-e-hasti se mita na do

Zaib nahin deta mujhay mohabbat ka hasool
Nafrat hi sahi , tarq-e-tallauq ki magar hawa na do 

Cheen kar mujh se zindagi meri 
Mujhay aur jeenay ki bad'dua na do

Mujhay qudrat kay raazon ki samjh bilkul nahin aati


Mujhay qudrat kay raazon ki samjh bilkul nahin aati 

Jissay tabeer milni ho ussay sapnay nahin aatay

Jinhein hum kabhi jaantay bhi nahin Un hi sy mohabbat ho jati hai


Jinhein hum kabhi jaantay bhi nahin Un hi sy mohabbat ho jati hai
Chand din chand lamhay sath guzartay hain mohabbat ho jati hai

Khyalaat miltay hain sochain bhi milti hain mohabbat ho jati hai 
Dil ki chand baataim bhi hoti hain jin se mohabbat ho jati hai 

Sochon main khyalon main aur na janay kiyon mohabbat ho jati hai 
Kisi ki kuch baatain dil main utar jati hain mohabbat ho jati hai 

Yeh to mohabbat hai na dekhay huwey bhi lakin mohabbat ho jati hai
Hazaron faaslay hotay hain dil ik hota hai mohabbat ho jati hai

Meri her ik ada main chupi thi teri mohabbat


Meri her ik ada main chupi thi teri mohabbat 
Tu ne mehsoos na ki yeh aur baat hai 

Main ne her dam teray hi khwaab dekhay 
Mujhay tabeer na mili yeh aur baat hai 

Main ne jab bhi tujh se baat karna chahi
Mujhay alfaaz na mile yeh aur baat hai 

Main teri mohabbat ky samandar main door tak nikla
Mujhay sahil na mila yeh aur baat hai 

Qudrat ne likha tha tujh ko meri taqdeer main 
Teri qismat main , main na tha yeh aur baat hai 

Uthaa ky hath khuda se bas maangi yahi dua


Uthaa ky hath khuda se bas maangi yahi dua
Naseeb hon kushiyaan tumhain tum kush raho sada 

Tum ko rahat milay , tum ko chahat mile
Tumhain saray jahan ki mohabbat mile

Jahan main sab se achay hon teray naseeb 
Koi dukh kabhi bhi na aye qareeb tumharay

Dil ki her arzoo poori khuda karay 
Tumharay chahnay walo ko kabhi bhi na juda karay 

Mil jayein tum ko meray bhi naseeb ki kushiyaan 
Dua hai yeh bas tum ko kabhi gham na milain yahan

Mujh se apna pyaar kabhi wapis mat lena


Mujh se apna pyaar kabhi wapis mat lena 
Mujh se yeh iqraar kabhi wapias mat lena 

Kehtay rehna mujh ko her pal main tera hoon 
Mujh se yeh izhaar kabhi wapis mat lena 

Sajta rehna jhoomar ban kar maathay par
Mujh se yeh singhaar kabhi wapas mat lena 

Aankhain roshan rakhna apni yaadon se
Mujh se yeh deedaar kabhi wapas mat lena 

Kushboo ban kar basna meray tan mann main 
Mujh se yeh mehkaar kabhi wapas mat lena

Hansi ky raastay pe chala karo


Hansi ky raastay pe chala karo
Kushiyon ki mehak liya karo 
Piyaar se dilon ko chooa karo
Jahan tumhain gham nazar aye
Is na'cheez ko yaad kiya karo 

Her kal'li tujh se kushboo udhaar mangay
Aftaab tujh se noor udhaar mangay 
Khuda karay keh tu dosti aisi nibhaye keh log 
Teri dosti tujh se udhaar maangain

Kehtay hain gham bantanay se hota hai kam 
Aisay hi kabhi pehlay maantay thay hum 
Teray piyaar ki nishani tera gham hi to meray paas 
Woh bhi baat ho to rahaye ga kiya maray paas

Sochta hoon in saagar ki lehron ko dekh kar 
Kiyon yeh kinaron se takra kar palat jati hain 
Karti hain woh kinaray se be'wafai 
Ya phir saagar se wafa nibhati hain 

Tum ko chahnay wale kam na hoon gy 
Waqat ky sath magar hum na hon gy 
Apna piyaar chahaye kisi ko bhi dena 
Par teri yaad ky haq'daar sirf hum hi hon gy 

Her phool kushboo'daar nahin hota 
Her pathar chamak'daar nahin hota 
Dosti dekh kar karna dost 
Kiyon keh her dost hum sa dil'daar nahin hota 

Koi aankhon se baat kar leta hai 
Koi aankhon main mulaqaat kar leta hai 
Bara mushkil hota hai jawaab dena 
Jab koi khamosh reh kar sawaal kar leta hai 

Woh atay to hain magat tan se nahin 
Woh baith'ty to hain magar mann se nahin 
Kon kehta hai keh woh piyaar nahin kartay 
Kartay to hain magar hum se nahin 

Kaash dil ki awaaz main itna asar ho jaye keh
Hum aap ko yaad karain aur aap ko khabar ho jaye
Aaj rab se yahi dua meri keh 
Jissay aap chahein woh aap ka hamsafar ho jaye

Hum kabhi aap se khafa ho nahin saktay 
Yeh dil ky rishtay be'wafa ho nahin saktay 
Aap bhalay hamain bhool ky soo jayein 
Hum aap ko yaad kiye bina so nahin saktay 

Hansana hamara kisi ko gawara nahin hota 
Her musafir zindagi ka sahara nahin hota 
Miltay bhout log is tanha zindagi main 
Par her koi tum se piayar nahin hota 

Chaand kay liye sitaray bhout hain 
Lakin sitaron ky liye chaad ik hai 
Aap kay liye to hazaron hon gy
Lakin hamaray liye aap hi ik hain 

Kaanton ky badlay phool kiya do gi
Ansoo ky badlay kushi kiya do gi
Hum chahtay hain aap se umar bhar dosti 
Hamray is sawaal ka jawaab kiya do gi


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...