May 29, 2016

Garcha likhi hui thi shahadat imaam ki


Garcha likhi hui thi shahadat imaam ki 
Lakin meray Hussain (r.a) ne hujat tamam ki 

Zainab ki be'ridai ne sar mera dhak diya 
Aaghaz-e-subh-e-no hui woh shaam , shaam ki 

Ik khawab-e-khaas chasham-e-Mohammad (PBUH)main tha chuppa 
Tabeer noor-e-Aain Mohammad (PBUH) ne aam ki 

Bachon ki pyaas maalik-e-kosar pe shaaq thi 
Saqi ko warna may ki zaroorat na jaam ki 

Har sa naseeb baadshahon ko nahin naseeb 
Aaqa se mil rahi thi gawahi ghulam ki 

Dariya pe tishna lab hain yeh sehra main shaad kaam 
Duniya ajab hai un kay safar aur qiyaam ki 

De kar raza raza jo chehra-e-shabeer zard hai 
Thi iltaja-e-jung yeh kis laala faam ki

Yeh chand aur yeh abar-e-rawan guzarta rahay




Yeh chand aur yeh abar-e-rawan guzarta rahay 
Jamaal-e-shaam teh aasman guzarta rahay 

Bharra rahay teri khushbu se tera sehan-e-chaman 
Bas aik mousam-e-ambar fishan guzarta rahay 

Sama'atein teray lehjay se phool chunti rahein 
Dilon kay saaz pe to naghma khawan guzarta rahay 

Khuda karay teri aankhein hamesha hansti rahein 
Diyaar-e-waqat se tu shaad'maan guzarta rahay 

Main tujh ko daikh na paon to kuch malaal nahin 
Kahin bhi ho tu , sitara-e-nishan guzarta rahay 

Main maangti hoon teri zindagi qayamat tak 
Hawa ki tarah se tu jawidaan guzarta rahay 

Mera sitara kahin toot kar bikhar jaye 
Falak se tera khat keh'kishan guzarta rahay 

Main teri chaon main kuch dair baith loon aur phir 
Tamaam raasta be'sayeban guzarta rahay 

Yeh aag mujh ko hamesha kiye rahay roshan 
Meray wajood se to shola saman guzarta rahay 

Main tujh ko daikh sakon aakhri bisarat tak 
Nazar kay samnay bas ik saman guzarta rahay 

Hamara naam kahin to likha hua ho ga 
Mah-o-najoom se yeh khaak'daan guzarta rahay 

Main tera saath na de paon phir bhi tera safar 
Gulaab-o-khawab kay hi darmiyan guzarta rahay 

Main teray seenay pe sar rakh kay waqat bhool gayi 
Khayal-e-tezi umar-e-rawan guzarta rahay !

In dino meri apnay aap se bol chal band hai


In dino 
Meri apnay aap se bol chal band hai !
Meray andar aik baanjh ghussa 
Phunkaarta rehta hai 
Na mujhay dasta hai   
Na meray gird apni girift dheeli karta hai 
Nain'wa ki sar'zameen 
Aik baar phir surkh hai 
Faraat kay pani par
Abn-e-ziyaad kay taraf daron ka aik baar phir qabza hai 
Zameen aur aasman 
Aik baar sham'shahay ka lahu 
Wasool karnay se inkaari hain 
Aur meray chehray par ab mazeed lahu ki jaga nahin !
Fateh foj aur roshni aur aag kay farq ko nahin samjhti !
Sehra ki raat kaatnay kay liye inhein alaao ki zaroorat thi 
So unhon ne meray kutab khanay jala diye !
Lakin main ehtijaaj bhi nahin kar sakti 
Meray balon main surkh iskaarf bandha hai 
Aur meray glaas main coca cola hans raha hai 
Meray samnay doller ki haddi pari hui hai !

Aik hi haath main sab kuch simit aaya shayed


Aik hi haath main sab kuch simit aaya shayed 
Baad'shaht ka zamana palat aaya shayed

Dil ko duniya ki zaroorat hi nahin parnay di 
Teray lashkar se akelay nibat aaya shayed

Dafan kar aayi main jungle main khazana lakin 
Saamp sa phir koi dil se lipat aaya shayed

Is qadar bheer thi is baar bhi rastay main teray 
Koi chehra , kisi khirki se hat aaya shayed

Loatnay walay ko pehchan'nana mushkil thehra 
Aik chehra , kai chehron main batt aaya shayed

Kisi surat se abhi sar ko bacha rakha tha 
Jung be'sarfa main lakin woh waqat kat aaya shayed
 

Main apni pyas par khamosh thi


Main apni pyas par khamosh thi 
Aur raig-e-sehra ki tarah se zindagi ko dhoop ka tukra samjhti thi 
Kabhi sairaab honay ki tamana ne 
Badan main sar uthaya bhi 
To apnay dil se mazrat kar li 
Kaha us se 
Keh andar aag kaisi hi bharakti ho 
Mujhay baarish ki janib aankh utha kar dekhnay ka haq nahin hai 
Zuban par aablay partay rahein 
Lakin mujhay shabnam nahin chakhni 
Mujhay badalon kay haathon se koi tohfa nahin lena 
Nami ki aik hi surat hai meri zindagi main 
Aur woh aansu hai !
Magar jab se kisi lehjay kay num ne 
Meray dil ki rait ko aa kar chua hai 
Meray andar 
Mukamal bheeg janay ki tamana jaag uthi hai 
Lahu main ab meray bas aatish siyaal hai 
Aur jisam angaray ki tarah se dehakta hai 
Magar kya bakhat hai mera
Keh dariya choom kar mera kinara 
Chor deta hai 
Sarapa-e-tishnagi hoon 
Aur bharra piyala labon tak laa kay koi 
Kheench leta hai !

Manohar kya waron tujh par


Manohar 
Kya waron tujh par 
Meri jeewan thaali main to 
Sheesh nahin koi 
Bas naina rehtay hain 
Jalay huye sapno ka tatt
Maathay teray kya tilak lagaon 
Raakh bhi meri maang 
Oak main teri kya jal daroon 
Main sam'puran pyas 
Kuch shabdon kay moti hain 
Par kya is chandar mukh aagay 
Teri janam girha main mohan 
Kon sa phool main taankon 
Mann bagiya sooni hai 
Aur paraye phoolon par hai 
Kya mera adhee'kaar   
Bas aik aatma rehti hai 
Jo daan karon tujh par !
Manohar 
Kya waron tujh par ?

Chalo is khawab ko hum tark kar dain


Chalo is khawab ko hum tark kar dain 
Aur aankhon pe saja dain 
Keh her tasveer main halka gulabi rang chahnay se nahin aata 
Bhout se naqsh , naqaash azal aisay banata hai 
Keh jis ka hashiya gehra siyah 
Aur naqsh halka sur,mai rehta hai 
Aur jis par kis bhi zawiye se chand utray 
Yeh kabhi roshan nahin hotay 
Khuda kuch kaam aadhi raat ko karta hai 
Jab is kay piyalay main 
Siyahi kay siwa kuch bhi nahin hota 
Yeh khaaka bhi 
Kisi aisi hi sama'at main bana ho ga 
Hamari aankh main jo khawab utra tha 
Bhout khush rang lagta tha 
Magar is kay damaknay main 
Kai aankhein lahu hotein 
Kitabon aur phoolon se sajay jis ghar kay aangan main 
Hum apnay aap ko khiltay huye mehsoos kartay thay 
Wahan ik aur ghar buniyad se youn sar utha'ta tha 
Keh hum andar se hil jatay 
Magar chup chaap rehtay thay 
Yeh chup deemak ki surat hum ko ik din chaat jati 
Tumharay dukh se main waqif hoon 
Aur apnay muqaddar ki lakeeron ki bhi mehram hoon 
Hamaray bas main rangon ka chunao hai 
Na khat ka 
So is tasveer ko tehleel kar dain 
Hum apnay canvis tabdeel kar lain !
 

Khuli aankhon yeh kaisa khawab meray samnay hai




Cinderella (unisited)

Khuli aankhon yeh kaisa khawab meray samnay hai
Diye aangan se lay kar aasman tak 
Gulab-e-taza ki khushbu chaman se sehan-e-jaan tak 
Baloreen jaam 
Aur is main damakti surkh may 
Aur is kay nashay se farozan un ka chehra 
Sitaron se bana mera libada 
Sarapa-e-iztraab ik shahzada 
Fars pe sham'ein jalata aik wada 
Dilon kay vilon par 
Walz kartay do badan 
Auras kay shano par rakhay sar
Zindagi se
Neem sar'goshi main ik hi baat dohraati hui 
Khushbu-e-lab 
Aur is ka jadu 
Gajr bajtay hi aadhi raat ka 
Yeh khawab yak dam toot jata hai 
Sitaron se bana malboos mera 
Phir khas-o-kha'shaak ho jata hai 
Mera rath achanak toot jata hai 
Meri sheeshay ki juti raqs-e-geh main choot jati hai 
Magar agli sehar 
Meri taraf 
Shahi mehal se 
Koi qasid 
Doosray paon ki furqat main nahin aata !

Aakhon ne kaisay khawab tarashay hain in dino


Aakhon ne kaisay khawab tarashay hain in dino 
Dil par ajeeb rang utar'tay hain in dino 

Rakh apnay paas apnay mah-o-mehar ae falak 
Hum khud kisi ki aankh kay taaray hain in dino 

Dast-e-sehar ne maang nikali hai baar'ha 
Aur shab ne aa kay baal sanwaray hain in dino 

Is ishq ne hamein hi nahin moh'tadal kiya 
Us ki bhi khush mizaji kay char'chay hain in dino 

Ik khush'gawar neend pe haq ban gaya mera 
Woh rat'jagay us aankh ne kaatay hain in dino 

Woh qehat-e-husan hai keh sabhi khush jamal log 
Lagta hai koh'kaaf pe rehtay hain in dino

Taar-e-maz'gaan nahin mil raha tha


Taar-e-maz'gaan nahin mil raha tha 
Zakham kis yaad ka sil raha tha 

Barf main roshni ghul rahi thi 
Woh meray khawab main raha tha 

Kuch ajab roshni baagh main thi 
Phool kis rang ka khil raha tha 

Samnay tha woh aur dono chup thay 
Ab na hum thay na woh dil raha tha 

Rang-o-roghan ki baatein mehal main 
Shaher buniyad se hil raha tha 
 

Lo chraghon ki kal shab izafi rahi


Lo chraghon ki kal shab izafi rahi 
Roshni teray chehray ki kaafi rahi 

Apnay anjaam tak aa gayi zindagi 
Yeh kahani magar ikhtalafi rahi 

Hai zamana khafa to baja hai keh main 
Us ki marzi kay bilkul munafi rahi 

Aisay mohtaat , aisay kam'amez se 
Ik nazar bhi tawajo ki kafi rahi 

Subha kya faisala hakim-e-no karay 
Jashan ki raat tak to mo'afi rahi 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...