Behtay huye dariya ki rawani ko samajhta
Lagti jo tujhay pyaas to pani ko samajhta
Karna tha tujhay ishq to phir ishq se pehlay
Behtar tha mohabbat kay Ma'ani ko samajhta
Duniya na kabhi tootnay de pindaar-e-mohabbat
Ae kaash tu khud meri kahani ko samajhta
Hairat ka sabaq mujh ko wohi denay laga hai
Jo shakhs nahin naqal-makaani ko samajhta
Rehta na kabhi bhi woh meray khawaab se baahir
Ek baar jo jazbaat-e-jawani ko samajhta
Aata jo hunnar mujh ko kharidaari ka , main bhi
Bazar-e-zamana ki giraani ko samjhta
Gambhir-e-Masaa'il main shab-o-roz kay
Fursat thi kissay ? raat ki rani ko samajhta