Mar 10, 2017

Mohabbat yaad rakhti hai


Mohabbat yaad rakhti hai 

Wisaal-o-hijar main 
Ya khawaab se mehroom aankhon main 
Kisi ehad-e-rafaqat main 
Keh tanhai kay jungle main 
Khayal-e-khaal-o-khad ki roshni kay gehray baadil main 
Chamakti dhoop main ya phir 
Kisi be'abar saa'iye main 
Kahin baarish main bheegay jism-o-jaan kay nasr paron main
Kahin honton pe shairon ki mehakti aabsharon main  
Chraghon se saji shaamo main 
Ya be'noor raaton main 
Sehar ho ru'numa jaisay kahin baaton hi baaton main 
Koi lipta hua ho jis tarah 
Sandal ki khushbu main 
Kahin par titliyon kay rang tasveerain banatay hon 
Kahin par jugnu'on ki muthiyon main roshni khud ko chupati ho 
Kahin kaisa hi manzir ho
Kahin kaisa hi mousam ho 
Teray saray hawalon ko 
Teri sari misalon ko 
Mohabbat yaad rakhti hai 

Dil ki manzil uss taraf hai ghar ka raasta iss taraf


Dil ki manzil uss taraf hai ghar ka raasta iss taraf 
Aik chehra uss taraf hai aik chehra iss taraf 

Roshni kay ista'aaray uss kinaray reh gaye 
Ab to shab main koi jugnoo hai na tara is taraf 

Tum hawa in khirkiyon se sirf itna daikhna 
Uss ne koi khatt kisi kay naam likha iss taraf 

Yeh mohabbat bhi ajab taqseem kay mousam main hai 
Sara jazba uss taraf hai sirf lehja iss taraf 

Maa ne koi khouf aisa rakh diya dil main meray 
Sach main kabhi bol hi paai na poora uss taraf 

Ik halki si chubhan ehsaas ko ghairay rahi 
Guftagoo main jab tumhara zikar aaya iss taraf 

Sirf aankhein kaanch ki baqi badan pathar ka hai 
Larkiyon ne kis tarah ka roop dhaara iss taraf 

Ae hawa ! Ae meray dil kay shaher se aati hawa
Tujh ko kya peghaam de kar uss ne bheja iss taraf 

Kis tarah kay log hain yeh kuch pata chalta nahin 
Kon kitna uss taraf hai kon kitna iss taraf 

Hisaar-e-lafz-o-biyaan main gum hoon


Hisaar-e-lafz-o-biyaan main gum hoon 
Abhi teri daastaan main gum hoon 

Main daikh sakti hoon dooston ko 
Magar saf-e-dushmanan main gum hoon 

Badan ka apna azaab hai aur 
Issi azab-e-ziyaan main gum hoon 

Yeh log ghar keh rahay hain jis ko 
Main aik aisay makaan main gum hoon 

Kahan woh lazzat musafaton ki 
Main manzalon kay nishaan main gum hoon 

Khabar nahin moj-e-dasht-e-jaan ki 
Hawa hoon aur baad"baan main gum hoon 

Abhi kahan fursat-e-mohabbat 
Abhi main kaar-e-jahan main gum hoon 


Tumhein khabar hi nahin kaisay sar bachaya hai


Tumhein khabar hi nahin kaisay sar bachaya hai 
Azaab jaan pe saha hai to ghar bachaya hai 

Tamaam umar taluq se mun'harif bhi rahay 
Tamaam umar issi ko magar bachaya hai 

Badan ko baraf banati hui fiza main bhi 
Yeh moh'jaza hai keh dast-e-hunar bachaya hai 

Sehar hui to meray ghar ko raakh karta gaya 
Woh ik chragh jissay raat bhar bachaya hai 

Kuch aisi surat-e-halaat ho gayi dil ki 
Junoon ko tark kiya aur darr bachaya hai 

Yaqeen-e-shaher hunar be'yaqeen mousam main 
Bhout khathan tha bachana magar bachaya hai 

Lahu tak aankh se ab beh liya hai


Lahu tak aankh se ab beh liya hai 
Bhout tha jabar lakin seh liya hai 

Azaab-e-hijar ab wapis palat jaa
Bhout din saath meray reh liya hai 

Nami aankhon se jaati hi nahin hai 
Sitam iss dil ne itna seh liya hai 

Yeh dil koi thikhaana chahata hai 
Bhout din raaston main reh liya hai 

Tujhay kehna tha jo ehwaal dil ka 
Dar-o-dewaar se hi keh liya hai 

Qabuliyat ka gila nahin hai


Qabuliyat ka gila nahin hai 
Keh lab pe koi dua nahin hai 

Azaab-e-jaan ka sila na mango 
Abhi tumhein tajurba nahin hai 

Udaas chehray , sawal aankhein 
Yeh mera shaher-e-wafa nahin hai 

Yeh bastiyan jis ne raakh kar dein 
Chragh tha woh , hawa nahin hai 

Koi to lamha sakoon ka bhi 
Yeh zindagi hai saza nahin hai 

Bhout tareek sehraa ho gaya hai


Bhout tareek sehraa ho gaya hai 
Hawa ka shor gehra ho gaya hai 

Kisi kay lams ka yeh moh'jaza hai 
Badan sara sunehra ho gaya hai 

Yeh dil dekho keh jis kay chaar jaanib 
Teri yaadon ka pehra ho gaya hai 

Wohi hai khaal-o-khad main roshni si 
Ya til aankhon ka gehra ho gaya hai 

Kabhi uss shakhs ko daikha hai tum ne 
Mohabbat main sunehra ho gaya hai 

Guraiz shab se sehar se kalaam rakhtay thay


Guraiz shab se sehar se kalaam rakhtay thay
Kabhi woh din thay keh zulfon main shaam rakhtay thay 

Tumharay haath lagay hain to jo karo so karo 
Wa'garna tum se to hum so ghulam rakhtay thay 

Hamein bhi ghair liya ghar kay zoham ne to khulla 
Kuch aur log bhi iss main qayaam rakhtay thay 

Yeh aur baat hamein dosti na raas aayi 
Hawa thi saath to khushbu maqaam rakhtay thay

Na'janay kon si rut main bichar gaye woh log 
Jo apnay dil main bhout ehtraam rakhtay thay 

Woh aa to jaata kabhi , hum to uss kay raston par 
Diye jalaye huye shubh-o-shaam rakhtay thay 

Main kin logon main hoon kya likh rahi hoon


Main kin logon main hoon kya likh rahi hoon 
Sukhan karnay se pehlay sochti hoon 

Udaasi mush'tahir honay lagi hai 
Bharray ghar main tamasha ho gayi hoon 

Kabhi yeh khawaab mera raasta thay 
Magar ab to azaan tak jaagti hoon 

Bas ik harf-e-yaqeen ki aarzu main 
Main kitnay lafz likhti jaa rahi hoon 

Main apni umar ki qeemat pe teray 
Her ik dukh ka azaala ho rahi hoon 

Ghazab ka khouf hai tanhaiyon main 
Ab apnay aap se darnay lagi hoon 

Ab kis se kahein aur kon sunnay jo haal tumharay baad hua


Ab kis se kahein aur kon sunnay jo haal tumharay baad hua 
Iss dil ki jheel si aankhon main ik khawaab bhout bar'baad hua 

Yeh hijar hawa bhi dushman hai Uss naam kay saray rangon ki 
Woh naam jo , meray honton par khushbu ki tarah Aabaad hua 

 Uss shaher main kitnay chehray thay , kuch yaad nahin sab bhool gaye 
Ik shakhs kitabon jaisa tha woh shakhs zubani yaad hua 

Woh apnay gaon ki galiyan thein dil jin main naachta gaata tha 
Ab uss se faraq nahin parta na'shaad hua ya shaad hua 

Be'naam sata'ish rehti thi in gehri sanwli aankhon main 
Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be'daad hua 

Ab apnay faisalay par khud ulajhnay kiyon lagi hoon


Ab apnay faisalay par khud ulajhnay kiyon  lagi hoon 
Zara si baat par itna bikharnay kiyon lagi hoon 

Woh jis mousam ki ab tak muntazir aankhein thein meri 
Ussi mousam se ab main itna  darnay kiyon  lagi hoon 

Mujhay na'deeda raston par safar ka shouq bhi tha 
Thakan paon se lipti hai to marnay kiyon lagi hoon 

Mujhay yeh chaar dewari ki ronaq maar de gi 
Main ik imkaan thi manzil ka mittnay kiyon lagi hoon 

Main jis ko kam se kam mehsoos karna chahati thi 
Ussi ki baat ko itna samjhnay kiyon lagi hoon 

Jo meray dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha 
Ab apnay haath se khatt uss ko likhnay kiyon lagi hoon 

Badan ki raakh tak bhi raaston main na bachay gi 
Barasti baarishon main youn sulagnay kiyon lagi hoon 

Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aisa kya hua hai 
Main pathar thi to aakhir ab pighalnay kiyon lagi hoon 

Yeh dil bhulaata nahin hai mohabbatein uss ki



Yeh dil bhulaata nahin hai mohabbatein uss ki 
Parri hui thein mujhay kitni aadatein uss ki 


Yeh mera sara safar uss ki khushbu'on main kat'ta 
Mujhay to raah dikhaati thein chahatein uss ki 

Ghirri hui hoon main chehron ki bheer main lakin 
Kahin nazar nahin aatein shaba'hatein uss ki

Main door honay lagi hoon to aisa lagta hai 
Keh chaa'on jaisi thein mujh pe rafaqatein uss ki 

Yeh kis gali main yeh kis shaher main nikal aaye 
Kahan pe reh gayein logo sadaqatein uss ki 

Main baarishon main juda ho gayi hoon uss se magar 
Yeh mera dil , meri saansein amanatein uss ki  


Ishq karo to yeh bhi socho arz-e-sawal se pehlay


Ishq karo to yeh bhi socho arz-e-sawal se pehlay 
Hijar ki poori raat aati hai subh-e-wisaal se pehlay 

Dil ka kya hai dil ne kitnay manzir daikhay lakin 
Aankhein pagal ho jaati hain ik khayal se pehlay 

Kis ne rait urrai shab main aankhein khol kay rakhein 
Koi aik misaal to do na uss ki misaal se pehlay 

Kaar-e-mohabbat aik safar hai uss main aa jata hai 
Aik zawaal-e-Aasaar sa rasta baab-e-kamall se pehlay 

Ishq main resham jaisay wadon aur khawabon ka rasta 
Jitna mumkin ho teh kar lain gard-e-malaal se pehlay 

Tumhari yaad ki duniya main din se raat karon



Tumhari yaad ki duniya main din se raat karon 

Kisi ki baat chalay main tumhari baat karon 


Andeshon kay shaher main rehna par jaye ga


Andeshon kay shaher main rehna par jaye ga 
Bil'aakhir her dukh ko sehna parr jaye ga 

Waqat ki gardish main aaye to jaan liya hai 
Jhooti baat ko sacchi kehna parr jaye ga 

Uss ki yaad kay manzir main ab raat gaye tak 
Aansu ban kar aankh se behna par jaye ga 

Jis lehjay ki khushbu her pal saath rahi ho 
Ussay bhi ab be'gana kehna parr jaye ga 


Yeh naam mumkin nahin rahya ga , maqaam mumkin nahin rahay ga


Yeh naam mumkin nahin rahya ga , maqaam mumkin nahin rahay ga 
Gharoor lehjay main aa gaya to kalaam mumkin nahin rahay ga 

Yeh barf mousam jo shaher-e-jaan main kuch aur lamhay thehar gaya to 
Lahu ka dil ki kisi gali main qayaam mumkin nahin rahay ga 

Tum apni saanson se meri saansein alag to karnay lagay ho lakin 
Jo kaam Aasaan samjh rahay ho woh kaam mumkin nahin rahay ga 

Wafa ka kaghaz to bheeg jaye ga bad'gumani ki baarishon main 
Khat'ton ki baatein to khawab hon gi payaam mumkin nahin rahay ga 

Yeh hum mohabbat main la'taluq se ho rahay hain to daikh lena 
Dua'ein to khair kon de ga salaam mumkin nahin rahay ga 


Khamoshi se haari main


Khamoshi se haari main 
Jaan tujh pe wari main 

Tai'ragi kay mousam main 
Roshni ..... pukaari main 

Ishq main bikharnay tak 
Hosla na haari main 

Dhoondnay wafa nikli 
Qismaton ki maari main 

Uss taraf zamana tha 
Iss taraf thi sari main

Zindagi ki be'sim'mati 
Daikh tujh se haari main 


Aainda kabhi uss se mohabbat nahin ki jaye


Aainda kabhi uss se mohabbat nahin ki jaye 
Ki jaye to phir uss ki shikayat nahin ki jaye 

Iss ma'raka-e-ishq main Ae ehal-e-mohabbat 
Aasaan hai adawat pe adawat nahin ki jaye 

Yeh dil keh ussi zood faramosh pe mayel 
Aur zehan ba'zad uss se mohabbat nahin ki jaye 

Hum ehal-e-sukhan hain to riwayat kay mutabaq 
Masloob kiya jaye riya'at nahin ki jaye 

Yeh log tamasha hain to phir in se junoon main 
Koi bhi biyaan dil ki hikayat nahin ki jaye 


Mujhay mout de keh hayat de


Mujhay mout de keh hayat de 
Meray be'hunar mera saath de 

Meri piyaas sadiyon ki piyaas hai 
Meray kar'bala ko faraat de 

Meray rat'jagon kay hisaab main 
Koi aik  neend ki raat de 

Koi aisa ism-e-azeem ho 
Mujhay teray dukh se nijaat de 

Yeh jo tai'ragi hai gharoor main 
Koi roshni issay maat de 

Meri shairy kay naseeb main 
Koi aik harf-e-sabaat de 


Jis tarah maan ki dua hoti hai


Jis tarah maan ki dua hoti hai 

Shairy rad-e-bala hoti hai 


Shaam-e-tanhai main


Shaam-e-tanhai main 

Ab bhi shaair rahoon 
Kis ki khatar rahoon 
Kon hai jo meray lafz-o-mahni ki aankhon se behtay huye 
Aansu'on main chuppay dard chunta phirray 
Khawaab bunta phirray 
Kon hai jo meray khoon hotay huye dil ki awaaz par 
Apni awaz kay hont rakhta phirray 
Kon aankhein meri daikh kar yeh kahay 
"Kya hua jaan-e-jaan "
Kab se soyi nahin 
Iss se pehlay to tum itna royi nahin 
Ab bhala kis liye Khoobsurat si aankhein parishaan hain 
Apni halat pe khud itni hairaan hain 

Kon be'chain ho 
Kon be'taab ho 
Mousam-e-hijar ki shaam-e-tanhai main 
Aablaa paai main 
Kon ho hum'safar , gard hai rah'guzar 
Koi rasta nahin , koi raahi nahin 
Dar pe dastak ki koi gawahi nahin 
Dil kay veeran-o-bar'baad safhaat par 
Jis qadar lafz likhay thay be'kaar hain 
Aik lambi judai kay Aasaar hain

Sochti hoon keh ab 
In khayalon se , khawabon se baahir rahoon 
Kiyon main shaair rahoon 
Kis ki khatar rahoon 


Bhout ta'kheer se lakin khulla yeh bhaid khud par bhi


Bhout ta'kheer se lakin 
Khulla yeh bhaid khud par bhi 
Keh main ab tak 
Mohabbat jaan kar jis 
Jazba-e-da'reena ko apnay lahu se seenchti aayi 
Woh jis ki sa'at-e-sad meharban hi zindagi ki shart thehri thi 
Faqat ik sha'iba hi tha mohabbat ka 
Youn hi aadat thi her rastay pe uss kay saath chalnay ki 
Wagarna tark-e-khawaish par 
Yeh dil thora sa to dukhta 
Zara si aankh num hoti 


Chup na rehtay biyaan ho jatay


Chup na rehtay biyaan ho jatay 
Tujh se gar bad'gumaan ho jatay 

Zabat-e-gham ne bacha liya warna 
Hum koi daastaan ho jatay 

Tu ne daikha nahin palat kay hamein 
Warna hum meharbaan ho jatay 

Teray qissay main hum bhala khud se 
Kis liye bad'gumaan ho jatay 

Teray dil ki zameen hi na mili 
Warna hum aasmaan ho jatay 

Her jaanib veerani bhi ho sakti hai


Her jaanib veerani bhi ho sakti hai 
Subha ki rangat dhaani bhi ho sakti hai 

Jab kashti daali thi kis ne socha tha 
Dariya main tughiyaani bhi ho sakti hai 

Naye safar kay naye azaab aur naye gulaab 
Surat-e-haal purani bhi ho sakti hai 

Her pal jo dil ko deh'laye rakhti hai 
Kuch bhi nahin hairaani bhi ho sakti hai 

Safar-e-iraada kar to liya par raston main 
Raat koi toofani bhi ho sakti hai 

Uss ko meray naam se nisbat hai lakin 
Baat yeh aani jaani bhi ho sakti hai 


Dil tha keh khush khayal tujhay daikh kar hua


Dil tha keh khush khayal tujhay daikh kar hua 
Yeh shaher be'misaal tujhay daikh kar hua 

Apnay khilaag shaher kay andhay hajoom main 
Dil ko bhout malaal tujhay daikh kar hua 

Tool-e-shab-e-firaaq teri khair ho keh dil 
Aamaada-e-wisaal tujhay daikh kar hua 

Yeh hum hi jaantay hain judai kay morr par 
Is dil ka jo bhi haal tujhay daikh kar hua 

Aayi na thi kabhi meray lafzon main roshni 
Aur mujh se yeh kamaal tujhay daikh kar hua 

Bichray to jaisay zehan mo'atal sa ho gaya 
Shaher-e-sukhan ba'haal tujhay daikh kar hua 

Phir log aa gaye mera maazi kuraid'nay
Phir mujh se ik sawal tujhay daikh kar hua  




Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...