Sep 15, 2014

Hamaray dil ne tumhain bhulaanay ki thaan li hai

Hamaray dil ne tumhain bhulaanay ki thaan li hai

Magar yeh mumkin hi kis tarah hai tumhain bhula dain

Hamari palkano ki chilmanon main tumhara chehra chupa hua hai

Tumhain jo dekha

Hamari dharkan kay taar bajay

Khanan khanan chooriyaan pukaarain

Channan channan payalon ne chaira , fizaein jhoomain

Hathaliyon ko hina ne chooma to choomti hi chali gayi hain

Yeh zulf gainday ki khushboo main rachi basi hai

Tumhain jo dekha

Hawa ne sar'goshiyon main poocha

Ho khoyi khoyi si kis liye tum ?

Suno sahaili chupa rahi ho

Tumhain mohabbat hui kis se

Tumhain mohabbat hui kis se

Bichar gaye to phir bhi milain gay hum dono ik baar

Bichar gaye to phir bhi milain gay hum dono ik baar

Ya is basti duniya main ya is ki hadon se paar

LAkin  gahm hai to bas itna jab hum wahan milain gay

Ek doosray ko hum kaisay tab pehchaan sakain gay

Yahi sochtay apni jaga par chup chaap kharray rahain gay

Is se pehlay bhi hum dono kahin zaroor milay thay

Yeh pehchaan kay naye shagoofay pehlay kahan khilay thay

Ya is basti duniya main ya is ki haddon se paar

Bichar gaye hain mil kar dono pehlay bhi ek baar

Bhout mumkin tha

Bhout mumkin tha

Meray paaon , meri zeest kay

Kaantay nikal jaatay

Bhout mumkin tha

Meri raah kay pathar pighal jaatay

Jo dewaarain meray raastay main hayal thein

Meray aagay se hatt jatein

Agar tum aankh utha kay dekh letay

Koh'saaron ki taraf aik pal

Chahatein ik tumhari jumbish-e-abroo se kat jaatein

Bhout mumkin tha angaaron bhari is zindagi main

Tumharay paaon kay ujlay kanwal khiltay

Rafaqat ki sunehri jheel main

Dono kay aks-e-zufishaan hiltay

Bas ik khwaab-e-musalsal ki fiza rehti

Hamari rooh kab hum se khafa rehti

Yeh sab kuch ain mumkin tha

Agar tum mujh ko mil jaatay

Kuch roz bhout dil tarpay ga

Kuch roz bhout dil tarpay ga

Kuch roz rahain gi nam aankahin

Kuch roz rahay gi be'chaini

Kuch roz yeh seena sulgay ga

Paani main safeena sulgay ga

Rafta rafta

Dheeray dheeray

Phir halat hijar gazeeda ki

Ik roz sambhal hi jaye gi

Ik zakham barhay ga chahat ka

Ik dard thamay ga shiddat ka

Ik diya bujhay ga qurbat ka

Lakin kiya aisa mumkin hai

Tum khud socho

Kiya yeh na'mumkin , mumkin hai ?

Tum khud socho

Khuda janay tumharay zehan main kiya hai

Khuda janay tumharay zehan main kiya hai

Meray baaray main tum kiya sochti ho , keh nahin sakta

Magar main is liye milnay se katraata hoon tum se

Keh woh baatain jo hum likhtay hain

Apnay khatt main chahat se

Woh baatain aur baatain hain

Woh baatain aisi baatain hain

BAs baatain hi baatain hain

Haqeeqat mukhtalif hai aisi baaton se

Haqeeqat mukhtalif hoti nahin alfaaz likhnay se

Zubaani guftagoo se baahami izhaar-o-arz-e-haal karnay se

Bhout si aisi baatain hain

Jinhain sunnanay ko kaano ki nahin aankhon ki haajat hai

Agar tum mujh se milnay par bhout israar karti ho

To phir aik shart hai

Aik lafaz bhi kehna na honton se

Faqat aankhon se aankhain guftagoo karti hain

Khalaa apnay sawalon ka

In aankhon ki sadaein khud-ba-khud barhti rahain gi

Agar milna zaroori hai

To choti si meri yeh shart apnay zehan main rakhna 

Be'sabab to na thein teri yaadain

Be'sabab to na thein teri yaadain

Teri yaadon se kiya nahin seekha

Zabt ka hosla barha lena

Aansoo'on ko kahin chupa lena

Kaampti dolti shaamon ko

Chup ka rang laga lena

Be'sabab bhi

KAbhi kabhi hansana

Jab bhi ho koi baat talkhi ki

Guftagoo ka rukh badal dena

Suna ho ga bhout tum ne

Suna ho ga bhout tum ne 
Kahin aankhon ki rim jhim ka 
Kahin palkon ki shabnam ka 

Parha ho ga bhout tum ne 
Kahin lehjay ki baarish ka 
Kahin sagar kay aansoo ka 

MAgar tum ne meray ham'dam 
Kahin dekhaye , kahin parkhaye 
Kisi tehreer kay aansoo

Mujhay teri judai ne
Yahi mehraaj bakhshi hai 

Keh main jo lafaz likhta hoon 
Woh saray lafaz rotay hain 
Keh main jo harf bunta hoon 
Woh saray bain kartay hain 

Meray sang judai main 
Meray alfaaz martay hain 

Sabhi tareef kartay hain 
Meri tehreer ki lakin 
Kabhi koi nahin sunta 
Meray alfaaz ki siski 

Falak pe jo hila dalay 
Meray lafzon main hai shaamil 
Usi taseer kay aansoo
Kabhi dekho meray hamdam 

Meri tehreer kay aansoo

Meri tehreer kay aansoo

Suna ho ga bhout tum ne 
Kahin aankhon ki rim jhim ka 
Kahin palkon ki shabnam ka 

Parha ho ga bhout tum ne 
Kahin lehjay ki baarish ka 
Kahin sagar kay aansoo ka 

MAgar tum ne meray ham'dam 
Kahin dekhaye , kahin parkhaye 
Kisi tehreer kay aansoo

Mujhay teri judai ne
Yahi mehraaj bakhshi hai 

Keh main jo lafaz likhta hoon 
Woh saray lafaz rotay hain 
Keh main jo harf bunta hoon 
Woh saray bain kartay hain 

Meray sang judai main 
Meray alfaaz martay hain 

Sabhi tareef kartay hain 
Meri tehreer ki lakin 
Kabhi koi nahin sunta 
Meray alfaaz ki siski 

Falak pe jo hila dalay 
Meray lafzon main hai shaamil 
Usi taseer kay aansoo
Kabhi dekho meray hamdam 

Meri tehreer kay aansoo

Chalay jo ho to bata kay jaao

Chalay jo ho to bata kay jaao

Keh kitni shaamain udaas aankhon main kaati hain ?
Keh kitni subhain akelay pan main guzaari hain ?
Bata kay jaao keh kitnay suraj azaab raaston ko dekhna hai 
Keh kitnay mahtaab sard raaton ki wusa'aton se nikaalnay hain ?

Bata kay jaao

Keh chaand raaton main waqat kaisay guzarna hai ?
Khamosh lamhon main tujh ko kitna pukaarna hai 

Bata kay jaao

Keh kitnay lamhay shumaar karnay hain hijar ki raaton kay 
Keh kitnay mousam aik aik kar kay judaiyon main guzaarnay hain 

Bata kay jaao

Keh panchiyon ne akelay pan ka sabab jo poocha 
To kiya kahoon ga 

Kisi ne rastay main rok kar jo mujh se poocha 
Keh pichlay mousam main saye saye jo ajnabi tha

Kahan gaya hai 
To kiya kahoon ga 

Bata kay jaao 

Keh kis pe hai aaitabaar karna 
To is ki baaton pe be'niazi kay silsalay ikhtayaar karna 
Bata kay jaao keh ab rawiyon ki chaal kiya ho
Jo ab kiya ho , sawaal kiya ho 
Arooj kiya ho , zawaal kiya ho 

Nigah , rukhsaar , zulf , chehra , nidhaal kiya ho 

Bata kay jaao 

Keh meri haalat pe chandani khil'khila pari to
Main kiya karoon ga 
Bata kay jaao
Keh meri surat pe tairagi muskura pari to 
MAin kiya karoon ga 
Bata kay jaao keh tum ko kitna pukaarna hai 
Bichar kay tujh se yeh waqat kaisay guzaarna hai 
Ujaarna hai , nikhaarna hai 
Chalay jo ho to 
Bata kay jaao 
Keh loatna bhi hai .....? ya 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...