Dec 26, 2014

Us kay haath par apna naam daikha to main bhout khush hua


Us kay haath par apna naam daikha to main bhout khush hua 

Woh baray masoom se lehjay main bola teray hum naam aur bhi hain

Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay


Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay 

Warna kisi ki khatar khud ko itna barbaad na kartay 

Toot jaye na bharam , hont hilaon kaisay


Toot jaye na bharam , hont hilaon kaisay
Haal jaisa bhi hai , logon ko sunaon kaisay

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai
Main teray gham ko zamanay se chupaon kaisay

Tu hi bata meri yaadon ko bhulaanay walay
Main teri yaad ko is dil se bhulaaon kaisay

Phool hota to teray dar pe saja bhi rehta
Zakham lay kar teri dehleez par aaon kaisay

Tu rulaata hai to rula mujhayji bhar kay
Teri aankhain hain meri

Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay


Hum zindagi ki qeemat ko jaan hi na sakay 

Warna kisi ki khaatar khud ko itna bar'baad na kartay

Teray khayal ko dil se kabhi juda na karon


Teray khayal ko dil se  kabhi juda na karon

Teray baghair to main saans bhi liya na karon 

Jo tu mila to mujhay mashwara diya dil ne 

Keh ab Khuda se koi air Iltajaa na karoon 

Wafa ki raahon main rakh to diya hai main ne qadam

Ab apni jaan bhi jaye to main gila na karon

Tujhay Oorhon ya tera libaas ho jaaon


Tujhay Oorhon ya tera libaas ho jaaon 
Teri ragon main dhal kay ek ehsaas ho jaaon 
Ek raat jo milay mujhay teri zaat se 
Tu samandar banay , aur main pyaas ho jaayon 
Teray wajood se hai meray chehray pe khushiyon ki dhanak
Tera chehra na dekhon to udaas ho jaaon 
Faqat itni si khwaish hai keh teri zindagi main shamil rahoon 
Phir bhalay qissa banoo ya qiyaas ho jaaon 
Teray lab , teray haath mera her ik naqsh amar kar lain 
Tu mujhay bhool na paye itna khaas ho jaaon

Ae dil bhool ja duniya se dil lagana


Ae dil bhool ja duniya se dil lagana 

Wafa karo to saza detay hain , khamosh rahao to bhula detay hain

Tum bhujha kar to chalay ho meri yaadon kay chragh


Tum bhujha kar to chalay ho meri yaadon kay chragh 

Kiya karo gay kahin raastay main agar raat ho gayi to

YEh teri justagoo main rehnay kay niteejay niklay


YEh teri justagoo main rehnay kay niteejay niklay

Ab safar na bhi ho muyassar to thak jaatay hain

Hum na'daan thay jo us ko apna hamsafar samjh baithay


Hum na'daan thay jo us ko apna hamsafar samjh baithay 

Jo chalta tha meray saath lakin ussay talaash kisi aur ki thi

Samait lo mujhay apni baanhon main


Samait lo mujhay apni baanhon main 

Na'janay kiyon aaj bikhar janay ko jee chahta hai

Tujhay pa na sakay to sari zindagi tujhay pyaar karain gay


Tujhay pa na sakay to sari zindagi tujhay pyaar karain gay

Yeh zaroori to nahin jo mil na sakay ussay chor diya jaye

Dard-e-dil ki aah tum na samjh sako gay


Dard-e-dil ki aah tum na samjh sako gay 

Her dard ka maatam sar-e-aam nahin hota

Koi ehsaas bhi us ko yaad nahin


Koi ehsaas bhi us ko yaad nahin 
Koi baat bhi us ko yaad nahin 
Kisi ne us ko chaha tha 
Woh zaat bhi us ko yaad nahin 
Jab shab ki bijli chamki thi 
Aur badal toot kay barsa tha 
Hum dono jis main bheegay thay 
Woh barsaat bhi us ko yaad nahin 
Woh sahil , dariya , phool , hawa
Woh wada saath nibhaanay ka 
Aur shab bhar chaand ko dekha tha 
Woh raat bhi us ko yaad nahin 
Woh kehta tha main sunta tha 
MAin kehta tha woh sunta tha 
Un laakhon baaton main koi 
Ek baat bhi us ko yaad nahin 

Yeh Adaein , yeh tabasum, yeh mast nigahein



Yeh Adaein , yeh tabasum, yeh mast nigahein

Hijaab orho , kahin hum phir se na ujar jayein

Samait lo mujhay apni baanhon main


Samait lo mujhay apni baanhon main 

Na'janay kiyon aaj bikhar janay ko jee chahta hai

Samait lo mujhay apni baanhon main


Samait lo mujhay apni baanhon main 

Na'janay kiyon aaj bikhar janay ko jee chahta hai

Samait lo mujhay apni baanhon main


Samait lo mujhay apni baanhon main 

Na'janay kiyon aaj bikhar janay ko jee chahta hai

Samait lo mujhay apni baanhon main


Samait lo mujhay apni baanhon main 

Na'janay kiyon aaj bikhar janay ko jee chahta hai

Taaron ka go shumaar main aana mohaal hai


Taaron ka go shumaar main aana mohaal hai 

Lakin kisi ko neend na aaye to kiya karay

Kuch to hisaab karo hum se


Kuch to hisaab karo hum se 

Itni wafaein udhaar kon deta hai

Nazar main utar jaatay hain ghulab Aahista Aahista


Nazar main utar jaatay hain ghulab Aahista Aahista

Mohabbat ho rahi hai be'hijaab Aahista Aahista

Suna hai woh kitabon main hamara naam likhtay hain 

TAbhi to woh bhi parhtay hain kitaab Aahista Aahista

Nazron se jo kehtay ho kabhi to zubaan pe laao 

Yeh be'chainiyan barhti ja rahi hain Aahista Aahista

Dilon main dooriyan hon to mohabbat aur barhti hai

Samjh aaye ga un ko yeh hisaab Aahista Aahista

Yeh din , yeh tanhai , woh , aur us ki yaadain


Yeh din , yeh tanhai , woh , aur us ki yaadain 

Ae dil aj teri wafaon pe rona aaya

Woh to aisa tha keh udaas honay ki bhi waja poocha karta tha


Woh to aisa tha keh udaas honay ki bhi waja poocha karta tha 

Par na janay kiyon ab ussay meray ronay ki bhi parwa nahin hoti

Mat kar mujhay azmaanay ki zid


Mat kar mujhay azmaanay ki zid 

Pani main pathar kabhi taira nahin kartay

Tu meri chahat ka ik lafaz bhi nahin parh saka


Tu meri chahat ka ik lafaz bhi nahin parh saka 

Main teray diye huye dard ki kitaab parhtay parhtay aksar kho jaata hoon

Hasaas dilon ko tornay kay liye zaroorat nahin pathron ki


Hasaas dilon ko tornay kay liye zaroorat nahin pathron ki 

Ae dost

Yeh dil to bikhar jaatay hain sirf lafzon ki chot se

Pyaar kay gehray marasim ka pata deta hai


Pyaar kay gehray marasim ka pata deta hai

Khat kay aakhir main us ka mujhay pagal likhna

Dhaamp rahay thay khud ko woh aanchal se baar baar


Dhaamp rahay thay khud ko woh aanchal se baar baar 

Bhala raat chupa saki hai kabhi husan-e-chaand ko

Meri saans tum se jurri hai kab aao gay


Meri saans tum se jurri hai kab aao gay 

Labon pe jaan hai aur kitna tarpaao gay 

Meray bin chain nahin milay ga tumhain 

Mujhay chor kar tum bhi pachtaao gay 

Guzra waqat nahin aata haath kisi kay 

Aakhir kab tak tum mujhay azmaao gay 

Do aansoo do phool meri qabar pe charha dena 

Shayed itna hi tum meray liye kar paao gay

Koi sheesha agar tootay awaz bari hoti hai


Koi sheesha agar tootay awaz bari hoti hai 

Magar dil toot jaanay ki sadaa koi nahin sunta

Mohabbat phool hai jana


Mohabbat phool hai jana
Kaho to phool ban jaaon
Tumhari zindagi ka ik 
Haseen asool ban jaaon 
Suna hai rait pe chal kay 
Tum aksar mehak jaatay ho 
Kaho to ab kay baar main 
Zameen ki dhool ban jaaon 
Bhout na'yaab hotay hain 
Jinhain tum apna kehtay ho 
Ijaazat do keh main bhi 
Is qadar anmol ban jaaon 

Mohabbat hai mujhay tum se


Mohabbat hai mujhay tum se
Bas itna jaanta hoon main 
Yeh kiya hai , kiyon hai 
Kaisay hai ?
Bataon kis tarah tum ko 
Chalo socho
Agar main tum se yeh poochon 
Kissay kehtay hain be'chaini
Agar koi makeen dil ka 
Chala jaye kahin kuch din 
To neendain kiyon nahin aatein 
Kabhi jo baat na ho to 
Yeh saansain kiyon nahin aatein 
Koi jo dost pyaara ho 
Agar woh rooth jaye to 
Hansi phir kiyon nahin aati
Chalo itna bata do tum 
Nikaalain machli paani se 
To zinda kiyon nahin rehti

Yeh tez baarish , hawa ka mizaaj aur yeh mousam


Yeh tez baarish , hawa ka mizaaj aur yeh mousam 

Tum aaj kuch bhi mat poocho keh dil tum bin kitna udaas hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...