Oct 12, 2014

Chehray badal badal kay mujhay mil rahay hain log


Chehray badal badal kay mujhay mil rahay hain log 

Itna bura salook meri saadgi kay saath

Jaanay kis umar main jaye gi yeh aadat apni


Jaanay kis umar main jaye gi yeh aadat apni 

Roothna us se to auron se ulajhtay rehna

Sab samjhtay hain gham nahin mujh ko


Sab samjhtay hain gham nahin mujh ko 

Hanstay rehna bhi kiya museebat hai

Akela hoon magar abaad kar leta hoon veeraana


Akela hoon magar abaad kar leta hoon veeraana 

Bhout roye gi meray baad meri shaam-e-tanhai

Hashar main Ae Khuda na dena


Hashar main Ae Khuda na dena 

Phir saza koi zindagi jaisi

Dekhi hai be'rukhi ki aaj hum ne intiha


Dekhi hai be'rukhi ki aaj hum ne intiha 

Hum pe nazar pari .... to woh mehfil se uth gaye

Mujhay bhi shika do bhool janay ka hunar


Mujhay bhi shika do bhool janay ka hunar 

Mujh se raaton ko uth uth kar roya nahin jaata

Zulaf-e-barham ko bandhiyea saahib


Zulaf-e-barham ko bandhiyea saahib

Shair kehnay ka koi mood nahin hai

Mohabbat main adhooray pan ka main nahin qayal


Mohabbat main adhooray pan ka main nahin qayal

Mujh ko chaho to to meri jaan mukamal chaho

Jab bhi hoti hai guftagoo khud se


Jab bhi hoti hai guftagoo khud se

Zikar tera zaroor hota hai

Khud kalaami main is qadar wehshat


Khud kalaami main is qadar wehshat 

Koi dushman ho ru-ba-ru jaisay

Kabhi husan parda nasheen bhi ho


Kabhi husan parda nasheen bhi ho , zara aashqaana libaas main 

Jo main ban sanwar kay kahin chalon meray saath tum bhi chala karo

Dil udaas rehta hai


Dil udaas rehta hai 

Baarishon kay mousam main 

Zindagi pighalti hai 

Khwaishon kay mousam main 

Waqat tehar jaata hai 

Muntazir nagiahon main 

Junglon kay khatray hain 

BAstiyon ki raahon main 

Ho sakay to loat aana 

Pyaar ki panaahon main 

Ishq ka ajaara hai 

Dil ki shahrahon par

Naazki us kay lab ki kiya kehiyea


Naazki us kay lab ki kiya kehiyea

Pankhari ik gulaab ki si hai

Teri yaad aye to neend jaati rehti hai


Teri yaad aye to neend jaati rehti hai 

Khwaab toot jaatay hain , ab bhi teri aahat par

Jo aap ki khamoshi ko na samjh paye


Jo aap ki khamoshi ko na samjh paye

Woh aap kay lafzon ko bhi nahin samjhay ga

Chala tha zikar zamanay ki be'wafai ka


Chala tha zikar zamanay ki be'wafai ka 

So aa gaya hai tumhara khyaal waisay hi

YEh subha ka manzar bhi qayamat ka haseen hai


YEh subha ka manzar bhi qayamat ka haseen hai 

Hai takiya kahin , zulf kahin , khud woh kahin hai

Log dartay hain qaatal ki parchaai se


Log dartay hain qaatal ki parchaai se

Hum ne qaatal kay dil main ghar kar liya

woh yaad bhi kam aatay hain


Aur kuch dair na guzray shab-e-furqat se kaho

Dil bhi kam dukhta hai , woh yaad bhi kam aatay hain

Hum haseen honay ka dawa nahin kartay magar haan


Hum haseen honay ka dawa nahin kartay magar haan 

Jissay aankh bhar kar dekh lain ussay uljhan main daal detay hain

Haasil-e-zindagi kay siwa kuch bhi nahin


Haasil-e-zindagi kay siwa kuch bhi nahin 

Yeh kiya nahin , woh hua nahin , yeh mila nahin , woh raha nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...