Feb 21, 2014

Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye


 
 
یہ دشتِ ہجر، یہ وحشت، یہ شام کے سائے
خدا یہ وقت تری آنکھ کو نہ دِکھلائے


Yeh dasht-e-hijar , yeh wehshat , yeh shaam kay saaye 

Khuda yeh waqat teri aankh ko na dikhlaye 

اُسی کے نام سے لفظوں میں چاند اُترے ہیں
وہ ایک شخص کہ دیکھوں تو آنکھ بھر آئے




Usi kay naam se lafzon main chaand utray hain 
Woh aik shakhs keh dekhon to aankh bhar aye

جو کھو چکے ہیں اُنہیں ڈھونڈنا تو ممکن ہے
جو جا چکے ہیں اُنہیں کوئی کس طرح لائے!


Jo kho chukay hain unhain dhoondna to mumkin hai 

Jo jaa chukay hain unhain koi kis tarah laye 

؂کلی سے میں نے گلِ تر جسے بنایا تھا
رُتیں بدلتی ہیں کیسے، مجھے ہی سمجھائے


Kali se main ne jissay gul-e-tar banaya tha 

Rutain badalti hain kaisay , mujhay hi samjhaye 

جو بے چراغ گھروں کو چراغ دیتا ہے
اُسے کہو کہ مِرے شہر کی طرف آئے


Jo be'chragh gharon ko chragh deta hai 

Ussay kaho keh meray shaher ki taraf aye 

یہ اضطرابِ مسلسل عذاب ہے امجد
مِرا نہیں تو کسی اور ہی کا ہو جائے!


"Yeh iztraab-e-musalsal azaab hai "Amjad 
Mera nahin to kisi aur hi ka ho jaye

Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye


Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye

To batyo mujh ko main kiya karoon

Tumhain meethi neend se jaga doon

ya tumharay seenay pe sar rakh doon

tumhare gehri band aankhain kholoon

Aur un main sam jayoon

Ya tumhain bina aankhain jhapkay dekhta jayoon

Keh kahin yeh khwaab toot na jaye

Keh tumhara sath choot na jaye

Suno

Mujhay tumharay sath Guzara ik lamha bhe bhula gawara nahin

Suno

Utho aur aik baar mujhay aankh bhar ke dekho

Aur mujh ko kaho Keh 

Tum sirf meri ho


Kitni sada Kitni Piyari Kaanch ke choori jaisi larki



Kitni sada Kitni Piyari

Kaanch ke choori jaisi larki

Collage ke aik kamray main bathei
Janay kiya soch rahe the

us ka hath kalai par tha

Woh kuch kuch khuf zada the

Ab kiya ho ga ?

Main bhe us ke pass aa betha

Us ko ghour se dekh raha tha

Main ne us ka hath pakra 

Aur pyar se poocha

Kiya qissa hai

Us ke Aankhain bheeg gayein

Aur woh dheemi se awaz main boli

Wasi

Dekho choori toot gaye

Apni he Dhun main rehte the ik larki




Apni he Dhun main rehte the
Ik larki shokh aur chanchal se
Phoolon se batain karti the
Title ke rang pakarti the
Ik dhanak the us ke anchal pe
Phir janay kiya toofan aya 
Titli ke rang bikhar gaye
aanchal ke rang utar gaye 
Jab poocha kisi ne ae larki
Tum ne yeh chup kyn sadh li
Woh kuch na boli 
Bas ro de
Aur Khaak Pe 
Hath ke ungli se
Ik Lafz 
Mohabbat  
Likh dala
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...