Jun 4, 2018

Usool-e-mohabbat main tum khud bewafa ho


Usool-e-mohabbat main tum khud bewafa ho 

Woh jo bichra to tum mar kiyon nahin gaye 

Dushmano se mohabbat hone lagi mujh ko


Dushmano se mohabbat hone lagi mujh ko 

Jaisay jaisay apno ko azmate chale gaye 

Faqat baatein andheron ki mehz qissay ujalon kay


Faqat baatein andheron ki mehz qissay ujalon kay 

Chiragh-e-aarzu le kar na tum niklay na hum niklay 

Iqbal teri qaum ka iqbal kho gaya


Iqbal teri qaum ka iqbal kho gaya 

Mazi to sunehra hai magar haal kho gaya 

Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se


Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se

Parhta hoon to lehja bhi tum , awaz bhi tum 

Main qabil-e-nafrat hoon to chor de mujh ko Wasi


Main qabil-e-nafrat hoon to chor de mujh ko Wasi 

Tu mujh se youn dikhaway ki mohabbat na kiya kar 

Rehta hai woh nazar main chahe kahin bhi jaye


Rehta hai woh nazar main chahe kahin bhi jaye 

Aankhon main aik chehra marqoom ho chuka hai 

Tere hijran se taluq nibhane kay liye


Tere hijran se taluq nibhane kay liye 

Hum ne is saal bhi jeenay ki qasam khai hai 

Teray hotay huye Ae Khaliq !!


Teray hotay huye Ae Khaliq !!

Mujh par her shakhs ne khudai ki 

Us kay be'hijab honay tak


Us kay be'hijab honay tak 

Hum bhi shamil thay hosh walon main 

Mujhay to hijar kha gaya tera

Mujhay to hijar kha gaya tera 

Warna tha zikr dil'ruba'on main 

Darwaza chota hi rehne do apne makan ka


Darwaza chota hi rehne do apne makan ka 

Jo jhuk kay andar aaye ga samjho wohi apna hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...