Dec 29, 2014

KAbhi taqdeer ka maatam kabhi mehboob se shikwa


KAbhi taqdeer ka maatam kabhi mehboob se shikwa 

Ae manzil-e-mohabbat tu ne ronay kay siwa diya kiya hai

KAb tak teray faraib ko ek haadsa kahoon


KAb tak teray faraib ko ek haadsa kahoon 

Tu ne to meri wafa ka tamasha bana diya

Aaj bata raha hoon nusqa-e-mohabbat zara ghour se sun


Aaj bata raha hoon nusqa-e-mohabbat zara ghour se sun 

Na chahat ko had se barhaao na ishq ko sar pe charhao

Zindgi itni dukhi nahin keh marnay ko jee chahye


Zindgi itni dukhi nahin keh marnay ko jee chahye 

Bas duniya walon ne itnay dukh diye keh jeenay ka dil nahin karta

Umar is tarah meri ishq main guzri Wasi


Umar is tarah meri ishq main guzri Wasi 

Jaisay pardes main tehwaar guzar jaata hai

Kisi kay saath pyaar se mazak zaroor karna magar


Kisi kay saath pyaar se mazak zaroor karna magar 

KAbhi kisi kay saath mazak ka pyaar nahin karna

Qasoor nahin is main kuch bhi un ka Faraz


Qasoor nahin is main kuch bhi un ka Faraz 

Hamari chahat hi itni thi keh unhain ghroor ho gaya

Main shaher-e- fanaa hoon teray kis kaam ka


Main shaher-e- fanaa hoon teray kis kaam ka 

Ek bujhta sa diya hoon teray kis kaam ka 

Tu rafaqat kay liye aur kisi ko chun lay

Main to khud tanha hoon teray kis kaam ka 

Tu bhi auron ki tarah mujh se kinaara kar lay 

Sari duniya se bura hoon teray kis kaam ka

Agar tu waja na poochay to aik baat kahoon


Agar tu waja na poochay to aik baat kahoon 

Bin teray ab hum se bhi jiya nahin jaata

Teri masroof zindagi par aitraaz to nahin mujhay


Teri masroof zindagi par aitraaz to nahin mujhay

Kis haal main ho tum itna to bata diya karo

Tum meray ho is baat par koi shak nahin mujh ko


Tum meray ho is baat par koi shak nahin mujh ko 

Tum kisi aur kay nahin ho bas is baat ka yaqeen dila do

Yeh zehmat bhi to rafta rafta rehmat ho hi jaati hai


Yeh zehmat bhi to rafta rafta rehmat ho hi jaati hai 

Musal'sal gham se , gham sehnay ki aadat ho hi jaati hai 

Maseeha ho agar tum sa , zaroorat kiya hai mehram  ki 

Keh kaanton se bhi zakhmon ki jarahat ho hi jaati hai 

Taaluq jin se ho un par gila aaya hi karta hai 

Mohabbat jin se ho un se shikayat ho ho jaati hai 

Zaroori to nahin suraj sawa nezay pe Aa jaye

Badal jaye koi apna to qayamat ho hi jaati hai

So jaao keh tumhari narm aankhain kahin surkh na ho jayein neend se


So jaao keh tumhari narm aankhain kahin surkh na ho jayein neend se 

Hamara kiya , hum to logon se wafa karnay ki saza kaat rahay hain

Raat chup hai magar khamosh nahin


Raat chup hai magar khamosh nahin 

Kaisay keh doon keh aaj , phir hosh nahin 

Aisay doobay hain us ki yaad ki gehraai main 

Aankh main neend hai magar sonay ka hosh nahin

Dil main hasraton ko daba kay jeetay hain


Dil main hasraton ko daba kay jeetay hain 

Apnay gham ko duniya se chupa kay jeetay hain 

Kiya loatay ga zamana khushiyon ko hamari

Hum khushiyaan doosron par luta kay jeetay hain

Log kehtay hain keh mera dil pathar ka hai


Log kehtay hain keh mera dil pathar ka hai 

Lakin kuch log aisay bhi thay jo issay bhi tor gaye

Nahin mujh ko shikayat ab kisi se


Nahin mujh ko shikayat ab kisi se 

Bas apnay aap se rootha hua hoon 

Ba'zahir khush hoon lakin , ik sach bataon 

Main andar se bhout toota hua hoon

Kahay ga jhoot woh hum se keh tumhari yaad aati hai


Kahay ga jhoot woh hum se keh tumhari yaad aati hai

Koi hai muntazir kitna yeh lehjay bol detay hain

Hum udaas hain us ki doori ko lay kar


Hum udaas hain us ki doori ko lay kar 

Woh khud to satata tha , ab us ki yaadain bhi satayen gi

Chalo aaj tumhain raaton main jaagnay ka sabab bata hi deta hoon


Chalo aaj tumhain raaton main jaagnay ka sabab bata hi deta hoon

Mohabbat kar kay dekh lo , neend aa jaye to kehna

Ungliyaan meri wafa par na uthaana logo


Ungliyaan meri wafa par na uthaana logo

Jis ko shaq hai woh kabhi mujh se wafa kar kay dekhey

Khushiyaan to kab ki rooth kay gayi hain mujh se


Khushiyaan to kab ki rooth kay gayi hain mujh se 

Kaash in ghamon ko bhi kisi ki nazar lag jaye

Yeh dikhawa be'waja hai , yahi to dastoor-e-chahat hai


Yeh dikhawa be'waja hai , yahi to dastoor-e-chahat hai 

Keh jo mehboob hota hai , wohi masroof hota hai

Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar


Hoti hai laakh gham ki dawa neend bhi magar 

Hotay hain aisay gham bhi keh sonay nahin detay

Hum kisi ko majboor nahin kartay keh woh hum se baat karay


Hum kisi ko majboor nahin kartay keh woh hum se baat karay

Jinhain ho rishton ki qadar woh khud hi yaad kar liya kartay hain

Log kehtay hain nafrat buri cheez hai


Log kehtay hain nafrat buri cheez hai

Magar mohabbat bhi to chain se sonay nahin deti

Milta bhi nahin tumharay jaisa koi aur is shaher main ae be'wafa


Milta bhi nahin tumharay jaisa koi aur is shaher main ae be'wafa

Hamain kiya maloom tha keh tum ik hi aur woh bhi kisi aur kay liye

Be'rukhi kabhi kisi ko jeet nahin sakti


Be'rukhi kabhi kisi ko jeet nahin sakti

Mohabbat sach ho to chor janay walay bhi loat aatay hain

Ranjishein to hoti hain mohabbat main


Ranjishein to hoti hain mohabbat main 
Magar tum se yeh kis ne kaha 
Keh
Mujhay adhoora kar do

Teray loat aanay ka intizaar karta hoon




Teray loat aanay ka intizaar karta hoon 
Dekh main tujh se kitna pyaar karta hoon 

MAin banata hoon kaaghaz par teri tasveerain 
Phir us se baatain hazaar karta hoon

Tera dukh bhi khaloos-e-niyat se 
Apnay dukhon main shumaar karta hoon 

Sach samjhta hoon jhoot bhi teray 
Youn main tujh pe aaitabaar karta hoon 
 

Ek tum ho keh her dil main utar jaatay ho


Ek tum ho keh her dil main utar jaatay ho 

Ek hum hain keh her dil se utar jaatay hain

Jee chahata hai ussay muft main dil dy doon


Jee chahata hai ussay muft main dil dy doon 

Itnay masoom kharidaar se kiya lena dena

Hasti ko mohabbat main fanaa kon karay ga


Hasti ko mohabbat main fanaa kon karay ga 

Yeh farz meray siwa adaa kon karay ga 

Meray haathon ki lakeeron ko dekh najoomi

Dekh is zindagi main mujh se wafa kon karay ga 

Ae hamsafar tujhay kiya khabar teri raah guzar meri sajda gaah


Ae hamsafar tujhay kiya khabar teri raah guzar meri sajda gaah 

Teri ik nazar meri zindagi teri be'rukhi meri mout hai

Jis ki khatar sari haddain tor di hum nay


Jis ki khatar sari haddain tor di hum nay 

Aaj us ne bhi keh diya keh zara hadh main raha karo

Jab tum hi na milay to kisi ki tamana kiya karon main


Jab tum hi na milay to kisi ki tamana kiya karon main 

Bazaar-e-mohabbat main dil baar baar farokht nahin kiya kartay

Us kay dedaar ko aaj aankahin youn taras rahi hain


Us kay dedaar ko aaj aankahin youn taras rahi hain 

Jaisay hasrat ho banjar zameen ko muddat se ek barsaat ki

Teray honay par bhi khud ko tanha samjhon


Teray honay par bhi khud ko tanha samjhon 
Main be'wafa hoon ya tujh ko be'wafa samjhon 

Teri be'rukhi se waqat to guzar gaya hai mera 
Yeh khud'dari hai ya teri anaa samjhon 

Teray baad kiya haal hua hai mera 
Yeh teri inayat hai ya saza samjhon 

Zakham detay ho aur marham bhi laga'tay ho 
Yeh teri aadat hai ya adaa samjhon

Chahat kay parday main nafrat hai mumkin


Chahat kay parday main nafrat hai mumkin 

To nafrat kay parday main chahat bhi ho gi 

Agar koi khafa hota hai tum se apna samjh kar 

To us ko yaqeenan tum se mohabbat bhi ho gi

Jafa jo ishq main hoti hai to jafa hi nahin


Jafa jo ishq main hoti hai to jafa hi nahin 

Sitam na ho to mohabbat main kuch maza hi nahin

Qismat saath na dy to mohabbat nafrat main badal jaati hai


Qismat saath na dy to mohabbat nafrat main badal jaati hai 

Aksar kaanta lagnay par log phool hi phaink diya kartay hain

Bichar kar tum se zindagi saza lagti hai



Bichar kar tum se zindagi saza lagti hai 

Yeh saans bhi jaisy mujh se khafa lagti hai 

Tarap utjtay hain dard kay maaray 

Zakhmon ko jab teray shaher ki hawa lagti hai 

Agar umeed-e-wafa karoon to kis se karoon 

Mujh ko meri zindagi bhi be'wafa lagti hai

Mujh se yeh log kehtay hain Kahin dil chor aaye ho




Mujh se yeh log kehtay hain 
Kahin dil chor aaye ho 
Bhout chup chaap rehtay ho 
NA bantay na sanwartay ho 
NA koi baat kartay ho 
Bhari mehfil main bhi aksar 
Hamesha khoye rehtay ho 
Udaasi aankhon main lay kar 
Her ik chehray ko taktay ho 
Koi jab yaad aata hai 
To thandi aah bhartay ho 
To khul kar kiyon nahin kehtay 
Kisi ko yaad kartay ho 
Keh tum bhi pyaar kartay ho

Her deewar ko raah-e-mohabbat se hata diya jaye


Her deewar ko raah-e-mohabbat se hata diya jaye 

Phir meray yaar se mujhay mila diya jaye 

Aaj kisi ki yaad mujhay bhout tarpa rahi hai 

Ab mujhay koi jaam pila diya jaye 

Umar bhar ki qaid mujhay qabool hai 

Agar qaid khana meray yaar ka dil bana diya jaye

Daldal thi zindagi so main dhansta chala gaya




Daldal thi zindagi so main dhansta chala gaya 

Main apni be'basi pe youn hansta chala gaya 

Pehlay dikha raha tha mujhay manzalon kay khwaab 

Phir meray samnay se woh raasta chala gaya 

MAin ro para tha jis ki judai ko soch kar 

Woh shakhs meray haal pe hansta chala gaya

Mana keh naseeb main meray koi hamdard nahin


Mana keh naseeb main meray koi hamdard nahin 

Phir bhi koi shikwa koi gham nahin 

Tanha hain aur tanha hi chalay jayein gay 

Badnaseeb to hain magar bewafa hum nahin

Yaadain unhi ki aati hain jin se kuch taaluq ho


Yaadain unhi ki aati hain jin se kuch taaluq ho 

Her shakhs nigah-e-mohabbat se dekha nahin jaata 
 

Aatay ahin khwabon main khayalon main musalsal


Aatay ahin khwabon main khayalon main musalsal 

Phir hum se yeh kehtay hain keh hum parda nasheen hain

Tumhain bhulanay main mujhay waqat lagay ga


Tumhain bhulanay main mujhay waqat lagay ga

Aur wohi kuch waqat zindagi hai meri

Ae chashm-e-yaar na yaad na nafrat aur na ehsaas


Ae chashm-e-yaar na yaad na nafrat aur na ehsaas

Kiya hum kisi bhi salook kay qabil nahin rahay

Waah re ishq tera kiya kehna


Waah re ishq tera kiya kehna 

Jo tujhay jaan lay , tu us ki jaan lay

Teri talaash main mera wajood hi na raha


Teri talaash main mera wajood hi na raha 

Tabah kar gayi meri hasto ko arzoo teri

Tamana woh tamana hai jo dil ki dil main reh gaye


Tamana woh tamana hai jo dil ki dil main reh gaye 

Jo mar kar bhi na poori ho ussay armaan kehtay hain 

Mubarak ho aap ko December ki yeh baarish


Bhout dino se thi yeh asmaan ki sazih 

Aaj poori hui un ki khwaish

Bheeg lo apno ko yaad kar kay

Mubarak ho aap ko December ki yeh baarish

Mera inaam pakistan mera paighaam pakistan


Jab hum ne khuda ka naam liya
Us ne hamain inaam diya

Mera inaam pakistan 
Mera paighaam pakistan
Mohabbat Aman hai 
Aur is ka hai paighaam pakistan
Khuda ki khaas rehmat hai 
Bazurgon ki bishaarat hain 
Kai naslon ki qurbani
Kai naslon ki mehnat hai
Asaas hai dalairon ka
Shahidon ki amanat hai
Ta'awn hi ta'awn hai
Mohabbat hi mohabbat hai
Jabhi tareekh ne 
rakha hai hai is ka naam Pakistan
Andhron ko mitaye ga 
Ujaala ban kay chaye ga
Yeh khitta inqalaabi hai 
Nayi duniya banaye ga
Agar Allah ne chaha 
Zamana woh bhi Aaye ga
Jahan tak waqat jaye ga
Issay aagay hi paaye ga
Nida qaid ki hai
Iqbal ka ilhamm Pakistan
Mohabbat aman hai 
Aur is ka paighaam Pakistan
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...