Feb 1, 2017

Yeh kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga


Yeh kis ne hum se lahu ka khiraaj phir maanga 

Abhi to soye thay maqtal ko sur'khuru kar kay 


Mohabbat hai hamaray paas



Mohabbat hai hamaray paas

Agar woh baad'shah hota 
To koi baat bhi hoti 
Suna hai baad'shahon ko 
Dain koi aisa nazrana 
Jo sab cheezon se barh kar ho 
to apni baad'shahi tak 
Lut'ta detay hain woh aksar 
Mohabbat hai hamaray paas
Magar woh baad'shah kab hai  


Yaadon kay khaak'daan main mehav-e-kharaam tha


Yaadon kay khaak'daan main mehav-e-kharaam tha 
Phir aaj dasht-e-dil main bara ehtamaam tha 

Yeh dil keh is kay shor ne bad'naam kar diya 
Ashraaf-e-shaher main kabhi apna bhi naam tha 

Batlaa na paye tujh ko keh dil main teray liye 
Sab silsalon se hatt kar alag hi maqaam tha 

Khawaish kay is safar main mera humsafar nahin 
Jo shakhs zindagi ki maah-e-tamaam tha 

Khushiyan hamaray dar se that'thak kar palat gayein 
Ghar main ghamon ka ik ajab az'dahaam tha 

Aksar yeh sochti hoon mera jazba-e-khaloos !!
Tha payar , ya faqat woh tera ehtraam tha  

Woh shakhs jab se meray ishq kay nisaab main hai


Woh shakhs jab se meray ishq kay nisaab main hai 
Yeh jism-o-rooh musal'sal kisi azaab main hai 

Yeh taazgi , yeh sabahat , yeh rang , yeh khushbu
Yeh kis haseen ka chehra hai jo gulaab main hai 

Na so rahi hain na jaagi hui hain woh aankhein 
Keh jaisay fitna bay'daar koi khawab main hai

Biyaaz-e-jaan main nihaan kab hai jazba-e-ulfat 
Keh harf harf ayaan iss khulli kitab main hai 

Main apnay aap se jaisay sambhal nahin paata 
Ajeeb nasha teray mar'marein shabaab main hai  


Kahan mumkin tha main dil se teri yaadein mitta deta


Kahan mumkin tha main dil se teri yaadein mitta deta 

Bhala kaisay main phir jeeta agar tujh ko bhula deta 

Teri ruwai kay darr se liye lab warna 

Teray shaher-e-munafaq ki buniyadein hilla deta 

Kiya uss ne tark-e-wafa to ho gi uss ki majburi 

Jissay barson dua di thi , ussay kaisay bhula deta 

Khabar hoti agar mujh ko nahin hai tu muqaddar main 

Ussi lamhay main haathon ki lakeeron ko mitta deta 

Basti main dewane aaye


Basti main dewane aaye 

Basti main dewane aaye 
Chub apni dikhlanay aaye 

Daikh teray dar'shan kay lo bhi 
Kar kay laakh bahanay aaye 

Peet ki reet nibhani mushkil
Peet ki reet nibhanay aaye 

Uth aur khol jharoka gori 
Sab apnay be'ganay aaye 

Peer , parohat , mulla ' mukhiya 
Basti kay sab siyanay aaye 

Tah'nay , meh'nay , Eentein , pathar
Saath liye nazranay aaye 

Sab tujh ko samjhanay walay 
Aaj in'hein samjhanay aaye 

Ab logon se kaisi chori ?
Uth aur khol jharoka gori 

Dar'shan ki barkha barsaa de
In piyason ki piyaas bujha de 

Aur kisi kay da'waar na jawein 
Yeh jo Insha Jee kehla'wein

Tujh ko kho kar duniya khoye 
Hum se poocho kitna roye

Jug kay hon dhut'kaaray sajan 
Teray to hain piyaray sajan 

Gori rokay laakh zamana 
Un ko aankhon main bith'lana 

Bujhti jog jaganay walay 
Een'tein pathar khanay walay 

Apnay naam ko ruswa kar kay 
Tera naam chupaanay walay 

Sab kuch boojhay , sab kuch jaanay 
Anjanay ban janay walay 

Tujh se jee ki baat karein kya 
Apnay se sharmanay walay 

Kar kay laakh bahanay aaye 
Jogi Alakh jaganay walay 

Daikh na tootay peet ki dori 
Uth aur khol jharoka gori 

Pathar ki tarah agar main chup hoon


Pathar ki tarah agar main chup hoon 

To yeh na samjh keh meri hasti 

Be'gana shola-e-wafa hai 

Teh'qeer se na youn daikh mujh ko 

Ae sang traash ! tera teesha

Mumkin hai keh zarb-e-awaleen se

Pehchaan sakay keh meray dil main 

Jo aag teray liye dabbi hai 

Woh aag hi meri zindagi hai 

Chalo gumaan ki had say guzar kay daikhtay hain


Chalo gumaan ki had say guzar kay daikhtay hain
kunwain main kiya hai,kunwain main utar kay dekhtay hain

woh keh rahay hain achoota sa kaam kar daikho
so ,6 ko 5 se tafreeq kar kay daikhtay hain

ab aisi film bhi shayad hi koi ho kay jissay
ikhatthay baith kay afraad,ghar kay daikhtay hain

ab uss kay khaal se chaltay hain gaisu'on ki taraf
simat kay daikh liya hai bikhar kay daikhtay hain

falak per jitnay mulak hain wo apnay channel per
shabana roz tamashay bashar kay daikhtay hain

ab aur kya sar-e-bazaar daikhna anwar
kisi dukaan per chashmay nazar kay daikhtay hain


Is tarah se satanay ki zaroorat kya thi


Boyfriend ki bewafai pe ik ghazal 

Is tarah se satanay ki zaroorat kya thi
Kaminay dil ko jalanay ki zaroorat kya thi

Jo nahi tha ishq to keh diya hota
Apni Aauqaat dekhanay ki zarurat kya thi

Maloom tha keh yeh khawab toot jaein gay
Manhoos phir neend main aanay ki zarurat kya thi

Ishq pe lagti rahein gi her daur main pabandi
Ek ashiq ka dil toornay ki zaroorat kya thi

Maan lo agar keh ye yaktarfa mohabbat the to phir nafsiyaati aadmi
Mujhe daikh kay muskuranay ki zaroorat kya thi

Wo haseen lagti hai lekin kitni tayari kay baad


Sent ki, kajley ki, aur ghaazey ki gulkaari kay baad
Wo haseen lagti hai lekin kitni tayari kay baad

Muddaton kay baad us ko daikh kar aisa laga
Jesay roza-daar ki haalat ho aftaari kay baad

Baandh kar sehraa nazar aaya hai youn nosha miyan
Jis tarha mujrim dikhai deta hai giriftaari kay baad

Heroine 55 baras ki ho chuken to gham nahi
Ab gulukaari karen gi wo adaa-kaari kay baad

Qaum ko baidaar ker, disco music cher kar
Jo bechari so chuki hain raag darbaari ke baad

Eid par masroor hain dono miyan biwi bhout
Ik khareedaari se pehlay, ik khareedaari kay baad

Uqd-e-sani ka maza poocha to bolay sheikh ji
Aaisay lagta hai, chicken chakkha hai tarkaari ke baad

Raah-e-ulfat ki traffic ho keh motor-way ki ho
Haadsey hotay hain shahid, taiz-raftaari kay baad

Pehlay kuch izzat thi jis da'maad ki susral main



Pehlay kuch izzat thi jis da'maad ki susral main
Ban chuka hai ab to chapraasi wohi susral main

Apnay ghar main sher tha, susral main bakri bana
Deedni hai sher-dil ki buzdili susral main

Jab susar ho pehlwan aur boxer saaley sab hi
Uff bhi kar sakta nahi phir aadmi susral main

Kiyon na wo susral kay chakkar lagaye raat din
Saaliyan jis ko milen gulfaam si susral main

Maa’en apni betiyon ki lakh tareefen karen
Chup nahi sakten per un ki khamiyan susral main

Asal main hotay nahi hain us main johar iss qadar
Jis qadar banta hai rashid her koi susral main

Types of aashiq


Types of aashiq 

Ameer aashiq 
Main bhi kharidar hoon main bhi khareedon ga
Piyar kahan bikta hai pata bata doo

Ghareeb aashiq 
Sona na chandi na koi mehal jan-e-mann 
Tugh ko main na day sakoon gaa

Jhoota aashiq 
Kal shab dekha main ne chand jharokay mein 
Uss ko kia salaam tumharay dhokay mein

Sachaa aashiq
Dil ho gaya hai tera dewana aab koi jachta nahin 
Naadan hai samaghta nahin bin teray rehta nahin

Kamyab aashiq
O kendi hai sayaan main teri yaan

Nakaam aashiq
In say nain mila kay dekho 
Yeah dhoka bhi kha kay dekho

Chalaak aashiq 
Buss bhai buss ziyada baat nahin memsaab 
Aaj kay baad mulaqat nahin memsaab

Majboor aashiq 
Izhar bhi mushkil hai kuch keh bhi nahin saktay 
Majboor hain uff allah chup rah bhi nahi saktay

Buzdil aashiq 
Main tera shehar chorr jaon ga

Dheete aashiq 
Chahay jiss shehar bhee jayen chahay jiss mulk bhee jayen 
Main hi mahiwal hoon tera sohniye tu meri gal sun ja 

Izzat daar aashiq 
Teri ruswayon say darta hoon 
Jub teray shehar se guzar taa hoon

Baagh janay ka maza jaata raha


Baagh janay ka maza jaata raha
Ghaas khanay ka maza jaata raha

Boss ne chuthi ki arzi phaar di
Girh-giraane ka maza jaata raha

Ho gaya akhir isi gull se nikah
Gull khilaanay ka maza jaata raha

Nikli begum bhi krate champion
Ghar bsaanay ka maza jaata raha

Jab se ayi hai meri qamqr main chukk
Naaz uthaanay ka maza jaata raha

Dusri bivi mili bhi tandhu
Dan'dnaanay ka maza jaata raha

Jaisay he chhitrol is ne ki
Bulbulanay ka maza jaata raha

Kuch naya kaam tujh ko karna hai



Kuch naya kaam tujh ko karna hai
Bad-ma'ashi main naam karna hai

Khoon do char tu ne ker dalay
Jaibon main noot apni bhar dalay

Taqat-e-zulm jis kay pass nahin 
Jeena duniya main us ko rass nahin 

Jis kay khoon main rachi barood ki bu
Jaanta hai woh zindigi ki kho

Jaahileeyat ka kya ye door aaya
Apnay logon pe tera zoor aaya

Bharam gherat ka to nay toor diya
Peechay zulm-e-arab ko choor diya

Kerna chahta hai kya zara to bol
Girha apni aqal ki kudh to khol

Khoon apna tu kiyon bahata hai
Kiyoon tu apna hi ghar jalata hai

Bachay sehmay huway yeh teray hain 
Tang tujh se yeh saray chehray hain


Guzray dino ki bhuli hui baat ki tarha


Guzray dino ki bhuli hui baat ki tarha

Ankhon main jaagta hai koi raat ki tarah

Tum se umeed thi keh nibhao gay dosti

Tum bhi badal gaye karachi kay halaat ki tarah

Un ki makhmoor nigahoon kay karishmay toba


Un ki makhmoor nigahoon kay karishmay toba

Pak'bazoon ko bhi mah'khaar bana detay hain

Aur pay-ba-pay zulm-o-sitm raah-e-mohabat mein qamar

Aik insaan ko fankaar bana detay hain

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...