May 26, 2016

Main bahir ki tamazat se jhulas kar aayi to dekha


Aik khali do'pehar 

Main bahir ki tamazat se 
Jhulas kar aayi to dekha 
Meray ghar main bhi waisi dhoop meri muntazir thi 
Kisi awaz ne matha mera  chooma 
Na koi dil'ruba lehja 
Mujhay banhon main lay paya 
Hasool-e-rizq ki gehri mushaqat main 
Uthaye janay walay zakham par 
Koi sada marham fishan thi 
Aur na koi lafz is ka rafu'gar tha 
Main jis awaz se labrez rehti thi 
Usi kay aik jar'aye ko tarasti thi 
Meray hathon main ik tooti hui pooja ki thaali thi 
Meri shamon ki tarah aaj meri do'pehar bhi 
Tujh se khaali thi 
 


Ruki hui hai abhi tak bahar aankhon main


Ruki hui hai abhi tak bahar aankhon main 
Shab-e-wisal ka jaisay khumaar aankhon main 

Mitta sakay gi issay gard maah-o-saal kahan 
Khinchi hui hai jo tasveer-e-yaar aankhon main 

Bas aik shab ki musafat thi aur ab tak hai 
Mah-o-najoom ka sara ghubaar aankhon main 

Hazar saahib raksh saba mizaaj aaye 
Basa hua hai wohi shah'sawar aankhon main 

Woh aik tha par kiya us ko jab teh talwar 
To batt gaya wohi chehra hazar aankhon main 


Kiyon mujh pe hua hai meharban tu


Kiyon mujh pe hua hai meharban tu 
Ik zarha-e-khaak , aur kahan tu 

Main dhoop ki aadi ho chali thi 
Kiyon mujh pe bana hai sayeban tu 

Main teri zameen nisf shab hoon 
Taron se bhara mera aasman tu 

Aisay hi hamari soch yak'jaan 
Main nataq tera  , meri zuban tu 

Tayar hoon main safar ko lakin 
Kashti ka utha'ye baad'ban tu 

Kitna bhi ho mera sakhat lehja 
Deeba-o-hareer-o-par'niyan tu 

Ik aam ghareeb-e-shaher hoon main 
Kya sun kay karay ga daastan tu 

Pathar main gulaab dekhta hoon 
Kis darja hai mujh se khush'gumaan tu 

Ab thora sa waqat reh gaya hai 
Za'iya karon main , na raigaan tu 
 


Na bujh rahi hai na ab kay bharrak rahi hai hawa


Na bujh rahi hai na ab kay bharrak rahi hai hawa
Hamaray dil ki tarah se tapak rahi hai hawa

Rakhi hai her ik ghar kay sehan main miyat 
So waqfay waqfay se jaisay sisak rahi hai hawa

Rakhi thi shaher ki buniyaad kaisay logon ne 
Yeh kon log hain jin main bhatak rahi hai hawa

Sehar kuch aur tha aur ab yeh haal baagh ka hai 
Keh paon rakhtay huye bhi tha'thak rahi hai hawa

Yeh baaghban hain  keh gul chain nadeem ya siyaad
Keh in se haath milatay jhijak rahi hai hawa

Bareeda jani pe bhi shaher saans leta hai 
Bhout se logon kay dil main khatak rahi hai hawa



Sulag raha hai mera shaher , jal rahi hai hawa


Sulag raha hai mera shaher , jal rahi hai hawa
Yeh kaisi aag hai jis main pighal rahi hai hawa

Yeh kon bagh main khanjar ba'dast phirta hai 
Yeh kis kay khouf se chehra badal rahi hai hawa

Shareek ho gayi sazish main kis kay kehnay par 
Yeh kis kay qatal pe ab haath mal rahi hai hawa

Prinday sehmay huye hain darakhat khouf zada 
Yeh kis  iraday se ghar se nikal rahi hai hawa


Zulam kay hathon aziyat main hai jis tarah hayat




Zulam kay hathon aziyat main hai jis tarah hayat 
Aisa lagta hai keh ab hashar hai kuch dair ki baat 

Roz ik dost kay marnay ki khabar aati hai 
Roz ik qatal pe jis tarha keh mamoor hai raat 

Khaima-e-ghair se mangwaye huye yeh mukhbar
Run paray ga to gharri bhar ko na de payein gay saath 

Kis tarah jaan sakay Ta'irk-e-no amooz
Kon hai jaal kusha , kon lagaye huye ghaat 

Aasteeno main chupaye huye her ik khanjar
Aur guftaar ki babat main hain sab qand-o-nibaat 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...