Oct 23, 2015

Juda hony k sadmy ko Agarchy hanss k sehna tha




Juda hony k sadmy ko
Agarchy hanss k sehna tha
Usey rasmi sahi lekin
Khuda hafiz to kehna tha
Zuban main itni taaqat thi
Magar sehra ki wehshat main
Meri bachpan sy aadat thi
Mujhy khaamosh rehna tha
Wo kachha ghar
Wo barish main
Humaari jaagti aankhen
Humen jaati hui barkha sy
Kuch na kuch to kehna tha
Wafa ki rassm wo hum sy
Nibhata kab talak mohsin
Humary khawab k ghar thy
Humain to un main rehna tha..

Hawa ban kar bikharne sey, usay kiya farq parta hai



Hawa ban kar bikharne sey, usay kiya farq parta hai
Mere jeene ya marne sey, usay kiya farq parta hai

Usay to apni khushiyon se zara fursat nahi milti
Mere gham k ubharne sey, usay kiya farq parta hai

Us shakhs ki yaadon mein hum rotey rahain lekin
Humharay aisa karne sey, usay kiya farq parta hai

Us k to paas rehtay hain hazaron chahne waley mgar
Meray hone na honay se usay, kiya farq parta hai...

Ay muhabat tere anjam pe rona aya




Ay muhabat tere anjam pe rona aya
Jane q aj tery naam pe rona aya

Youn to her shaam umedon men guzer jati thi
Aj kch baat thi jo shaam pe rona aya

Kabi taqder ka matam kabi dunya ka gila
Manzil-e-ishq men her kaam pe rona aya

Jab howa ziker zamanay men muhabat ka
Muje apne dil_e_ nadan pe rona aya.?

Seene sey lgaty thy jo mjhe haar bana kar



Seene sey lgaty thy jo mjhe haar bana kar

Chor gaye mjhko wo gunahgar bana kar

Hasb-e-taufeeq sab ne lota hy mjhko

Apno ne b lota to mjhe yaar bana kar

Log kehte thy k pyar me sirf ruswai hy

Aakhir wo b chor gaya apna talabgaar bana kar

Ab to har taraf se log hamen loot rahe hain

Koi dost, koi yar, to koi pyar, bana kar...

Saray dard mujhy he sonp diye



Saray dard mujhy he sonp diye

Kya itna aitbaar tha mujh par...!!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...