Nov 18, 2014

Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai


Tumhain jo be'sabab mujh se
Khafa honay ki aadat hai

Yeh aaghaaz-e-judaai hai 
Keh andaaz-e-mohabbat hai 

Wafa kay rang main dekho 
Jafa achi nahin hoti 

Kisi se dosti main itni 
Ana achi nahin hoti 

Chalo ab maan bhi jaao
Bhout ab ho chuki ranjish 

Kisi din aur kar lena 
YEh poori apni tum khwaish 

Faqat kehnay ki baatain hain 
Nibhaata kon hai kis ko ?

Chalo ab dekh letay hain 
Manaata kon hai kis ko 

Meri koi khata to saabit kar ?


Meri koi khata to saabit kar ?

Agar buri hoon to bura saabat kar 

Tera pyaar paanay kay liye kiya kuch nahin kiya hum ne 

Main be'wafa hi sahi tu apni wafa saabat kar 

Jeet us ki hui aur mujhay maat hui



Yeh aur baat key teray ru-ba-ru nahin guzra 
Main jis azaab se guzra tu nahin guzra 
Baat hi baat main kiya jaanay kiya baat hui 
Mujh se na khush meri taqdeer usi raat hui 

Jeet us ki hui aur mujhay maat hui 

Dasht tha , sehra tha ,tanhai thi , veeraani thi 
Apnay bhi apnay nahin , bas yahi hairaani thi 
Be'wafai thi musalsal jo meray saath hui 

Jeet us ki hui aur mujhay haar hui 

Karb tha , jabar tha , kuch doori thi , majboori thi 
Adhoori hai mohabbat jo kabhi poori thi 
Jab meri pyaas barhi dard ki barsaat hui 

Jeet us ki hui aur mujhay haar hui 

Tukray tukray mujhay hona tha , bikhar jaana tha 
Yeh baat hui to pathar hi se takraana tha 
Kitni ghayal teri chahat main meri zaat hui 

Jeet us ki hui aur mujhay maat hui

Yeh aur baat keh teray ru-ba-ru nahin guzra


Yeh aur baat keh teray ru-ba-ru nahin guzra 
Main jis azaab se guzra tu nahin guzra 
Baat hi baat main kiya jaanay kiya baat hui 
Mujh se na khush meri taqdeer usi raat hui 
Jeet us ki hui aur mujhay maat hui 
Dasht tha , sehra tha ,tanhai thi , veeraani thi 
Apnay bhi apnay nahin , bas yahi hairaani thi 
Be'wafai thi musalsal jo meray saath hui 
Jeet us ki hui aur mujhay haar hui 
Karb tha , jabar tha , kuch doori thi , majboori thi 
Adhoori hai mohabbat jo kabhi poori thi 
Jab meri pyaas barhi dard ki barsaat hui 
Jeet us ki hui aur mujhay haar hui 
Tukray tukray mujhay hona tha , bikhar jaana tha 
Yeh baat hui to pathar hi se takraana tha 
Kitni ghayal teri chahat main meri zaat hui 
Jeet us ki hui aur mujhay maat hui

Tum masoom masoom lagtay ho Jo pal pal rang badaltay ho



Tum masoom masoom lagtay ho 
Jo pal pal rang badaltay ho

Tum sawan sawan lagtay ho 
Jo sadiyon baad barastay ho 

Tum sapna sapna lagtay ho 
Jo mujh ko kam kam dikhtay ho

Tum pal pal mujh se lartay ho 
Par phir bhi achay lagtay ho 

Baat to hai sharmeeli si par kehnay ko dil chahta hai 
Lo aaj tumhain yeh keh daala , keh tum apnay apnay se lagtay ho 

tum apnay apnay se lagtay ho


Tum masoom masoom lagtay ho 
Jo pal pal rang badaltay ho

Tum sawan sawan lagtay ho 
Jo sadiyon baad barastay ho 

Tum sapna sapna lagtay ho 
Jo mujh ko kam kam dikhtay ho

Tum pal pal mujh se lartay ho 
Par phir bhi achay lagtay ho 

Baat to hai sharmeeli si par kehnay ko dil chahta hai 
Lo aaj tumhain yeh keh daala , keh tum apnay apnay se lagtay ho 

Udaas logon ki bastiyon main



Udaas logon ki bastiyon main 
Woh titliyon ko talaash karti 

Woh aik larki 

Woh gol chehra woh kaali aankhain 
Jo karti rehti hazaar baatain 
Mizaaj saada woh dil ki achi 

Woh aik larki 

Woh mohabbat kay nisaab jaanay 
Woh jaanti hai ehad nibhaanay 
Woh achi dost woh achi saathi 

Woh aik larki 

Woh jhootay logon ko sacha samjhay 
Woh saari duniya ko acha samjhay 
Woh kitni saada woh kitni pagli 

Woh aik larki

Woh aik larki


Udaas logon ki bastiyon main 
Woh titliyon ko talaash karti 

Woh aik larki 

Woh gol chehra woh kaali aankhain 
Jo karti rehti hazaar baatain 
Mizaaj saada woh dil ki achi 

Woh aik larki 

Woh mohabbat kay nisaab jaanay 
Woh jaanti hai ehad nibhaanay 
Woh achi dost woh achi saathi 

Woh aik larki 

Woh jhootay logon ko sacha samjhay 
Woh saari duniya ko acha samjhay 
Woh kitni saada woh kitni pagli 

Woh aik larki

Ek muddat baad aaj tujhay likh raha hoon


Ek muddat baad aaj tujhay likh raha hoon 

Kiya kahoon aaj kal main kaisa dikh raha hoon 

Ab sheeshon ko dekh kar sawarna nahin hota 

Teray intizaar main shaamon ka teharna nahin hota  

Sochta hoon kabhi mil aaon tujh se 

Par kiya karoon 

Ab un galiyon se mera guzarna nahin hota 

Yeh faaslay bhi barh gaye waqat kay saath youn hi 

Sab badal gaye par main badla nahin 

Yaad aye kabhi , to awaaz laga lena 

Main kal bhi wahin tha 

Main aaj bhi wahin hoon 

Aaj jaanay ki zid na karo


Aaj jaanay ki zid na karo 
Youn hi pehlu main baithay raho 
Haye mar jayein gay , hum to lut jayein gay 
Aisi baatain kiya na kro 
Tum hi socho zara kiyon na rokay tumhain 
Jaan jaati hai jab uth kay jaatay ho tum 
Tum ko apni qasam jaan-e-jaan 
Baat itni meri maan lo 
Waqat ki qaid main zindagi hai magar 
Chand ghariyaan yahi hain jo azaad hain 
in ko kho kar abhi jaan-e-jaan 
Umar bhar na tarastay raho 
Kitna masoom-o-rangeen hai yeh sama 
Husn aur ishq ki aaj mairaaj hai 
Kal ki kis ko khaber jaan-e-jaan 
Rok lo aaj ki raat ko 
Gaisoo'on ki shikan hai abhi shabnami 
Aur palkon kay saye bhi madhosh hain 
Husan-e-mousam ko jaan-e-jaan 
Be'khudi main na ruswa karo
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...