May 13, 2014

Aankhon main bhar kay sada mohabbat ki doriyan


Aankhon main bhar kay sada mohabbat ki doriyan 

Mutthi main band kar kay dil-o-jaan ki choriyan 

Dharti ko loat'ti hain tabasum ki oat se 

Chalak kis qadar hain yeh gaon ki goriyan

Tu ne nafrat se jo dekha to mujhay yaad aya


Tu ne nafrat se jo dekha to mujhay yaad aya

Kaisay rishtay teri khatar youn hi tor aya hoon

Kitnay dhundlay hain yeh chaharay jinhain apnaya hai

Kitni ujli thein woh ankhain jinhain chor aya hoon

Poet : Mohsin Naqvi

Her ik rut main tera gham hai salamat


Her ik rut main tera gham hai salamat 

Yeh mousam aik jaisa reh gaya hai

Baras kuch aur ae awara badal

Keh dil ka shaher piyasa reh gaya hai

Poetry : Mohsin Naqvi

Bhanwar ne kaat diye silsalay kinaron ke


Bhanwar ne kaat diye silsalay kinaron ke

Khizaan ne rang chura hi liye baharon ke

Ajeeb qahat para hai keh pait bharnay ko

Main raaz baichta hoon apnay yaron ke

Poet : Mohsin naqvi

Tumhain kis ne kaha tha



Tumhain kis ne kaha tha?
Dopehar ke garam suraj ki taraf dekho
Aur itni der tak dekho
Keh be'na'ei pighal jaye
Tumhain kis ne kaha tha?
Asmaan se toot'ti andhi
Ulajti bijliyon se dosti kar lo
Aur itni dosti kar lo
Keh ghar ka ghar hi jal jaye
Tumhain kis ne kaha tha ?
Aik anjanay safar main
Ajnabi rah'ro ke hamrah door tak jayo
Aur itni der tak jayo
Keh woh rasta badal jaye !
Poet : Mohsin Naqvi

Jab woh khiltay gulaab jaisa tha



Main ne dekha tha usay un dino main ussay
Jab woh khiltay gulaab jaisa tha
Us ki palkon se neend chanti thi
Us ka lehja shraab jaisa tha
Us ki zulfon se bheeg'ti thi ghata
Us ka rukh mahtaab jaisa tha
Log partahy thay khad-o-kaal us ke
Woh adab ki kitaab jaisa tha
Bolta tha zubaan kushboo ki
Log suntay thay ussay dharkano main ussay
Main ne dekha tha usay un dino main ussay
Jab woh khiltay gulaab jaisa tha 

Poet Mohsin naqvi

Youn dekhtay rehna ussay acha nahin Mohsin




Bharka'ein meri piyaas ko aksar teri ankhain
Sehra mera chahera hai samandar teri ankhain

Phir kon bhala dad-e-tabasum unhain de ga
Ro'ein ge bhout mujh se bichar kar teri ankhain

Boujhal nazar ati hai ba'zahir mujhay lakin
Khailti hain bhout dil main utar kar teri ankhain

Ab tak meri yadon se mitaye nahin mit'ta
Bheegi hui shaam ka manzar , teri ankhain

mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir orh na laein khwaab ki chadar teri ankhain

Youn dekhtay rehna ussay acha nahin Mohsin
Woh kaanch ka paikar hai to pathar teri ankhain

Poet : Mohsin Naqvi

Yeh khoo'bru log jin ki ankhain



Yeh khoo'bru log jin ki ankhain
Tumharay ujlay badan par chapsaan
Tumharay naqsh-e-qadam ki kushboo main
Sibat aisay
Bhanwar main jaisay hina ke patay
Main sochta hoon
Keh itni ankhon ke daeray main
Main akeli
Udaas ankhon ki
hasiyat kiya hai
Meri wafa ka maqaam kiya hai
Meri mohabbat ka naam kiya hai

Poet : Mohsin Naqvi

Jab zakahm dekhanay walay hon



Jab zakahm dekhanay walay hon
Aur kushboo ke paygam milaein
Aur apnay dreed-o-daman ke
Jab chaak silain
Dil dukhta hai
Jab ankhain khud se khwaab bunain
Khawabon main basay chaheron ki
Jab bheer lagay
Is bheer main jab tum kho jayo
Dil dukhta hai
JAb habas barhay tanhai ka
Jab khwab jalaein
Jab ankh bujhay
Tum yaad ayo dil dukhta hai

Poet : Mohsin Naqvi

Kuch is qadar bhi to asaan nahin hai ishq tera


Kuch is qadar bhi to asaan nahin hai ishq tera
Yeh zahar dil main utar kar hi raas ata hai

Main tujh ko pa kar bhi khoya hua sa rehta hoon
Kabhi kabhi to mujhay tu ne theek samjha hai

Mujhay khabar hai keh kiya hai judaeyon ka ka azaab
Keh main ne shaakh se gul ko bichartay dekha hai

Main muskura bhi para hoon to kiyun khafa hain yeh log
Keh phool tooti hui qabar par bhi khilta hai

Ussay ganwa kar main zinda hoon is tarah mohsin
Keh jisay tez hawa main chirag jalta hai

Poet : Mohsin Naqvi

Mangna bhool hi na jayon Ussay her nimaz ke baad Mohsin



Mangna bhool hi na jayon Ussay her nimaz ke baad Mohsin
Faqat isi dar se us ka naam dua hi rakh diya

Safar tanha nahin kartay suno aisa nahin kartay



Safar tanha nahin kartay
Suno aisa nahin kartay

Jissay shafaaf rakhna ho
Ussay maela nahin kartay

Teri ankhain ijazat dain
To hum kiya kiya nahin kartay

Bhout ujaray hye ghar par
Bhout socha nahin kartay

Safar jis ka muqadar ho
Ussay roka nahin kartay

Jo mil kar khud se kho jaye
Ussay ruswa nahin kartay

Poet : Mohsin Naqvi

Agar bicharna tehar gaya hai



Agar bicharna tehar gaya hai
To meray khawabon samait
Apni udaas ankhain
Bhula ke jayo
Keh jab bhi milna paray kisi se
(Kisi shanasa keh ajnabi se)
To youn na ho ..
Tum chupa na payo
Tamaam mazi !
Tamaam sach ke laho main tar
Na'tamaam waday !
Keh ajnabi doston se miltay huye
Khud apni udaas ankhon main
Boltay sach ko dafan karna
Bhout hi mushkil hai
Apnay mazi ke sach pe
'Izhaar-e-mazrat'
Aur mazrat.....!!!
Aitaraaf -e-juram-o-saza se bhi
Ik kara amal hai
Jo tum se shayed kabhi na ho
Poet : Mohsin Naqvi

Main ne dekha tha un dino main ussay


Main ne dekha tha un dino main ussay
Jab woh hans hans kar baat karta tha
Dil ke khayamay main raat karta tha
Rang parhtay thay anchalon main ussay
Main ne dekha tha un dino main ussay
Yeh magar der ki kahani hai
Yeh magar dard ka fasana hai
Us ke meray milaap main hayal
Ab to sadiyon bhara zamana hai
Ab to youn hai haal apna bhi
Dashat-e-hijran ki shaam jaisa hai
Kiya khabar in dino woh kaisa hai
Main ne dekha tha un dino main ussay
JAb woh khiltay gulaab jaisa tha

Poet : Mohsin Naqvi

Is liye toot ke roya hoon main aksar Mohsin


Is liye toot ke roya hoon main aksar Mohsin

Kuch to dil khol ke jeenat ka qareena aye

Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzar dekha



Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzar dekha
Sab se oncha tha jo sar nok-e-sina par dekha

Hum se mat poocho Keh kab chaand ubharta hai yahan
Hum ne suraj bhi teray shaher main a kar dekha

Piyaas yaron ko ab us mor pe le aye hai
Rait chamki to yeh samjhay samandar dekha

Aisay liptay hain dar-o-baam se ab ke jaisay
Hadson ne bari mudat main mera ghar dekha

Zindagi bhar na hua khatam qayamat ka azaab
Hum ne her saans main barpa neya mehsar dekha

Itna be'his ke pighalta he nahin tha baton se
Admi tha keh trasha hua pathar dekha

Dukh hi aisa tha keh roya tera mohsin warna
Gham chupa kar ussay hanstay huye aksar dekha 

Poet : Mohsin Naqvi

Hawa Subha dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se


Hawa 
Subha dam us ki aahista aahista khulti hui aankh se 
Khawab ki seepiyan chun'nanay jaye to kehna 
Keh hum jaagtay hain 
Hawa us se kehna 
Keh jo hijar ki aag peeti ruton ki tanabein 
Ragon se ulajhti hui saans kay saath kas dain 
Inhain raat kay sur'maei haath khairaat main neend kab ?
Hawa us kay bazu pe likha hua koi taveez bandhay to kehna !
Keh awargi orh kar saans letay musafir
Tujhay khojtay khojtay thak gaye hain 
Hawa us se kehna !
Keh hum ne tujhay khojnay ki sabhi khwaishon ko 
Udasi ki dewar main chun diya hai 
Hawa us se kehna 
Keh wehshi darindonki basti ko jatay huye raaston par
Teray naqsh-e-paa ........ dekh kar 
Hum ne dil main teray naam kay her taraf
Ik siyah maat'tami haashiya bun diya hai 
Hawa us se kehna !
Hawa kuch na kehan ......!
Hawa kuch na kehna 

Meray hathon ki lakeeron main yeh aib hai mohsin



Meray hathon ki lakeeron main yeh aib hai mohsin

Main jis shaks ko choo loon woh mera nahin rehta !

Shab dhali chaand bhi niklay to sahi



Shab dhali chaand bhi niklay to sahi
Dard jo dil main hai chamkay to sahi

Hum wahin par hi basa laein ge khud ko
Woh kabhi raah main rukay to sahi

Sab se hi hat kar manana hai ussay
Hum se aik baar woh roothay to sahi

Us ki nafrat bhi mohabbat hi ho ge
Meray baray main woh sochay to sahi

Us ke sab jhoot bhi sach hain mohsin
Shart itni hai woh bolay to sahi

Poet : Mohsin Naqvi

Yeh kis ne hum se lahoo ka khiraaj phir manga


Yeh kis ne hum se lahoo ka khiraaj phir manga

Abhi to soye thay maqtal ko surkhuroo kar ke

Poet : Mohsin Naqvi

Ghar kay mittnay ka gham to hota hai


Ghar kay mittnay ka gham to hota hai 
Apnay malbay pe kon sota hai 
Khushbu-e-ghar tan se aati hai 
Baazo'on main mujhay samota hai 
Meray dil ! Aanso'on se haath utha 
Kaisi baarish se zakham dhota hai 
Sham hotay hi meri palkon par
Kon yeh haar sa parota hai 
Raat kay be'karan andheray main 
Koi jugno ki neend sota hai

Daboch ke khatam kar dati hai mohabbat aik din shakir



Daboch ke khatam kar dati hai mohabbat aik din shakir 

Yeh rait nahin hai jo muthi se phisal jaye

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz

Par toot ke chahna sirf aik baar hota hai

Dil hota to kisi tor nikal bhi jaata !


Dil hota to kisi tor nikal bhi jaata !

Ab to woh shakhs door talak hai mujh main

Bhout dino se thi yeh asmaan ki sazih


Bhout dino se thi yeh asmaan ki sazih 

Aaj poori hui un ki khwaish

Bheeg lo apno ko yaad kar kay

Mubarak ho aap ko December ki yeh baarish

Ik mehfil main kai mehfilain hoti hain shreek



Ik mehfil main kai mehfilain hoti hain shreek 

Jis ko bhi pass se dekho ge woh tanha ho ga

Uff woh labon se dheeray se kehna


Uff woh labon se dheeray se kehna

Koi dekh na le ab mujhay janay do

Jis ko toofan se ulajhnay ki adat ho Mohsin


Jis ko toofan se ulajhnay ki adat ho Mohsin

Aisi kashti ko samandar bhi dua datay hain

Nahin ishq ka dard lazat se khali


Nahin ishq ka dard lazat se khali

Jissay zauq hai, woh maza janta hai

Umeed abhi kuch baqi hai



Umeed abhi kuch baqi hai 

Umeed abhi kuch baqi hai 
Ik basti basnay wali hai 
Jis basti main koi zulm na ho 
Aur jeena koi jurm na ho 
Wahan phool khushi kay khiltay hon 
Aur mousam saray miltay hon 
BAs rang-o-noor se barastay hon 
Aur saray hastay bastay hon
JAhan munsif se insaaf milay 
Dil sab kay sab se saaf milay 
Ik aas hai aisi basti ki 
JAhan bhook se roti sasti ho 
Umeed hai aisi basti ki jahan jhoot ka kar-o-baar na ho 
Dasht ka bazar na ho 
Jeena bhi dushwarr na ho 
Marna bhi azaar na ho 
YEh basti kaash hamari ho 
Wahan khoon ki holi aam na ho 
Is aangan main gham ki shaam na ho

Bari be-lagaam si ho gaye hain meri ankhein


Bari be-lagaam si ho gaye hain meri ankhein

Teri deed ke musalsal bahanay dhoondti hain

Ae chand jab woh teri taraf dekhein


Ae chand 
JAb woh teri taraf dekhein 
To unhein kuch yaad dilana 
Madhur se kuch geet suna'na
Aur kehna ..... !
Tumhein koi yaad karta hai 
Teri aarzoo , teri umeed karta hai 
Koi aaj bhi 
Tumhein dekh kar Eid karta hai

Husan walon ko kiya zaroorat hai sanwarnay ki


Husan walon ko kiya zaroorat hai sanwarnay ki 

Woh to sadgi main bhi qayamat ki ada rakhtay hain

Kisi Na'laeiq talb-e-ilam ki tarah


Kisi Na'laeiq talb-e-ilam ki tarah

Dil ne teray naam ke rattay laga rakhay hain

Hum se miltay hain to miltay hain jhuka kar aankhein


Hum se miltay hain to miltay hain jhuka kar aankhein 

Na'janay woh phir kis kay liye rakhtay hain saja kar aankhein

Miltay hi nazar hum se chura letay ho nigahein


Miltay hi nazar hum se chura letay ho nigahein 

Kya khoob samjhtay ho nigahon ki zuban tum

Aabla'pa koi is dasht main aaya ho ga


Aabla'pa koi is dasht main aaya ho ga 
Warna aandhi main diya kis ne jalaya ho ga 

Zarhay zarhay pe jurray hon gay kanwaray sajday
Aik ik butt ko khuda us ne banaya ho ga 

Pyaas jaltay huye kaanton ki bichaai ho gi 
Ristay pani ko hathaili pe sajaya ho ga 

Mil gaya ho ga agar koi sunehra pathar 
Apna toota hua dil yaad to aaya ho ga 

Khoon kay cheentay kahin pooch na lain rah'ru se
Kis ne veeranay ko gulzar banaya ho ga

Judai ki kasak liye teri yaad ka aansoo


Judai ki kasak liye 
Teri yaad ka aansoo
Her shab ki aankh se tapka hai 
Guzray kal ki atrah 
Aaj ka din bhi 
Tum bin 
Udaas guzra hai

Aaj jaagi hui yaadon ko sula de saqi


Aaj jaagi hui yaadon ko sula de saqi 
May nahin hai to mujhay zehar pila de saqi 

Tishnagi bujh na sakay gi meri paimanay se 
Meray honton ko surahi se laga de saqi 

Taar-e-ehsaas ko phir chair zara holay se
Aaj ik bhoola hua geet suna de saqi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...