Mar 27, 2018

Hamein dariyaaft karnay se




Hamein dariyaaft karnay se 
Hamein taskheer karnay tak 
Bahut hain marhalay baqi 
Hamein zanjeer karnay tak 
Hamaray hijar kay qissay 
Sameto gay to likho gay 
Hazaron baar socho gay 
Hamein tehreer karnay tak 

Hisab-e-umar ka itna sa goshwara hai


Hisab-e-umar ka itna sa goshwara hai 

Tumhein nikaal kay dekha to sab khasara hai 


Woh kya visaal ka lamha tha Jis kay nashay main 


Tamaam umar ki furqat hamen gawara hai 

Abhi umeed baqi hai keh woh bichra hua ik shakhs


Abhi umeed baqi hai keh woh bichra hua ik shakhs 

Kisi bhi mor pe aa kar mujhay hairaan kar de ga 

Kaash keh kabhi aisa bhi ho





Kaash keh kabhi aisa bhi ho 

Aadhi raat ko meray mobile pe koi call aaye 
Screen pe tumhara naam jag'maga raha ho 
Jissay daikh kar hamesha ki tarah 
Meri aankhein num ho jayein 
Phir main laraztay huye haathon se 
Mobile ko uthaon 
Tumhari call receive karon 
Aur phir 
Tumhari siskiyon bharri awaz aaye 
Aur tum kaho 
Phir se loat aayo na 
Tumhari yaad aati hai 
Aur phir khamoshi sari raat baatein karay 

Kehtay hain keh waqat kay saath


Kehtay hain keh waqat kay saath 
her zakham bhar jata hai 
Magar sach to yeh hai 
Keh hum dard kay saath jeena seekh jatay hain 

Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil


Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil 

Koi hamari tarah umar bhar safar main raha 

Tark-e-ta'aluq kaam na aaya




Tark-e-ta'aluq kaam na aaya 

Un se mohabbat aaj bhi hai 

Woh jo ishq tha , woh junoon tha


Woh jo ishq tha , woh junoon tha 

Yeh jo hijar hai , yeh naseeb hai !! 

Tum aakhri manzil ho meray saray safar ki


Tum aakhri manzil ho meray saray safar ki 

Ab mujh se koi naqal makani nahin ho gi 

Mera sochna teri zaat tak




Mera sochna teri zaat tak 
Meri guftagoo teri baat tak 
Na tum milo jo kabhi mujhay 
Mera dhoondna tujhay paar tak 
Main ne apna sab kuch ganwa diya 
Teri nafraton se pyar tak 
Kabhi fursatein jo milein to aa
Meri zindagi kay hisaar tak 
Main ne jana keh main kuch nahin 
" Teray pehlay se teray baad tak "

Chalti phirti hui aankhon se azaan daikhi hai


Chalti phirti hui aankhon se azaan daikhi hai 

Main ne janat to nahin daikhi hai Maan daikhi hai 

Yeh waqat bhi ajeeb so'dagar hai


Yeh waqat bhi ajeeb so'dagar hai 
Jawani ka laalich de kar bachpan le gaya 
Ab ameeri ka laalich de kar 
Jawani cheen raha hai 

Mohabbat ko aqeeda , aashqui ko deen kehta tha




Mohabbat ko aqeeda , aashqui ko deen kehta tha 

Koi tha jo meri her baat pe Ameen kehta tha 

Kabhi aanay nahin deta tha , meri aankh main aansu 

Meray ashkon ko apnay ishq ki toheen kehta tha 

Duniya main sab se mushkil kaam




Duniya main sab se mushkil kaam 

Apni bikhri hui zaat ko samaitna hai 

Kisi rishtay ko kitni bhi mohabbat se baandha jaye


Kisi rishtay ko kitni bhi mohabbat se baandha jaye 
Lakin agar 
Izzat aur lihaaz chala jaye 
To mohabbat bhi chali jaati hai 

Aap 4 din manzar se ghayeb ho kar dakhein


Aap 4 din manzar se ghayeb ho kar dakhein
Log aap ka naam tak bhool jayein gay 
Insaan sari zindagi is faraib main guzaar deta hai
Keh woh doosron kay liye eham hai 
Lakin yeh haqeeqat hai 
Keh hamaray honay na honay se
Kisi ko koi farq nahin parta  

Insaan umeedon se bandha




Insaan umeedon se bandha 
Aik zidi prinda hai 
Jo ghayel bhi umeedon se hai 
Aur zinda bhi umeedon par hai 

Tumhara deen mushkil hai , mera aasaan rehnay do


Tumhara deen mushkil hai , mera aasaan rehnay do 

Khudara sheikh mujh ko tum faqat insaan rehnay do 

Kahani qissa go mujh ko jahanum ki suno mat

Khuda ki rehmaton par tum mera emaan rehnay do 

Zindagi kabhi kabhi aisi thokar maarti hai


Zindagi kabhi kabhi aisi thokar maarti hai 
Keh 
Insaan seedha sajday main jaa girta hai  

Neend na wekhay bistra ___ tay bukh na wekhay maas




Neend na wekhay bistra ___ tay bukh na wekhay maas 

Mout na wekhay umar noon tay ishq na wekhay zaat 

Iss weham main woh daagh ko marnay nahin detay




Iss weham main woh daagh ko marnay nahin detay 

Mashooq na mil jaye kahin zer-e-zameen aur 

Ho sarfarz-e-yaqeen , had-e-tasawur se guzar



Ho sarfarz-e-yaqeen , had-e-tasawur se guzar 


Woh bhi kya ishq jo paband-e-khayalat rahay 

Qadar to woh hoti hai


Qadar to woh hoti hai 
Jo kisi ki mojudagi main ho 
Jo kisi kay baad ho 
Ussay "Pachtawa" kehtay hain 

Mohabbat ki raahon pe bicharnay wali agar aurat ho to


Mohabbat ki raahon pe bicharnay wali agar aurat ho to 
naye raaston se manoos hotay 
Ussay dair nahin lagti 
Lakin Mard !
Jahan bicharta hai wahin bikhar jata hai 

Aasmano se frishtay jo utaaray jayein


Aasmano se frishtay jo utaaray jayein 

Woh bhi is dour main sach bolein to maray jayein 

Saday ookhay welay nibh waysan


Saday ookhay welay nibh waysan 

Teda waqat--e-urooj vi na rah si 

Jahan wajib ho qurbani


Jahan wajib ho qurbani 

Wahan socha nahin kartay 

Karnay gaye thay Uss se taghafal ka hum gila


Karnay gaye thay Uss se taghafal ka hum gila

Ki aik hi nigah keh bas khaak ho gaye  

Uss kay baghair aaj aadha december beet gaya


Uss kay baghair aaj aadha december beet gaya 

Jis kay baghair kabhi lamha na guzarta tha 

Sada dil si nazuk kach warga



Sada dil si nazuk kach warga 

Assan sang nu yaar bana baithay 
Assan tan mann leer-o-leer keeta 
Galay ishq da chola paa baithay 
Pairi ishq de ghungroo banh laye nain 
Assi rog umar da la baithay 
Sanu karb di sooli tang sajna 
Assi pyar da jurm kama baithay 
Sadi umar hazar saal hosi 
Assi ishq da zahar jo kha baithay 
Sada jism tay laash hoya
Jind mitran tay jo luta baithay 

Ishq woh satween hiss hai


Ishq woh satween hiss hai 
Keh jissay atta ho 
Ussay rang sunai dain 
Ussay khushbu dikhaai de 

Kabhi pathar ki thokar se bhi aati nahin kharaash


Kabhi pathar ki thokar se bhi aati nahin kharaash 

Kabhi ik zara si baat se insaan bikhar jaatay hain 

Adhoora ishq tha , Lakin


Adhoora ishq tha , Lakin 

Mukamal khaa gaya , Mujh ko 

Maktab-e-ishq se her koi waif nahin Saahib !!!


Maktab-e-ishq se her koi waif nahin Saahib !!!

Paa lena hi ishq nahin "fanaa hona bhi ishq hai "

Dil ko pani main rakh diya main ne


Dil ko pani main rakh diya main ne 

Aag jaisi thein khwaishein uss ki !!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...