Jun 13, 2016

Sitam gari ka her andaz meharmana laga


Sitam gari ka her andaz meharmana laga 
Main kya karon mera dushman mujhay bura na laga 

Her aik ko zoham tha kis kis ko na'khuda kehtay 
Bhala hua keh safeena kinaray ja na laga 

Meray sukhan ka qareena dao gaya mujh ko 
Keh jis ko haal sunaya ussay fasana laga 

Baroon-e-dar na koi roshni na saya tha 
Sabhi fasaad mujhay androon-e-khana laga 


Main thak gaya tha bhout pay-ba-pay uraano se
Jabhi to daam bhi is baar aashiyana laga 

Sitam kay ehad main , main bhi shareek hoon jaisay 
Mera sakoot mujhay sakhat mujar'mana laga 

Woh laakh zood faramosh ho Faraz magar 
Ussay bhi mujh ko bhulanay main ik zamana laga 




Sehar kay suraj main ro raha hoon


Sehar kay suraj 

Sehar kay suraj 
Main ro raha hoon 
Keh mera mashriq lahu lahu hai 
Woh mera mashriq 
Jo mera bazu hai mera dil hai meri namu hai 
Jo meray atraaf ka nishan 
Meri aabru hai 
Lahu lahu hai 
Sehar kay suraj 
Main nisf tareek 
Nisf roshan hoon 
Kya hua hai 
Tujhay ghunn lag gaya 
Keh mera wajood tukron main batt gaya hai 
Teri shua'on ka noor andheron main ghatt gaya hai 
Keh aaj her rishta-e-rafaqat hi katt gaya hai 

Sehar kay suraj 
Main apnay paikar ki nisf tasveer ho gaya hoon 
Main aap hi aaj apni tehqeer ho gaya hoon 
Main ism-e-sagheer ho gaya hoon 
Main apna aadha badan liye kis taraf ko jaon 
Kissay dikhaon 
Yeh sheesha-e-jaan ki kirchiyan 
Apnay khawab rezay kahan chupa'on 
Main apni wahiddat kahan se laon 

Sehar kay suraj 
Sitam ki aandhi rukay 
To main yeh ujaar aankhein jhapak sakon ga 
Sis'sak sakon ga 
Lahu ki baarish thamay 
To main is dukhi badan ko thapak sakon ga 
Abhi to main jaan'kani kay dohray azaab main hoon 
Jo bujh chukay woh chragh daikhon 

Keh apnay maathay ka dagh daikhon 


Sehar kay suraj 
Meri nazar main to in rafeeqon kay qaaflay hain 
Jo ghar se niklay thay sar uthaye qadam jamaye 
Jo muntazir thay 
Keh rizam gaah-e-talab bulaye 
Jo aazmaish ki her gharri main 
Yaqeen ki mish'alein jalaye 
Watan ki na'moos kay liye 
Be'shumaar bazu ilam uthaye  
Rawan huye thay yeh ehad kar kay 
Keh in ki jaanein rahein , keh jayein 
Magar wafa par na harf aaye 

Sehar kay suraj 
Meri nazar main in hi rafeeqon kay qaaflay hain 
Keh jin ka pindaar reza reza 
Keh jin kay maathay arq arq hain 
Jo pa'zanjeer 
Munfa'ilgardanein jhukaye 
Adu kay narghay main 
In andheron ki sar'zameen ki taraf rawan hain 
Jahan haqarat kay ta'an 
Nafrat kay sang 
Ruswaiyon kay bazar 
Muntazir hain 

Sehar kay suraj 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 
Yeh jaan'nisaron , shaheed yaron ka cham'chamata lahu na daikhay 
Yeh main na daikhon 
Yeh tu na daikhay 

Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta


Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta 
Kon dariya ko ulat'ta kon gohar daikhta 

Woh to duniya ko meri dewangi khush aa gayi 
Teray hathon mian wagarna pehla pathar daikhta 

Aankh main aansu jarray thay par sada tujh ko na di 
Is tawaqo par keh shayed tu palat kar daikhta 

Meri qismat ki lakeerain meray hathon main na thein 
Teray maathay par koi mera muqaddar daikhta 

Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijran ki tarah 
Kis ko itna hosla tha kon jee kar daikhta 

Doobnay wala tha aur sahil pe chehron ka hajoom 
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar daikhta 

Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz 
Aankh agar hoti to qatray main samandar daikhta  

Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye



Tujh se bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye 
Phir jo bhi dar mila hai , usi dar kay ho gaye

Phir youn hua keh ghair ko dil se laga liya 
Andar woh nafratein thein keh baahir kay ho agye 

Kya log thay keh jaan se barh kar aziz thay 
Ab dil se mehav naam bhi aksar ho gaye 

Aye yaad-e-yaar tujh se karein kya shikayatein 
Ae dard-e-hijar hum bhi to pathar kay ho gaye 

Samjha rahay thay mujh ko sabhi naas'haan-e-shaher 
Phir rafta rafta khud usi kaafir kay ho gaye 

Ab kay na intizaar karein chara'gar ka hum
Ab kay gaye to ku-e-sitam'gar kay ho gaye 

Rotay ho ik jazeerah-e-jaan ko Faraz tum 
Daikho to kitnay shaher samandar kay ho gaye   
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...