Feb 9, 2015

Rasam-e-ulfat hi ijazat nahin deti warna


Rasam-e-ulfat hi ijazat nahin deti warna

Hum bhi bhoolain tujhay aisa keh sada yaad karo

Hum hi wafa shikan thay chalo hum hi be'wafa


Hum hi wafa shikan thay chalo hum hi be'wafa

Tum to wafa shanaas thay tum kiyon badal gaye 

Tanha thi aur hamesha se tanha hai zindagi


Tanha thi aur hamesha se tanha hai zindagi 

Hai zindagi ka naam , Magar kya hai zindagi

Kitna kam zarf tha jo mujh ko bhula baitha Nadeem


Kitna kam zarf tha jo mujh ko bhula baitha Nadeem 

Main to mukhlis tha kisi maan ki duaon ki tarah

Hai justagoo keh khoob se hai khoob tar kahan


Hai justagoo keh khoob se hai khoob tar kahan
Ab teharti hai dekhiye ja kar nazar kahan

Ya'Rab is ikhtlaat ka injaam ho ba'khair
Tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan

Aa jaa kay abhi zabt ka bandhan nahin toota


Aa jaa kay abhi zabt ka bandhan nahin toota 
Aa jaa kay abhi barf paharon pe jami hai 

Phoolon kay jazeeron se paharon ki hadon tak 
Is shaher main her cheez hai , bas ik teri kami hai

Yahan khamosh nazron ka nizara kon banta hai


Yahan khamosh nazron ka nizara kon banta hai 
Bhout gehray samandar ka kinara kon banta hai 

Chalo hum dekhtay hain khud ko ab barbaad kar kay bhi 
Keh in barbadiyon main bhi hamara kon banta hai 

Reahti hai un kay rukh pe shagufta si bar'hami


Reahti hai un kay rukh pe shagufta si bar'hami
Yeh tarz-e-iltafaat hai , ya ijtanaab hai 

Hota nahin ayaan kabhi un kay mizaaj se 
Niyat kharab hai keh tabiyat kharab hai

Na janay kon duaon main yaad rakhta hai


Na janay kon duaon main yaad rakhta hai

Main doobta hoon , samandar uchaal deta hai


Teri hayaat ka her lamha shaad'maan guzray


Teri hayaat ka her lamha shaad'maan guzray

Bahaar sajday karay tu jahan jahan guzray

Kabhi paa kay tujh ko khona , kabhi kho kay tujh ko pana


Kabhi paa kay tujh ko khona , kabhi kho kay tujh ko pana

Yeh janam janam ka rishta teray meray darmiyaan hai

Sil'salay tor gaya woh sabi jatay jatay


Sil'salay tor gaya woh sabi jatay jatay 

Warna aisay to maraasam thay keh aatay jatay

Chand kaliyan nishaat ki chun kar


Chand kaliyan nishaat ki chun kar 
Muddaton mehav-e-yaas rehta hoon 

Tera milna khushi ki baat sahi 
Tujh se mil kay udaas rehta hoon

Tum bhout saal reh liye apnay


Tum bhout saal reh liye apnay 

Ab meray, sirfmeray ho kay raho

Tum se pehlay to baharon ka yeh andaaz na tha


Tum se pehlay to baharon ka yeh andaaz na tha 

Phool youn khiltay hain jalta ho gulistaan jaisay

Tu agarcha mila nahin hai mujhay


Tu agarcha mila nahin hai mujhay

Janay khadsha hai kiyon judaai ka

Yaadein teray khaloos ki dasti hain aaj bhi


Yaadein teray khaloos ki dasti hain aaj bhi 
Milnay ki aarzoo main tarasti hain aaj bhi 

Aankhein hazaar zabat ki koshish kay ba'wajood
Ruk ruk kay baar baar barasti hain aaj bhi

Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya


Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya 
Apnay tamaam dard mujhay daan kar gaya 

Bichra kuch is ada se keh rut hi badal gayi 
Ik shakhs saray shaher ko veraan kar gaya

Ik shajar pyaar ka aisa bhi lagaya jaye


Ik shajar pyaar ka aisa bhi lagaya jaye 

Jis ka hamsa'aye kay Aangan main bhi saaya jaye

Ae Adm ! ehtiyaat logon se


Ae Adm ! ehtiyaat logon se 

Log munkar nakeer hotay hain

Hain log wohi jahan main achay


Hain log wohi jahan main achay

Aatay hain jo kaam dosron kay

Jo ho sakay to chalay aao Aaj meri taraf


Jo ho sakay to chalay aao Aaj meri taraf

Milay bhi dair hui, jee udas hai mera

Rang-e-Aalam bhi paidaar nain


Rang-e-Aalam bhi paidaar nain 
Zindagi ka koi madaar nahin 

Roshni ki sabeel dhoond koi 
Shamma-e-hasti ka Aetabar nahin

Tapish se bach kay ghataon main baith jaatay hain


Tapish se bach kay ghataon main baith jaatay hain 
Gaye huwon ki sadaon main baith jaatay hain 

Hum ird gird kay mousam se jab bhi ghabraein
Teray khayal ki chaaon main bith jaatay hain

Tamaam shaher hai maqtal usi kay haathon se


Tamaam shaher hai maqtal usi kay haathon se 
Tamaam shaher usi ko duaein deta hai 

Woh ajnabi tha to kiyon mujh se phair kar aankhein 
Guzar gaya kisi de'reena Aashna ki tarah 

Yaad-e-mazi main jo aankhon ko saza di jaye


Yaad-e-mazi main jo aankhon ko saza di jaye
Is se behtar hai keh her baat bhula di jaye 

Jis se thori bhi ho umeed ya ziyada ho kabhi 
Aisi her shamma sar-e-shaam jala di jaye

Mohabbat kiya hai , taseer-e-mohabbat kis ko kehtay hain


Mohabbat kiya hai , taseer-e-mohabbat kis ko kehtay hain 

Tera majboor kar dena , mera majboor ho jana
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...