May 12, 2014

Mehfalon main ronaqein tanhaiyan majzoob ki


Mehfalon main ronaqein tanhaiyan majzoob ki 
Naghma-e-mansoor hain parchaiyan majzoob ki 

Aaj aik darwaish-e-sehraai ne likhein ja ba ja 
Rait kay aainay main angraiyan majzoon ki 

Gholti hi jaa rahi hain rasm-e-nizah her kaan main 
Hichkiyon main doobti shehnaiyan majzoob ki 

"Zaira" main dar rahi is door main sajdon se bhi 
Ho rahien pa'maal youn ra'naiyaan majzoob ki
 


Koi aaj tak na badal saka , yeh asool gulshan-e-zeest ka


Koi aaj tak na badal saka , yeh asool gulshan-e-zeest ka 

Wohi phool nazar-e-khizan hua , jissay Aaitabar-e-bahar tha

Bina hamsafar kay kab talak , koi musafaton main laga rahay


Bina hamsafar kay kab talak , koi musafaton main laga rahay
Jahan koi kisi se juda na ho, mujhay us raah ki talaash hai

Mujhay dekh ke jo ik nazar Meray saray dard samjh sakay
Jo is qadar ho chaara gar , mujhay us nigha ki talaash hai

Kaisay kari'gar hain yeh



Kaisay kari'gar hai yeh ?
Aas kay darakhton se 
Lafz kaat'tay hain aur seerihan banatay hain 
KAisay ba'hunar hain yeh ?
Gham kay beech hotay hain aur dilon main 
Khushbo'on ki khaitiyan ugaatay hain 
Kaisay chara gar hain yeh ?
Waqat kay samandar main kashtiyan banatay hain 
Aap doobay jatay hain 

Zindagi ke melay main khwaishon kay railay main


Zindagi ke melay main
Khwaishon ke railay main
Tum se kiya kahain jana
Is qadar jhamailay main
Waqat ki rawani main
Bakhat ki garani main
Sakhat be-zamini hai
Sakhat la'makani hai
Hijar ke samandar main
Takhat aur takhatay ki
aik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara se hai
Baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki batain
Kab do ghari main hoti hain
Dard ke samandar main
Be-sumaar moti hain
Ankh ke dareechay main
Tum ne jo sajaya tha
Baat us diye ki hai
Baat us gilay ki hai
Jo lahoo ki khalwat main
Chor ban ke ata hai
Lafaz ki faseelon par
Toot toot jata hai
Zindagi se lambi hai
Baat rat'jagay ki hai
Rastay main kaisay ho
Baat takhliye ki hai
Takhliye ki baton main
Guftagoo izaafi hai
Piyaar karnay walon ko
Ik nigah hi kafi hai
Ho sakay to sun jayo
Aik din akelay main
Tum se kiya kahin jana
Is qadar jhamailay main

Keh raha hai bahar ka mousam



Keh raha hai bahar ka mousam

Hamsafar ho koi teray jaisa

Yeh nahin keh saray jahan main mujhay hamsafar hi nahin mila


Yeh nahin keh saray jahan main mujhay hum'safar hi nahin mila
Sabhi Aaitabar kay saath thay koi moh'tabar hi nahin mila

Meri nabz chu kay to dekhta keh shakista dil ki hai sada kya 
Mera la'ilaaj marz na tha koi chara gar hi nahin mila 

KAbhi shaher chaan liye gaye kabhi khaimay taan liye gaye 
Jissay dekhta tha main khawab main mujhay woh nagar hi nahin mila 

Mujhay woh makeen hi nahin milay , jinhein meri zaat se pyar ho 
Jissay apna ghar main samjh sakon mujhay aisa ghar hi nahin mila 

Raha muztarib mera shouq bhi mera sajda karnay ka zouq bhi 
Mujhay sang-e-raah to bhout milay tera sang-e-dar hi nahin mila 

Sabhi apnay apnay ga'roah kay gham-e-aarzoo ka shikaar thay 
Kissay main dikhata yeh zakham-e-dil koi deeda war hi nahin mila

Bicharna hi agar likha hai qismat main



Agar
Bicharna hi agar likha hai qismat main
To is main der kahay ki
Chalo is pal isi lamhay bichartay ahin
Abhi tum ankh jhapko ge
Abhi main hath apnay dil pe rakhon ge
Abhi tum mujh se keh do ge
Juda hain rastay apnay
Juda hain manzalain apni
Magar tum hosala rakhna
Bicharna hi agar likha hai qismat main
To is main der kahay ki
Chalo isi pal isi lamhay bichartay hain

Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karon


Talab ko ajar na doon , fikar-e-raah'guzar na karon 
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karon

Ubhartay doobtay suraj se tor loon rishta 
Main shaam orh kay so jaaon aur sehar na karon 

Ab is se barh kay bhala kiya ho ehtiyaat-e-wafa 
MAin teray shaher se guzron , tujhay khabar na karon 

Yeh meray dard ki doulat , meri mata-e-firaaq
in Aanso'on ki wazahat main umar bhar na kron 

Ujaar shab ki khalish kay ban main kho jaaon 
Main chandani ki tarah khud ko dar ba'dar na karon

Woh aik pal ko dikhai to dy kahin Mohsin 
Main jaan ganwa kay bhi us pal ko muktasar na karon 

Mohabbat hath main pehni hui choori ki manind hai


Mohabbat hath main pehni hui choori ki manind hai

Sanwarti hai khan'nakti hai khanak kar toot jati hai

Aayo behak jayein, madhosh ho kar so jayein


Aayo behak jayein 
Madhosh ho kar so jayein 
Shyed 
Koi adhoora khwaab 
Aankhon se dosti kar lay 
Shayed koi tootay wajood ko 
Apni aaghosh main bhar lay

Kiyon kafia radeef se mil kar ghazal banay


Kiyon kaafia radeef se mil kar ghazal abnay 
Mil jaye jab abad se abad tab azal banay

Mehroom hai sukhan se qalam mera in dino
Chal khamshi kay khoul main shayed ghzal banay

Kehti hai mujh se aaj labon ki yeh tishnagi
Suraj mila dy barf main shayed ghazal banay

Bheegay say lafz, sard khayal , aur saans num
Shabnam kay aanson main hi aisi ghazal banay

Mehkain fiza main jab teri aamad ki khushbo'ein
Saanson ki lay main phir na bhala kiyon ghazal banay

Azaad hoon main za'ira lafzon ki qaid se 
Meri nazar uthay to ufaq par ghazal banay

Zindagi main bhout kam mili hain


Zindagi main bhout kam mili hain 

Woh cheez jissay shiddat se chaha main ne

Kabhi tammana ke raston par nikal paro


Kabhi tamana kay raaston par 
Nikal paro.......
To khayal rakhna ....
Kahin se khaali palat kar ana 
Bhout khathan hai

Jab seenay andar saans ke darya doltay hain


Dukh boltay hain

Jab seenay andar saans ke darya doltay hain
Jab mousam sard hawa main
Chup se gholtay hain
Jab ansoo
Palkain roltay hain
Jab sab awazain apnay apnay bistar par so jati hain
Tab ahista ahista ankhain kholtay hain
Dukh boltay hain

Poet : Farhat Abas Shah

Ae rab-e-zul'ja'laal meri majaal ko



Ae rab-e-zul'ja'laal meri majaal ko 
Qaid-e-be'yakeeni se rihaai chahiye 

Ik qadam aur phir ik qadam 
Meray asbaat tujhay quwat-e-goyaai chahiye

Sang-e-garaan tehri koocha gardi , ab 
Bas teri zaat tak risaai chahiye

Humsafar bhi bichar gaye raastay bhi kho gaye


Humsafar bhi bichar gaye raastay bhi kho gaye 

Aaye phir na loat kar jo dewane ho gaye

Raat sari guzarti hai in hisabon main


Raat sari guzarti hai in hisabon main 

Ussay Mohabbat thi,? Nahin thi ? hai , Nahin hai?

Koi raat yaad nahin rahi


Koi raat yaad nahin rahi

Koi shaam paas nahin rahi

Koi din udaas nahin raha

Teray ishq main . . . . . 

Meray dil ki sari riyazatain

Kisi gehri dhund main kho gaye'ein

Mujhay meray dukh main dabo gay'ein

Woh roz dekhta hai doobtay huye suraj ko "Faraz"


Woh roz dekhta hai doobtay huye suraj ko "Faraz"

Kaash main bhi kisi shaam ka manzir hota

Wafa ki qadar to aaj bhi bhout hai Faraz



Wafa ki qadar to aaj bhi bhout hai Faraz

Faqat mit chukay hain toot ke chahnay walay

Main sun ke us ki sab batain faqat itna hi kehti hoon


Main sun ke us ki sab batain
Faqat itna hi kehti hoon
Khafa hona mana lena
Yeh sadiyon se rivayat hai
Mohabbat ki alamat hai
Gilay shikvay karo mujh se
Tumhain jaana ijazat hai
Magar aik baat meri yaad rakhnatum
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawa'ein rukh badal'ti hain
Khiza'ein loat ati hain
Khafa hona bhi mumkin hai
Magar hath se daman 
Kabhi choota nahin kartay
Hamesha yaad rakhna tum
Taaluq , rooth janay se
Kabhi toota nahin kartay

Meri koi bhi manzal , meray kaisay bhi raastay


Hamsafar 

Meri koi bhi manzal 

Meray kaisay bhi raastay 

Meri jaisi bhi raahain 

Qariya qariya nagar nagar 

Meray sang chalti hain 

Teri Aahatain , teri yaadain

Faslay aisay bhi hon ge yeh kabhi socha na tha


Faslay aisay bhi hon gay yeh kabhi socha na tha 
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha 

Woh keh khushbo ki atrah phaila tha meray chaar su 
Main ussay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha 

Raat bhar pichli si aahat kaan main aati rahi 
Jhaank kar dekha gali main koi bhi aya na tha 

Aaj us ne dard bhi apnay alehda kar liye 
Aaj main roya to meray saath woh roya na tha 

YEh sabhi veeraniyan us kay juda honay se thein 
Aankh dhund'laai hui thi shaher dhund'laya na tha

Woh humsafar tha magar us se hum'nawai na thi


Woh humsafar tha magar us se hum'nawai na thi 
KEh dhoop chaaon ka aalam raha judai na thi

Na apna ranj , na apna dukh , na auron ka malaal 
Shab-e-firaq kabhi hum ne youn ganwai na thi 

Mohabbaton ka safar kuch is tarah bhi guzra tha 
Shakista dil thay musafir , shakista paai na thi 

Adawatein thein , taghafal tha , ranjishein thein bhout
Bicharnay walay main sab kuch tha , be'wafai na thi 

Bichartay waqat un ki aankhon main thi hamari ghazal 
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunaai na thi 

KAisay pukaar raha tha woh doobta hau din 
Sada to ayi thi lakin koi dohaai na thi

Main chup ho jayon ga bujhti hui shamm'on kay saath


Main chup ho jayon ga bujhti hui shamm'on kay saath 
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi 
Jab talak roshan hain aankhon kay fasurda taach'qay 
Neelgon honton se phootay gi sada ki roshni 
Jism ki girti hui dewaar ko thaamay huye 
Mom kay butt Aatish'ein chehray sulagi muratein 
Meri bee'nai ki yeh makhlooq zinda hai abhi 
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi 
Ho to janay de meray lafzon kay mah'ni se tahi 
Meri tehre'rain , dhuwein ki raangti parchaiyan 
Jin kay paikar apni awazon se khali be'lahu !
Mehav ho janay to de yaadon se khawabon ki tarah 
Ruk to jayein aakhri saanson ki wehshi Aandhiyaan 
Phir hata lena meray maathay se tu bhi apna haath 
MAin bhi chup ho jaon ga , bujhti hui shamm'on kay saath 
Aur kuch lamhay tehar ! ae zindagi , ae zindagi

Woh chaand mera hamsafar tha


Woh chaand mera ham'safar tha 
Doori kay ujaar junglon main 
Ab meri nazar se chup chuka hai 
Ik umar se malool-o-tanha 
Zulmaat kay rah'guzar main hoon 
Main aagay barhoon keh loat aaon 
Kiya soch kay intizaar main hoon 
Koi nahin jo yeh bataye
Main kon hoon ? kis diyaar main hoon 

Ahmed Faraz

Maqaam-e-mohabbat tu ne samjhaya hi nahin warna


Maqaam-e-mohabbat tu ne samjhaya hi nahin warna 

Jahan tak tera saath wahin tak meri zindagi

Afsano ki duniya main sab jhoot nahin hota


Afsano ki duniya main sab jhoot nahin hota 

Dil aur bhi uljhay ga parhiye na kitabon ko

Payam-e-shouq ko itna taveel na karna , Ae qasid


Payam-e-shouq ko itna taveel na karna , Ae qasid 

Bas itna kehna keh , aankhein , tars gayi hain

Tum kiya jano mohabbat ke meem ka matlab


Tum kya jano mohabbat kay meem ka matlab 

Agar mil jaye to moh'jaza aur na milay to mout

Jo ghar se door hotay hain


Jo ghar se door hotay hain 

Bhout majboor hotay hain

Toot jata hai ghreebi main woh rishta jo khaas hota hai


Toot jata hai ghreebi main woh rishta jo khaas hota hai 

Hazaron yaar bantay hain jab paisa paas hota hai

Saza deni hum ko bhi aati hai o be'khabar


Saza deni hum ko bhi aati hai o be'khabar 

Par tu takleef se guzray yeh hum ko gawara nahin

Saath dil kay chalay dil ko nahin roka hum ne



Saath dil kay chalay dil ko nahin roka hum ne 

Jo na apna tha ussay chaha hum ne 

Ik dhokay main katti umar hamari saari 

Kya bataein kissay khoya , kissay paya hum ne

Yeh fasan-e-mohabbat, yeh kahaniyan wafa ki


Yeh fasan-e-mohabbat, yeh kahaniyan wafa ki

Koi aur zikar chero, Mera dil lahoo lahoo hai

Azal se hai mohabbat mawara lafzon ki mala se



Azal se hai mohabbat

Azal se hai mohabbat
Mawara lafzon ki mala se
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch ke akaash par
Badal ki surat main
Sada parwaaz karti hai
Kabhi barish ki boondon main
Smit kar dil ki dharti par
Utarti hai bikhirti hai
Ada le kar saba se yeh
Gulabon se mehak le kar
Dhanak se rang le kar
Aur sitaron se chamak le kar
Haseen anchal banati hai
Isi anchal se phir khawabon ke
Kachay ghar sajati hai
Mohabbat azmati hai
Kabhi yeh shair ban kar...
Lafaz ki hurmat barhati hai
KAbhi yeh saaz ban kar...
Dheeray dheeray gungunati hai
Sarapa-e-ankh ban jati hai
Yeh mehboob ko pa kar ...
Anokha lams ban jati hai
Ko-e-yaar main ja kar
Na janay kon sa mantar !
Yeh parh kar hole hole se
Kisi ki band ankhon main
Bina dastak diye yakdam
Utar ke ghar banati hai
Mohabbat muskurati hai !
Yeh kushboo hai
Hamesha phool ki sansoon main hoti hai
Bana de jo chaand teeara shabon ko...
Aisi joti hai
Kasak hai da'emi is main
Bhout be-naam lazat hai
Mohabbat ki yahi tareef hai
Keh yeh mohabbat hai !!!!

Yeh qaid sikha dati hai ada-e-mohabbat


Yeh qaid sikha dati hai ada-e-mohabbat

Pinjaray main prinday bhi shararat nahin kartay

Teri Mohabbat

Teri Mohabbat

Dheeray dheeray 
Rag-o-py main
Phail rahi hai
Qatra qatra
Rooh main
Utar rahi hai
Lamha lamha 
maar rahi hai
Teri Mohabbat !!!!

Kabhi kabhi main sochta hoon keh mohabbat cheez hai kya



Kabhi kabhi main sochta hoon
Keh mohabbat cheez hai kiya
Kabhi yeh jeet banti hai
KAbhi yeh haar jaisi hai
Kabhi yeh raaz hai pinhaan
Kabhi izhaar jaisi hai
Kabhi yeh phool hai kanwal
Kabhi talwaar jaisi hai
Kabhi yeh ujri hui basti
Kabhi singhaar jaisi hai
Yeh akhir chor hi jati hai
Yeh meray yaar jaisi hai

Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai



Mohabbat jeet hoti hai

Magar yeh haar jati hai

Kabhi dil-sooz lamhon se 

Kabhi bekaar mousamon se

Kabhi taqdeer walon se 

Kabhi majboor qasmon se

Magar yeh haar jati hai

Kabhi yeh phool jaisi hai

Kabhi yeh dhool jaisi hai

Kabhi yeh chaand jaisi hai

Kabhi yeh dhoop jaisi hai

KAbhi masroor karti hai

KAbhi yeh rog dati hai

Kisi ka chain banti hai

Kisi ko rol dati hai

Kabhi yeh paar jati hai

Kabhi yeh maar jati hai

Mohabbat jeet hoti hai

Magar yeh haar jati hai

Wafa'ein raasta badal jayein to palat kar nahin at'ein


Wafa ka thikana

Wafa'ein raasta badal jayein to

Palat kar nahin at'ein

Wafa'ein rooth jayein to

Mananay se nahin mant'ein

Wafa'ein qeemti asasa hain

Nazuk abeega hain

Be-wafayon ke hath lag jayein to......

Tehar nahin patein



Bheegi hui ik shaam ki dehleez par baithay



Bheegi hui ik shaam ki dehleez par baithay

Hum dil ke sulagnay ka sabab soch rahay hain

Hamain tum se mohabbat hai


Hum saada dil aur

Ana ke qaidi

Mohabbat ke mastlashi

Ankhon main chahat ke deep jalaye

Kisi ki ik nazar-e-altafaat par

Jaan se guzarnay walay

Kisi ke chup chaap bicharnay par

Raton main chup chup ronay walay

Is dil-e-khamosh par

Is saada dil par

Udasi ke zakham laganay walay

Chand lafaz zubaan se keh datay

To sabhi pachtavay chat jatay

Kaash keh us se keh datay

Kaash keh us se keh patay

Hamain tum se mohabbat hai


Dil-e-Muztar ko samjhaya bhout hai


Dil-e-Muztar ko samjhaya bhout hai

Magar is dil ne tarpaya bhout hai

Qayamat hai yeh tarq-e-arzoo bhi

Mujhay aksar woh yaad aya bhout hai

Tabasum bhi, haya bhi, be-rukhi bhi

Andaaz-e-sitam bhaya bhout hai

Raah-e-hasti ke is jaltay safar main

Tumhari yaad ka saya bhout hai

Dil-e-Muztar ko samjhaya bhout hai

Magar is dil ne tarpaya bhout hai

Woh hamsafar tha magar us se hamnawa'ei na thi




Woh hamsafar tha magar us se hamnawa'ei na thi
Keh dhoop chayon ka alam raha judai na thi

Adawat'ein thein , taughafal tha, ranjash'ein thi magar
Bicharnay walay main sab kuch tha magar be-wafaei na thi

Bichar'tay waqat un ankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi woh jo kabhi kisi ko suna'ei na thi

Kissay pukaar raha tha woh doobtay huye din
Sada to aye thi lakin koi dohaei na thi

Kabhi yeh haal keh dono main yak-dili thi mohsin
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashna'ei na thi

Poet : Mohsin Naqvi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...