May 1, 2017

Teri yaad ki girift aksar mujhay


Teri yaad ki girift aksar mujhay 

Apnay haathon ki lakeeron main 

Uljhaa deti hai 


Kuch hum bhi thak gaye hain ussay dhoondtay huye


Kuch hum bhi thak gaye hain ussay dhoondtay huye 
Kuch zindagi kay paas bhi mohlat hi nahin rahi 

Uss ki aik aik adaa se jhalaknay laga khaloos 
Jab hum ko aaitabar ki aadat na rahi 


Uss ne apni ungliyon se


Aansu 

Uss ne apni ungliyon se 
aik aik kar kay 
apnay saray aansu 
samait liye 
aur socha keh 
ashk samaitnay wala 
Aaj itnay ashk kaisay de gaya 


Chand raat ko sabhi daikhein hilal eid ko


Chand raat ko sabhi daikhein hilal eid ko

Ik hamara hi naseeba hadiyan turwa gaya 

Hum thay chand kay nazaray main khoye huye 

Bas achanak chand ka abaa wahan aa gaya 



Bin daikhay ussay Ya-Rab yeh eid na guzray


Bin daikhay ussay Ya-Rab yeh eid na guzray 

Kar paida koi sabab yeh eid na guzray 

Duniya ko dikhaya hai ik chand jo tu ne 

Mujh ko bhi dikhaa de ab yeh eid na guzray 


Meri banjar si aankhon se Koi dhoka nahin khao


Meri banjar si aankhon se
Koi dhoka nahin khao 
Keh tum kab daikh sakti ho 
Meray dil main chuppay ghaao

Ae meray kam sukhan sathi 
Tumhein shayed khabar ho gi 
Mohabbat main jo behtay hain 
Woh aansu khushk hotay hain  !!


Bhout kuch soch kar


Bhout kuch soch kar 
Aaj bhout kuch jaan kar 
Saray dukh sari khushiyan 
Apna din apni raat apni chahat 
Apni awargi , apni dewangi , apni muskurahat 
Sab kuch somp raha hoon 
Main tumhein apna dil somp raha hoon


Yeh sheeshay yeh sapnay yeh dhaagay


Yeh sheeshay yeh sapnay 
yeh dhaagay
Kissay kya khabar keh 
Kahan toot jayein 
Mohabbat kay dariya main 
Tinkay yeh wafa kay 
Janay kis morr par 
Doob jayein 

Rafta rafta bujh hi gaya aakhir chragh aarzu ka


Rafta rafta bujh hi gaya aakhir chragh aarzu ka 

Pehlay dil khamosh tha , ab zindagi khamosh hai 

Goonjon ga teray zehan kay gumbad main raat din


Goonjon ga teray zehan kay gumbad main raat din 

Tu bhula na sakay jissay aisi guftagoo hoon main 


Shaher bhar main jis ne ruswa kiya


Shaher bhar main jis ne 

Ruswa kiya hamein be'wafa kay naam par 

Khud uss ka daman 

Wafa se khaali tha ....!


Barishon kay mousam main


Barishon kay mousam main 

Barishon kay mousam main 
Dil ki sar'zameeno pe
Gard kiyon bikharti hai ?

Iss tarah kay mousam main 
Phool kiyon nahin khiltay ?
Log kiyon nahin miltay ?

Kiyon faqat yeh tanhai 
Sath sath rehti hai ?
Kiyon bicharnay walon ki 
Yaad sath sath rehti hai ?

Itni tez baarish se 
Dil kay aainay par se
Aks kiyon nahin dhultay ?
Zakham kiyon nahin mit'tay ?
Neend kiyon nahin aati ?

Baarishon kay mousam main 
Aankh kiyon barasti hai ?
Ashk kiyon nahin tham'tay ?
Barishon kay mousam main ........! 



Haqeeqat aashna meray



Guzarish

Haqeeqat aashna meray 
Hamein jeewan kay raston par kahan tak sath chalna hai ?
Kahan woh morr hai jis ne hamein tanhai deni hai 
Kahan tak tum mujhay thamo gay jab girnay lagon ga main 
Kahan par is tarah ho ga keh tum mujh ko na thamo gay 
Tumhein awaz doon ga tum meri jaanib na daikho gay 
Main jeeta hoon ya marta hoon meray baray na socho gay 
Janam din par karo gay phone na hi card bhejo gay 
Suno sathi !!!
Hamein jeewan kay rastay par jahan tak sath chalna hai 
Wahan tak tum mujhay aadi karo na is tarah apna 
Keh jab woh morr aaye aur apni raah main jaon 
To apnay raastay ko ajnabi apnay liye paon 


Rafaqaton kay naye khawab khush numa hain magar


Rafaqaton kay naye khawab khush numa hain magar

Guzar chuka hai teray Aaitabar ka mousam 


Youn to meri aankhon se tum ko pyar bhout hai


Youn to meri aankhon se tum ko pyar bhout hai 

Lakin jab jee chahaye in main aansu saja detay ho


Patt jharr kay mousam main tujh ko


Patt jharr kay mousam main tujh ko 

Kon se phool ka tohfa bhejon 

Mera aangan khaali hai 

Lakin meri aankhon main 

Naik duaon ki shabnam hai 

Shabnam ka her taara 

Tera aanchal thaam kay kehta hai 

Khushbu , geet , hawa , pani , aur rang ko chahnay wali larki 

Jaldi se achi ho ja 

Subh-e-bahar ki aankhein kab se

Teri narm hansi ka raasta daikh rahi hain !!



Bhout haara hua wajood lagta hai ab apna


Bhout haara hua wajood lagta hai ab apna 

Her kisi ne loota hai mohabbat ka hawala de kar 


Ussay kehna Mukamal kuch nahin hota


Ussay kehna 
Mukamal kuch nahin hota 
Milan bhi na'mukamal hai 
Judai bhi adhoori hai 
Yahan aik mout poori hai 
Ussay kehna 
Udasi jab ragon main khoon ki manind utar'ti hai 
Bhout nuqsaan karti hai 
Ussay kehna 
Bisaat-e-ishq pe jab maat hoti hai 
Mukamal Bas Khuda ki Zaat Hoti Hai 


Ab to loat aa


Ab to loat aa

Bhout si garm do'pehrein 
Tanha guzar gayi hain !!
Bhout si khanak raatein 
Yaadon kay sang beet gayi hain
Ab to loat aa
Keh tanhai ka zehar rafta rafta 
Meray jisam ka sara lahu choos raha hai 
Tujh ko acha lagnay wala chehra 
Rafta rafta tujh se rooth raha hai 
Ab to loat aa !!

Zara si khaak sada baal-o-par main rakhtay hain


Zara si khaak sada baal-o-par main rakhtay hain 
Hum apnay saath zameen ko safar main rakhtay hain 

Udasiyan bhi basatay hain apnay seenay main 
Nishan-e-wusat-e-sehra bhi ghar main rakhtay hain 

Bhout udaas na ho shaam-e-be'chragh keh hum 
Sehar ki roshniyan chasham-e-tar main rakhtay hain 

Hamaray sach ki gawahi pe ungliyan na utha 
Yeh hi to aaib hum apnay hunar main rakhtay hain 

Baar haa un se na milnay ki qasam khataa hoon main


Baar haa un se na milnay ki qasam khataa hoon main 
Aur phir yeh baat qasdan bhool bhi jaata hoon main 

Doobtay daikhay hain in aankhon se itnay aaftaab 
Roshni kay naam se bhi ab laraz jata hoon main 

Itni afsurda dili Allah dushman ko na de 
Log hanstay hain to jee hi jee main sharmata hoon main 

Be'rukhi ko un ki sach much be'rukhi samjha 
Aaj apni is ghalat fehmi pe pachtata hoon main 

Chahata yeh hoon keh duniya mujh ko tanha chor de
Janay kiyon ab gham gusaari se bhi ghabraata hoon main 

Aye ehal-e-wafa daad-e-jafa kiyon nahin detay


Aye ehal-e-wafa daad-e-jafa kiyon nahin detay 
Soye huye zakhmon ko jaga kiyon nahin detay 

Iss jashan-e-chraghan se to behtar thay andheray 
In jhootay chraghon ko bujha kiyon nahin detay 

Jis main na koi rang na aahang na khushbu 
Tum aisay gulistaan ko jala kiyon nahin detay 

Deewar ka yeh azar suna jaye ga kab tak 
Dewaar agar hai to giraa kiyon nahin detay 

Chehron pe jo daalay huye baithay hain niqabein 
Unn logon ko mehfil se utha kiyon nahin detay 

Toba ka yahi waqat hai kya soch rahay ho 
Sajday main jabeeno ko jhuka kiyon nahin detay 

Yeh jhootay khuda mil kay dabo dain gay safeena 
Tum Hadi-e-bar'Haq ko sada kiyon nahin detay 


Apna ghar chor kay hum log wahan tak ponchay


Apna ghar chor kay hum log wahan tak ponchay 
Subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak ponchay 

Main ne aankhon main chupa rakhay hain kuch aur chragh 
Roshni subha ki shayed na yahan tak ponchay 

Be'kahay baat samjh lo to munasib ho ga 
Iss se pehlay keh yahi baat zuban tak ponchay 

Tum ne hum jaisay musafir bhi na daikhay hon gay 
Jo baharon se chalay aur khizan tak ponchay 

Aaj pindaar-e-tamana ka fasoon toot gaya
Chand kam zarf gillay nok-e-zuban tak ponchay 


Aik manoos si khushbu hai fiza main ab tak


Aik manoos si khushbu hai fiza main ab tak 
Paas se uth kay abhi koi gaya ho jaisay 

Ronaq-e-zeest se kuch youn hai taluq mujh ko 
Phool ' gulshan main tehar shaakh para ho jaisay 

Aadmi jaan kay khaata hai mohabbat main faraib 
Khud faraibi hi mohabbat ka sila ho jaisay 

Aik aansu bhi bahatay huye jee darta hai 
Mujh ko dar parda koi daikh raha ho jaisay 

Youn zamana gham-e-doran se daraata hai mujhay
Meray haq main gham-e-doran bhi khuda ho jaisay 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...