Showing posts with label Mir Taqi Mir Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mir Taqi Mir Poetry. Show all posts

Jul 29, 2015

Ibtida-e-ishq hai rota hai kya



Ibtida-e-ishq hai rota hai kya 
Aagay aagay dekhiye hota hai kya 

Qaaflay main subha kay ik shor hai 
Yehni ghafil hum chalay sota hai kya 

Sabz hoti hi nahin yeh sar zameen 
Tukham-e-khwaish dil main to hota hai kya 

Yeh nishaan-e-ishq hain jaatay nahin 
Daagh chaati kay Abs dhoota hai kya

Feb 28, 2015

Ibtida-e-ishq hai rota hai kya


Ibtida-e-ishq hai rota hai kya 
Aagay aagay dekhiye hota hai kya 

Qaaflay main subha kay ik shor hai 
Yehni ghafil hum chalay sota hai kya 

Sabz hoti hi nahin yeh sar zameen 
Tukham-e-khwaish dil main to hota hai kya 

Yeh nishaan-e-ishq hain jaatay nahin 
Daagh chaati kay Abs dhoota hai kya

Dec 21, 2014

Aik muddat se woh mizaaj nahin


Be'kali , be'khudi kuch aaj nahin 
Aik muddat se woh mizaaj nahin 

Dard agar yeh hai to mujhay bas hai 
Ab dawa ki kuch ehtiaaj bahin 

Hum ne apni si ki bhout lakin 
Marz-e-ishq ka ilaaj nahin 

Shaher-e-khoobi ko khoob dekha "Mir"
Jins-e-dil ka kahin riwaaj nahin

Jul 12, 2014

Ishq ek "Mir" bhaari pathar hai


Ishq ek "Mir" bhaari pathar hai 

Kab yeh tujh na'tawan se uthta hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jul 10, 2014

Ulti ho gayein sab tadbeerain kuch na dawa ne kaam kiya


Ulti ho gayein sab tadbeerain kuch na dawa ne kaam kiya 
Dekha is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya 

Ehad-e-jawani ro ro kaata paeri main leein aankhin mond
Yahni raat bhout thay jaagay , subha hui araam kiya 

Na'haq hum majbooron par yeh tohmat hai mukhtaari ki 
Chahtay hain so aap kare hain hum ko abbs bad'naam kiya 

Yaan ke safaid-o-siyaah main hum ko dakhal jo hai so itna hai 
Raat ko ro ro subha kiya , ya din ko joon toon shaam kiya 

"mir" ke deen-o-mazhab ko ab poochtay kiya ho is ne to 
Naqshaa kheencha, dair main baitha , kab ka tark salaam kiya 

Poet : Mir Taqqi Mir

Jul 6, 2014

Jul 2, 2014

Na ura youn thokron se meri khaak-e-qabar zaalam


Na ura youn thokron se meri khaak-e-qabar zaalam 
Yahi ik reh gayi hai mere pyaar ki nishaani 

Ishq main khoye jaao gy to baat ki teh paao gy
Qadar hamari kuch jaano gy dil ko kahin jo lagao gy

Sabar kahan be'taabi-e-dil se chain kahan be'khwabi se
So so baar gali main uth ke ghar se bahir aao gy

Ask to paani se hain lakin jalty jalty awain gy
Dil ki lagi hairaan hain saahib kis dhab mil ke bhujaao gy 

Chahat meri suljhi kartay hain ranj-o-taab main rehtay hain 
Tum jo abhi be'taab ho jaisay jee se uth jaao gy

Poet : Mir Taqi Mir

Jun 13, 2014

Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya


Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya 
Janay kiyon teray naam pe rona aya 

Youn to her shaam umeedon main guzar jati hai
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aya 

Kabhi taqdeer ka maatam kabhi duniya ka gila 
Marzi yeh ishq main her kaam pe rona aya 

Jab hua zikar zamanay main mohabbat ka mir
Mujh ko apnay dil-e-na'kaam pe rona aya 

Jun 5, 2014

Faqeerana aye , sada kar chalay


Faqeerana aye , sada kar chalay
Miyaan kush raho , hum dua kar chalay

Jo tujh bin na jeenay ko kehtay thay hum
so us ehad ko ab wafa kar chalay

Shifa apni taqdeer hi main na thi
keh maqdoor tak to dawa kar chalay

Woh kiya cheez hai Aah jis kay liye
her ik cheez se dil utha kar chalay

Bhout arzoo thi gali ki teri 
So yaan se lahoo main naha kar chalay

Dikhai diye youn keh be khud kiya 
Hamain aap sy bhi juda kar chalay

paristish ki yaan tak keh Ae buutt tujhay 
nazar main sab'oon ki khuda kar chalay

Kahin kiya jo poochay koi hum se mir
Jahan main tum aye thay , kiya kar chalay

Faqeerana aye , sada kar chalay


Faqeerana aye , sada kar chalay
Miyaan kush raho , hum dua kar chalay

Jo tujh bin na jeenay ko kehtay thay hum
so us ehad ko ab wafa kar chalay

Shifa apni taqdeer hi main na thi
keh maqdoor tak to dawa kar chalay

Woh kiya cheez hai Aah jis kay liye
her ik cheez se dil utha kar chalay

Bhout arzoo thi gali ki teri 
So yaan se lahoo main naha kar chalay

Dikhai diye youn keh be khud kiya 
Hamain aap sy bhi juda kar chalay

paristish ki yaan tak keh Ae buutt tujhay 
nazar main sab'oon ki khuda kar chalay

Kahin kiya jo poochay koi hum se mir
Jahan main tum aye thay , kiya kar chalay

Jun 2, 2014

Ibtada-e-ishq hai rota hai kiya


Ibtada-e-ishq hai rota hai kiya


Ibtada-e-ishq hai rota hai kiya
aagy aagy dekhiya hota hai kiya 

qafly main subha se ik shor hai 
yehni ghafil hum chalay sota hai kiya

sabz hoti hi nahin yeh sar zameen 
tukham-e-khwaish dil main tu bota hai kiya

yeh nishaan-e-ishq hain hain jatay nahin
daagh chati ky abas dhota hai kiya 

ghairat-e-yousaf hai yeh waqay-e-aziz 
mir is ko raigaan khota hai kiya

May 16, 2014

Woh aye bazam main itna to mir ne dekha



Woh aye bazam main itna to mir ne dekha 

Phir us ke baad chraghon main roshni na rahi

Poet : Mir taqi mir

Mar 30, 2014

Ik shair, ik musavir or ik fankaar bhi hun


Ik shair, ik musavir or ik fankaar bhi hun
Agr hun nazuk sa koi phool to talwaar bhi hun

Me'ne pai hai har ik morr pe nafrat lekin
Me muhbt k gulsitan ka khridar bhi hun

Ho agar DOST ghalt to me usey rokta hun
Haq pe dushmn ho to dushmn ka tarfdaar bhi hun

Jurm har shakhs se belos muhbt hai agar!
Phir to ye sach hai k me aik khatakar bhi hun

Mera andaz-e-tabiyat b nirala hai, Ay mir
Be wafa b hun bohat or wfadaar bhi hun

Mar 14, 2014

Dekh tu dil keh jaan se uth'ta hai


Dekh tu dil keh jaan se uth'ta hai 
Yeh duwaan sa kahan se uth'ta hai

Gor kis dil jalay ki hai yeh falak
Shola ik subha yaan se uth'ta hai

Larti hai is ki chash'me shokh jahan
Aik ashoob waan se uth'ta hai

Baith'ny kon de hai phir is ko
Jo teray ashiyaan se uth'ta hai

Youn uthay aah is gali se hum 
Jaisay koi jahan se uth'ta hai

Ishq ik mir bhari pathar hai
Kab yeh tujh na-tawan se uth'ta hai

Poet : Mir taqi Mir
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...