Mar 19, 2016

Khwaishein tujh ko khawab de dain gi


Khwaishein tujh ko khawab de dain gi 
Mustaqil ik azaab de dain gi 

Kaantay chuntay phiro gay barson tak 
Yeh rutein to gulaab de dain gi 

Kuch na mango mohabbaton se keh yeh 
Phir naya ik saraab de dain gi 

Kaato mehnat se saa'atein apni 
Yeh tumhein ik nisaab de dain gi 

"Saad" uljha na kar sawalon main 
Warna sochein jawab de dain gi

Tum na pehchan paao gay mujh ko




Tum na pehchan paao gay mujh ko 

Shaher tha is khandar kay neechay bhi

Ik udasi si mujh pe chaai hai


Ik udasi si mujh pe chaai hai 
Her anaa tootnay ko aayi hai 

Shor andar kay baantna hai mujhay 
Dil pe dewaar si uthaai hai 

Apnay dushman banay rahay hain hum 
Us se youn dosti nibhaai hai 

Ab kahani banaye gi duniya 
Baat khud hum ne hi barhaai hai 


Apni basti ko pyar dena hai


Apni basti ko pyar dena hai 
Qarz yeh bhi utaar dena hai 

Itna asaan nahin hasool-e-haq 
Khud ko baatil qaraar dena hai 

Heel-o-hujat nahin mohabbat main 
Paas jo bhi hai waar dena hai 

Kis tawaqo pe hum larein khud se 
Paas jo bhi hai haar dena hai 

"Saad" yeh zindagi samjh aayi 
Apni khwaish ko maar dena hai

Shaher-e-dil kay jo isharay tootay


Shaher-e-dil kay jo isharay tootay 
Khawab ik jhatkay main saaray tootay 

Is dafa ik naya saahil tha 
Moj aayi to kinaray tootay 

Kaisay toofan ne bachaya hum ko 
Jab keh sab apnay saharay tootay 

Apni azmat ki nishan kis ko milay 
Apnay dil kay to meenaray tootay 

Ik taaluq tha yaqeenan koi 
Chand dooba to sitaray tootay 

Dil samandar mera qatal thehra


Dil samandar mera qatal thehra 
Main keh ujra hua saahil thehra 

Aik aansoo main simat aaya hoon 
Zindagi ! main tera haasil thehra 

Ik hawas'naak muh'ema hoon main 
Mujh ko samjho keh main jaahil thehra 

Tum hi manzir ko badal kar dekho 
Main hoon nadim keh main kaahil thehra 

Kya haqeeqat hai keh aankhon main meray 
Her tasawur tera baatil thehra

Main musal'sal azab sehta hoon


Main musal'sal azab sehta hoon 
Kiyon teri dastaras main rehta hoon 

Main teh-e-chasham hoon kahin shayed 
Ashak ban kar tabhi to behta hoon 

Koi sunta nahin hai baat meri 
Kya khabar hai keh kya main kehta hoon 

Meri tameer bhi ajab hai "Saad"
Roz banta hoon roz dhalta hoon 

"Saad" marna hai aik din mujh ko 
Is tamana pe zinda rehta hoon

Saad jee bhar kay tum hanso ab kay


Saad jee bhar kay tum hanso ab kay 
Aaj ban kay adu khulay apnay 

Khoon rawan hai meri wareedon main 
Dard kay qaaflay nahin ruktay 

Zor parta hai jab tabiyat par 
Shair ban kar utartay hain sapnay 

Moj dar moj rait geeli hui 
Ab yahan paaon apna kaisay paray 

Kuch to be'chainiyan hain "Saad" apni 
Kuch hain gardaab paaon kay halqay 

Us ne mujh ko nazar andaz kiya


Us ne mujh ko nazar andaz kiya 
Aik darr apni taraf baaz kiya 

Itni jaldi na fasana banta 
Hum ne her baat ko kiyon raaz kiya 

Itni hairat main woh sochay kaisay 
Hum ne kiya kuch pas-e-parwaz kiya 

Baans ka tukra tha shayed dil bhi 
Hum ne chaida to ussay saaz kiya 

"Saad" aisi bhi kya daad mili 
Us ne shairon pe meray naaz kiya 
 


Us ne pehlay mujhay dewar kiya


Us ne pehlay mujhay dewar kiya 
Aur phir khud hi ussay paar kiya 

Us ko dekhon to na dekha jaye 
Mujh ko is khouf ne beemar kiya 

Main keh khamosh raha mehfil main 
Bas youn hi ishq ka izhaar kiya 

Qatal honay ki thi khwaish mujh main 
Teri aankhon ko jo talwar kiya 

Mil gaya main ussay Aasani se 
Main ne khud kaam ko dushwaar kiya

Apna zikar kya karein us ka dain hawala kya


Apna zikar kya karein us ka dain hawala kya 
Kho diya so kho diya ab koi azala kya 

Apna apna dard hai , apni apni zindagi 
Mout kuch nahin to phir zehar ka piyala kya 

Waqat gar milay to phir sochna hai baith kar 
Behar-e-zindagi se bhi hum ne hai nikala kya 

Soch aur jazbay main aik jung rehti hai 
Dil se aagay kuch nahin zehan se hai bala kya 

"Saad" woh mila to kya aur juda hau to kya 
Pyar main yeh hota hai is main hai nirala kya 

Chasham-e-baran ka asar hai keh nahin


Chasham-e-baran ka asar hai keh nahin 
Ae sadaf tujh main gehar hai keh nahin 

Poochta phirta hai saya mera 
Raah main koi shajar hai keh nahin 

Gum hua shaher meri aankhon main 
Fard ko is ki khabar hai keh nahin 

Jheel aankhon main kanwal tairata hai 
Us pe titli ki nazar hai keh nahin 

Ik bhanwaray ki hai oqaat hi kya 
Phir bhi woh gul ka samar hai keh nahin 

"Saad" tashkeek teri apni jaga 
Kuch na kuch is se muffar hai keh nahin

Kaash mazi bhi haal ho jaye


Kaash mazi bhi haal ho jaye 
Jism-o-jaan ka wisaal ho jaye 

Baat jajti nahin meray munh se 
Tu karay to kamal ho jaye 

Hai amanat yeh zindagi apni 
Apni kuch dekh bhaal ho jaye 

Khouf khaao us aik lamhay se 
Jis main aankh ik sawal ho jaye 

Chand ki chandni hamari hai 
Jalta suraj jo dhaal ho jaye 

Ae khuda bandagi ka irfan de 
Dil main paida malaal ho ajye 

"Saad" kaisa yeh waqat aaya hai 
Khatam ik pal main saal ho jaye

Kon kehta hai keh tu meri safaai de de


Kon kehta hai keh tu meri safaai de de 
Bas mujhay apnay taaluq se rihaai de de 

Waqat ki sohbada bazi se dara mat mujh ko 
Tu dua kar kay mujhay dard-e-risaai de de 

Bas isi saa'at-e-lazzat kay liye jeeta hoon 
Sang tootay to sada mujh ko sunaai de de 

Zindagi kya hai keh khud se nahin milnay deti 
Mout kya hai keh hamein khud se judaai de de 

Aik achaai behar tor buri hai mujh main 
Apnay hissay ki mujhay duniya buraai de de 

"Saad" is dil main kabhi jhaank kay dekho to sahi 
Aain mumkin hai tumhein chaand dikhaai de de

Bas yahi ik tasawur hai bachanay wala


Bas yahi ik tasawur hai bachanay wala
Phir uthaey ga hamein duniya bana'nay wala

Yeh andheron ka safar janay kahan le jaye 
Kitna majboor hai is simat ko janay wala 

Khul gayi aankh kisi ki to khulla us par
Pakra jata hai yahan baat chupanay wala 

Lamha lamha bhi guzaro to guzar jati hai 
Waqat aisay hi guzar jata hai aanay wala 

"Saad" gehraai samandar ki koi kya janay 
Kab utar'ta hai yahan kashti chalanay wala 

"Saad" yeh shaher bhi mehroom hua aankhon se
Koi milta hi nahin ashk bahanay wala 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...