Aik manoos si khushboo hai fiza main ab tak
Paas se uth kay abhi koi gaya ho jaissay
Ronaq-e-zeest se khuch youn hai taaluq mujh ko
Phool gulshan main teh-e-shaakh para ho jaisay
Aadmi jaan kay khaata hai mohabbat main fraib
Khud fraibi hi mohabbat ka sila ho jaisay
Aik aansoo bhi bahaatay huye jee darta hai
Mujh ko dar'parda koi dekh raha ho jaisay
Youn zamana gham-e-doraan se draata hai mujhay
Meray haq main gham-e-doraan bhi khuda ho jaisay