Feb 27, 2016

Zehar-e-qaatil hai abgeeno main


Zehar-e-qaatil hai abgeeno main 
Saamp paltay hain Aasteeno main 

Chand qatray hain khoon-e-sa'il kay 
Ab sha'inshah  kay khazeeno main 

Khair ho ! Aasman sitaron ki 
Jag'magaye hain daagh seeno main 

Inqalaab-e-hayat kya kehiye 
Aadmi dhal gaye masheeno main 

Meray naghmon ka jee nahin lagta 
Mah paron main , meh jabeeno main 

Jao ! ehal-e-khird ki mehfil main 
Kya karo gay junoon nasheeno main 

Moj-e-sahil ko barh kay choom aayi 
Hum taraptay rahay safeeno main 

Kuch farishton ka naam insaan hai 
Meray ehsaas kay qareeno main 

Ab sha'raron ki fasal hai "Saghar"
Rang ugtay thay jin zameeno main

Waqar-e-anjuman hum se , farogh-e-anjuman hum hain


Waqar-e-anjuman hum se , farogh-e-anjuman hum hain
Sakoot-e-shab se poocho , subha ki pehli kiran , hum hain 

Ham hi si gulistan ki bijliyon ko khaas nisbat hai 
Baharein jaanti hain ronaq-e-sehan-e-chaman , hum hain

Zamanay ko na de ilzaam ae na'waqif-e-manzil ! 
Zamanay ki nazar hum hain , zamanay ka chalan , hum hain 

Qareeb-o-door ki baatein , nazar ka weham hain pyaray 
Yaqeen-e-reh'numa hum se , fasoon-e-rah'zan , hum hain 

Talu-e-aaftab hamaray naam par ho ga 
Woh jin ki khaak kay zarhay hain khursheed-e-watan , hum hain 

Behar surat hamari zaat se hain sil'salay saray 
Junoon ki sadagi hum hain , khir ka baank'pan , hum hain 

Hamaray haath main hai Saghar-e-farda idher dekho !
Idher dekho ! hareef-e-gardish-e-chirkh-e-kohan , hum hain 


Sar-e-maqtal hamein naghmaat ki taleem detay hain


Sar-e-maqtal hamein naghmaat ki taleem detay hain 
Yahan ehal-e-nazar zulmaat ki taleem detay hain 

Yahan kaliyan mehakti hain magar khushbu nahin hoti 
Shagoofay bar'mla  Afaat ki taleem detay hain 

Yahan kuch log aisay bhi hain zar'tabi qabaon main 
Sehar ka naam le kar raat ki taleem detay hain

Jinhein faizaan-e-gulshan hai na irfan-e-baharan hai 
Woh phoolon ko naye jazbaat ki taleem detay hain 

Rah-e-taqdeer us din kay liye kya dhoop aur saaye 
Teray gaiso jinhein halaat ki taleem detay hain 

Hamein zeba nahin deta rah-e-dushwar ka manzir 
Keh sehraon main bhi barsat ki taleem detay hain 

Jahan "saghar" sharab-e-zindagi ik zehar-e-qaatil hai 
Yaqeen walay wahan khad'shaat ki taleem detay hain



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...