Jan 22, 2017

Hor na koi shay jach'di waykhi


ہور نہ کوئی شے جچدی ویکھی

عشقے دی اگ مچدی ویکھی

گھنگھرو بنھ کے سینے اندر
یاد تیری میں نچدی ویکھی

میرے خاب دا مقصد دسو 
ٹُٹی چُوڑی کچدی ویکھی

Hor na koi shay jach'di waykhi 
Ishqay di Aag Macch di waykhi

Ghungroo banh kay seenay andar 
Yaad teri main nach di Waykhi 

Meray khaab da maqsad daso 
Tut'ti churi kach di waykhi


Hanju sadi taqdeer




Hanju sadi taqdeer

Asin hanjuan vich rul jana

Asi umraan tak tuhanu yaad rakhna

Par tusi holy holy sanu bhul jana

Kadi mehak nai mukdi phulaan wichon


Kadi mehak nai mukdi phulaan wichon
Phool sukday sukday suk janday

Koi qadar na janay payar di
Dil tutday tutday tut janday

Koi mul nai jug tay rishtyan daa
Eh chutday chutday chuth janday

Kadi Pyar nahi mukda dilan wichon
Saah mukday mukday muk janday

Jab koi muntazir na ho to


Jab koi muntazir na ho to , , , 

Raabtay achay nahin lagtay ,, !!

Kahin kuch aur bhi ho jaon na reza reza


Kahin kuch aur bhi ho jaon na reza reza

Aisa toota hoon keh jurtay huye darr lagta hai 

Kuch khaas dilon ko ishq kay ilhaam hotay hain


Kuch khaas dilon ko ishq kay ilhaam hotay hain 

Mohabbat moh'jaza hai , mohjazay kab aam hotay hain 

Teray baad hai bas be'parwahi


Teray baad hai bas be'parwahi 

Kuch khonay ka mujhay ab darr hi nahin 

Mera kirdaar na tha meri kahani main koi


Mera kirdaar na tha meri kahani main koi 

Baith kar door se bas apna tamasha daikha . .

Main ab kay loata to sadiyon ki umar laa'on ga


Main ab kay loata to sadiyon ki umar laa'on ga 

Keh teray saath mujhay mukhtasir nahin rehna !!!

Mujhay ishq kay par laga kar urra


Mujhay ishq kay par laga kar urra 

Meri khaak jugnoo bana kar urra 

Abhi to mom pighli teray intizaar main


Abhi to mom pighli teray intizaar main 

Abhi to mera jalna baqi hai , , , , ,! !

Kar kay ik doosray se ehad-e-wafa


Kar kay ik doosray se ehad-e-wafa 

Ayo ! kuch dair jhoot bolein hum 

Dil na'umeed to nahin , na'kaam hi to hai


Dil na'umeed to nahin , na'kaam hi to hai 

Lambi hai gham ki shaam , magar shaam hi to hai 

Issi khayal main guzri hai shaam-e-dard aksar


Issi khayal main guzri hai shaam-e-dard aksar 

Keh dard had se barhay ga to muskura doon ga 

Tu aasmaan ki surat hai , gir paray ga kabhi 

Zameen hoon main bhi magar tujh ko Aasra doon ga 

Kabhi jo yaad bhi aata hoon main , to kehtay hain


Kabhi jo yaad bhi aata hoon main , to kehtay hain 

Keh "Aaj bazam main kuch fitna-o-fasaad nahin "

Ik umar suna'ein to hikayat na ho poori


Ik umar suna'ein to hikayat na ho poori 

Do roz main hum par jo yahan beet gayi hai 

December main kaha tha na keh tum bhi loat ayo gay


December main kaha tha na keh tum bhi loat ayo gay 

Abhi tak tum nahin aaye decebmer loat aaya hai 

Yeh sil'sala-e-ishq hai meri jaan


Yeh sil'sala-e-ishq hai meri jaan 

Samjh main nahin aata , samjhaya nahin jaata 

Faqat baatein andheron ki mehaz qissay ujaalon kay


Faqat baatein andheron ki mehaz qissay ujaalon kay 

Chragh-e-aarzoo lay kar na tum niklay na hum niklay 

Meri raaton se poocho tum , hai teri justagoo kitni


Meri raaton se poocho tum , hai teri justagoo kitni 

Kabhi aflaak main khoye kabho doobay samnadar main 

Yeh dashat-e-hijar, yeh weh'shat


Yeh dashat-e-hijar 
Yeh weh'shat 
Yeh shaam kay saa'iye
Khuda yeh waqat teri aankh ko na dikhlaye 

Ishq-e-junoon jab had se guzar jaye to


Ishq-e-junoon jab had se guzar jaye to 

Be'khudi main raqs sar-e-bazar hua kartay hain 

Ishq kuch mehboob kay marnay se mar jaata nahin


Ishq kuch mehboob kay marnay se mar jaata nahin 

Rooh main gham ban kar rehta hai , magar jata nahin 

Bhout Aasaan hota hai


Bhout Aasaan hota hai 

Khushi main youn jhoom uth'na 

Barastay baadlon main phir 

Khushi kay geet youn gaana 

Kabhi jo kar sako to tum

Himmat bas sikhaa jaana 

Gham main bhi phir aisay hi 

Tum hans kay muskura dena 

Gham kitna hi sangeen ho


Gham kitna hi sangeen ho , Neend se 
Pehlay tak hai 

(Wasif Ali Wasif)

Jab panchi loat kar aatay hain


Jab panchi loat kar aatay hain 

Kuch log bhout yaad aatay hain 

Hai Khuda un kay iradon ka paas'baan


Hai Khuda un kay iradon ka paas'baan 

Jo intikhaab karein wardiyan , kafan kay liye 

Zikar tera meri kahani main


Zikar tera meri kahani main 

Zikar tera meri kahani main 
Chand ka aks jaisay pani main 

Woh to khamosh rahi aur hum 
Janay kya keh gaye rawani main 

Apni aankhein ganwai hain hum ne 
Apnay khawabon ki paas'bani main 

Aik muddat ka saath choot gaya 
Aik choti si bad'gumani main 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...