Jul 7, 2014

Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo



Taskeen na ho jis se woh raaz badal daalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal daalo

Tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai

Anjaam ka jo ho khatra aghaaz badal daalo

Pur'soz dilon ko jo muskaan nade paaye

Sur hi na mile jis main woh saaz badal daalo

Dushman ke iradon ko hai zahir agar karna

Tum khail wohi khailo andaaz badal daalo

Ae dost karo himmat kuch door sawera hai

Agar chahtay ho manzil to parwaaz badal daalo


Ana ka mamlaa dar'paish hai warna haqeeqat main


Ana ka mamlaa dar'paish hai warna haqeeqat main 

Issay meri, mujhe us ki , kami bhout mehsoos hoti hai

Hazaron dukh parain sehna mohabbat mar nahin sakti


Hazaron dukh parain sehna mohabbat mar nahin sakti 

Hai tum se bas yahi kehna mohabbat mar nahin sakti 

Tera her baar mere khat ko parhna aur ro dena 

Mera her baar likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Kiya tha hum ne campas ki nadi par ek haseen wada 

Bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti 

Jahan main jab talaj panchi chahaktay urrtay phirtay hain 

Hai jab tak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti 

Puraane ahad ko jab zinda karnay ka lamha aya

Mujhe bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti

Woh teray hijar ki shab main phone rakhnay se zara pehlay 

Bhout rotay huye kehna mohabbat mar nahin sakti 

Agar hum hasraton ki qabar main hi dafan ho jayein 

To yeh qutbon pe likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Puranay raabton ko phir naye waaday ki khwaish hai 

Zara aik baar to kehna mohabbat mar nahin sakti 

Gaye lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laaon 

Woh pehron haath pe likhna mohabbat mar nahin sakti 

Fanaa itna ho jaaon teri zaat main Ya'Allah


Fanaa itna ho jaaon teri zaat main Ya'Allah

Jo mujhe dekh le ussay tujh se mohabbat ho jaye

Koi samjhe to aik baat kahon


Koi samjhe to aik baat kahon 

Ishq tofeeq hai gunnah nahin

MAin nahin maanta kaaghaz par likha shajra-e-nasab


MAin nahin maanta kaaghaz par likha shajra-e-nasab 

Baat karney se qabeelay ka pata chalta hai

Bhout andar tak tabahi macha deta hai


Bhout andar tak tabahi macha deta hai 

Woh ansoo jo aankhon se beh nahin pata

Us ki baatain sochi samjhi jaisay "Mir" ke nazuk shair


Us ki baatain sochi samjhi jaisay "Mir" ke nazuk shair

Meri baatain behki behki jaisay ghalib ka dewaan

Himmat-e-iltaja nahin baaqi


Himmat-e-iltaja nahin baaqi 

Zabat ka hosla nahin baaqi 

Ik teri deed chin gayi mujh se

Warna duniya main kiya nahin baaqi

Apne mashq sitam se haath na keench

Main nahin ya wafa nahin baaqi

Poet : Faiz Ahmed Faiz

Ab na woh main hoon , na tu hai , na woh maazi hai faraz


Ab na woh main hoon , na tu hai , na woh maazi hai faraz

Jaisay do saaye tamana ke srabon main milain

Ab bhi barsaat ki raaton main badan toot'ta hai


Ab bhi barsaat ki raaton main badan toot'ta hai 

Jaag uth'ti hai ajab khwaishain angrai ki

Agar khloos ki doulat ke goshawaray banain


Agar khloos ki doulat ke goshawaray banain 

To shaher bhar main koi saahib-e-nisaab na ho

Ab to bas khwaab ki baisaakhi pe chalna ho ga


Ab to bas khwaab ki baisaakhi pe chalna ho ga 

Mudatain ho gayein is aankh ko mazoor huye

Arz-o-samaa kahan teri wusat ko paa sake


Arz-o-samaa kahan teri wusat ko paa sake 

Mera hi dil hai woh keh jahan tu sama sake

Aao ik sajda karain aalam-e-madhoshi main


Aao ik sajda karain aalam-e-madhoshi main 

Log kehtay hain keh sagar ko khuda yaad nahin

Atom bumb ejaad muzafar insaan ki


Atom bumb ejaad muzafar insaan ki 

Aur keeray takhleeq-e-resham kartay hain

Us ke andar koi funkaar chupa baitha hai


Us ke andar koi funkaar chupa baitha hai 

Jaantay boojhtay jis shakhs ne dhoka khaya

Aa ke pathar to mere sehan main do chaar giray


Aa ke pathar to mere sehan main do chaar giray 

Jitnay is pairr ke phal thay pas-e-dewaar giray

Asad khushi se mere haath paaon phool gaye


Asad khushi se mere haath paaon phool gaye 

Kaha jo tu ne zara meray paaon daab to de

Ata hai daagh hasrat-e-dil ka shumaar yaad


Ata hai daagh hasrat-e-dil ka shumaar yaad 

Mujh se meray gunnah ka hisaab ae khuda na maang

Aadam ki kisi roop main tehqeer na karna


Aadam ki kisi roop main tehqeer na karna 

Phirta hai zamanay main khuda bhais badal kar 

Kiya mera kaam koi doosra kar sakta hai


Kiya mera kaam koi doosra kar sakta hai 
Roz ik gehray samnadar main utar sakta hai 

Chaand niklay to khraabay ki taraf mat jana 
Aik saya tumhain aaghosh main bhar sakta hai 

Meharbaan ho keh main sailaab se keh aya hoon 
Tu hai be'ghar tu mere ghar main tehar sakta hai 

Hansana , rona , dar-o-dewaar se baatain karna 
Jis tarah raat gayi , din bhi guzar sakta hai 

Mujh main jo shakhs hai , pathar bhi hai aaiyana bhi hai 
MAr ke jee sakta hai , jeetay huye mar sakta hai 

MAin jo aankhain teray sehra main liye phirta hoon 
Un ka paani bhi sraabon main bikhar sakta hai 

Pagal hai zamana phoolon ka duniya hai dewaani phoolon ki


Pagal hai zamana phoolon ka duniya hai dewaani phoolon ki 
Gulshan se keh do khair nahin , ayi hai jawani phoolon ki 

Husan ki chahat ke parday main husan ki loot chalti hai
Phool to ghreeb kiya kartay dushman hai jawani phoolon ki 

Wajib to ho ga keh kharon ko us ki tu na lena khabar 
Chaak hua daman tab main ne ' chairi jawani phoolon ki 

Gulshan ko loota duniya ka ilzaam hai kis ke joban par 
Kaanton ki adalat ho baithi , phir kiya lena zubaani phoolon ki 

Jharti kushboo phaili hai , phaili sehar ki gulshan main 
Mushtaq hai kisi ki deed ki yeh rooti jawani phoolon ki 

Do pal jeevan ki rangat hai do pal chaman ki ronaq hai 
Hasil hai anjaam kaliyon ko yeh sabaq kahani phoolon ki 

Dekhi hai samad ne is ghazal main kiya namkin jawaani phoolon ki 
Kiya khoob ghazal aap kehtay hain her shair main rawaani phoolon ki 

Sard sard mousam main zard zard honton pe


Sard sard mousam main 
Zard zard honton pe 
Chup ka yeh jo pehra hai
Yeh bhi juram tehra hai 
Iss taveel chup ka bhi 
Un ke sar hi sehra hai 
Sardiyon ki shaamon main 
Shaal orhay yaadon ki 
Haan kisi ke wadon ki 
Chal ae dil tu us waadi
Jis jaga pe kaanton ka 
Ik ghana sa jungle hai 
Us ghanay se jungle main 
Qabar hai shakista si 
Us main dafan hain yaadain 
Kuch udaas shamon ki 

Bijliyaan hosh pe gira hi de



Bijliyaan hosh pe gira hi de 
Aaj parda sanam utha hi de

Pyaas bujhti nahin hai sagar se
Mere saaqi mujhe suraahi de

Ab koi loat ke na aye ga 
Aas ke sab diye bujha hi de

Sab se kartay raho bayan us ka 
Us ko shayed koi bata hi de

Meh'kaday ki kabhi to aye saaqi 
May'kashon ko bhi sar'brahi de 

Khud hi qaatil banay hain munsif bhi
Kon ab qaatil ki gawahi de

Apna hi mulk jo fatah kar lain 
Hum ko aisay na ab sipahi de

Kaisa suraj tulooh hua hai "qamar"
Din main jo raat ki siyahi de 

Sunsaan raahon pe chaltay dil sawaal karta hai


Sunsaan raahon pe chaltay 
Dil sawaal karta hai 
Aaj kiyon akela hoon
Dil ko ab kiya batlayein 
Khail yeh muqadar ke
Kuch ajeeb hotay hain 
Dil main basnay walon ke kab
Saath naseeb hotay hain 

Khail ik hum khailay thay 
Khail hum woh haaray hain
Faysal us ki chahat main
Jaan-o-dil bhi waaray hain 
Phir nahin mila woh jab 
tab khyaal aya keh 
Main bhi kitna tanha hoon 

Meri is tanhai main 
Koi hamsafar hota 
main bhi ghar ko jaata gar 
Mera bhi koi ghar hota 
Aisa to par kuch bhi nahin 
Main hoon tanha rahain hain
Jin par jab bhi  chalta hoon 
Dil sawaal karta hai

Hum kabi na kabhi mar jayein gy


Hum kabi na kabhi mar jayein gy 
Jab tum mur ke dekho gy 
tab hum nazar nahin ayein gy
Khushiyaan dhoondtay dhoondtay 
Dukh kitnay uthain gy
Raah main anay wale sab 
Mushkalon se takrain gy
Phir bhi hum ko nahin yakeen 
Tujh ko bhool jayein gy 
Faysal is qissay ko hum 
Kab talak dohrain gy 
Tu ne hum ko jaana nahin 
Pyaar hamara maana nahin 
Shayed tu hum ko samjha sake
Dil ko yeh samjhain gy 
Hum jkabhi na kabhi mar jayein gy

Jab shaam ke bheegay saye hon koi ghar janey ki baat karay


Jab shaam ke bheegay saye hon 
Koi ghar janey ki baat karay 
Hum ko kiyon aisa lagta hai
Kaash apna bhi ik ghar hota 

Us apne ghar ke aangan main 
Kai pyaar ke deep jalatay hum 
Ya phir ban kar , jaisay shabnam
Ek pyaar ka pairr lagatay hum 
+Yaa us ki chat ko chand gagan
Chanda taaron se sajatay hum 
Phir lait kar apne bistar main 
Aur khol kar apni aankhon ko 
Kitney hi khwwab dikhatay hum 

Par aisa to ab kuch bhi nahin 
Na tum ho na woh aangan hai 
Saray mousam ab phagan hain 
Hain sard hawaein zard shajar 
Na chaand hai  na taaray hain 
Her soo chaya andhera magar 
Teri yaad ka suraj nikka hai 

Woh suraj, dhalti shaam aur main 
Youn sar ko jhukaye baithay hain 
Teri yaadain , baatain , piyaar woh sab 
Seenay se lagaye baithay hain 

Faisal tum hi ab batlaao
Jab tanha kaatna ho yeh safar 
Koi jaye phir kiyon apne ghar 
Jahan apna koi na rehta ho


Sunehri shaam ka manzar , bhala sa ik chahera tha


Sunehri shaam ka manzar , bhala sa ik chahera tha 
Dil-e-tanha ki dharkan par , teri yaadon ke pehra tha 

Hamaray dil ke ghayo, bhar hi jaatay , gar na hotay tum 
Keh tum ghafil maseeha thay , yahan par zakham gehra tha 

Woh jis ne aa ke meri zindagi rangeen kar daali
Ussi ke sar meri itni zaboon haali ka sehra tha 

Jo bhaa jaat to kar deta teh-o-bala duniya ko 
Woh ik ansoo, tere jaanay par , palkon pe tehra tha 

Sabhi ahbaab waqif thay , hamaray ishq se Imran
Magar jo tha makeen-e-dil , wohi si se behraa tha

Aaj sarma ki pehli baarish hai


Aaj sarma ki pehli baarish hai 
Her soo andhera chaya hai 
Meri amwaas zindagi ki tarah 
Raastay sunsaan aur soonay hain 
Mere khali ghar ki tarah 
Baadal bhi khul ke barsaa hai 
Meri bheegi aankhon ki tarah 
Hawa kitni yak'basta hai 
Honton pe anay wali
Sard aahon ki tarah 
Dil main reh janay wali 
Kuch duaon ki tarah 
Es ajeeb mousam main 
Ajab hai dil ka haal meray 
Yaad tumhari aati hai 
Jaisay sarma ki pehli baarish 
Saath main sardi laati hai 
Kuch waisay hi teri yaad ke juloo main 
Ik gehra snaata aya hai 
Ab dil ke baraf zaron main 
Her aahat , Madoom hui hai 
Her umeed , madoom hui hai 
Ab teri yaad ki shiddat main 
Ab teray hijar ki hiddat main 
Hum chup chaap pighaltay hain 

Ab teray hijar ki hiddat main hum chup chaap pighaltay hain


Aaj sarma ki pehli baarish hai 
Her soo andhera chaya hai 
Meri amwaas zindagi ki tarah 
Raastay sunsaan aur soonay hain 
Mere khali ghar ki tarah 
Baadal bhi khul ke barsaa hai 
Meri bheegi aankhon ki tarah 
Hawa kitni yak'basta hai 
Honton pe anay wali
Sard aahon ki tarah 
Dil main reh janay wali 
Kuch duaon ki tarah 
Es ajeeb mousam main 
Ajab hai dil ka haal meray 
Yaad tumhari aati hai 
Jaisay sarma ki pehli baarish 
Saath main sardi laati hai 
Kuch waisay hi teri yaad ke juloo main 
Ik gehra snaata aya hai 
Ab dil ke baraf zaron main 
Her aahat , Madoom hui hai 
Her umeed , madoom hui hai 
Ab teri yaad ki shiddat main 
Ab teray hijar ki hiddat main 
Hum chup chaap pighaltay hain 

Kisi ne mujh se pooch liya kaisay ho



Kisi ne mujh se pooch liya kaisay ho ?
Main ne hans kay kaha 
Zindagi main gham hai 
Gham main dard hai 
Dard main maza hai 
Aur mazay main hum hain

Zindagi ko suljhanay main ulajti hai zindagi


Zindagi ko suljhanay main ulajti hai  zindagi 
Pyaar ke deep jalanay main sulagti hai zindagi 

Hum ne kaha yeh kab keh wafa tum na karo gy 
Haan kuch waaday nibhanay main lagti hai zindagi

Chahat main , mohabbat main griftaar huye ho 
Ab khud hi jaan jaao gy , bilaktee hai zindagi 

Mohabbaton ke raahi aa jatay hain nigah main 
Keh un ki nigahon se chalakti hai zindagi 

Imran diyaar-e-ghar ho ya madar-e-watan 
Acha wohi hai dais jahan milti hai zindagi

Hum ko tere dukhon ne dard se choor kiya hai


Hum ko tere dukhon ne dard se choor kiya hai 
Veeraana-e-dil main jazbaat ko maqboor kiya hai 

Kai baar ruk sake na meri aankh se aansoo
Zabt-e-mohaal, Tu ne bhi saath chor diya hai 

Hum saazishon ke jungle main gaye raah se bhatak 
Meer-e-karwaan ne bhi rukh mor liya hai 

Jeetay jee hum jo bikhray hain , hairaan tum ho kiyon 
Yeh us hi dil ke tukray hain jo tor diya hai 

Hum ko khyaal main anjuman -arai'yaan thein pasand 
Tabeer mili to sapnay dekhna chor diya hai 

Faysal hamaray ishq ki thi intihaa koi 
Phir us ne kiyon ghairon se naata jor liya hai

Kitni ajeeb baat hai keh ab woh mere saath hai


Kitni ajeeb baat hai 
Keh ab woh mere saath hai
Kitni ajeeb baat thi 
Woh tab bhi mere saath thi 
Par tab ,dooriyan bhi thein 
Chahat ko aik hone main 
Bhout se majbooriyan bhi thein 
Hum tab bhi baat kartay thay 
Hum ab bhi baat kartay hain 
TAb cards khatam ho jaatay thay 
Magar baat khatam na hoti thi 
Ab samne hain main aur woh magar 
Kiyon sochna parta hai , agar 
Koi baat us se kehni ho 

Pardais jane ka gham kon boojh sakta hai


Pardais jane ka gham 
Kon boojh sakta hai 
Pardasiyon ke aansoo
Kon ponch sakta hai 
Koi bhi nahin hota 
Jis ke galay lag jayein 
Eid ke din bhi hum 
Udaasiyon main gum ' gaaein 
Geet woh mohabbat ke 
Hum jo gun'gunatay thay 
Sochon main , khyalon main 
Aik hote jaatay hain 
Kis tarah se kat'ti hai 
Kis tarah se batlayein 
Dil ke zakham apno ko 
Kis tarh se diklayein 
Zakham jo ik nishaani hain
Chahaton ke bandhan ki 
Jo keh hum ne baandhay hain 
Jo kabhi na tootain gy 
Hum hi toot jayein gy 
Tere dukh ki khulfat se
TAb hi choot paayein gy

Adhoori sanson ka safar adhooray khwabon ka nagar


Adhoori sanson ka safar 
Adhooray khwabon ka nagar 

Hum ne gee kar dekh liya 
Adhoori zindagi mili magar 

Ashk aankhon main ayein to 
Dhundlaney lagtay hain manzar 

Halankay barkha sawan main 
Khill se jatay hain shajar 

Yeh jo tum khush khush rehtay ho 
Meri chahat ka hai sab asar 

Main tum se pyaar karta hoon 
Tum hi ho ab meri mehwar 

Kaanch se hain jazbay meray
Toot kar jayein na bikhar 

Mohabbat ki si baazi main 
Tumhain jeetain gy , haray gar 

Yahi Imran ab khwaish hai 
Umar ho tere sang basar

Mohabbat mar nahin sakti mohabbat maar deti hai


Baarishain rooth jaati hain 
Kisi ko na mananay par 

Kisi ke yaad anay par
Yeh phir rim jhim barasti hain 
Bhout nuqsaan karti hain 
Tab pale kuch nahin rehta 

Tabhi to tum se kehta hoon 
Mohabbat tum nahin karna 
Tum is qazye main mat parna 

Agar tum ruk na paao to 
Khud ko mohaal mat karna 
Mohabbat ko anaa ke but pe 
Tum qurbaan mat karna 

Kiyon keh 

Mohabbat zindagi ke dukh ka 
Dil ko baar deti hai
Agar tum jeetna chaho 
tumhain yeh haar deti hai 
Jo sar ko tum jhuka do gy 
Tumhain yeh pyaar deti hai

Imran rakhna tum yeh yaad
Mohabbat mar nahin sakti
Mohabbat maar deti hai

Bhout takleef hoti hai , bhout hi dard sehta hoon


Bhout takleef hoti hai , bhout hi dard sehta hoon
Main teri yaad aye to , ghazal aur shair kehta hoon

Yeh mumkin hai na samjho tum , mere dil ki baaton ko
Mari shaamain bhi tum se hain , tumhai ko sehar kehta hoon

Yeh ranjish hai ,adawat hai , mohabbat hai , keh majboori
Teri yaadon ke hain tarkash bharay, aur main ne'htta hoon

Woh ghar tha jis main jeena, main ne, tum ne , aur mohabbat ne
Ab us tootay gharondy main , tanha main bhi rehta hoon

Mujhe toofaan ki mojon ka koi dar ab nahin Imran
Jafaa ky baher main bhi safeena bhi to bahata hoon

Jo hun nahin to gham nahin


Jo hun nahin to gham nahin 
Jo tum hotee to gham nahin 
Hum tum se bichar kar zinda hain 
Kiya yeh saza abhi kam nahin 
Hum ne to dariya baha diye
Teri aankh phir bhi nam nahin 
Abhi aur kitna jeevan hai 
Keh tootay dil main dam nahin 

Hum ne to tum ko chaha tha 
Sapnon main tum ko paya tha
Jo tum ne thukraya to hai 
par piyaar hua yeh kam nahin 

Ab taskeen nahin milti 
Dil ki makeen nahin milti 
Jo mili thi woh to chor gayi 
Jo mile gi woh sanam nahin 

Imran yeh hum ne jaana hai 
Yeh qissa bhout puraana hai 
Kirdaar badaltay rehtay hain 
Aaj hum hain aur kal hum nahin

Hum dil ke safar pe jayein gy


Hum dil ke safar pe jayein gy 
hum ne yeh socha hai jana 
tere saath yeh jeevan bitayein ge
Ab tak to jeetay rehtay thay 
Ab se zindagi apnaein gy 
Tum paas raho , ya door raho 
Tum dil ke dukhon se choor raho 
Hum aaj se wada kartay hain 
Hum yeh irada kartay hain
Tere dukhon ka ho ga madawa
Teri raahon main ho ga chiraaghan 
Teri basti goonjay shahnaai
Tere mann main ho gi beenaai
Koi zakham na phir reh jaye ga 
Hum hi marham ban jayein gy 
Khushiyon se ho ge shaad jo tum 
hum dekhain gy , abaad ho tum 
Ujray ho jaisay baad ho tum 
Shadaan ho , farhad ho tum 
Jab aisay tum ban jaao gy
Tab Imran mile gi hum ko khushi 
Tab hum aashiq keh'layein gy 
Hum dil ke safar pe jayein gy

Mere zehan main ik tera hi tasawur hai


Mere zehan main ik tera hi tasawur hai 
Woh tasawar keh jo dil se juda nahin hota 

Zehan-o-dil main ik jung barpaa rehti hai 
Aur is jung ka koi faisala nahin hota 

Zehan kehta hai tu apni nahin , parai hai 
Dil yeh kehta hai sanam be'wafa nahin hota 

Aik uljhan si mere saath lagi rehti hai 
Es uljhan ka koi bhi sehra nahin hota 

Yaad karta hoon jab guzray maah-o-saal ko main 
Tujh ko khonay ka kahin bhi gumaan nahin hota 

Hum ne jo saath guzaray hain lamhay , un sab main 
Ek gharri ko bhi main gham aashna nahin hota 

Par jo dekhon main apnay ahad ka chalan Imran
Be'los ishq ka yahan kuch silaa nahin hota

Toofaan ki nagri main koi pyaar ke deep jalaye kaisay


Toofaan ki nagri main koi pyaar ke deep jalaye kaisay
Her hath main so so pathar hain  koi kaanch ka ghar banaye kaisay

Dard ke is markiz main her aankh hai purnam ashkon se
Yahan khushiyan to anmol si hain koi muskaan laboon pe laye kaisay

Woh waqat to kab ka beet gaya dukh dard jab baanta kartay thay
Yeh khud'gharzon ki duniya hai koi tere ranj ghataye kaisay

Her shakhs masroof hai nafrat main yahan baat nakar mohabbat ki
Bahaarain chaman se rooth gayi hainphool se shabnam aye kaise

Yeh nagar bhout abaad to hai par milta koi insaan nahin 
Jab izzat ho sab jhooton ki koi sach labon pe laye kaisay

JAb ujraye basti khwabon ki aur dil ka mousam jal'thal ho 
Phir zabat ka daaman chuta ho koi apne ashk chupaye kaisay 

Jo tehreer nahin raikhaon main ussay toot ke dil ne chaha hai 
Her shai main us ki soorat hai koi aur nazar main samaye kaisay 

Aap ko main ne nigahon main basa rakha hai


Aap ko main ne nigahon main basa rakha hai 
Aaiyna choriye aaiynay main kiya rakha hai 

Tu ne phool jo zulfon main saja rakha hai 
Yeh dia hai jo andheray main jala rakha hai 

Tu bhi kehti ho qayamat main milain ge hum ko 
Choriya choriya  is baat main kiya rakha hai 

Jeet le jaye koi mujh ko naseebon wala
Zindagi ne mujhe dewaar pe laga rakha hai

Un ki aankhon se mujhe kehnay na deti hai


Un ki aankhon se mujhe kehnay na deti hai
Kahoon kiya zubaan se mujhe bolney na deti hai 

Karti hai tang mujhe sapno main aa ke 
Kiya karoon raaton ko sonay na deti hai 

Meri saanson main mere dil main basi hai 
Dharkano ko dharkano se milne na deti hai

Kaali si zulfon main qaid kar leti hai 
Apne door mujhe rehnay na deti hai

Sangeet is ki chahat ka mann main basa hai 
Magar kiya karoon woh mujhe ganay na deti hai

Yeh bhi ek dour hai yeh bhi guzar jaye ga


Yeh bhi ek dour hai 

YEh bhi guzar jaye ga 

Yeh mast kharamaam waqat 

Apni chaal badal jaaye ga 

Is jisam ka her ansar 

Qatra qatra pighal jaaye ga 

Be'khwaab in raaston se 

Her khwaab nikal jaaye ga 

Rang badaltay chaheron ka 

Ek aur rang dhal jaaye ga 

Zakham puraane kehtay hain 

Naya her dard behal jaaye ga 

Zindagi ik musafar ka kuba

Musafir choola badal jaaye  ga 

Main ek haqeeqat hoon abhi 

Mujh par bhi yeh kal aaye ga

Kabhi socha hai tu ne dil kiya kehta hai


Kabhi socha hai tu ne dil kiya kehta hai 
Kabhi socha hai kiya hota jab toot'ta hai 
Kitne dard hota hain 
Jab apno se khauff hota hai 
Woh manzar bhi kiya manzar hota hai 
Jab tu kareeb reh kar bhi door hota hai 
Kitna kamzor woh shakhs hota hai 
Jo dost hi ko dhoka deta hai 
Itna bad'naseeb woh kiyon hota hai 
Jo majmay main bhi akela hota hai 
Judai ka gham bhi kiya gham hota hai 
Kiyon her koi mujh se sawaal karta hai 
Kiyon mera dil her baar roo deta hai 
Ab to saya bhi yeh hi sawaal karta hai 
Kaisay tu itna khush rehta hai

Yeh be'khudi keh rahi hai


Yeh be'khudi keh rahi hai 

Yeh be'sabab nahin hai 

Koi dushman hosh ka hai 

Koi hosh ab nahin hai 

Deewana dil keh raha hai 

Deewana yeh kab nahin hai 

Khird ka ab kiya karo gy

Khird'gar sab nahin hain 

Duniya se kiya dil lagana 

Duniya apni jab nahin hai 

Kal khwaab ke siwa kiya 

Kal ghar koi shab nahin hai 

Her saans kash'makash hai 

Her taraf tu jab nahin hai

Kahin kisi shaher main phir kisi kay ghar main


Kahin kisi shaher main 

Phir kisi ke ghar main 

Koi hasraton ka maara 

Aaj mar gaya ho ga 

Dilon ke bhaid saaray 

Jaan letay hain sitaray 

Khud apni hi chaal se

Koi dar gaya ho ga 

Yeh do aankhain dekho 

Kitne khwaab dekhti hain 

Kisi ka in se guzar kar 

Waqat tehar gaya ho ga 

Kahin nafa barhaana hai 

Kahin aarzoo sarghana hai 

Asaan hai shikaar hona 

Shikaar kar gaya ho ga 

Ussay marghoob chahatein hain 

Be'basi ki shikayatein hain 

Us ka ab bhi woh thikaana 

Wahin woh phir gaya ho ga

Meri mutthi main band ik jugnoo


Meri mutthi main band ik jugnoo 
Bahar nikalna chahta hai 
Par nikal paata nahin 
Raasta dhoondta hai 
Par dhoond paata nahin 
Main mutthi kaisay khol doon 
Wohi to mera apna hai 
Agar mutthi khul gayi to 
Woh urr jaye ga 
Mere liye murr kar 
Kabhi nahin aye ga 
Woh jaanta hi nahin 
Mujhe woh kitn apyaara hai 
Wohi to bas ik sahara hai 
Woh jaanta hi nahin 
Jaane bhi to kaisay 
Woh to apni duniya ka baasi hai 
Meri duniya 
Jo sirf meri duniya hai 
Woh us kay liye anjaani hai 
Woh jaana chahata hai 
 Ussay jana hi ho ga 
Kiyon keh 
Kai sitaray
Us ke muntazir hain 
Ussay unhain raasta dikhana hai 
Us safar pe un ko jana hai 
MAin itni zaalim to nahin 
Main itni sang'dil to nahin 
NAhin 
Main khud gharz to nahin 
Meri mutthi ko khulna hi ho ga 
Us jugnoo ko urrna hi ho ga 
Batool bhi kitni pagal hai 
Dost banaya bhi to ussay 
Jo chraagh hai kai manzalon ka 
Jo raahi hai kai raaston ka 
Ussay aagay jaana hi ho ga 
Apni manzil ko paana ho ga 
Jaa mere jugnoo
Aaj main mutthi apni khol di
YEh haath  phir se khaali hain 
Na'jane ksisay sawali hain 
Khairaat koi de jata hai 
Do pal ki khushi de jata hai 
Yeh phir bhi kiyon matwaali hain 
Yeh haath phir se khaali hain 
 

 

Shaher-e-khamo'shaan se aya hai koi qasid


Shaher-e-khamo'shaan se
Aya hai koi qasid
Khamoshiyon main koi 
Phir se tehalka hai 
Her dam badal raha hai 
Rang ulfaton ka 
Ab ke himaaqaton ka 
Rang bhi halka hai 
Her baar us se mil kar 
Us ko hi hum ne dhoonda 
Her chaheray pe hai qadaar 
Yeh usi ka malka hai 
Toba us ke be'niyazi 
Ishq ki dekh sar'farazi 
Aashiqon ki her ada main 
Wohi to jhalka hai 
Apna yeh nahin thikana 
Us se mil kar raaz jana 
Us ke sang safar yeh 
Gulshan se gul ka hai 
Her qadam ik manzal 
Her raah , raah-e-haq hai 
Mila reh'bar ki surat 
Makeen mere dil ka hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...