Jun 27, 2014

Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par


Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par 
Dard bhool jatay hain ab bhi teri aahat par 

Shabnami sitaron main phool khilne lagta hai 
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat par 

Umar kaat di lakin bachpan nahin jata 
Hum dia jalatay hain ab bhi teri aahat par  

Teri yaad ayi to neend jati rahi hai 
Khwaab toot jatay hain ab bhi teri aahat par

Jo sitam kare aa kar sab qabool hai dil ko 
Hum khushi manatay hain ab bhi teri aahat par 

Teray hijjar main hum pe ek azaab taari hai 
Chonk chonk jatay hain ab bhi teri aahat par

Yaadon ky samndar main ek lehar si aaj ayi hai


Yaadon ky samndar main 

Ek lehar si aaj ayi hai 

Machalti hai bhout aaj woh 

Tarap tarap kar chitano se takrati hai 

Hai kinara magar kinara nahin 

Yeh baat na ab tak samjh pai hai 

Hai khula asmaan charon taraf 

Phir bhi bhout tanhai hai

Yaadon ky samndar main 

Ek lehar si aaj ai hai 

Machalti hai bhout aaj woh 

Tarap tarap kar chitano se takrati hai

Churaye phirtay thay jo tujh se hi nazrain aksar


Churaye phirtay thay jo tujh se hi nazrain aksar 
Un hi nazron ko , teri deed ko , tarastay dekha 

Woh jo kehtay thay , tera aks nahin un aankhon main 
Un hi aankhon ko , teri yaad main basatay dekha 

Dil ky darwaze jin ky her dastak pe waa hotay thay 
Un hi ky dil ko , sirf teray liye , ab dharaktay dekha 

Dabi dabi si chingaari se bhi , jo naalan thay 
Phir ishq ka shola , un ky bharaktay dekha

Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh


Tu bahaar ban ky titli gulaboon ki raah'guzaar main reh 
Misal moj-e-saba , khaima-e-bahaar main reh 

Agar pasand hon sehra ki chandani raatain 
Tu meray dost dil ki raah'guzar main reh 

Na cheen mujh se rafaqat ki dil'nasheen kushboo 
Meray habeeb meray pyaar ky hisaar main reh 

Na in shareer nighaon ki maan tu ae dil 
Hamara dil hai hamaray hi ikhtiyaar main reh 

Dar band abhi se na kar , dia na bhuja 
Kuch aur dair zara us ky intizaar main reh 

Woh dekh jheel main rehta hai jis tarah mehtaab 
Tu meri jaan, meri chasham-e-ashk'baar main reh

Is zamaney se na hum koi gila rakhain gy


Is zamaney se na hum koi gila rakhain gy 
Dil lagayein gy to shart-e-wafa rakhain gy 

Na dikhyein gy kabhi dil pe laga zakham unhain 
Dard uthay ga magar dil ko daba rakhain gy 

Sab hata dain gy teri raah ki rukawat hamdam 
Ghar ky dareechay ko her waqat khula rakhain gy 

Un ki her baat ko bhoolay se na bhoolain gy kabhi 
Un ki yaadon ko bhi seenay se laga rakhain gy 

Toot bhi jaye gi umeed jo teray aanay ki 
Ek diya phir bhi hawaon main jala rakhain gy 

Doston se kaha karta tha woh bhi


Doston se kaha karta tha woh bhi 
Kiya yeh bhi jee sakta hai meray bin 

Mazaq ban jaya karta tha jo doston main 
Khud ko tanha samjhta tha woh mere bin 

Issay had-e-deewangi kahoon ya pagal pan 
Tasawar main woh baatein karta tha mere bin     

Woh mousamon ko badalney se darta nahin tha lakin 
Bahaar main murjhaya karta tha mere bin 

Ab aas toot gayein us ky aanay ki 
Lagat hai jeena seekh chuka hai mere bin

Gham ki baarish ne bhi teray naqash ko dhoya nahin



Gham ki baarish ne bhi teray naqash ko dhoya nahin 

Tu ne mujh ko kho dia main ne tujhay khoya nahin

Saazon ky badlay , dua hum ne ki thi


Saazon ky badlay , dua hum ne ki thi 
Jafaon ky badlay , wafa hum ne ki thi 

Sabhi kuch mita kar , sabhi kuch bhula kar 
Shikayat bhi un se kahan hum ne ki hai 

Mohabbat ky badlay mohabbat nahin hai 
Ulfat ky peechay adawat chuppi hai 

Woh aisa karain gy , woh aisa kahain gy 
Un hi kay liye sab kuch ganwaya 

Woh hum pe marain gy , woh hum pe mittein gy 
Yeh chahat bhi un se kahan hum ne ki hai 

Zamaney ki chaalon ko samjho zara tum 
Mohabbat main khud ko sambhalo bhala tum 

Tum hi ko chahein , tum hi ko srahain 
Yeh qasmain bhi un se kahan hum ne lein thein

Jis ko lenay taajron ka dasta nikla


Jis ko lenay taajron ka dasta nikla 
Bikney aya to tawaqo se bhi sasta nikla 

Apney seenay main chupaye huwey teri yaadain 
Hum par her shakhs awazain kasta nikla 

Hum ne her baat bhout soch samjh kar ki hai 
Bas ik lafaz-e-mohabbat tha jo barjasta nikla 

Woh jis ne paaon talay kitney paaon masal daalay 
Kal wohi shaks mohabbat ko tarasta nikla 

Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri 
Mera her gham tere gham se paiwasta nikla

Hum pe ilzaam jo dhar jata hai


Hum pe ilzaam jo dhar jata hai 
Is ka ehsaan hai , kar jata hai 

Aap to baat faqat kartay hain 
Teer sa dil main utar jata hai 

Chandani sath hi chalti hai sada 
Jis ufaq par bhi qamar jata hai 

Chaid sa kar ky naya seenay main 
Hadsa aa ky guzar jata hai 

Dhoop taqseem jo karta hai 
Aap tareeki main mar jata hai

Samjh jana keh woh main hoon


Hatheli samne rakhna
Keh sab aansoo girain us main 
Jo ruk jaye ga honton par 
Samjh jana keh woh main hoon 

Kabhi jo chaand ko dekho 
To tum muskura dena 
Jo chal jaye hawa thandi 
To aankhain band kar lena 
Jo jhonka tez ho sab se 
Samjh jana keh woh main hoon 

Jo ziada yaad aaon main 
To tum ro lena jee bhar ky 
Agar hichki koi aye 
Samjh jana keh main hoon 

Agar tum bhoona chaho 
Mujhay shayed bhula do tum 
Magar jab saans lena tum 
Samjh jana keh woh main hoon

Mohabbat hamsafar meri


Kathan hai zindagi kitni 

Safar dushwaar kitna hai 

Kabhi paaon nahin chaltay 

Kabhi raasta nahin milta 

Hamara sath de paaye 

Koi aisa nahin milta 

Agar main youn guzaron to 

Yeh shab-o-roz nahin kat'ty

Magar ae meray maalik 

Mujhay shikwa nahin tujh se

Main jaan pe khail sakta hoon 

 Main dukh jhail sakta hoon 

Agar tu aaj hi kar de 

Mohabbat hamsafar meri


Mohabbat rang badalti hai


Mohabbat rang badalti hai 
Aur is ka koi bhi rang mustaqil 
Pukhta nahin hota 
Naveed-e-sehar ki koi 
Daleel-e-be'kraan jaisay 
Kisi mushkil safar main 
Qaafla ik be'imaan jaisay 
Kabhi hairaan se lehjay 
Koi dil bad'gumaan jaisay 
Jhulasti dhoop main saaye 
Shajar-e-meharbaan jaisay 
Kabhi na rukney wala zindagi ka karwaan jaisay 
Koi rangeen si 
Sangeen si 
Ik daastaan jaisay 
Mohabbat ibtida main baal kholay muskuraati hai 
Kabhi nazam main 
Her shair main 
Her ista'aaray main 
Ghataon ki tarah ghir ghir ky aati hai aur barasti hai 
Kabhi sehra ki man'nind 
Chand boondon ko tarasti hai 
Kabhi ik bul'bulay ki tarah 
Pal do pal ko  hansati hai 
Kabhi sadion talak 
Dil ki nihaan khaano main basti hai 
Kabhi khurd ky andeshay 
Kabhi hans hans ky roti hai
KAbhi ro ro ky hansti hai 
Mohabbat aadmi ki zindagi ka dhang badalti hai 
Mohabbat khud rang badalti hai
Mohabbat rang badalti hai 

Juda hona hi tehra to gilay kaisay shikayat kiya


Juda hona hi tehra to 

Gilay kaisay shikayat kiya 

Juda ho jayein chupky se 

Na tum bolo na main bolon 

Hamaray bol parney se 

Judai phail sakti hai 

Hawaon main 

Fizaon main 

Judai zaat main bhar lain 

Chalo hum is tarah kar lain 

Kisi sunsaan raastay ko 

Kisi bhi mor par dono 

Juda ho jayein chupke se 

Na tum bolo na main bolun 

Hamaray bol parney se 

Judai phail sakti hai

Mohabbat main deewangi zaroori hai


Mohabbat main deewangi zaroori hai 

Mohabbat saray rishtay natay tor deti hai 

Faqat ik dil se rishta jor lati hai

Mohabbat ki haddain hoti nahin

Haddon ko tor dena 

Is ka shaiwa hai 

Agar tumhain mujh se 

Mohabbat hai to phir 

Yeh rishtay naaton ki 

Bandashein torna hon gi

Agar aisa nahin kar sakte to 

Phir hum tum apni khwaish ky 

Khiloney tor detay hain 

Dilon ko mor letay hain 

Mohabbat chor detay hain 

Dukh hantay hain


Jab aankh main ansoo atay hain 
Jab dil ki dharkan roti hai 
Jab door kahin sanatay main 
Ek chaap si koi hoti hai 
Jan munh main ansoo girtay hain 
Dukh hantay hain , dukh hanstay hain 

JAb raat kay saye dhaltay hain 
Aur panchi pankh andheray main 
Ghar loat ky aya kartay hain 
Phir hum jaisay deewane log 
Parem ki aag main jaltay hain 
Dukh hantay hain , dukh hanstay hain 

JAb waqat ky koray kaaghaz par 
Bas rang bharna reh jata hai 
Aur sang chalna reh jata hai 
Phir apne saat samandar paar 
Door kahin ja bastay hain 
Dukh hantay hain , dukh hanstay hain 
 


Gir jaayn zameen par to sambhaly nahi jaaty





Gir jaayn zameen par to sambhaly nahi jaaty

Bazaar mein dukh dard uchhaaly nahi jaaty

Aankhon say nikalty ho magar dhiyaan mein rehna

Tum jaisy kabhi dil say nikaaly nahi jaaty

Ab mujh say in aankhon ki hifazat nahi hoti

Ab mujh say tery khawb sambhaly nahi jaaty

Jungle k ye pouday hain inhein chhorr do mohsin

Gham aap jawan hoty hain, paaly nahi jaaty

Hum ehl-e-ishq hain mohabbat zaat rakhty hain


Hum ehl-e-ishq hain mohabbat zaat rakhty hain

Essi mein din guzarta hai essi mein raat karty hain

Parinda aakhri ye keh gaya khushk jheelon se

Mujhy majboor hijrat pe mery halaat karty hain

Nikal aaye hain jaanib-e-sehraa to darr kaisa ?

Chalo kuch din rotay hain chalo barsaat karty hain

Sunna hai chand utra hai sunehri jheel pe yaaro

Chalo kuch dair milty hain chalo kuch baat karty hain

EK Jurm Huwa Hay Hm Se



EK Jurm Huwa Hay Hm Se

Kisi rishte Se Wfa Kr Baithe 

Kuch Apna Sa samj Kr usko

Sub Raz Bta Baithe 

Phir Usi rishte Ki Rah Me

Dil-0-Jan Ganva Baithe 

Is Jurm Ki Aesi Sza Mili Keh

Hm Un Se Juda Baithe 

W0 Yad Boht Ate 

J0 hm ko Dil Sy Bhula Baithy.

Door reh kar na karo bat qareeb aa jao


Door reh kar na karo bat qareeb aa jao

Yad reh jae gi ye rat qareeb aa jao

Aik mudat se tamana thi tumhain chuhne ki

Aj bus main nahin jazbat qareeb aa jao

Sard sholay se bharkte hain badan main sholay

Jan le le gi ye barsat qareeb aa jao

Es qadar hum se jijkane ki zarurat kya hai

Zindgi bhar ka hai ab sath qareeb aa jao

Humein ab kho k kehta hai, mujhe tum yaad atay ho



Humein ab kho k kehta hai, mujhe tum yaad atay ho

Kisi ka ho k kehta hai mujhe tum yaad atay ho

Samundar tha to zor-o -shor say lehren bahata tha

Ab qatra ho k kehta hai mujhe tum yad atay ho

Bayan karte jo haal-e-dil to youn he muskura deta

Ab wohi ro k kehta hai mujhe tum yaad atay ho

Na poch us ki bad'nasibi ka aalam tu dost

Keh sub kuch kho k kehta hai, mujhe tum yaad atay ho

Kaash us se milne ka koi sabab ban jaey


Kaash us se milne ka koi sabab ban jaey


Phir kiya ho k jaisa woh pehle tha ab ban jaey


Rishta us se ho mera kuch is tarah ka


Main haath uthaon dua k liye woh lab ban jaey


Itna to yaqeen hai k woh ik din lout aaey ga


Is baat ka pata nahi woh mera kab ban jaey


Koi ja k usay mera yeh paighaam to de de


Hukma'raani kare dill per woh mera jab ban jaey


Mohabbat mein youn zabardasti achi nahi


Chalo jab us ka dill chaahe woh mera tab ban jaey
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...