Apr 18, 2016

Main talkhi-e-hayat se ghabra kay pee gaya


Main talkhi-e-hayat se ghabra kay pee gaya 
Gham ki siyah raat se ghabra kay pee gaya 

Itni daqeeq shay koi kaisay samjh sakta hai 
Yazdan kay waqiyaat se ghabra kay pee gaya 

Chalkay huye thay jaam , parishaan thi zulf-e-yaar 
Kuch aisay haadsaat se ghabra kay pee gaya 

Main aadmi hoon , koi farishta nahin hazoor 
Main aaj apni zaat se ghabra kay pee gaya 

Duniya-e-haadsat hai ik dard'naak geet 
Duniya-e-haadsat se ghabra kay pee gaya 

Kaantay to khair kaantay hain in se gila hi kya 
Phoolon ki waardaat se ghabra kay pee gaya 

Saghar woh keh rahay thay keh pee leejiye hazoor 
Un ki guzarshaat se ghabra kay pee gaya 

Fariyad kay taqazay hain naghma-e-sukhan main


Fariyad kay taqazay hain naghma-e-sukhan main 
Alfaaz so gaye hain kaghaz kay pay'rahan main 

Her aan das rahi hain mazi ki talkh yaadein 
Mehsoos kar raha hoon be'chargi-e-watan main 

Tukra koi ataa ho ehraam-e-bandagi ka 
Sorakh par gaye hain ikhlaas kay kafan main  

Ae paasban-e-gulshan tujh ko khabar nahin hai 
Sholay bharak rahay hain phoolon ki anjuman main 

Ae yaar ! teray gham se fursat agar mili to 
Tabdeeliyan karon ga is aalam-e-kohan main 

Dekha hai main ne dil ki be'tabiyon ka manzar 
Ik toot'ti kali main , ik doobti kiran main 

Is darja dard afshaan gunchon ki daastan thi 
Kaantay se chubh rahay hain ehsaas kay badan main 

Shakhon pe un kay Saghar gaisu mehak rahay hain 
Tarteeb paa rahi hain rangeeniyan chaman main

Khata waar-e-murawat na ho marhoon-e-karam ho ja


Khata waar-e-murawat na ho marhoon-e-karam ho ja 
Musarat sar jhukaye gi pur'sitar-e-alam ho ja 

Inhi be'rabt khawabon se koi tabeer niklay gi 
Inhi uljhi hui rahon pe mera hum'qadam ho jaa

Kisi zar'daar se jins-e-tabasum maangnay walay 
Kisi be'kas kay laashay par shareek-e-chasham-e-nam ho ja 

Kisi din in andheron main chraghan ho hi jaye ga 
Jala kar daagh-e-dil koi zia-e-shaam-e-gham ho ja 

Tujhay suljahye ga ab inqalab-e-waqt ka shana 
Taqaz-e-junoon hai gaisu-e-doran ka kham ho ja 

Tajasus markaz-e-taqdeer ka qayel nahin hota 
Shaoor-e-bandagi ! begana-o-dair-o-haram ho ja 

Yeh manzil aur gard karwan Saghar kahan apnay 
Simat kar raah guzar-e-waqat par naqsh-e-qadam ho ja

Bigra jo naqsh-e-zeest bana shahkaar-e-zeest


Bigra jo naqsh-e-zeest bana shahkaar-e-zeest 
Aisay mittay keh ban gaye parwar'digar-e-zeest 

Kuch is tarah se zeest ko apnao dosto 
Ta'hashar mout ko bhi rahay intizaar-e-ezeest 

De haadsat-e-no ki surahi se aik jaam 
Saqi zara utarnay laga hai khumaar-e-zeest

Hilaaj ko qabool thi sooli raqeeb ki 
Musawar-e-zeest kay liye kafi hai daar-e-zeest  

Atki hui hai nok-e-mazda pe lahu ki boond 
Kaanton main pal rahi hai aroos-e-bahar-e-zeest 

Layein ghazal kay shaher se tashbeha kay chragh 
Ae hum sukhan ! chalo keh sajaein diyaar-e-zeest 

Saghar ki zindagi pe koi tab'sarah na kar 
Ik shamma jal rahi hai sar-e-rah'guzar-e-zeest 

Khird ba'khair ! junoon ko salam karna hai



Khird ba'khair ! junoon ko salam karna hai 
Jahan-e-ishq main ab aur kaam karna hai 

Yeh rang-o-bu kay khazanay baray dar'khishaan hain !
Dil-o-nigah ko bhi lala-faam karna hai 

Kitab-e-surat-e-ko'nain youn uthana hai 
Keh zarhay zarhay ko mehar-e-da'waam karna hai 

Sada-e-bu zar-o-suliman yahi thi duniya main 
Musaraton ko ghareebon kay naam karna hai 

Jinhein khuda ki tarah bolnay ki aadat hai 
Unhein zuban-e-bashar main kalaam karna hai 

Meray shaoor ko hajat nahin takaluf ki 
Tajaliyon ko nazar ka ghulam karna hai 

Koi haqeer se shay daal meray saghar main 
Keh zindagi ko bara-e-awam karna hai

Woh azam ho keh manzil-e-baydaar hans paray


Woh azam ho keh manzil-e-baydaar hans paray 
Her naqsh-e-paya jurrat-e-ruswa hans paray 

Ab kay baras bahar ki surat badal gayi 
Zakhmon main aag lag gayi gulzaar hans paray 

Is dard-e-dastan ki tamheed aap hain 
Jis dastaan-e-dard pe gham khawar hans paray 

Hairaan ho rahi hai shagoofay pe chandani 
Shayed qafas pe aaj giriftaar hans paray 

Lut jaye teray naam se her talkhi-e-jafa 
Woh kaam kar kay be'kas-o-na'daar hans paray 

Meray junoon ne aaj woh sajda adaa kiya 
Butt khana-e-hayat kay asaar hans paray 

Phir shaad'maan huye hain kharabay hayat kay 
Saghar kisi kay gaisu-e-kham'daar hans paray

Ae tagiyur-e-zamana yeh ajeeb dal'lagi hai


Ae tagiyur-e-zamana yeh ajeeb dal'lagi hai 
Na waqar-e-dosti hai na majaal-e-dushmani hai 

Yahi zulmatein cheeni jo teray surkh aanchalon main 
Inhi zulmaton se shayed meray ghar main roshni hai 

Meray saath tum bhi chalna , meray saath tum bhi aan a
Zara gham kay raaston main bari tez tairagi hai 

Yeh mushaida nahin hai , meray dard ki sada hai 
Meray daagh-e-dil luttay hain teri bazm jab saji hai 

Gham-e-zindagi ! kahan hai abhi wehshaton se fursat 
Teray naaz utha hi lain gay abhi zindagi pari hai 

Teray khushk gaisu'on main meri aarzu hai pinhaan 
Teray shokh bazu'on main meri daastan rachi hai 

Jissay apna yaar kehna ussay chorna bhanwar main 
Yeh hadees-e-dil'baran hai , yeh kamal-e-dil'bari hai 

Woh guzar gaya hai "Saghar" koi qaafla chaman se 
Kahin aag jal rahi hai , kahin raakh so gayi hai 
 
 

Zara gaisu-e-yaar , kholay gaye hain


Zara gaisu-e-yaar , kholay gaye hain
Tadabur kay bazar , kholay gaye hain

Shagoofon kay armaan nichoray gaye hain
Shararon kay israar , kholay gaye hain

Kai baar teri wafaon kay uqday
Sar-e-manzil-e-daar , kholay gaye hain

Surahi jaam se takraiye barsaat kay din hain


Surahi jaam se takraiye barsaat kay din hain 
Hadees-e-zindagi dohraiye barsaat kay din hain 

Safeena le chala hai kis mukhalif simt ko zaalim 
Zara malah ko samjahiye barsaat kay din hain 

Kisi pur'noor tohmat ki zaroorat hai ghattaon ko 
Kahin se meh'washon ko laiye barsaat kay din hain 

Tabiyat gardish-e-doran ki ghbrai hui si hai  
Parishan zulf ko suljhaiye barsaat kay din hain 

Baharein in dino dasht-e-biyabaan main bhi aati hain 
Faqeeron pe karam farmaiye barsaat kay din hain 

Yeh mousam shorish-e-jazbat ka makhsoos mousam hai 
Dil-e-na'daan ko behliye barsaat kay din hain 

Sohanay aanchalon kay saaz par aashar "Saghar" kay 
Kisi be'chain dhun main gaaiye barsaat kay din hain

Gham ki tasveer , ghazal kay aashar


Gham ki tasveer , ghazal kay aashar
Khoon ki tehreer , ghazal kay aashar

Daagh kehtay hain mohabbat kay jinheijn
Un ki tanveer , ghazal kay aashar

Un ki tadbeer ki shammein  roshan 
Soz-e-taqdeer , ghazal kay aashar

In main pai'kan hain teri aankhon kay 
Daar-o-sham'sheer , ghazal kay aashar

Gaisu-e-waqat ko suljhatay hain 
Dard-e-shabir , ghazal kay aashar

Naala-o-shewan-e-fariyad ki lay 
Raqs-e-zanjeer , ghazal kay aashar

Ae gham-e-yaar tasawur tera 
Teri toqeer , ghazal kay aashar

Gul jo khiltay hain khizan main saghar 
Un ki tafseer , ghazal kay aashar

Zindagi raqs main hai jhoomti nagan ki tarah


Zindagi raqs main hai jhoomti nagan ki tarah 
Dil kay armaan hain bujhti hui jha'jan ki tarah 

Zulf rukhsaar pe bal khai hui kya kehna 
Ik ghatta chaai hui chait main sawan ki tarah 

Behar-e-umeed main jab koi sahara na mila 
Main ne her moj ko dekha hai teray daman ki tarah 

Jis taraf dekhiye tootay huye pai'manay hain 
Ab to naghmaat bhi hain nala-o-shewan ki tarah 

Baar'haa gardish-e-taqdeer ka aalam dekha 
Gaisu-e-yaar ki be'naam si uljhan ki tarah 

Inqalabat-e-baharan hain qafs bhi Saghar 
Main ne jaltay huye dekha hai nasheman ki tarah

Agarcha hum ja rahya hain mehfil se nala-e-dil'fagar ban kar


Agarcha hum ja rahya hain mehfil se nala-e-dil'fagar ban kar 
Magar yaqeen hai keh loat ayein gay naghma-e-no'bahar ban kar 

Yeh kya qayamat hai baagh'bano ! keh jin ki khatar bahar aayi 
Wohi shagoofay khatak rahay hain tumhari aankhon main khaar ban kar

Jahan walay hamaray geeton se ja'iza lain gay siskiyon ka 
Jahan main phail jayein gay hum bashar bashar ki pukar ban kar 

Bahar ki bad'naseeb ratein bula rahi hain chalay bhi aayo 
Kisi sitaray ka roop le kar , kisi kay dil ka qaraar ban kar 

Zaroorat-e-rah kay mutabiq musafaron ne bhi seekh li hai 
Woh rah'zani mudaton rahi hai jo rah'baron ka sha'aar ban kar 

Talash-e-manzil kay marhalon main yeh hadsa ik ajeeb dekha 
Faraib rahon main baith jata hai surat-e-aaitabar ban kar 

Gharoor-e-hasti ne maar dala wa'garna hum log jee hi letay 
Kisi ki aankh ka noor ho kar , kisi kay dil ka qaraar ban kar 

Diyar-e-peer mughaan main aa kar yeh haqeeqat khuli hai "Saghar"
Khuda ki basti kay rehnay walay to loot letay hain yaar ban kar 
 

Muzmahil dard-e-gham hai be'chara


Muzmahil dard-e-gham hai be'chara
Phir mujhay zindagi ne lal'kara 

Saltanat hai qanat-e-darwaish 
Her nafs hai sikandar-o-dara 

Dagh hain gul-e-chaman kay seenay par 
Ashk afshan hai chasham-e-nazara 

Kaash ! takmee-e-aarzu kay liye 
Phir muyassar ho zoq-e-awara 

Hain ziaon ki bakhshashein Saghar
Zarha zarha hai aaj meh'para  

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...