Mar 1, 2015

Neendain bhi nelaam ho jaati hain bazaar-e-ishq main


Neendain bhi nelaam ho jaati hain bazaar-e-ishq main 

Itna asaan hota hai kisi ko bhool jana

Hum zubaan se shreek shikayaton ko kartay nahin


Hum zubaan se shreek shikayaton ko kartay nahin 

Kiyon keh hum se apno par ilzaam lagaye nahin jaatay

Main apnay halaat se sulaah to kar loon lakin


Main apnay halaat se sulaah to kar loon lakin 

Mujh main jo ik shakhs ru'posh hai mar jaye ga

Hanstay huye chehron ko ghamon se azaad na samjho


Hanstay huye chehron ko ghamon se azaad na samjho

Hazaron gham chupay hotay hain halki se muskaan main

Be'wafa waqat tha , tum thay , ya muqaddar mera


Be'wafa waqat tha , tum thay , ya muqaddar mera 

Baat itni hai keh anjaam judai nikla

Bas jaatay hain dil main ijazat liye baghair


Bas jaatay hain dil main ijazat liye baghair

Woh log jinhain hum zindagi bhar paa nahin saktay

Tujhay paa na sakay to tamaam umar duaein dain gay


Tujhay paa na sakay to tamaam umar duaein dain gay

Zaroori to nahin jissay hasil na kar sako ussay chor diya jaye

Aaj main ne talaash kiya us ko apnay aap main


Aaj main ne talaash kiya us ko apnay aap main 

Woh mujhay her jaga mila ik meri taqdeer kay siwa

Hum intizaar karain gay tera qayamat tak


Hum intizaar karain gay tera qayamat tak

Khuda karay keh qayamat ho aur tu aaye

Teri mehfil se uthaata ghair mujh ko .. kya majaal..


Teri mehfil se uthaata ghair mujh ko .. kya majaal..

Dekhta tha main ... keh tu ne bhi ishaara kar diya..

Meray chehray se mera dard na parh paao gay wasi


Meray chehray se mera dard na parh paao gay wasi

Meri Aadat hai her baat pe muskura dena

Kabhi shokiyan dikhana kabhi un ka muskurana


Kabhi shokiyan dikhana kabhi un ka muskurana

Yeh adaein kar na dalain mera kaam chupkay chupkay


Thukraa kay hum ko us ne kaha keh ab muskuraao


Thukraa kay hum ko us ne kaha keh ab muskuraao

Hum bhi hans diye keh sawal un ki khushi ka tha

Mat cheen apna naam meray lab se is tarah


Mat cheen apna naam meray lab se is tarah

Is be'naam zindagi main tera naam hi to hai

Us kay dil par bhi kya khoob guzri ho gi


Us kay dil par bhi kya khoob guzri ho gi 

Jis ne is marz ka naam "Mohabbat" rakha ho ga

Meray sapno ko youn hi mehaktay rakhna


Meray sapno ko youn hi mehaktay rakhna 

Main ne thaama hai tera haath baray maan kay saath

Deemak ki tarah chaatay ga meray wajood ko


Deemak ki tarah chaatay ga meray wajood ko 

Youn ishq mujhay kho'khlaa andar se karay ga

YEh mohabbat ka bandhan bhi kitna ajeeb hai


YEh mohabbat ka bandhan bhi kitna ajeeb hai 

Mil jaye to baatein lambi , bichar jaye to raatein lambi

Zindagi shayed isi ka naam hai


Zindagi shayed isi ka naam hai 

Dooriyan , majbooriyan , tanhaiyaan

Shaam-e-fursat dhalay , hum nahin chahtay


Shaam-e-fursat dhalay , hum nahin chahtay 
Gham se fursat milay , hum nahin chahtay 

Phir naya waar sehnay ko tiyaar hain 
Tu parishaan rahay hum nahin chahtay 

Aaj aansoo bahanay se , mat roko 
Aaj baarish thammay, hum nahin chahtay 

Hum teray baad ujray hon, to bhi theek hai 
Ab kahin dil lagay , hum nahin chahtay 

Teray paikar ko hum dekhtay hi rahain 
Tu nazar se hattay , hum nahin chahtay 

Kis qadar dil'nasheen hai yeh mojon ka shor
Gham ka dariya rukay hum nahin chahtay 

IS qadar pyaar se tu pakra na kar 
Aag dil ko lagay hum nahin chahtay 

Kuch dil ki lagi tum chairo


Kuch dil ki lagi tum chairo
Kuch dil lagana hum seekhein 

Kuch pyaar ki baatein tum karo 
Kuch pyaar nibhana hum seekhein 

Kuch nazar ka ishaara tum karo 
Kuch aankh milaana hum seekhein 

Kuch jaan ki baazi tum lagaao
Kuch jaan se jaana hum seekhein 

Kuch thora sa hans kay tum dekho 
Kuch muskurana hum seekhein 

Kuch milnay ki aas tum do 
Kuch waqat pe aana hum seekhein 

Dil par tum bas haath rakh do 
Kuch dil dharkaana hum seekhein 

Kuch pyaar se paas tum aayo 
Kuch galay lagana hum seekhein

Kitni raaton ka lahoo pee kay nikharti hai Ghazal


Kitni raaton ka lahoo pee kay nikharti hai Ghazal

KAisay likhtay hain hum Ashaar tujhay kya maloom

Bhout Aaram karna chahti hoon


Bhout Aaram karna chahti hoon 
Yahi aik kaam karna chahti hoon

Shaoor-e-Aagahi aik almiya hai 
Issay neelam karna chahti hoon 

Main apni umar kay saaray asaasay
Tumharay naam karna chahti hoon 

Tumharay khaima-e-khushboo main reh kar 
Main shub-o-shaam karna chahti hoon 

Chraghon se hawa ki dushmani hai 
Issay na'kaam karna chahti hoon

Mohabbat aik katba hai laga hota hai jo aksar


Mohabbat aik katba hai 
Laga hota hai jo aksar 
Kabhi laila kay mar'qad par
Kabhi majnu ki hasrat par 

KAbho sohi kay mattkay par 
KAbhi mirza kay teeron par 
Mohabbat aik katba hai 
Keh jis par saaf likha hai 

Mohabbat mout ki aaghosh  main 
Sar rakh kay sona hai 
Mohabbat dil pe la'haq rog hai 
Ta'umar rona hai 

Mohabbat to kisi maidan main 
Rakhi hyi aik aisi miyaat hai 
KEh jis ko kandha denay kay liye koi nahin aata 

Magar phir bhi labon par 
 her kisi kay rakha hai yahi jumla 
Mujhay tum se mohabbat hai 
Mujhay tum se mohabbat hai


Ishq kay maidan main doray to nahin thay


Ishq kay maidan main doray to nahin thay

Ab bhi gadhay ho pehlay bhi ghoray to nahin thay 

Office bhi lait aaye ho aur kaan bhi hai laal 

Begam ne raat ko kaan marooray to nahin thay 

Shikayat kiyon ki apnay baap se ja kar 

Pakray thay haath teray torray to nahin thay

Kal shaam mujhay dekh kar tum bhaagay kiyon is tarah 

Sagar kay haath main koi rorray to nahin thay

Professor hi jab aatay hon hafta waar college main


College main 

Professor hi jab aatay hon hafta waar college main 

To ooncha kiyon na ho taleem ka miyaar college main 

Agarcha doosray mashroob bhi mehngay nahin miltay 

Magar chalta hai aksar sharbat-e-de'daar college main

Woh digree kay bajaa'ye "Meem" lay kar loat aaya 

Milla tha daakhla jis ko samandar paar college main 

Mujhya dar hai keh hum dono kahin samdhi na ban jayein 

Meri gul'naar college main , tera gulzar college main

Husan ki top ka gola maara Tera kakkh na rahay


Tera kakkh na rahay

Husan ki top ka gola maara Tera kakkh na rahay
Tujh pe gir jaye Qutbi sitara Tera kakkh na rahay

Bankinkcouncil teri her shai karki kar dain 
Charh jaye tujh pe qarza bhaara Tera kakkh na rahay

Sardi anadr nehar kay banay sara raat khalootay 
Tu na aayi laya laara Tera kakkh na rahay

Dil ki chori kay ilzaam main police ka chaapa par jaye 
Phariya jaye tabar sara Tera kakkh na rahay

Sari ghazal suna kar bhi nahin saarra dil ka mukiya 
Sada hai bas iko naara Tera kakkh na rahay

Aur bhi cheezein bhout si lut chuki hain dil kay saath


Aur bhi cheezein bhout si lut chuki hain dil kay saath 

Yeh bataya doston ne ishq farmanay kay baad 

Iss liye kamray ki ik ik cheez check karta hoon main 

"Ek teray aanay se pehlay , Ek teray janay kay baad"

Tum rakh sakay na paas zara apnay Qoal ka


Jhoota Mehboob 

Tum rakh sakay na paas zara apnay Qoal ka 

IS baar bhi badal gaye her baar ki tarah 

Wada kiya tha tha raat ko aanay ka par na aaye 

Jhootay ho tum bhi shaam kay Akhbaar ki tarah 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...