Nahin mayoos main apnay khuda se
Badal jaati hai qismat bhi dus se
Lagay thay mujh ko bhi kuch aashna se
Jabhi chonkay thay woh meri sada se
Kabhi aao jo meray sang to dekhon
Bhout kartay ho tum baatein hawa se
Ragon main jin kay mera hi lahoo hai
Huye hain ab woh meray khoon kay piyasay
Na'jaanay kab se woh raah main kharay thay
Mujhay dekha to gaye garr barra se
Meray ashkon ka parda rakh liya tha
Yahi umeed thi mujh ko ghatta se
Kabhi jin ka kaha taala nahin hai
Na'jaanay kiyin hain woh mujh se khafa se
Na'jaanay be'khudi main keh diya kiya
Keh palkain jhuk gayein un ki haya se
Jissay thi khud tasali ki zaroorat
Diyea thay us ne bhi mujh ko dilaasay
Mujhay jeena nahin us kay bina ab
Woh marta hai mray , meri bala se
Jawaani un pe bhi aanay lagi hai
Yahi detay hain khush'khabri mubaasay
Jo na ho tum to main ghatt jaaon yak'dam
Kaha khushboo ne kaano main saba se