Jul 13, 2014

Maana keh teri deed ke qabal nahin hoon main


Maana keh teri deed ke qabal nahin hoon main 

Lakin tu mera shouq dekh mera intizaar dekh

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Go zara si baat pe barson ke yaranay gaye


Go zara si baat pe barson ke yaranay gaye 

Lakin itna to hua kuch log pehchanay gaye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Go haath ki jumbish nahin aankhon main to dam hai


Go haath ki jumbish nahin aankhon main to dam hai 

Rehnay do abhi sagar-o-meena mere aagay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Dua bhi deta hai aur bad'dua bhi deta hai


Dua bhi deta hai aur bad'dua bhi deta hai

Woh kon hai jo mujhe youn saza bhi deta hai

Main apnay aap semukhlas to hoon magar koi 

Daroon-e-zaat mujhe bad'dua si deta hai 

Baja keh abar nishaani hai us ki rehmat ki 

Magar kabhi kabhi woh youn saza bhi deta hai 

Youn kehna aam hua her her gunna ke baad "Ali "

Keh seedha rasta woh aakhir dikha hi deta hai

Ghar main tum bhi raha karo "Mohsin"


Ghar main tum bhi raha karo "Mohsin"

Ghar banatay hain log rehnay ko

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

GAye baras ki eid ka din kiya acha tha


Gaye baras ki eid ka din kiya acha tha 

Chaand ko dekh ke is ka chahera dekha tha

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kal sahb mujhe be'shakal ki awaaz ne chonka diya


Kal sahb mujhe be'shakal ki awaaz ne chonka diya 

Main ne kaha tu kon hai , us ne kaha awaragi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main


Kaamp uthti hoon main yeh soch ke tanhai main 

Mere chaheray pe tera naam na parh le koi 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ


Koi waaris zaroor hota hai


Koi waaris zaroor hota hai 

Takhat khaali raha nahin kartay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kon jaane naye saal main tu kis ko parhay


Kon jaane naye saal main tu kis ko parhay 

Tera miyaar badalta hai , nisaabon ki tarah

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kitna hai bad'naseeb zafar dafan kay liye


Kitna hai bad'naseeb zafar dafan kay liye 

Do gaz zameen bhi na mili koo-e-yaar main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kal shab dil awara ko seenay se nikala


Kal shab dil awara ko seenay se nikala 

Yeh aakhri kaafar bhi madeenay se nikala

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kon kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai


Kon kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai 

Yeh haqeeqat to nigahon se ayaan hoti hai 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kuch zameeno ke sitaray sagar


Kuch zameeno ke sitaray sagar 

Asmaano ki khabar rakhtay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kon kehta hai keh mout ayi to mar jaaon ga


Kon kehta hai keh mout ayi to mar jaaon ga 

Main to dariya hoon samandar main utar jaaon ga

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Kuch is ada se yaar ne poocha mizaaj keh


Kuch is ada se yaar ne poocha mizaaj keh 

Kehna para keh shukar hai parwardigaar ka

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Chahat itni muktasir jaana !


Chahat itni muktasir jaana !

To phir yaadain be'shumaar kiyon

Baar haa mujh se dil ne kaha keh ae sho'bada gar


Baar haa mujh se dil ne kaha keh ae sho'bada gar
Tu keh alfaaz se asnaam giri karta hai 

Kabhi is husan-e-araa ki bhi tasveer bana 
Jo teri sovh ke khaakon main lahoo bharta hai 

Baar haa dil ne yeh awaaz suni aur chaha
Maan loon mujh se jo wajdaan mera kehta hai 

Lakin is soch se haara mere fun ka jaado 
Chaand ko chaand se barh kar koi kiya kehta hai

Kitni mushkil se chairri hai dil ne tark-e-taluq ki guftagoo


Kitni mushkil se chairri hai dil ne tark-e-taluq ki guftagoo

Ab shab-e-neend main meri aankhon par dastak na dena

Tum agar saath aa gaye hotay


Tum agar saath aa gaye hotay 

Zindagi her tarah se mumkin thi

Dua ka toota hua harf sard-e-aah main hai


Dua ka toota hua harf sard-e-aah main hai 

Teri judai ka manzar abhi nigah main hai 

Teray badalnay ke ba'wajood tujh ko chaha hai

Yeh aitaraaf bhi shamal mere gunaah main hai 

Azaab de ga to phir mujh ko khwaab bhi de ga

Main mutmaein hoon mera dil teri pannah main hai

Chor to diya mujhe par kabhi yeh soch tum ne


Chor to diya mujhe par kabhi yeh soch tum ne 

Ab kabhi jhoot bola to qasmain kis ke khaao gi

Mujh ko mayoosion ki daldal main


Mujh ko mayoosion  ki daldal main 

Tum ne jeenay ka hosla baksha

Kitnay majboor hain taqdeer ke haathon


Kitnay majboor hain taqdeer ke haathon 

Na ussay paane ki aoqaat , na ussay khone ka hosla

Kaisay laroon muqadma khud se us ki yaadon ka


Kaisay laroon muqadma khud se us ki yaadon ka 

Yeh dil bhi wakeel us ka yeh jaan bhi gawaah us ki

Mere zakhom ki dawa kon banaye ga teray baad sahil


Mere zakhom ki dawa kon banaye ga teray baad sahil

Hum ne apne bhi khoye thay tujhe paanay kay liye

Mohammad (pbuh)


Jo log miyana ravi ikhtiyaar kartay hain 

Kisi ke mohtaaj nahin hotay

Mohammad (pbuh)

Jeena to pare ga , faqat duniya ko dikhanay kay liye


Jeena to pare ga , faqat duniya ko dikhanay kay liye 

Warna hum ne kab chahi thi , is ke bina zindagi

Kon is ghar ki dekh bhaal kare


Kon is ghar ki dekh bhaal kare

Roz aik cheez toot jaati hai

"Iqbaal"ishq ne teray sab bal nikaal diye


"Iqbaal"ishq ne teray sab bal nikaal diye 

Muddat se aarzoo thi seedha kare koi

Quwat-e-ishaq se her past ko baala kar de


Quwat-e-ishaq se her past ko baala kar de

Dehar main ism-e-Muhammad se Ujaala kar de

Ae mere dost khwabon ka dais banana zaroor


Ae mere dost
Khwaabon ka dais 
Banana zaroor
Magar haqeeqat ka saath 
Nibhana zaroor
Kal kay liye
Apna aaj barbaad na karna 
Kisi ka dil tor kar 
Ghar abaad na karna 

Ae mere dost
Laakh badlay zamana 
Tum kabhi na badalna 
Aaj to main tumharay saath hoon 
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna 
Apni yaad main kahin 
Mera bhi makaan rakhna 
Apnay ehad efaa karna
Apnay paimaan yaad rakhna

Wafa ki talaash to be'wafaon ko hoti hai "Faraz"


Wafa ki talaash to be'wafaon ko hoti hai "Faraz"

Hum ne to duniya hi chor di kisi ki wafa kay liye

Kon parishaan hota hai tere gham se "faraz"


Kon parishaan hota hai tere gham se "faraz" 

Woh apni hi kisi baat pe roya ho ga

Haseen lamhay wohi thay lamhay keh jis main tum thein


Haseen Lamhay

Haseen lamhay 
Wohi thay lamhay 
Keh jis main tum thein 
Tumhari qarabat mera sakoon thi 
Keh jis main ulfat ko harf-e-izhaar dil ki koi 
talab nahin thi 
Keh jis main aankhain hi kar rahi thein 
Tamaam baatain 
Keh jis main qurbat ki thandi chaaon 
Gham-e-zamana bhulaa chuki thi 
Keh jis main lamhay guzar rahay thay 
Magar gumaan tha rukay huye hain 
Haseen lamhay

Le gaye woh saath sari zindagi ki ronaqain


Le gaye woh saath sari zindagi ki ronaqain 

Ghar ka yeh aalam hai in ke rooth jaane ke baad

Jis tarah dehaat ke station,on pe dik dhalay 

Ik sakoot mazmahil gaari guzar jaane ke baad

Kisi be'wafa ki khatar yeh janoon faraz kab tak


Kisi be'wafa ki khatar  yeh janoon faraz kab tak

Jo tumhain bhula chuka hai ussay tum bhi bhool jaao

Suna hai mohabbat karnay wala


Suna hai mohabbat karnay wala

Ab wafa ki shart se azaad hai

Noor us ka , zahoor us ka


Noor us ka , zahoor us ka 

Jo na dekhaye qasoor us ka

Chaheray ka nisaf hissa zer-e-niqaab kar ke


Chaheray ka nisaf hissa zer-e-niqaab kar ke 

Husan wale kartay hain deedaar main milawat

Mujhe bhi pata tha keh log bdal jaate hain aksar


Mujhe bhi pata tha keh log bdal jaate hain aksar 

Magar main ne kabhi tumhain logon main gina hi nahin tha

Us ki aankhain sawaal karti hain


Us ki aankhain sawaal karti hain 

Meri himmat jawaab deti hai

Wafa asool hai na rasam na riywayat hai


Wafa asool hai na rasam na riywayat hai

Riwayatein to badal jaati hain asool nahin

Do tarah ke log mohabbat nahin kar saktay


Do tarah ke log mohabbat nahin kar saktay 
Aik meray aur aik tumharay jaisay 
Aik tum ho keh 
Tumhain meray baatan ka husan nazar nahin ata
Aur aik main hoon keh 
Main tumhain aar paar dekhti hoon 
Tumharay aur meray jaisay log mohabbat nahin kar saktay

Rooh main koi gham hai posheeda


Rooh main koi gham hai posheeda 

Zindagi be'waja udaas nahin hoti

Her aik chragh ki lao aisi soi soi thi


Her aik chragh ki lao aisi soi soi thi 

Woh shaam jaisay kisi se bichar ke roi thi

Chup chaap ashk behata ho koi gham


Chup chaap ashk behata ho koi gham 

Ik aisi hi nigah si mujhe tanhai chayea

Mere halaat pe muskuraatay ho ?


Mere halaat pe muskuraatay ho ?

Bad'dua hai tujh bhi ishq ho jaye

Khwaabon ke baad dil main utarna para mujhe


Khwaabon ke baad dil main utarna para mujhe

Phir ishq-e-majazi main bhi dhalna para mujhe

Woh dekhta raha keh mohabbat si ho gayi

Khud ko khud hi ke shaher main khona para mujhe

Dard-e-dil denay walo dua to karo


Dard-e-dil denay walo dua to karo 
Tum do gharri do pal ko hum se mila to karo 
Be'wafai se na youn paish aao sada
Hum ghareebon se mil kar hansa karo 
Jo rutbon ko bakhshi hai tum ne khushi
Woh khushi aik hamain bhi ata to karo 
Roz larna jhagarna buri baat hai 
Kabhi piyaar se guftagoo bhi kiya to karo
Aisi khushiyaan ati nahin kabhi 
Gham bhi anmol hain gham liya to karo 
Meray anay pe youn chup jana tera
Saaf saaf keh do keh mereay ghar na aya kar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...