Apr 6, 2016

Dilon ko ujaalo ! sehar ho gayi hai


Dilon ko ujaalo ! sehar ho gayi hai 
Nigahein mila lo ! sehar ho gayi hai 

Utho ! kashti-e-zeest ko zulmaton kay 
Bhanwar se nikalo ! sehar ho gayi hai 

Sanwaro ! yeh zulfein keh shab kat chuki hai 
Yeh aanchal sambhalo ! sehar ho gayi hai 

Shakista umeedon ki pur'waiyon ko 
Galay se laga lo ! sehar ho gayi hai 

Pighalnay laga hai zameer-e-mashee'at 
Utho sonay walo ! sehar ho gayi hai 

Baharon kay "Saghar" se ae meh'jamalo!
Zia'ein uchaalo ! sehar ho gayi hai  

Tafreeq ne jadu hi jagaya hai bala ka


Tafreeq ne jadu hi jagaya hai bala ka
Khatray main hai Ae yaar ! chaman mehar-o-wafa ka 

Toheen hai darwaish ka is shaher main jeena 
Ho faqa kashi naam jahan sabar-o-raza ka 

Ab tak ka tafakar gham-e-taqdeer ka chara 
Seenay main pata rakhtay hain jo arz-o-samaa ka 

Jee chahata hai Ae meray afkaar ki murat 
Malboos bana doon tujhay taron ki rida ka 

Mehfooz rahein meray gulistan ki fizaein 
Ho qatal-e-gul-o-lala taqaza hai saba ka 

Jaltay huye dekhay wohi masoom shagoofay 
Tha jin ko bharosa teray daman ki hawa ka 

Kuch sard si aahein hain to kuch doobtay aansoo 
"Saghar" yeh sila tujh ko mila soz-e-nawa ka

Hum be'khud-o-sar'shaar sada zinda rahein gay


Hum be'khud-o-sar'shaar sada zinda rahein gay 
Halaat kay may'khawar sada zinda rahein gay 

Kabhi waqif-e-aadaab-e-mohabbat nahin martay 
Kuch saahib-e-israar sada zinda rahein gay 

Ehsaas kay phoolon ko khizan chu nahin sakti 
Ulfat kay chaman zaar sada zinda rahein gay 

Hai anaa , junoon azmat-e-doran ki kahani 
Azmat kay talab gaar sada zinda rahein gay 

Nisbat hai jahan main gham-e-insaan se jin ko 
Woh deeda-e-baidaar sada zinda rahein gay 

Sholon main mehaktay huye ghunchay bhi hain "Saghar"
Zulmaat main anwaar sada zinda rahein gay 

Hai qasar-e-haqeeqat main teray dam se ujaala 
"Saghar" teray afkaar sada zinda rahein gay

Diyar-e-lala-o-saro-o-saman se guzray hain


Diyar-e-lala-o-saro-o-saman se guzray hain 
Qasam khuda ki teri anjuman se guzray hain 

Yeh rang-o-bu jo teray gaiso'on ka tal'chhat hain 
Talooh-e-subha ki pehli kiran se guzray hain 

Hazaar phool khilay apna qaafla na ruka !
Dilon pe daagh liye hum chaman se guzray hain 

Na ku-e-yaar ki chahat , na su-e-daar ki dhun 
Kisi kay aabru-e-doran-e-shikan se guzray hain 

Abhi na shamma jalao ! hamaray madfun par 
Keh zindagi kay andheray watan se guzray hain 

Hum hi se manzil-e-fikar-o-nazar jawan "Saghar" 
Hum hi jo wadi-e-shair-o-sukhan se guzray hain 

Aisi tajaliyan hain kahan aaftab main


Aisi tajaliyan hain kahan aaftab main 
Anwar-e-khas hain meray jaam-e-sharab main 

Yazdan ne muskura kay bari dair main likha 
Ik lafaz-e-aarzu meray dil ki kitab main 

Ab zoq-e-deed main hai shaoor-e-hayat-e-no 
Jalwon ki ehtiyat se rakho kitab main 

Mahjoob teray husan se ghunchon ki aabru 
Khushbu teray badan ki basi hai gulaab main 

Hai baagh'baan ki  tirchi nazar itni baat par 
Sholon ka zikar aa gaya shabnam kay baab main 

"Saghar" kisi yaad main jab ashk'baar thay 
Kitnay haseen din thay jahan-e-kharab main

Teri duniya main ya'rab zeest kay samaan jaltay hain


Teri duniya main ya'rab zeest kay samaan jaltay hain 
Faraib-e-zindagi ki aag main insaan jaltay hain 

Dilon main azmat-e-toheed kay deepak fasurda hain 
Jabeeno par riya-o-takabur kay farmaan jaltay hain 

Hawas ki baar'yaabi hai khird mandon ki mehfil main 
Ru pehli tikliyon ki oat main emaan jaltay hain 

Hawadas raqs farmaa hain , qayamat muskurati hai 
Suna hai na'khuda kay naam se toofan jaltay hain 

Shagoofay jhooltay hain , is chaman main bhook kay jhoolay 
Baharon main nash-e-man to behar-e-unwaan jaltay hain 

Kahin pazaib ki chhan chhan main majburi tarapti hai 
Riya dam tor deti hai , sunehray daan jaltay hain 

Manao ! jashan-e-may'noshi , bakhero ! zulf-e-may'khana 
Ibadat se to "Saghar" dehar kay shaitaan jaltay hain

Wusat-e-gaisoo-e-jaana se ulajh bathay hain


Wusat-e-gaisoo-e-jaana se ulajh bathay hain 
Surat-e-gardish-e-doran se ulajh bathay hain 

Midhat-e-bada-e-angoor ki khatar saqi !
Rind ik saahib-e-emaan se ulajh bathay hain 

Chand naghmay jo meray saaz-e-junoon ne chairay hain 
Masti-e-chasham-e-ghazalaan se ulajh bathay hain 

Aaj gum'nami-e-ehsaas ka parcham le kar 
Aadmi shehrat-e-yazdaan se ulajh baithay hain 

Aisay kuch log jinhein saahib-e-ikhlaas kahein
Phir meray haal-e-parishaan se ulajh bathay hain 

Nik'hatein sehan-e-gulistaan se khabar laai hain !
Phool Aadaab-e-gulistaan se ulajh bathay hain 

Kuch patangay ki ataa hai jinhein sholon ka mizaaj 
Ronaq-e-sham-e-ghareeban se ulajh bathay hain 



Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay




" Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay "

Mujh ko maloom nahin hijar kay qatal lamhay 
Tu ne kis aag main jal jal kay guzaray hon gay 
Kabhi lafzon main thakan tu ne sameiti ho gi 
Kabhi kaghaz pe faqat ashk utaaray hon gay 
Yeh bhi mumkin hai keh guzra hua lamha lamha 
Jis ko main aaj bhi seenay se laga rakhta hoon 
Teray nazdeek faqat yaad ki parchaai ho 
Door ki jaisay teri us se shanasaai ho 
Jis tarah dhoop december ki dareechay se lagi 
Be'irada kahin aangan main utar aayi ho 
Jaisay mehfil main kisi shakhs ki tanhai ho 

Kabhi qiyaas , kabhi woh gumaan badlay ga


Kabhi qiyaas , kabhi woh gumaan badlay ga 
Main jaanta tha woh apna biyaan badlay ga 

Meri aankhon main bhi rehna tujhay qabool nahin 
Bata keh aur tu kitnay makaan badlay ga 

Bas aik aas pe jeeta hoon aaj tak "Mola"
Kabhi to rang tera aasman badlay ga 

Yeh mum'tahin , yeh nateeja badal nahin sakta 
Ae dil faqat yeh tera imtihaan badlay ga 

Abhi to raah main kitany hi mor aanay hain 
Bata keh aur tu kitnay biyaan badlay ga 

Shikaar is liye mohtaat tha bhout "Atif"
Woh jaanta tha shikari machaan badlay ga  

Abhi to raat baqi hai




Abhi to raat baqi hai 

Abhi taray chamaktay hain 
Abhi suraj nikalnay main 
Zara ta'kheer baqi hai 
Abhi teri kahi baatein !
Meri palkon pe baithi hain 
Abhi manzir judaai ka 
Meri aankhon main thehra hai
Abhi ik aas ka deepak 
Meri aankhon main jalta hai 
Abhi jo khud se kehni hai 
Woh mushkil baat baqi hai 
Abhi kuch dair rona hai 
Abhi to raat baqi hai 

Kitna bojhal sa lehja tha




"Kitna bojhal sa lehja tha "

Kitna bojhal sa lehja tha 
Jab tu ne mujh se poocha tha 
Pyar kay baray main kuch bolo 
Ishq ki sari ramzein kholo 
Pyar ibadat kiyon hota hai ?
Dard ki koi had hoti hai ?
Hijar qayamat kiyon hota hai ?
Kitna bojhal sa lehja tha !
Jab tu ne yeh sab poocha tha 
Aur main us bojhal lehjay main 
Khud ko jalta dekh raha tha 
 
 

Teray meray beech zamana parta hai


Teray meray beech zamana parta hai 
Dil ko kitni baar bata'na parta hai 

Thehar gayi hai baat muqadar par aa kar 
Khud ko yeh aksar samjhana parta hai 

Sochon ko kab koi qaid kar paya hai 
Lakin khud ko to samjhana parta hai 

Rasta ho dushwaar ya raahi anjanay 
Is jeewan ka saath nibhana parta hai 

Khamoshi kay dasnay ka dar ho jis dam 
Aisay main khud shor machana parta hai 

Paas meray to sirf tumhari yaadein hain 
Yaadon se dil ko behlaana parta hai

Ajab si yeh mohabbat hai ajab sa rabt hai hum main




Ajab si yeh mohabbat hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Na ik doojay ko dekha hai 
Na ik doojay ki awazon main ik doojay ko dhoonda hai 
Tumhein jo kuch kaha main ne , ussay tum sach samajhti ho 
Mujhay jo kuch kaha tum ne , ussay main sach samajhta hoon 
Isi ik 
Chat window 
main 
Hum ik doojay kay jeewan kay her ik mousam main rehtay hain 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Jissay tasveer aur awaz se kuch bhi nahin lena
Jissay khawaish nahin koi 
Kisi ko ru-ba-ru dekhein 
Kisi awaz ko poojein 
Mohabbat ki shabahat ko 
Kisi anmol saa'at ko  
Kisi kay aks main dhoondein 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jis main lafz kehtay hain aur aankhein kuch nahin kehtein 
Yeh lafzon se behalti hai , yeh un main saans leti hai 
Yeh un be'jaan tasveeron main kitnay rang bharti hai 
Ajab sa rabt hai hum main 
Ajab si yeh mohabbat hai 
Keh jaisay awaz aur tasveer se kuch bhi nahin lena 
Keh jo lafzon ki khushbu se dilon ko gun'gunati hai 
Keh jo palkon pe chahat kay hazaron khawab likhti hai 
Tumharay aur meray darmiyaan jo saans leti hai 
Ajab si woh mohabbat hai

Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai


Mujhay jo aankh se ojhal dikhaai deta hai 
Woh chup rahay bhi to mujh ko sunaai deta hai 

Tumharay paaon main rakh di hai shairy apni 
Kisi ko kon youn apni kamaai deta hai 

Keh jaisay sab se gunnah'gaar hai woh duniya main 
Woh baat baat pe itni safaai deta hai

Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya


Jab khizaan ne sab darakhton ko akela kar diya 
Aik panchi dukh main dooba tehniyaan ginta raha 

Rait pe likhay huye woh naam kab kay mitt gaye 
Magar saahil pe baitha seepiyan ginta raha 

Jab talash-e-rizq ne chalnay ki taqat cheen li 
Baith kar foot'path par woh gariyan ginta raha

Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main


Abhi tak to hum khud'faraybi ki dhund main 
Youn haathon ko thaamay 
Judai kay khadshon ko dil se nikalay 
Chalay jaa rahay hain 
Magar dhund chattay gi 
To maloom ho ga 
Keh hum is safar main akelay nahin hain 
Judai hamesha se thi saath apnay 

Zamanay se juda lagnay laga hai


Zamanay se juda lagnay laga hai 
Woh kitna ba'wafa lagnay laga hai 

Yeh kaisay dor main hum jee rahay hain 
Bashar bhi ab khuda lagnay laga hai 

Mujhay tareekiyon ne das liya hai 
Mujhay jugnoo diya lagnay laga hai 

Ajab si pyas thehri hai labon par 
Samandar bhi zara lagnay laga hai 

Dukhi logon kay aansoo ponjhta hai 
Woh kitna parsaa lagnay laga hai 

Youn apnay shaher main gum ho gaya hoon 
Keh her rasta naya lagnay laga hai 

Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota


Mohabbat ki tabiyat main agarcha gham nahin hota 
Magar khadsha judai ka ghamon se kam nahin hota 

Koi jugnoo, koi taara kahin se dhoond kar laao !
Gharon ko phoonk denay se andhera kam nahin hota 

Mohabbat karnay walay to hamesha saath rehtay hain 
Mohabbat main judai ka koi mousam nahin hota 

Mujhay tum chor kar khud bhi sari umar tarpay ho 
Koi aisi saza detay tumhein to gham nahin hota

Zameen walon se yeh keh kar falak se dhal gaya suraj 
Ujaala baant denay se ujaala kam nahin hota

Tum se milnay ka wada tha


Jeet 

Tum se milnay ka wada tha 
Jee karta tha 
Jaisay mujh ko tarpati ho 
Waisay hi tum ko tarpa'on 
Tum se aaj na milnay jaaon 
Lakin aaj bhi dekho jana !
Meri mohabbat , meri zid se 
Jeet gayi hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...