Apr 9, 2015

Aaj us kay rukhsaar pe wohi muskurahat


Aaj us kay rukhsaar pe wohi muskurahat 

Phir se kisi ghreeb kay dil ki khair nahin

Aur kuch nahin hota to bhari baarishon main


Aur kuch nahin hota to bhari baarishon main 

Tujh se bichray huye raston pe safar karta hoon

Kabhi sajjna kabhi kangna kabhi gulzaar lagti ho




Kabhi sajjna kabhi kangna kabhi gulzaar lagti ho 
Jo hansti tum ho bhoolay se koi gulnaar lagti ho 

Tumhari lambi palkein , tumhari dil'ruba aankhein 
Soti ho jo raaton main koi funkaar lagti ho

Tumharay surkh yeh aariz, tumhari reshmi baanhein 
Meray khawabon ki jannat ka koi kirdaar lagti ho

Tumharay phool se gaisoo jab urrtay hain fizaon main 
Sunehri shaam suraj ki koi takraar lagti ho 

Tumhara gandami chehra meri yaadon ki doulat hai 
Barasti ho jab aankhon se koi phu'haar lagti ho 

December main meri jana kabhi jo rooth jaati ho 
Hijar ki aag main jalti koi talwaar lagti ho 

Tumharay husn ka sadqa ghazlon main adaa kar kay 
Jo likhta hoon main kaaghaz par koi shah'kaar lagti ho

Rang-e-mousam hai aur baad-e-saba


Rang-e-mousam hai aur baad-e-saba 
Shehr koochon main khaak uraati hai 

Farsh par kaaghaz urrtay phirtay hain 
Maiz pe gard jamti jaati hai 

So gaye phir jaag uthi khushboo
Zindagi khawaab kiyon dikhaati hai 

Kya sitam hai keh ab teri surat 
Ghour karnay pe yaad aati hai 

Kon is ghar ki dekh baal karay 
Roz ik cheez toot jaati hai 

Rutt jab maazi ki suhaani yaad aati hai


Rutt jab maazi ki suhaani yaad aati hai 
Hamein do premiyon ki kahani yaad aati hai

Majnoo sa ik larka pagal yaad aata hai 
Laila si ik pagli dewani yaad aati hai

Shab bhar tehalta woh raja yaad aata hai 
Lihaaf orrh kay roti woh rani yaad aati hai 

Farhaad sa woh pathar sa jazba yaad aata hai 
Sheereen si woh mom si jawani yaad aati hai 

Sunati thi jo shab ko sulanay ki khatir 
Mujhay woh us burhiya ki kahani yaad aati hai 

Woh dard mousam woh canteen woh iqraar-e-wafa
Mujhay woh shaam december ki suhaani yaad aati hai 

Samjh main nahin aata hanson ya roun
Mujhay jab meray maazi ki na'daani yaad aati hai 

Phir se her boond main us lams ki lazzat le kar


Phir se her boond main us lams ki lazzat le kar 

Baarishein aah laganay ka hunar layi hain

Teri aankhon pe ek likhi ghazal




Teri aankhon pe ek likhi ghazal 
Kuch adhoori si kuch mukamal 

Likhta hoon teri aankhon ko kanwal
Reshmi reshmi narm makhmal 

Behta hai in main pyaar ka sagar 
Lehron ki hai in main halchal 

Hansti muskurati hain teri aankhein 
Jab jhapkein to lagein  lehraya kisi ne aanchal

Shokhi teri aankhon ki dekh kay jeeta hoon 
Youn hi  karay yeh shararat rahein chan'chal 

Aayi ho jaisay khizan pe bahaar sajni 
Khili ho phir palkon ki kaali kaali kompal 

Kashaf hai teri aankhon se maqtool 
Ab youn zulm na dhaa tu her pal

Kaha tum ne mujhay dil se bhula do tum


Kaha tum ne mujhay dil se bhula do tum 
Mita do tum 
Chalo main maan leti hoon 
Tumhein main apnay dil se
Bhula doon gi mita doon gi 
Magar ik kaam to kar do 
Keh dariya kay kinaron ko kisi surat se mila do tum 
Sitaray tor kar laa doon 
Ya phir is phool se khushboo juda kar kay dikha do tum !
Sunno tum kar bhi lo aisa 
Kinaray jor bhi laayo 
Sitaray tor bhi laao
Chaman kay saaray phoolon se 
Juda khushboo ko kar bhi do 
Magar main tum ko is dil se mitta phir bhi nahin sakta
Suno main mar to sakti hoon 
Bhula phir bhi nahin sakti

Ae dil meri shakist-e-wafa par na muskura


Ae dil meri shakist-e-wafa par na muskura 

Tu bhi shareek hai , meray haal-e-tabahi main

Bhout raat ho gayi ab loatna hai mujhay


Bhout raat ho gayi ab loatna hai mujhay 

Meray bister pe muntazir hai tanhai meri

Yeh andheray to simat jayein gay ik din Ae dost


Yeh andheray to simat jayein gay ik din Ae dost 

Yaad aaye ga tujhay mujh se guraizan hona

Ujaala ban kar aa jaao meray tareek lamhon main


Ujaala ban kar aa jaao meray tareek lamhon main 

Keh teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain

Hasrat se dekhtay rahay maazi ko is tarah


Hasrat se dekhtay rahay maazi ko is tarah

Jaisay keh loat aayein gay jo din guzar gaye

Tehreer main aa jaye agar lafz-e-hudai


Tehreer main aa jaye agar lafz-e-hudai 

Mehsoos yeh hota hai qalam toot raha hai

Kisi ko kya jo qadmon pe jabeen-e-bandagi rakh di


Kisi ko kya jo qadmon pe jabeen-e-bandagi rakh di 

Hamari cheez thi hum ne jahan chahi wahin rakh di 

Chaman kay rang-o-boo ne is qadar dhokay diye hum ko 

Keh hum ne shouq-e-gul'bosi main kaanton par zubaan rakh di

Jab wapis dil maanga to woh bolay keh tehro yaad karnay do 

Zara si cheez thi hum ne khuda janay kahan rakh di
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...