Mar 9, 2014

Izzat



Izzat

Insaan ki izat rait ke mehal ki manind hoti hai jissy bananey main aik lamba arsa
lagta hai lakin ussay giraney kay liye hawa ka ik jhonka hi kafi hai

Baatain Ishfaq Ahmed ki



  • Jab zinda admi ka andar mar jata hai to woh bara kush ikhlaaq aur shaista ho 
          jata hai aur shama-e-zindagi ke parwaney us se noor hasil karney kay liye

         door door se ur kar anay lagtay hain

  • Rasta jab pathrilla ho ,suraj ki tamazat tez ho, her qadam par char'hai ho
          to Musaafat mushkil se tah hoti hai

Phool Hi Phool


  • Mohabbat Allah ki amanat hai

  • Zamana Kitabon se behtar ustaad hai

  • Dil ki Ankh ibadat se khulti hai

  • Num se rooh main tawa'nai ati hai

  • Gussa shama-e-insaniyat ko bujha deta hai

  • Jo Allah ke kaam main lag jatay hain, Allah un ke kaam main lag jata hai

Boltay Lafzon Ki Sadaqat



  • Jo raston ke ishaq main griftaar ho jatay hain Manzalain un se door ho jaya karti hain

  • Jis shaks ki adm-mougodagi main tum us ki himayat na kar sako ussay apna dost 
           kabhi mat samjna

  •   Jo log khud se hum kalam rehtay hain woh kabhi tanha nahin hotay

  • Jo log hansana bhool jatay hain , woh khandar ho jaya kartay hain 
          veeran aur ujaar khandroan main bhi hota hai keh jo baat hum sochna nahin

          chahatay wohi hamaray muqadar main likh di jati hai

  • bimariyon main sab se bari bimari dil ki hai aur dil ki bimariyon main sab
           se bari bimari dil-azari hai

  • darwazay hamesha khulay rakho kyn keh kuch log datakon ke qaiyal nahin hotay

  • Jis mohabbat par ap fakhir na kar sakaein woh sirf dukh hai

  • Kuch khawabon ko paney kay liye kuch khwabon se dasbardar bhi hona parta hai

  • Kuch log hawa ki manind hotay hain chupkay se zindagi main atay hain aur
          chupkay se zindagi ko apney sath le jatay hain

  • Rishton aur insanon se barh kar kuch bhi aham nahin hota bashar'teeka 
          woh hamaray sath mukhlis aur pur-khaloos hon

  • Azmaish dost ki ho ,mohabbat ki ho , ya kisi dilbar lamhay ki kabhi bhi 
          sood'mand nahin hoti , kon janey is lamhay woh kitna majboor ho

  • Mohabbat aitabaar ke baghair kuch nahin aitabaar baghair mohabbat
          ke bhi qeem'mati hota hai

  • Jagti raton main khawaabon ki chadar orh kar sehra ki tishnagi aur kushak 
          paton ki chubhan koi koi mehsoos karta hai

  • Zindagi kiya hai ,aitabaar aur be-aitabari ke darmiyan ka intahai takleef-deh safar



Kuch main bhi thak gaye hoon ussay dhoondtay huye


Kuch main bhi thak gaye hoon ussay dhoondtay huye

Kuch zindagi ke pass bhi mohlat nahin rahi


Us ki ik ik ada se jhalakney laga khloos


Jab mujh ko aitabaar ki aadat nahin rahi

Main samandar tha magar veerano main sehra ki tarah



Main samandar tha magar veerano main sehra ki tarah

Meray ghar tak chal ke ata itna piyasa kon tha

Tujhay dhoond lenay ke shauq main,

 

Tujhay dhoond lenay ke shauq main, main ne apna aap ganwa diya


Meri umar thi koi raat jo teri arzoo main kat gaye

Bikharay Mooti


  • Jin yadon ko yaad kar ke insaan ko takleef hoti ho unhain bhool jana hi behtar hai

  • Insaan kisi ko shreek bananey se pehlay us ke haal aur mazi ko dekh'ta hai 
lakin yeh bhool jata hai keh us ki rafaqat main us ne mustaqil guzarna hai .
kamyaab azdawaji zindagi Allah ka Ehsaan hai

  • Hamesha dua mangtay raho ,kyn keh mumkin aur na mumkin sirf
hamari soch main hai.Allah kay liye to kuch bhi na-mumkin nahin

  • Gunahon ka iqraar kar lena naiki ki taraf pehla qadam hai

  • Kanwari larki ki zubaan nahin hoti , sirf khyalaat hotay hain

  • doosron ko haqeer samjhna be-had asaan hai magar khud ko haqeer 
samjhna be-had mushkil

  • Gham se rooh main tawanai ati hai

  • Jo shaks dukh ponchay aur pershani main izafay ka sabab banay
us se taluq tor lena hi behtar hai

  • Museebat main ghabraney walay log kabhi kamyaab nahin hotay
sitaray bhi to andheray main chamaktay hain

Mohabbat

  • Mohabbat woh be-ikhtiyaar amal hai jo apney anjaam se na waqif hoti hai

  • Hum kehtay hain keh humain khalis-o-pakeeza mohabbat chahiya
kiya kabhi hum ne yeh socha hai keh hum se bhe kisi ko khalis 
mohabbat ki chaah-o-talaash ho sakti hai

  • Mohabbat karo, magar muqadar se shikwa na karo kyn keh mohabbat 
main kamyabi her aik ko nahin milti

  • Taqat ke nashay main choor kabhi mohabbat nahin kar sakta aur na woh
karta hai .kyn keh ussay zaahm hota hai apni barai ka kek woh jo chahay 
kar sakta hai.asal mohabbat us waqat samney aati hai jab doulat-o-ghamand 
ka label utarta hai

Sunehray Haroof


  • Apni khwaish ko dil main hi maar dalo kahin aisa na ho keh
          Tumhara dil is khwaish main mar jaye

  • Zindagi ke aadhay gham insaan dusroon se tawaquaat wabasta 
         kar ke kharidata hai

  • Agar tum kisi ki raah main pathar bano ge to aaney wala
          tumhari raah main pahaar ban jaye ga

  • Jo shaks apney khloos ki qasmain khaye us par kabhi aitamaad na karo

  • Insaan ko itna bhi jhoot nahin bolna chaiya keh ussay apni kahi hui baat
         ki sachaaie sabat karney kay liye kisi dosray ki gahwahi ki zaroorat paray

  • Nahin se baat shroo ho to daman hi nahin , dil bhi tang ho jata hai , phir na dil
          main jaga milti hai aur na hi daman main

  • Jo gham mazi ban chuka hai us par ghamgeen aur afsurda honey ka matlab 
          yeh hai keh hum aik naye gham ko dawat de rahay hain

  • Dukh jab parday main ho tab tak dukh hi rehta hai aur jab
          be-naqaab ho jata hai to is ka doosra naam sukh ho jata hai

  • Shammah ki zindagi basar karo jo khud to jalti hai magar dosron 
          ko roshni ponchati hai

  • Jab tak kisi shaks se baat cheet na ho , ussay haqeer mat samjho

  • Jab aaqal pukhta hoti hai to admi ki guftagoo bhout kam ho jati hai
   

Anmol Mooti



  • Jo shaks dusron ki kushaali par nazar rakhta hai woh hamesh 
           ghamgeen rehta hai (Hazrat Ali)

  • Asmaan par nigah zaroor rakho magar yeh na bholo keh paoan zameen par he rakhay 
          jatay hain kyn keh  insaan girta hai to zameen par hi girta hai

  • Aisay shakas ko ideal bana kar us ke peechay bhagtay kyn ho jo tumhari dastras 
          main kabhi a hi nahin sakta. is se behtar hai keh khud ko is qabil banayo keh

          loag tum ko apna ideal tasawar karney lagyain .

  • Admi khud apney khyalaat se apni zindagi khraab karta hai

  • Jo cheez asani se mil jati hai woh ziada der tak nahin rehti

  • insaan ko 2 cheezain mutaharak karti hain aik shauq , dosra khauf

  • Mohabbat rooh ka gulaab hai . agar murjha jaye to zindagi main kashish
          baqi nahin rahti


Azaad Lab


 Hasad
  • Hasad tumhari kushi se ghamgeen hota hai yeh is kay liye kafi hai
          tumhain intaqaam leney ki zaroorat nahin woh khud apni aag main jal raha hai

          Haan bas tum hasad se bacho


Ishq-o-Mohabbat
  • Jab ishq patla hota hai to khamiyaan gahari ho jati hain
  • Ishaq jisam chahta hai dosti nahin ( spaini kahawat)


Zindagi
  • Zindagi aik taweel ukta denay wali kahani hai.aur is ko wohi shaks kamyabi 
          ke sath parh sakta hai.jis ki tawajo hamesha kahani ke aglay peragraf par ho gi

  • Zindagi main hamesha woh rahain apnaow jahan se kuch hasil ho

  • Zindagi aik aisay phal  daar drakhat ki manind hai jo sirf inhi ko phal deta hai
          jo is par charh kar phal torney ki koshish kartay hain

Baton se kushboo aye

  • Agar zindagi aram-o-sukon se guzarna chahtay ho to dusron se shikwa na karo

  • Sirf bad-duaein hi khushiyon ke raston main band nahin bandhti 
          bar ha sabar bhi sukh ki raah main dhool ban jaya kartay hain

  • zindagi main kisi ko itn amat chaho keh tum is ki judai bardast na kar sako

  • Insaan ko is gulaab ke phool ki tarah hona chiya jo in hathon main kushboo deta 
          hai jo ussay masal detay hain

  • Jo apney liye asool nahin banatay .unhain dosron ke banaye huaye 
          asoolon par chalna parta hai

  • Kamyaab insaan mazi ki nakamiyan yaad rakhtay hain

  • Jab aitamaad toot'tay hain to insaan andar se kis tarah kirchi kirchi 
         hota hai yeh wohi jaan sakta hai jo is qarb se guzra ho

  • Mohabbat agar be-wafa ban jaye to ansoo muqadar ban jatay hain

  • Dusron ko maaf kar diya karo lakin apney aap ko nahin


Mehakti Kaliyan

  •  
  • Sabar se Barh kar koi cheez meethi nahin

  • Muskurahat khubsurti ki alamat hai ,aur khoobsurti zindagi ki

  • Tang zehan log ,hamesha tang raston par chaltay hain

  • Kisi par aitamaad na karo keh halki choat se zindgi bojh nazar aney lagay

  • Agar duniya main pur sakoon rehna chahtay ho to
          kisi ko dil kighrai se mat chahyo

Khushboo jaisay lafz

  • Itna Oncha na uro keh suraj ki sohaiyen pigla dain
  • Be maqsad bolney wala apna maqsad kho deta hai
  • Gul-e-daoodi aisay mousam main khilta hai .jab koi phool nahin khilta.
         isi tarah sacha dost bhi aisay mousam main sath rehta hai jab koi nahin hota
  • Jab zindagi guzar rahi hoti hai to hum is taraf nahin dekhtay
          jab guzar jati hai to phir hum is ki taraf dekhna chahtay hain
  • Apney dil ke andar mar janey se behtar hai kisi ke dil main
          hamesha kay liye zinda ho jayo

Baat hai Samjhney ki


  • Gaarhon main Andheray  jaldi phailtay hain Jab keh parbaton parbaton par
Suraj sab se pehlat tulooh aur sab se Aakhir main ghroob hota hai

  • Buray waqat ko apney waqat par hi guzarna hai .Ap ke cheekhney chilaney 
se koi khaas farq nahin paray ga

  • Apney aap ka khyal rakhiya kyn keh khud aap ko apney aap
ki sab se ziada zaroorat hai

  • Aap jinhain bewaqoof samjh rahay hotay hain .darasal woh aap ki
Harkatain nazar andaaz kar rahay hotay hain

  • Hum bhout se logon ko chahney ke ba wajood bhi nazar andaaz nahin kar saktay

Uqaab ko ghaez thi Fakhta pakarney se


Uqaab ko ghaz thi Fakhta pakarney se
Jo gir gaye to youn hi neem jaan chor gaya
Na janey kon sa asaib dil main basta hai
Keh jo bhe tehra woh aakhir makaan chor gaya

Barshon ke Mousam main

Barshon ke mousam main
Tum ko yaad karney ki
Aadtain purani hain
Is baar socha hai
Aadtain badal dain ge
Phir khyal aya
Aadatain badalney se 
Barshain nahin rukti

Mojaza

Mujahy chor kar akela
Tu chala gaya
Mujh se door kahin
Aur main
Teri judai main 
Abhi tak
Zinda hoon
Tu hi bata
Yeh mojaza nahin to aur kiya hai

Kabhi youn hi chaltay chaltay



Kabhi youn hi chaltay chaltay

Be-nishaan mazil ki taraf

Paon main chalay par jatay hain 

Manzar Ojhal ho jatay hain

Bhout se apney kho jatay hain

Manzil phir bhi nahin milti

Aankh main palney wale saray khwaab

Rakh ki surat ho jatay hain

Tabeer phir bhi nahin milti

Rooh tak zakhmi ho jati hai

Sakoot-e-shab hai Tanhai hai



Sakoot-e-shab hai
Tanhai hai
Lakin aisi tanhai
Kis main goongti rahi hain sari un kahi batain
Jo dil main shor to karti hain
Lakin keh nahin patay
kisi ke door jatay poan ki halki si woh Aahat
Kabhi paton ki khar khar main 
kisi ke lotney ka shak
Kabhi beetay palon ki goonj
Kabhi madham si sargoshi
Kabhi apney hi andar chal rahi Aandhi ki awazain
Sakoot-e-shab hai tanhai hai 
Lakin aisi tanhai
Jaisay door tak awazon ka phail hua jungle

Raiza raiza hai mera aks magar hairat yeh hai


Raiza raiza hai mera aks magar hairat yeh hai

Mera Aina slamat hai to phir toota kiya hai

Jism se khoon nichor leta hai

Jism se khoon nichor leta hai

 Ishq jab hijar Oorh leta hai

Na janey raat ki tanhai main mareez-e-gham pe kiya guzri



Na janey raat ki tanhai main mareez-e-gham pe kiya guzri

shikan bistar ki kehti hai keh dam mushkil se nikla hai

Itna qareeb ayo keh jee bhar ke daikh lain



Itna qareeb ayo keh jee bhar ke daikh lain
shyed keh phir milo to yeh zoq-e-nazar na ho

Aye ho ab keh jo tum to aik shab qiyaam kar lo
Shyed keh phir guzar ho to mera ghar na ho

Mumkin hai keh tarteeb-e-waqat main aisa bhi lanha aye
Keh dastak ko teray hath uthain to mera dar na ho

Na mukhlis tha mujh se na waqif meray jazbaat se tha



Na mukhlis tha mujh se na waqif meray jazbaat se tha
Us ka rishta to faqat apney mufadat se tha
Ab jo bichara hai to kiya rona us ki judai par
Is ka andesha to pehli he mulaqaat se tha

Main bhi manta nahi tha magar yahi sach hai



Main bhi manta nahi tha magar yahi sach hai
Teray wastay main umrain guzaar sakta hoon
Yahi nahin keh tujhay jeetney ki khwaish hai
Main teray wastay khud ko bhi haar sakta hoon

Yeh umar tumhari aisi hai



Yeh umar tumhari aisi hai
Jab Asmaan se taray tor ke le ana bhi
Sach much mumkin lagta hai
Shaher ka her abad ilaqa
Apna angan lagta hai
Youn lagta hai jaisay her din
Her aik manzar
Tum se ijazat le kar
Apni shakal moaiun karta hai
Jo chaho woh ho jata hao
Jo socho woh ho sakta hai
lakin ae is kachi umar ki barish main 
Mastana phirti chanchal larki
Yeh badal jo aj tumhari chat par ruk kar tum se batain karta hai
Ik saya hai
Tum se pehlay aur tumharay baad ke her aik mousam main yeh
Her aik chat par aisay he aur isi tarah se 
Dhokay banta phirta hai
Subha azal se shaam abad tak
Aik he khail aur aik he manzar
Dekhney wali ankhon ko her baar dekhya jata hai
Ae sapno ki saig par soney jagnay wali larki
teray khwaab jeayein
Lakin itna dehaan main rakhna
Jeewan ki is khwaab sara ke
Saray manzar
Waqat ke qaidi hotay hain jo apni ro main 
In ko sath liya jata hai
Aur mehmaiz kiye jata hai
Dekhneay wali Aankhain peechay reh jati hain
Dekho jaisay meri Aankhain

Poet Amjad Islam Amjad

Khud tishna hoon logon ki main kiya piyaas bujhyon



Khud tishna hoon logon ki main kiya piyaas bujhyon

Ghairon ko to yeh halat dekhai nahin jati

Ik baar bhujhaya tha teray labon se

Ab mae se bhi woh piyaas bujhai nahin jati

Dil ki choton ne kabhi chain se rehney na diya



Dil ki choton ne kabhi chain se rehney na diya

Jab chali sard hawa main ne tujhay yaad kiya

Is ka rona nahin kyn tum ne kiya dil barbad

Is ka gham hai keh bhout der se barbad kiya

Kuch khwaab meri jagti ankhon ko bakhsh kar



Kuch khwaab meri jagti ankhon ko bakhsh kar

Woh andhiyoun main rait ke ghar de gaya mujhay

Kaash koi is tarah se waqif ho meri zindagi se



Kaash koi is tarah se waqif ho meri zindagi se

Keh main barish main bhi ro`oan to woh meray ansoo parh le

Tanhai



Tu kahan hai keh teri yaad ke hathon ab to

Hai meray sath preshaan  meri tanhai bhi hai

Mujhay parho to zara ehtiat se parhna



Mujhay parho to zara ehtiat se parhna

Khud apni zaat main bikhri hui kitaab hoon main

Mujhay sab qabool hai ae falak



Mujhay sab qabool hai ae falak

Gham-e-yaar mujh se talab na kar

Main ussay kaisay juda karoon

Jo meri umar bhar ki talash hai

Dharkno ke nasheb-o-fraz ko sanwar tha aur bas



Dharkno ke nasheb-o-fraz ko sanwar tha aur bas
Kaghaz pe dil ka boujh utara tha aur bas

Bas itnna janti hoon Keh awaz us ki thi
Itna pata hai us ne pukara hai aur bas

Duniya ki fikar kiya thi Zamaney ka khuf kiya
Hum ko faqat khyal tumhara tha aur bas

Chahaton ke jahan main kuch faida ho na ho Magar
Chahat ke junoon main sirf khasara tha aur bas

Logon ne ussay meri mohabbat samjh liya sagar 
Woh mujh ko jaan se piyara tha aur bas

Yahi wada liya tha na hamesha khush he rehna hai


Yahi wada liya tha na hamesha khush he rehna hai
Lo dekho , Dekh lo aa ke
Meri Ankhon ko dekho tum 
Yeh kitni shokh lagti hain
Meray honthon ko dekho tum 
Hamesha muskuratay hain
Koi bhe gham agar aya
Usaay hans kar saha main ne
Meray chaheray ko dekho tum 
Hamesha pur sakoon ho ga
Kiya tha main jo tum se woh wada kar diya poora
Magar aik baat hai janaa
Kabhi jo waqt mil jaye
To meri shairy parhna
Tumhain mehsoos to ho 
Kahin talkhi bhara lehja
Kahin pe dard ki jhelain
Kahin lehjay ki karwahat
Suno main kush to hoon 
Lakin mera her Lafaz rota hai

In udaas rahoon par


In udaas rahoon par
Is akelay dil ke sath kar liya
Safar kitna aur kitna baqi hai
Woh jo aik tara sa door jhilmilata hai
Rasta dekhata hai
Aur doob jata hai 
Par ab is akelay pan se dil yeh sawal karta hai 
Jugnoan ki khwaish main 
Titliyoun ki chahat main
Kar liya safar kitna aur kitna baqi hai

Aya kuch is ada se keh palkaien bhigo gaya


Aya kuch is ada se keh palkaien bhigo gaya 

Lamha teray khyal ka kitna shadeed tha

Mohabbton main dukhon ke siwa rakha he kiy hai



Mohabbton main dukhon ke siwa rakha he kiy hai

Sanam mil bhi jaye to hijar ke andeshay maar datay hain

Kamosh raat , us ka intizaar , aur yeh neend ka boujh


Kamosh raat , us ka intizaar , aur yeh neend ka boujh

MAin mohabbat n akarti to kab ki so chuki hoti

Agar woh piyaar kar leta mera daman pakar leta



Agar woh piyaar kar leta mera daman pakar leta
To jeevan main faqat us se mohabbat farz ho jati
Mohabbat qarz hoti hai 
Magar acha kiya us ne mujhay samjha kar chal nikla
Mujhay thukra kar chal nikla
Bhout nadaan sa hai woh
Kahan maloom hai us ko
Mohabbat zindage main faqat aik baar milti hai
Agar thukar kar chal niklain to umrain beet jati hain
Mohabbat ki tamana main 
Magar her aik rastay pe
Sirf ruswai milti hai
Faqat tanhai milti hai

Main keh paband-e-slasal hoon aik mudat se



Main keh paband-e-slasal hoon aik mudat se
Sah`e la hasil hoon aik mudat se

kalayian sooni maang bhi veraan hai
Main khud se ghafil hoon aik mudat se

sadiyaan huiyen apna jisam choray huye
main us ki rooh main dakhil hoon aik mudat se

log mujh par utha rahay hain sang
Mohabbat main jo pagal hoon aik muddat se

Meray kassay main ab to daal sika shdmani ka
Teray dar ki sahil hoon aik mudat se

Thakan se choor hon Aa samait le mujh ko 
No khaiz Awara Badal hoon aik muddat se

Guzray huye taveel zamaney ke baad bhi



Guzray huye taveel zamaney ke baad bhi
Dil main raha woh chor kar janey ke baad bhi

Pehloo main rah kay dil ne diya hai bhout fraib
Rakha hai us ko yaad bhulaney ke baad bhi

Go to yahan nahin hai Magar tu yahin pe hai
Tera he zikar hai teray janey ke baad bhi

Lagta hai kuch kaha hi nahin hai ussay Adeem 
Dil ka tamam haal sunaney ke baad bhi

Main bhool jayon tumhain ab yahi munasib hai



Main bhool jayon tumhain ab yahi munasib hai
Magar bhulana bhi chahiyon to kis tarah bhoolon

Keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin
Yahan to dil ka yeh aalam hai kiya kahoon

Bhula saka na yeh woh silsala jo tha hi nahin
Woh ik khyal jo awaz tak gaya he nahin

Woh ik baat jo main keh nahin saka tum se 
Woh aik rabt woh jo hum main kabhi raha hi nahin

Mujha hai yaad woh sab woh jo kabhi hua hi nahin
Agar yeh haal hai dil ka to koi samjhaye

Tumhain bhula bhi chahyon to kis tarah bhoolon
Keh tum to phir bhi haqeeqat ho koi khwaab nahin

Aakhri harba hamain ab azmana chiya



Aakhri harba hamain ab azmana chiya
Jo bacha hai woh bhe dawo pe lagana chiya

Khul kar us ka zikar karna chiya ahbaab main 
Rafta rafta youn ussay phir bhool jana chiya

Zindagi ik pal ki mohlat par bhi amada nahin
Aur hamain qurbat ka us ki ik zamana chiya

Tu ura de khaak Meri janglon ,sehraon main 
Ae hawa-e-Muztarab , mujh ko thikana chiya

Woh bisharat le ke aneay walay qasad kiya huaye
Muntazir hai ik zamana, Un ko ana chaiya

Yeh mumkin hai Hamaray darmiyaan koi Ghalat fehami bhe na rahti



Yeh mumkin hai Hamaray darmiyaan koi
Ghalat fehami bhe na rahti
Jo apney dil main choti se
Khalash hai khatam ho jati
Bata deta keh mujh ko aaj bhi us ki zaroorat hai
Jo is jeevan ka hasil hai to bas us ko mohabbat hai
Bata deta keh logon ki sabhi batain fasaney hain
Sabhi qissay puraney hain
Main keh data zara se baat par youn roothna acha nahin hota
Mohabbat karney walon main
Ghalat fehmi to ho sakti hai Par jhagra nahin hota
Main her  ik baat keh data
Khalash bhi door ho jati hai
Main is ka hath pakary youn hi us ka hum qadam rehta
Woh Agay hath to karta
Woh mujh se baat to karta

Ik umar ke baad us ko dekha



Ik umar ke baad us ko dekha 
Aankhon main sawaal thay hazaron
Honthon pe magar wohi tabasam
Chahaeray pe likhi hui udasi
Lehjay main magar bala ka tehrao
Awaaz maon goongti judai
Banhain thi magar wasaal-e-samaa
Simti hui us ke bazomain
Ta dair main sohti rahithi
Kis abar guraiz pa ki khatar
Main kaisay shajar se kat gaye thi
Kis chayon ko tark kar diya tha
Main us ke gale lagi hui thi
Woh poonjh raha tha meray ansoo
Lakin bari dair ho chuki thi

Ajab be ikhtiarai hai aur is be iktiyari main



Ajab be ikhtiari hai 
Aur is be iktiyari main 
Meray jazbay, Meray alfaaz mujh se rooth jatay hain
Main kuch bhe keh nahin sakta, main kuch bhe likh nahin sakta
Udasi orh leta hoon
Aur in lamhon ki muthi main 
Tumhari yaad ke jugnoo kahin jab jagmagatay hain
ya beetay waqat ke saye 
Meri be khwaab aankhon main kai deepak jalatay hain 
Mujhay mehsoos hota hai
Mujhay tum ko batana hai
Keh rut badlay to panchi bhe gharon ko loat atay hain 
Suno jann ..... ! chalay ayo
Tumhain mousam bulatay hain 
Meray Andar bhout din se 
keh jaisay jung jari hai 
ajab be-ikhtiari hai 
Main na chahyon magar phir bhi tumhari soch rehti hai 
her aik mosam ki dastak se tumhara aks banta hai
kabhi barish tumharay shabnami lehjay main dhalti hai 
kabhi sarma ki yeh ratain
Tumharay sard hathon ka dehkhta lams lagti hain
kabhi pat jhar 
Tumharay poan se ronday huay
paton ki awazain sunata hai Mujhay be had satata hai
Kabhi mousam gulabon ka 
Tumhari mukurahat ke sabhi manzar jagata hai
Mujhay be-had satata hai
Kabhi palkain tumhari 
Dhoop orhay jism-o-jaan par shaam karti hai
Kabhi Aankhain meray likhay huaye misroan ko
Apney naam karti hain
Main kush hoon ya udasi ke kisi mousam se lipta hoon
Koi mehfil ho tanhai main ya mehfil main tanha hoon
Ya phir apni lagaye Aag main bujh bujh ke jalta hoon 
Mujhay mehsoos hota hai
Meray andar bhout din se
Keh jaisay jung jari hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...