Jul 9, 2014

Kaha tha na Khwaab mat dekho



Kaha tha na
Khwaab mat dekho 
Keh in ke tootnay se 
Kirchiyaan aankhon main chubhti hain
Aur phir aankhain khoon roti hain

Uljhi thi aqal-o-hosh main sagar raah-e-hayat


 Uljhi thi aqal-o-hosh main sagar raah-e-hayat 

Main le ke tera naam , fanaa se guzar gaya

Loat aao keh dil ki waadi ka ik musafir



Loat aao 
Keh dil ki waadi ka ik musafir
Keh jis ko tum ne 
Rafaqaton ki chand ghariyaan 
Inayaton ka haqeer sadqa
Chalty chalty thama diya tha 
Woh in ko seenay laga ke baitha 
Woh in se duniya basa ke baitha 
Woh daaman dil phaila ke baitha 
Tumhain hi paanay ka muntazir hai 
Keh rasta taktay taktay tab se
Woh loat anay ka muntazir hai 
Loat aao

Insaan ka dil tornay wala shakhs


Insaan 

Ka dil tornay wala shakhs 

Allah ki talaash nahin kar sakta

Andesha bhi bhout tha aur ehtiyaat bhi bhout ki


Andesha bhi bhout tha aur ehtiyaat bhi bhout ki 

Hotay hotay woh shakhs aakhir juda ho hi gaya

Neend se kiya shikwa jo ati nahin


Neend se kiya shikwa jo ati nahin 

Qasoor to us chaheray ka hai jo sone nahin deta

Happy Birthday


Rifatein aur bulandi bhi tujh pe naaz kare 

Teri yeh umar khuda aur bhi daraaz kare 

Haseen chahray ki tabindagi mubarak ho 

Tujhe yeh saal'girah ki khushi mubarak ho

Phool youn hi nahin khil jaate saahib


Phool youn hi nahin khil jaate saahib 

Beeg ko dafan hona parta hai

Agar woh pooch lain hum se tumhain kis baat ka gham hai


Agar woh pooch lain hum se tumhain kis baat ka gham hai 

To phir kis baat ka gham ho , agar woh pooch lain hum se

Girtay rahay sajdon main hum apni hasraton ki khatar


Girtay rahay sajdon main hum apni hasraton ki khatar 

Ishq-e-khuda main giray hote to koi hasrat adhoori na hoti

Kainaat ki anmol cheezon main se aik cheez "Ehsaab" hai


Kainaat ki anmol cheezon main se aik cheez "Ehsaab" hai 

Jo duniya ke her insaan ke paas nahin hoti

Main to toota hua patta hoon meri baat hi kiya


Main to toota hua patta hoon meri baat hi kiya 

Phool pairon main masaltay hain teray shaher ke log

Yaadon ki shaal orh kar awara gardiyan


Yaadon ki shaal orh kar awara gardiyan 

Kaati hain youn bhi hum ne december ki sardiyaan

Zubaan khamosh hoti hai nazar se kaam hota hai


Zubaan khamosh hoti hai nazar se kaam hota hai 

Isi mahool ka shayed "mohabbat"naam hota hai

Hasb-e-zaroorat hum le letay hain


Hasb-e-zaroorat hum le letay hain 

Teri yaad ko ishq-e-dawa samjh kar

Kaajal aankhon main daal kar boli


Kaajal aankhon main daal kar boli 

Kijiye ab shumaar laashon ko

Meri neendain ujaarnay wale


Meri neendain ujaarnay wale 

Ab teray khwaab kon dekhaye ga

Aya tha ek shakhs mere gham baantney


Aya tha ek shakhs mere gham baantney 

Rukhsat hua to apne bhi gham de gaya mujhe

Roz rotay huye kehti hai zindagi mujh se


Roz rotay huye kehti hai zindagi mujh se

Sirf ik shakhs ki khatar mujhe barbaad na kar

Dil ki duniya kuch is tarah se ujri faraz



Dil ki duniya kuch is tarah se ujri faraz 

Us ne dard ka addi bana ke dard dena chor diya

Sirf aik hi baat seekhi in husan walon se hum ne


Sirf aik hi baat seekhi in husan walon se hum ne 

Jis ki ada jitni woh utna hi be'wafa

Samjh sake na kabhi , tum meri mohabbat ko


Samjh sake na kabhi , tum meri mohabbat ko 

Wagarna talab teri , mujh se bhi siwa thi

Dil main reh kar dil dukhatay ho


Dil main reh kar dil dukhatay ho 

Apna maqaam dekho aur apne kaam dekho

Sab kuch mil jaata hai is duniya main faqat


Sab kuch mil jaata hai is duniya main faqat 

Woh shakhs nahin milta jis se mohabbat ho

Ab to bas jaan hi denay ki baari hai !! Mohsin



Ab to bas jaan hi denay ki baari hai  !! Mohsin 

Main kahan tak sabat karoon keh wafa hai mujh main

Tum jaantay to ho meray dil ki awaaz


Tum jaantay to ho meray dil ki awaaz

Khair choro, jaantay hote to meray hotay

Rone se nahin hasil kuch ae dil-e-sodaai


Rone se nahin hasil kuch ae dil-e-sodaai

Aankhon ki bhi barbaadi , daaman ki bhi ruswai 

Hum log samandar ke bichray huye saahil hain 

Is paar bhi tanhai , us paar bhi tanhai

Suno koi khridaar hai nazar main ?



Suno koi khridaar hai nazar main  ?

Muflasi ke din hain wafa baichni hai 

Is raat ki udaasiyon se poocho hamaray dil ki halat


Is raat ki udaasiyon se poocho hamaray dil ki halat 

Jab tumhari yaad ati hai andheray aur bhu gehray ho jaatay hain

Haan haan .. main ishq, sari khataein meri


Haan haan .. main ishq, sari khataein meri 

Mujhe nibhanay walo , tum to sab farishtay ho

Main kaisay sard haathon se tumharay gaal choota tha



Main kaisay sard haathon se tumharay gaal choota tha

December main tumhain meri shahrarat yaad aye gi

Betiyaan sab ke muqadar main kahan hoti hain


Betiyaan sab ke muqadar main kahan hoti hain 

Ghar khuda jo pasand aye wahan hoti hain

Woh raat ka be'nawa musafir , woh tera shair , woh tera nasir


Woh raat ka be'nawa musafir , woh tera shair , woh tera nasir 

Teri gali tak to hum ne dekha phir na janay kidhar gaya woh

Bint-e-hawa ne khol rakhay hain baazar-e-gunnah


Bint-e-hawa ne khol rakhay hain baazar-e-gunnah 

Ibn-e-aadam hai khridaar khuda khair kare

Woh jawaab talab hai mujh se


Woh jawaab talab hai mujh se 

Main ussay chor to nahin jaaon gi

"jawaab" kiya main doon us ko 

"sawaal" hi paida nahin hota

Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha


Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha 

Ek tera pyaar paa liya bas yahi sapna mera tha 

Mere sath rehnay ki kasam bhi teri thi 

Aur akelay chor jane ka khyal bhi tera tha 

Haathon main haath le kar muhe hansanay ki soch teri thi 

Meri aankhon main ansoo denay ka silsala bhi tera tha 

Main kiyon yahan tanha reh gaya mera dil sawaal karta hai 

Kismat to teri thi , to kiya khuda bhi tera tha

Mousam ki ada aaj bhi pur'kaif hai lakin


Mousam ki ada aaj bhi pur'kaif hai lakin 

Guzri hui barsaat ki hasrat nahin jaati

Tujh ko shayed nahin khabar saa'ein


Tujh ko shayed nahin khabar saa'ein
Ishq karta hai mohtabar saaein 

Tere qadmon main rakh diya khud ko 
Ab jo chahye salook kar saaein 

Apne sadmay se maar deta hai 
Ishq milta nahin agar saaein 

Bhool jaaon main kis tarah sab kuch 
Zor chalta hai ishq pe saaein 

Sahilon ki hawa youn , aaj mujhe 
Apni mutthi main qaid kar saaein

Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin



Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
Mere naghmaat ko andaaz-e-nawa yaad nahin 

Rahye na jin kay liye raahon main bichaya tha lahoo
Hum se kehtay hain wohi ehad-e-wafa yaad nahin 

Zindagi jabar-e-musalsal ki tarh kaati hai main 
Jane kis juram ki paai hai saza yaad nahin 

MAin ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai 
MAin woh saahil hoon jisay koi sada yaad nahin 

Kaisay bhar ayein sar-e-shaam kisi ki aankhain 
Kissay tehrai chraghon ki zia yaad nahin 

Sirf dhundlaatay sitary ki chamak dekhi hai 
Kab hua kon hua mujh se juda yaad nahin 

Aao keh sajda karain aalam-e-madhoshi main 
Log kehtay hain keh sagar ko khuda yaad nahin

Zulam phir zulam hai , barhta hai to mit jaat ahi


Zulam phir zulam hai , barhta hai to mit jaata hai 

Khoon phir khoon hai , tapkay ga to jam jaye ga 

Khaak-e-sehara pe jamay ya kaf-e-qatal pe jamay 

Farq-e-insaaf pe ya paye sla'sal pe jamay 

Khoon phir khoon hai , tapkay ga to jam jaye ga 

Laakh baithay koi chup chup ke kameen gaahon main 

Khoon khud deta hai jaladon ke maskan ka suraagh 

Sazishain laakh uthati rahain zulmat ki niqaab 

Le ke her boond nikalti hai hathali pe chragh 

Zulam ki qismat na'kara aur ruswa se kaho 

Jabar ki hikmat-e-pur'kaar ke emaa se 

Khoon dewana hai , daman pe lapak sakta hai 

Shola-e-tund hai , kharman pe lapak sakta hai 

Tum ne jis khoon ko maqtal main dabana chaha

Aaj woh kooch-o-bazaar main aa nikla hai

Khain shola, kahin naara , kahin pathar ban kar 

Khoon jalta hai to rukta nahin sangeeno se

Sar uthata hai to deta nahin aaiyno se 

Zulam ki baat hi kiya , zulam ki aoqaat hi kiya 

Zilam bas zulam hai . aaghaz se anjaam tak 

Khoon phir khoon hai , Bujhao to bhujaye na bujhay

Aisay naaray keh dabao to dabaye na dabay


Na kar bandiya meri meri


Na kar bandiya meri meri 

Na teri na meri 

Chaar dina da mela 

Duniya fir mitti di dhairi

Sajni se karo ge bahana kiya


Shab beeti chaand bhi doob chala , zanjeer pari darwaze pe 

Kiyon dair gaye ghar aye ho . sajni se karo ge bahana kiya

Rukh se parday ko hatao to maza aa jaye


Rukh se parday ko hatao to maza aa jaye

Dehar ko tor banaao to maza aa jaye

Meri raaton main shab-e-noor nahin hai koi 

Rukh-e-roshan jo dikhao to maza aa jaye

Shor barpa hai pas-e-parda nahin hai koi 

Aisay main parda uthao to maza aa jaye

KAbhi bujh na jaaye chraag-e-tamana


KAbhi bujh na jaaye chraag-e-tamana 

Chiraagh-e-mohabbat jalaatay  jalaatay 

Kisi ko khabar hi nahin lut gayi hain 

Mohabbat ki duniya badaatay basaatay

Main yeh kis ke naam likhon jo alam guzar rahay hain


Main yeh kis ke naam likhon  jo alam guzar rahay hain 
Meray shaher jal rahay hain , meray log mar rahay hain 

Koi guncha ho keh gul ho , koi shaakh ho shajar ho 
Woh hawa-e-gulistaan hai keh sabhi bikhar rahay hain 

KAbhi rehmatain thein nazil is khitta-e-zameen par 
Wohi khitzameen hai keh azaab utar rahay hain 

Wohi taahiron ke jhurmat Jo hawa main jhooltay thay 
Woh fiza ko dekhtay hain , to ab aah bhartay hain 

Bari aarzo thi hum ko naye khwaab dekhnay ki 
So ab apni zindagi main naye khwaab bhar rahay hain 

Koi aur nahin hai bas khanjar azmaai 
Hum hi qatal ho rahay hain , hamain qatal kar rahay hain

Ae jazba-e-dil gar main chahon her cheez muqabal aa jaye


Ae jazba-e-dil gar main chahon  her cheez muqabal aa jaye
Manzil kay liye do gaam chalon aur samnay manzil aa jaye 

Kashti ko khuda pe chor bhi de ,kashti ka khuda khud hafiz hai 
Mushkil to nahin in mojon main behta hua saahil aa jaye 

Ae shamma! qasam parwano ki , itna to meri khatar karna 
Us waqat bharak ke gul hona , jab baani-e-mehfil aa jaye 

Is jazba-e-dil ke baaray main ik mashwara tum se leta hoon 
Is waqat mujhe kiya laazim hai , jab tum pe mera dil aa jaye

Ae rehbar-e-kaamil ! Chalnay ko tayaar to hoon bas yaad rahay
Is waqat mujhe bhatkaa dena' jab samney manzil aa jaye 

Is ishq main jaan ko khona hai , maatam karna hai , rona hai 
Main jaanta hoon jo hon ahai , par kiya karon jab dil aa jaye

Haan yaad mujhe tum kar lena , Awaaz mujhe tum de lena
Is raah-e-mohabbat main koi dar'paish jo mushkil aa jaye 

Ab kiyon dhoondon woh chashm-e-karam , hone de sitam baalay-e-sitam 
MAin chahta hoon ae jazba-e-gham , mushkil pas-e-mushkil aa jaye 

Ae barq-e-tajali kiya tu ne mujh ko bhi "Moosa" samjha hai 
MAin "toor" nahin jo jal jaaon , jo chahey muqabal aa jaye 

Ae dil ki lagi ! Chal youn hi sahi , chalta to hoon un ki mehfil main 
Is waqat mujhe chonka dena , jab rang pe mehfil aa jaye

Agar hum toot jaate to sitaray rooth jatay


Agar hum toot jaate 
To sitaray rooth jaate 
Phool khilna chor detay
Aur prinday cheh'chehana bhool jaate

Agar hum toot jaate 
To kai sadiyaan adhooray khwaab ki hairat main gum rehtein 
Idhar main ranj-o-gham sehta 
Udhar tum ranj-o-gham sehtein 
Zubaan se main na kuch kehta 
Zubaan se tum na kuch kehtein 
Agar hum toot jaate 
To kai janmon talak yeh piyaas reh jaati 
Khalish ik zindagi ban kar 
Bas ehsaas reh jaati 
In aankhon ko tumharay dekhnay ki aas reh jaati
Agar hum toot jaate

Kab kon kisi ka hota hai


Kab kon kisi ka hota hai 

Sab jhootay rishtay naatay hain 

Sab dil rakhnay ki baatain hain 

Sab asli roop chupatay hain 

Ehsaas se khaali log yahan 

Nazron ke teer chalaty  hain 

Aik baar nazar main aa kar woh 

Phir saari umar rulaatay hain 

Kab kon kisi ka hota hai 

Sab jhootay rishtay naatay hain

Shaairo dard likhtay raho


Shaairo dard likhtay raho 

Rooh ko sard likhtay raho 

Shaairo dard likhtay raho 

Ansoo'on ko sitara likho 

Khwaab ko ik ishara likho 

Ishq main sab gawara likho 

Dil ki qismat khasara likho 

Rat'jagay ista'ara likho 

Waqat kaisay guzara likho 

Raat ko be'sahara likho 

Kis ne kis ko pukaara likho 

Chaand hai zars likhtay raho 

Shaairo dard likhtay raho 

 

Tapak partay hain ansoo jab yaad tumhari aati hai faraz


Tapak partay hain ansoo jab yaad tumhari aati hai faraz

Yeh woh barsaat hai jis ka koi mousam nahin hota

Chehray parhta , aankhain likhta rehta hoon


Chehray  parhta , aankhain likhta rehta hoon 
Main bhi kaisi baatain likhta rehta hoon 

Mujh ko khat likhnay ke tewar bhool gaye 
Arhi tirchi satrain likhta rehta hoon 

Teray hijar main aur mujhe kiya karna hai 
Teray naam kitaabain likhta rehta hoon 

Teri zulf ke saaye dehaan main rehtay hain 
MAin subhon ki shaamain likhta rehta hoon 

Apne pyaar ke phool mehakti raahon main 
Logon ki dewaarain likhta rahta hoon 

Tujh se mil ke saaray dukh dohraaon ga 
Hijar ki saari baatain likhta rehta hoon 

Sookhy pool , kitaabain , zakham judai ke 
Teri sab soghatein likhta rehta hoon 

Us ki bheegi palkain basti rehti hain 
"Mohsin" jab tak ghazlain likhta rehta hoon

Sapney hain , yaadain hain , aur bhout kuch


Sapney hain , yaadain hain , aur bhout kuch 

Tum ho , tumhari baatain hain , aur bhout kuch 

Nahin chahtay hum tum ko bhulaana 

Magar doori hai , ik majboori hai , aur bhout kuch 

YEh doori ik din kat jaye gi 

Yeh faaslay ik din smit jayein gy 

Phir hum karain ge baatain , waade , izhaar , aur bhout kuch 

Main itni doori ke baad bhi in hawaon main mehsoos karta hoon 

Tumhari kushboo , tumhari awaaz , tumhara ehsaas , aur bhout kuch

O meray masroof khuda apni duniya dekh zara


O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara 

Itni khalqat ke hote 
Shaheron main hai snaata 

Jhompari walon ki taqdeer 
Bujha bujha sa ik diya 

Khaak uraatay hain din raat 
Meelon phail gaye sehra

Zaagh-o-zaghan ki cheekhon se 
Soona jungle cheekh utha 

Pyasi dharti jalti hai 
Sookh gaye behtay dariya 

Faslain jal ke raakh huein 
Nagri nagri kaal para 

O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara


Mohabbat , adawat , wafa be'rukhi



Mohabbat , adawat , wafa be'rukhi 

Kiraye ke ghar thay badaltay rahay

Apne haathon se kahin mera naam likh dena


Apne haathon se kahin mera naam likh dena 

Tum dua mat mangna sirf dua likh dena 

Is qadar zamanay ne kar diya bad'naam mujh ko

Zinda rahoon to jeenay ki saza likh dena 

Main roothay huye dost ko manaon kaisay 

Roothne wale yeh meri khata likh dena 

Juda ho ke tujh se jee lain gy 

In makhmali hathon se apni ek ada likh dena 

Tum kehtay thay tere bin jee na sakein gy

Akelay kaisay jee rahay ho zara wajha likhna 

Jis ko tum chaho woh mohabbat


Jis ko tum chaho woh mohabbat 

Jo tumhain chahye us ka kiya 

Jis kay liye tum roye woh mohabbat 

Jo tumhare liye roye us ka kiya

Jis kay liye tum tarpe woh mohabbat 

Jo tumhare liye tarpa us ka kiya 

Jis ko tum ne chaha woh tum ko mile 

Aur jis ko tum na mile us ka kiya

Bichar kar hum se phir kisi ke bhi na ho sako gy


Bichar kar hum se phir kisi ke bhi na ho sako gy

Kabhi main zabat main itna kamaal rakhta tha 

Khabar kahan thi mujhe hi woh  bhool jaye ga 

Ek ek cheez jo meri sambhaal rakhta tha 

Bichartay waqat ba'zahir to kuch na bola tha 

Magar nigah main so so sawal rakhta tha 

Woh muskura ke bhout dair chup raha 

Jaisay hansi ki aar main malaal rakhta tha 

Suan hai ab log ussay bhout statay hain 

Jis aik shakhs ka main bhout khyal rakhta tha

Woh rooth jata hai aksar shikwa kiye baghair


Woh rooth jata hai aksar shikwa kiye baghair 

Hum bhi to seh jate hai shikayat kiye baghair

Hum sochtay rahe mohabbat be'los hoti hai 

Yeh mohabbat youn hi ho jaati hai enayat kiye baghair

Tu kitna nadaan hai jaan itna to soch le

Jannat kab milti hai ebadat kiye baghair

Kasoor un ka nahin kasoor to hamara hai 

Hum ne mohabbat bhi to ki un ki ejazat liye baghair
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...