Feb 19, 2015

Her gharri na janay kiyon Aas paas rehtay ho


Her gharri na janay kiyon Aas paas rehtay ho 
Tum ajeeb mousam ho bas udaas rehtay ho 

Kuch bharam to rakhna hai apnay dil ki dharkan ka 
Tum meray nahin par paas rehtay ho 

MAin to aik larki hoon qaid main mohabbat ki 
Tum ko kya huwa sahib kiyon naraz rehtay ho 

Ek din bicharna hai jaanti hoon main lakin 
Tum aabhi se kiyon aakhir bad'hawaas rehtay ho 

Kiya koi nayi larki aa gayi hai zindagi main 
Aaj kal ziyada hi khush-libaas rehtay ho 

Hosla nahin mujh main tujh ko yeh batanay ka 
Jheel jaisay nainon main misal-e-pyaas rehtay ho

MAin roz diya jalaon ga wahan par


MAin roz diya jalaon ga wahan par 

Ae ishq tu mar kay apna mazaar to bana 

Ishq se biyaah ho gaya aur phir


Ishq se biyaah ho gaya aur phir 

Dil ki bulhan ko gham ka raja mila

Aanchal teri yaadon ka bhigo deti hai baarish


Aanchal teri yaadon ka bhigo deti hai baarish 
Sochon pe jami gard ko dho deti hai baarish

HAns hans kay sunaati hai jahan bhar kay fasanay 
Poochon teray baray main to ro deti hai baarish 

LAgtay hain pyaaray meri aankhon ko yeh manzar 
Hairat ! meray ehsaas ko woh deti hai baarish 

Yaadon ki mehak ho ya teray hijar kay taanay 
Chup chaap main rakh leta hoon jo deti hai baarish 

Mujh par tu jo karti hai so karti hai inayat 
Moti teray baalon main piro deti hai baarish

Agli baarish ak wada tha uss ka


Agli baarish ak wada tha uss ka 

Koi uss se kahay keh aa jayo baarish loat aayi hai

Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna


Aseer-e-dasht-e-wafa ka na maajra kehna 
Tamaam poochnay walon ko bas dua kehna 

Yeh kehna raat guzri hai ab bhi aankhon main 
Tumhari yaad ka qaaim hai silsala kehna 

Yeh kehna chaand nikalta hai baam par ab bhi 
Magar nahin woh shab-o-roz ka maza kehna 

Yeh kehna hum ne hi toofan main daal kay kashti 
Qasoor apna hai dariya ko kya bura kehna 

Yeh kehna tum se bichar kar bikhar gaya hoon main 
Keh jaisay haath se gir jaye "Aaina" kehna 

Aakhir yeh chooriyan teri lagti kya hain ?


Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain
Aakhir yeh chooriyan teri lagti kya hain ?
Her roz teri khushboo main nahaati hain
Tujhay subh-o-shaam pyaar ka geet sunaati hain 
Teray phool se hont jab in ko chootay hain 
Teri saanson ki mehak se yeh dehak si jaati hain 
Shokh-o-chan'chal rangon ki yeh chooriyan teri kalayi main 
Teray husan kay pai'kar ko aur haseen bana deti hain 
Teri kalayi ki yeh chooriyan jissay nazar aayein 
Ussay pagal dewana , paremi bana deti hain 
Teri kalayi ko jab bhi main ne choona chaha 
YEh chooriyan Aasman sar pe utha leti hain 
Teri kalayi jo pakron to bhout shor machaati hain 
Aakhir yeh chooriyan teri lagti kiya hain 

Jab mandron pe chaand kay ham'raah


Jab mandron pe chaand kay ham'raah 
Bujhti jaati hain aakhri shamein 
Kya teray wastay nahin tarasta 
Uss ka majboor muz'mahil chehra 
Kiya teray wastay nahin jageen 
Uss ki be'maar reham dil aankhein 
Kya tujhay yeh khyal hai keh ussay 
Apnay lotnay ka koi ranj nahin 

Uss ne dekhi hai din ki khoon khwaari 
Uss pe guzri hai shab ki ayyaari 
Phir bhi teri tarah woh be'chari 
Sari duniya se shikwa sanj nahin 

Zindabaad ae aaina-e-jazba-e-ishq
MArhaba ae shikwa-e-khuddami
Uss ki qurbat se tujh ko phool milay 
Zindagi kay naye asool milay 

Teri ulfat se kya mila us ko 
Zehmatein , iztraab bad'naami


Main kab kehta hoon woh acha bhout hai


Main kab kehta hoon woh acha bhout hai 
MAgar us ne mujhay chaha bhout hai 

Khuda is shaher ko mehfooz rakhaye 
Yeh bachon ki tarah hansta bhout hai 

Issay Aansoo ka ik qatra na samjho 
Kunwaan hai aur yeh gehra bhout hai 

Ussay sohrat ne tanha kar diya hai 
Samandar hai magar piyaasa bhout hai 

MAin ek lamhay main sadiyan dekhta hoon 
Tumharay saath ek lamha bhout hai 

Mera hansana zaroori ho gaya hai 
Yahan her shakhs sanjeeda bhout hai

Rafta rafta waqat se majboor hota gaya


Rafta rafta waqat se majboor hota gaya 
Bhout pyaar tha tujh se aur tujh se hi door hota gaya 

MAin ne iltaja ki keh teray bin waqat nahin guzarta 
Yeh sun kar tu bhi thora maghroor hota gaya 

Kisi ki judai ko bardaash nahin kar paya 
MAin bhi dil-o-dimagh se la'shaoor hota gaya 

Teri aankh main na janay kaisa hunar tha 
Jo main poori mehfil main masroor hota gaya 

Yeh kaisi mohabbat , keh muqaddar ki ruswai hui hai 
MAin be'wafa aur woh be'qaraar hota gaya

Ussay ik saltanat , ek raaj'dhani chahiye thi


Ussay ik saltanat , ek raaj'dhani chahiye thi 
Mohabbat main bhi us ko hukam'raani chahiye thi 

Bicharnay ka woh pehlay se tahiya kar chuka tha 
Ussay meri taraf se bad'gumaani chahiye thi 

Tu phir se imtihaan pe imtihaan lainay laga hai 
Hamain is umar main kuch meharbani chahiye thi 

Adaa mujh ko faqat tha sar'sari kirdaar karna 
Ussay shohrat ki khaatir ik kahani chahiye thi

Meray dil tasali ko faqat itna hi kaafi hai


Meray dil tasali ko faqat itna hi kaafi hai 

Hawa jo tum ko chooti hai main us main saans leta hoon

Woh pyaar ka saboot dikhaya karta tha


Woh pyaar ka saboot dikhaya karta tha 
Aansoo baha kar hamein manaya karta tha 

Yeh zindagi sirf tum se wabasta hai 
Aksar yeh baat hamein bataya karta tha 

Us ki baaton main kuch aisa asar tha 
MAin baarish kay bina hi bheeg jaya karta tha 

Sonay ki Fursat kissay thi 
Woh hamein sari raat jagaya karta tha 

Be'chaini jab had se bad jaati thi 
Woh jee bhar kay galay lagaya karta tha

Woh itni mohabbat karnay wala badal gaya 
Jo her baat par meri qasam khaya karta tha

Dil par aisay bhi Azabon ko utar'tay dekha




Dil par aisay bhi Azabon ko utar'tay dekha 
Hum ne chup chaap ussay khud se bichartay dekha 

Us ko socha to her soch main khushboo utri 
Us ko likha to her lafz mehaktay dekha 

Yaad aa jaye to qaabu nahin rehta khud par 
Warna duniya ne bhi hum ko bikhartay dekha 

US ki surat ko faqat aankh hi na tarsi hai 
Raaston ko bhi us ki yaad main sulagtay dekha 

Ishq par muqadma kar kay kiya milay ga ?


Ishq par muqadma kar kay kiya milay ga ?

Husan walon ko pakro yahi fasaad ki jarr hain 

Khaak uraati hui galiyon main phirtay hon gay


Khaak uraati hui galiyon main phirtay hon gay 

Gham kay maaron ki yeh makhsoos nishani ho gi

Un ungliyon ka lams tha aur meri zulf thi


Un ungliyon ka lams tha aur meri zulf thi 

Gaysoo bikhar rahay thay to qismat sanwar gayi

Koi hunar , koi rawish , koi tareeqa to batao



Koi hunar , koi rawish , koi tareeqa to batao 

Keh dil tootay bhi na , woh milay bhi na aur chain aa jaye

Woh larki phoolon jaisi hai




Woh larki phoolon jaisi hai 
Woh bilkul hooron jaisi hai 

HAi chaand nagar ki rani woh
HAi jaisay rut mastani woh 

Hai meri prem kahan woh 
Roshan woh ujaalon jaisi hai 

Woh meray sawalon jaisi hai 
Woh shola bhi woh shabnam bhi 

Woh zulf ghatta si rakhti hai 
Woh Aankh dua si rakhti hai 

Woh dhoop main chaaon jaisi hai 
Sawan ki ghutan jaisi hai 
Titli ki ada'on jaisi hai 

Woh rani chand sitaron ki 
Woh khushboo baagh baharon ki 

Woh larki phoolon jaisi hai 
Woh bilkul hooron jaisi hai 


Kehna hi para un ko , shairy parh kar hamari




Kehna hi para un ko , shairy parh kar hamari 

Kambakhat ki her baat mohabbat se bharri hai

Teri wafaon kay sab andaaz badal gaye lakin


Teri wafaon kay sab andaaz badal gaye lakin 

Hamein koi aur Azeez ho na paya , duniya bhar main teray siwa

Na us ne murr kay dekha na hum ne palat kar awaz di


Na us ne murr kay dekha na hum ne palat kar awaz di 

Aik ajab sa waqat tha jis ne dono ko pathar bana diya

Udaas hum hain nigahein nam hain


Udaas hum hain nigahein nam hain 
Hai yaad aati 
Labon ki shokhi
Haya ki surkhi 
Sanwarti zulfain 
Mehakti saansein 
Gulaabi rangat 
Kisi ki sangat 
Kamaan Abroo
Gulab khushboo 
Woh gori baanhain 
Chamakti aankhein 
Kanwal ki daali 
Adaa nirali 
Khayal  kundan 
nadi talatum 
Gulab Aariz
BAdan ki larzish 
Jhuki nigahein 
Hinayi baanhain 
Magar suno na 
KEh door hum hain 
 Udaas hum hain 
Nigahein nam hain


Qareeb mout kharri hai zara tehar jaao


Qareeb mout kharri hai zara tehar jaao 
Qaza se Aankh larri hai zara tehar jaao

Thaki thaki si fizaa'ein bujhay bujhay taaray 
BAri udaas gharri hai zara tehar jaao 

NAhin umeed keh hum aaj ki sehar dekhein 
YEh raat hum pe karri hai zara tehar jaao 

Abhi na jaao keh taaron ka dil dharakta hai 
Tamaam raat parri hai zara tehar jaao 

Phir is kay baad kabhi hum na tum ko rokein gay 
LAbon pe saans arri hai zara tehar jaao 

Dam-e-firaaq main ji bhar kay tum ko dekh to loon 
Yeh faisalay ki gharri hai zara tehar jaao 

Achay lagay jo tum so hum ne bata diya


Achay lagay jo tum so hum ne bata diya 

Nuqsaan yeh huwa keh tum maghroor ho gaye

Likh kay mera naam zameen par , mit'ta diya


Likh kay mera naam zameen par , mit'ta diya 

Us ka tha faqat khail, khaak main mujh ko mila diya

Suljhaein be'dili se yeh uljhay huye sawal


Suljhaein be'dili se yeh uljhay huye sawal 

Wahan jayein ya na jayein , na jayein keh jayein hum

Gun'gunaatay raaston ki dil'kashi apni jaga


Gun'gunaatay raaston ki dil'kashi apni jaga 

Aur in sab kay darmiyaan teri kami apni jaga
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...