Apr 25, 2016

Tum itna jo muskura rahay ho


Tum itna jo muskura rahay ho 
Kya gham hai jis ko chupa rahay ho 

Aankhon main nami hansi labon par 
Kya haal hai kya dikha rahay ho 

Ban jayein gay zehar peetay peetay 
Yeh ashk jo peetay jaa rahay ho 

Jin zakhmon ko waqat bhar chala hai 
Tum kiyon unhein chairay jaa rahay ho 

Rekhaon ka khel hai muqaddar 
Rekhaon se maat kha rahay ho

Tera chehra kitna sohana lagta hai


Tera chehra kitna sohana lagta hai 
Teray aagay chand purana lagta hai 

Tirchay tirchay teer nazar kay lagtay hain 
Seedha saadha dil pe nishana lagta hai 

Aag ka kya hai pal do pal main lagti hai 
Bujhtay bujhtay aik zamana lagta hai 

Sach to yeh hai phool ka dil bhi chalni hai 
Hansta chehra aik bahana lagta hai 

Kaif bata kya teri ghazal main jadu hai 
Bacha bacha tera dewana lagta hai

Us kay chehray se kabhi zulf hata kar dekho


Us kay chehray se kabhi zulf hata kar dekho 
Shaam kay waqat nayi subha ka manzar dekho 

Dil mera kuch bhi ho , sonay se bhi mehanga hai woh shakhs 
Tum meray dil ko na dekho , mera dal'bar dekho 

Us ki aankhon ne mujhay hukam diya tha  keh na pee
Woh para hai mera toota hua saghar dekho 

Dekhnay main to woh shabnam ki tarah hai lakin 
Haath jal jaye ga tum mat ussay chu kar dekho 

Mil kay jab aaya main us se to yeh logon ne kaha 
Jaa raha hai woh muqaddar ka sikandar dekho 

Raastay dil kay bhout door talak jatay hain 
Apnay andar ka bhi ik roz safar kar dekho 

Naam paida youn hi hota nahin duniya main Qateel 
Zinda rehna hai to us shokh pe mar kar dekho

Sawan kay suhanay mousam main ik naar mili badal jaisi


Sawan kay suhanay mousam main ik naar mili badal jaisi 
Be'pankh uranein leti hai jo apnay hi aanchal jaisi 

Woh jis ki qamar tak choti hai , rangat main laal barooti hai 
Chu kar jo ussay dekha main ne woh mujh ko lagi makh'mal jaisi 

Laya hai bana kar us ko dulhan , yeh joban , yeh albela pan 
Is umar main sar se paon tak lagti hai woh taaj mehal jaisi 

Chehray pe sajay aainay , ya do be'dagh nageenay hain 
Kis jheel se ayi hain dhul kar yeh aankhein neel kanwal jaisi 

Jo dekhay ussay woh kho jaye , kho jaye to shair ho jaye 
Us ka andaz hai geeton sa , us ki awaz ghazal jaisi 

Woh jo qateel ab yaad aaye sapna jaisay koi dohraye 
Main aaj bhi su ko chahata hoon , par baat kahan woh kal jaisi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...