Showing posts with label Imran Rasheed Yawar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Imran Rasheed Yawar Poetry. Show all posts

Apr 24, 2016

Laakh kaata hai teri yaad ko jarr se main ne


Laakh kaata hai teri yaad ko jarr se main ne 
Kya karon , phir yeh shajar mujh main nikal aata hai ?

Jab bhi socha hai mohabbat nahin karni , ab kay 
Phir mohabbat ka asar mujh main nikal aata hai 

Chaltay chaltay jo thakawat se main sastanay lagon 
Apni janib ka safar mujh main nikal aata hai

Shaam partay hi udasi ka yeh mousam Yawar 
Laakh rokon main magar mujh main nikal aata hai 
 

Tera sheerein lab-o-lehja , main kaisay bhool sakta hoon


Tera sheerein lab-o-lehja , main kaisay bhool sakta hoon 
Aur us pe chand sa chehra , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jis dam kho gaya tha main teri chahat kay melay main 
Bata mujh ko keh woh lamha , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jis main ki biyaan tum ne haqeeqat , zindgani ki 
Tera sada sa woh jumla , main kaisay bhool sakta hoon 

Kisi kay hijar main barson jahan ki khaak chaani hai 
Bhala us dasht ka rasta , main kaisay bhool sakta hoon 

Kisi talwar ki tarah woh jis ne dil ko cheera tha 
Woh teri aankh ka kajla  , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jo sairaab karta tha meray ehsaas ko Yawar 
Mohabbat ka woh sar'chashma , main kaisay bhool sakta hoon

Jul 20, 2014

Teri chahat ne mujhay aisa hunar baandha hai


Teri chahat ne mujhay aisa hunar baandha hai
Main ne suraj ko bhi andaaz-e-qamar baandha hai 

Aik pal chain se tiknay nahin deta hai kahin 
Tum ne kaisa meray paaon main bhanwar baandha hai 

Mujh ko be'noor usi noor-e-nazar ne hai kiya 
Main ne aankhon pe jissay misl-e-qamar baandha hai 

Koi jadoo hai na manzil ki talab hai dil main 
Jaane kiya soch kay phir rikhat-e-safar baandha hai 

Aur kuch bhi nahin baandha hai mohabbat ki qasam 
Main ne ghazlon main faqat dard-e-jiger baandha hai 

Poet : Imran Rasheed Yawar
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...