Feb 8, 2015

Hosla us main bhi na tha mujh se juda honay ka


Hosla us main bhi na tha mujh se juda honay ka 

Warna kaajal us ki aankhon main youn na phaila hota

Kitna kamzor kiya ishq ne teray mujh ko


Kitna kamzor kiya ishq ne teray mujh ko 

Nabz chalti hai to dukhti hai kalaai meri

Aisay mor par laa kay chor diya hai us ne


Aisay mor par laa kay chor diya hai us ne 

Jahan kisi doosray ki to kiya mujhay apni talab bhi nahin rahi

Hum se jab woh hont milaatay hain


Hum se jab woh hont milaatay hain 
Meh'kaday bansuri bajaatay hain 

Aao hum ko faraib do koi 
Hum khushi se faraib khaatay hain 

Jo teray dar se na'muraad aaye 
Ab meray dar ko khat'khata'tay hain 

Teri mehfil ki roshni kay liye
Aaj hum apna dil jalatay hain 

Youn khanakti hai nabz-e-dil jaisay 
Junglon kay sakoot gaatay hain 

Dil Alm hi se shaaq nahin hota 
Dil khushi se bhi toot jatay hain

Aap bhi koi hukam farmayin 
Mah'jabeen khidmatain  karwatay hain 

Tum ne dil ko ujaar hi daala 
Kya sajan youn ghar banatay hain 

Koi matti ka koi chaandi ka 
Ghar main sab hi diye jalatay hain

Ranj-e-be'kaifi-e-hayaat nahin


Ranj-e-be'kaifi-e-hayaat nahin 
Aap khush hain to koi baat nahin 

Sochiye to hazaar baatein hain 
Ghour keejiye to koi baat nahin 

Tazkaray hain khaloos kay jin main 
Daastanain hain waqiyaat nahin 

Fikar ho jin kay toot janay ka 
Un se aisay taaluqaat nahin

Zikar hai gardish-e-zamana ka 
Aap ki Aankhriyon ki baat nahin 

Kitni shamain jalaao gay 
Zindagi garmiyon ki raat nahin

Mohabbat ki hawa jism ki dawa ban gayi


Mohabbat ki hawa jism ki dawa ban gayi 
Doori aap ki meri chahat ki saza ban gayi 

Kaisay bhoolon aap ko ek pal kay liye
Aap ki yaad hamaray jeenay ki wajah ban gayi

Tumharay paas hoon par jo doori hai samjhta hoon


Tumharay paas hoon par jo doori hai samjhta hoon 
Tumharay bin meri hasti adhoori hai samjhta hoon 

Tumhain main bhool jaaon yeh mumkin nahin lakin 
Tum hi to bhoolna zaroori nahin , samjhta hoon

Chashm-e-num teri rawani se alag rehta hoon



Chashm-e-num teri rawani se alag rehta hoon
Aag hi aag hoon pani se alag rehta hoon

Gum'shuda hoon dhoond mat mear naam-o-nishaan
MAin to her yaad'dihaani se alag rehta hoon

Tu meray tazkara-e-ishq main kiyon rehta hai
MAin to khud apni kahani se alag rehta hoon

Phool se tark-e-taaluq ko zamana guzra
Ab to main her nishani se alag rehta hoon

Ek shakhs se mila hai mujhay sab dhokha-o-fraib
Main ab aalam-e-faani se alag rehta hoon 

Dil dhoond raha hai uss ko jo paas nahin hai


Dil dhoond raha hai uss ko jo paas nahin hai
Milnay ki is baras bhi koi aas nahin hai

Ek boond ko tarsa hoon main apni hi zameen par
Ab beech samandar main mujhay piyaas nahin hai

Phir kis kay liye samjhota-e-mohabbat karon main
JAb us ko mera ehsaas nahin hai

Meray baaray main uss ko yeh kehtay huwey tu suna ho ga
Acha to bhout hai magar , itna bhi khaas nahin hai

Dil tornay walay ne yeh mehsoos kiya tha
Nazuk to bhout hai magar itna bhi haseen nahin hai

Jo apni umar se aagay nikal rahi ho tum


Jo apni umar se aagay nikal rahi ho tum
Tumhain khabar hai jawani main dhal rahi ho tum

KAbhi tumhain bhi to daawa tha sard'mehri ka
Kisi kay lams ko pa kar pighal rahi ho tum

Bataao kiyon nahin roka tha jaanay walon ko
Ab aik umar se kiyon haath mal rahi ho tum

Jo waalidain ne tum se kaha woh maan liya
Ab apni aag main chup chaap jal rahi ho tum

Hamaray dil ka khilona tum hi ne tora hai
Ab isi khilonay ki khatar machal rahi ho tum

Tumhain gumaan hai keh main jaanta nahin kuch bhi
Mujhay khabar hai keh raasta badal rahi ho tum

Naram naram phoolon ka ras nichor leti hain



Naram naram phoolon ka ras nichor leti hain

Pathar kay dil hotay hain titliyon kay seenay main

Dil main bikhray huye jaalon se parishaan na ho


Dil main bikhray huye jaalon se parishaan na ho
Meray guzray huye saalon se parishaan na ho

Meri awaz ki talkhi ko gawara kar lay
Meray gustaakh sawalon se parishaan na ho

Main ne maana teri aankhein nahin khulti hain magar
Din nikalnay de ujaalon se parishaan na ho

Apni zulfon main utar'ti hui chandani ko chupa
Meray bikhray huye baalon se parishaan na ho

Ae naye dost main bharpoor huwa hoon tera
Meray maazi kay hawalon se parishaan na ho

Dekh youn door na ho mujh ko laga lay dil se
Tu meri rooh kay chaalon se parishaan na ho

Khud ko veeran na kar meray liye
In parishaan khayalon se parishaan na ho

Log kehtay hain keh mera dil pathar ka tha


Log kehtay hain keh mera dil pathar ka tha

Lakin kuch log aisay bhi milay jo is ko bhi tornay main maahir niklay

Kahin charaagh kahin ainay sajaa'on ga


Kahin charaagh kahin ainay sajaa'on ga
Main apna shaher naye dhang se basaa'on ga

Mujhay to apni rafaqat bhi zehar lagti hai
Main apna saath bhi ik roz chor jaaon ga  

Ek aisa waqat bhi aaye ga teray baad keh jab
MAin her kisi ko teray naam se bulaaon ga

Mera hadaf to koi aur shakhs hai lakin
MAin teer aur kisi ki taraf chalaaon ga

Jamay gi aaj bhi chopaal aur main Shair
Jo asal ho woh kahani nahin sunaaon ga

Mujhay rona nahin , awaz bhi bhaari nahin karni


Mujhay rona nahin , awaz bhi bhaari nahin karni
Mohabbat ki kahani main ada'kaari nahin karni

HAmara dil zara uktaa gaya tha ghar main reh reh kar
Youn hi bazaar aaye hain kharidaari nahin karni

Tahamul Ae mohabbat , Hijar pathreela ilaaqa hai
Tujhay is raastay par taiz'raftaari nahin karni

Hawa kay khouf se lipta hoon khushk tehni se
KAhin jana nahin , janay ki tayari nahin karni

Ghazal ko kam'nigahon ki ponch se door rakhta hoon
Mujhay banjar dimaghon main shajar'kaari nahin karni

Naseehat ki thi mujh ko Qais ne sehraa kay baray main
YEh mera ghar hai , is ki chaar'diwari nahin karni

Jaisay bad'naseeb chooriyaan hon bina Kalaai kay


Jaisay bad'naseeb chooriyaan hon bina Kalaai kay

Bina tumharay kuch aisa hi hoon main

Nigah-e-yaar kay pardon main hai ada kaisi


Nigah-e-yaar kay pardon main hai ada kaisi
Sitam kaisa karam kaisa, jafa kaisi wafa kaisi

YEh jo toofan samandar hain , yeh sab hasti kay manzar hain
Agar qismat main jalna ho , dawa kaisi dua kaisi

Sunay ga kon ab mujh se , teray beh'roop kay qissay
Mujhay bhi maar kar di karam ki intiha kaisi

Agar dil haar hi baithay meray ham dam mohabbat main
Fana kaisi , baqa kaisi , saza kaisi , jaza kaisi

Choom leti hain latak kar kabhi chehra kabhi lab


Choom leti hain latak kar kabhi chehra kabhi lab

Tum ne zulfon ko bhout sar pe charha rakha hai

Chashm-e-saqi ne yeh kya khail racha rakha hai ?

Koi zahid koi meh'khuar bana rakha hai

Jo phansa phir na us ne kabhi rehaai mangi

Zulf teri ne bhi ajab jaal bicha rakha hai

Ab main samjha teray ruksaar pe til ka matlab

Doulat-e-husan pe darbaan bitha rakha hai

Dil yeh chahye keh tu kabhi badnaam na ho

Dekh zikar tera hai magar naam chupa rakha hai

Ishq ho keh husan ho , dono ka asar yaksan hai

Cheez ik hai magar naam juda rakha hai

Teri makh'moor nigahon se hai ronaq sari

Warna saqi teray meh'khanay main kiya rakha hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...