Dec 12, 2014

Mujhay laakh ho bhrosa meray dil ka kiya thikaana


Mujhay laakh ho bhrosa meray dil ka kiya thikaana
Kabhi be'niqaab ho kar meray saamnay na aana

Sar-e-bazam tum khudaara mujhay youn na azmaana
Meri simat is ada se kabhi ab na muskuraana

Gham-e-zindagi se mumkin na hua nibaah mera
YEh karam hai teray gham ka mujhay ajnabi na jaana

Teray raaz ka tahafuz meray bas main ab nahin hai
Keh nikhar kay ho gayi hai meri her nazar faana

YEh hansi , hansi nahin hai , yeh fraib hai hansi ka
Na issay samjh sakay tum , na samjh saka zamana

Koi taaza haadsa phir meri raah tak raha hai
Meri simat uth rahi hai woh nigaah-e-dilbraana

Teray gham ki yaad'gaarain meray shair , meri ghazlain
Teri ik nazar ka haasil meri zouq-e-shairaana

Aik sajda sar faroshaana basad ajz-o-niyaaz


Aik sajda sar faroshaana basad ajz-o-niyaaz

Youn ada hoti hai arbaab-e-mohabbat ki nimaz

Arzoo , ilzaam , shikwa , jurm , mayoosi , ginnah

Ho saza maqsood to shar bahaanay so jawaaz

Ba'wajood-e-zabat-e-gham , ba'wasaf-e-tark-e-guftagoo

Khul hi jaatay hain nigaahon se dilon kay chand raaz

Kon sunta hai kisi ki is khraaba baad main

Muktasir lamhaat-e-fursat aur afsaanay da'raaz

Ehal-e-mehfil yeh bhula detay hain fart-e-shouq main

Gul bhi ho sakti hain shamain , toot bhi saktay hain saaz

Ishq main pindaar-e-sultaani bhi khaa jaata hai maat

Aik mard-e-butt shikan aur banda zulf-e-ayaaz

Mil gaye aankhon hi aankhon main , sawalon kay jawaab

Youn bhari mehfil main bhi jaari rahay raaz-o-niyaaz

Main tera pyaar meri wafa tu hai


Main tera pyaar meri wafa tu hai
Tu kahin bhi rahay dono jahaan tu hai

Phool khiltay hain teri baat karnay se
Hai woh roshan jahaan ,jahaan tu hai

Teray honton se bichar kar hansi roti hai
Mout bhi hai asaan wahaan jahaan tu hai

Jo na dekhon to jee nahin lagta
Zindagi hai sirf wahaan jahaan tu hai

Teray bin meri her lafaz-e-ghazal adhoori hai
Teri saanson se meray naghmon main mehak hai

Sari duniya nazar aati hai adhoori
Meri duniya hai wahaan jahaan tu hai 

NA koi umang hai , na koi tarang hai


NA koi umang hai , na koi tarang hai

Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai

Akaash se giri main aik baar toot kay aisay

Duniya ne phir na poocho luta mujh ko

Na kisi ka saath hai , na kisi ka sang hai

Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai

Lag kay galay se baabul kay main na roi

Doli uthi jaisay arthi uthi ho jaisay

Yeh dukh aaj bhi meray ang hai sang hai

Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai

Sapno kay devta kiya tujh ko karon main

Arpan pathar ki ho main chaya main aanso'on ka darpan

Yeh hi  mera roop hai , yeh hi mera rang

Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai 

Kabhi aansoo , kabhi kushboo , kabhi naghma ban kar


Kabhi aansoo , kabhi kushboo , kabhi naghma ban kar
Hum se her shaam mili hai tera chehra ban kar

Chaand nikla hai teri aankh kay aansoo ki tarah
Phool mehaktay hain teri zulf ka saya ban kar

Meri jaagi hui raaton ko usi ki hai talaash
So raha hai meri aankhon main jo sapna ban kar

Dil kay kaaghaz par utaara hai tu shairon ki tarah
Meray honton pe machalta hai tu naghma ban kar

Raat bhi ayi to bujhti nahin chehray ki chamak
Rooh main phail gaya hai woh ujaala ban kar

Mera kiya haal hai yeh aa kay kabhi dekh to lay
Jee raha hoon tera bhoola hua wada ban kar

Dhoop main kho gaya woh haath chura kay aanchal
Ghar se jo saath chala tha mera saya ban kar

Saath roti thi meray , saath hansa karti thi


Saath roti thi meray , saath hansa karti thi

Woh larki jo meray dil main basa karti thi

Meri chahat ki talab'gaar is darja thi keh woh

Musalay pe nimaazon main dus karti thi

ik lamhay ka bicharna bhi giraan tha us ko

Rotay huye mujh ko khud se juda karti thi

Meray dil main raha karti thi dharkan ki tarah

Aur saye ki tarah saath chala karti thi

Rog dil ko laga baithi anjaanay main

Meri aaghosh main marnay ki dua karti thi

Baat qismat ki hai faraz , juda ho gaye hum

Warna woh to mujhay taqdeer kaha karti thi

Khizaan kay mousam main gulaab maang raha hai


Khizaan kay mousam main gulaab maang raha hai

Phir apnay liye koi azaab maang raha hai

Jaan maangta to main zara taughafal na karta

Magar woh mujh se meray khwaab maang raha hai

Ata kar kay meri zeest ko hijar ki azeeatain

Aur mujh se wisaal-e-rut kay hisaab maang raha hai

Khataein karna hi raha mashgala us ka

Main kiya doon sila ussay woh sawaab maangta raha  hai

Apni samjh main us ki guftagoo bhi nahin aati

Aur woh an'kahay sawalon kay jawaab maang raha hai

Mujh ko apnay wajood pe bhi das'taras nahin haasil

Aur dil-e-na'daan hai mehtaab maang raha hai

Koi zindagi se ghabra gaya is qadar

Kashti ka musaafir hai aur gardaab maang raha hai

Her adawat pe mohabbat ko saja kr milna


Her adawat pe mohabbat ko saja kr milna

Rasm-e-duniya hai haqeeqat ko chupa kr milna

Jis ka kirdaar sitaaron ki tarah roshan ho

Kitna dushwaar hai us shakhs ko ja kar milna

Tum mohabbat ko fraib samjhtay ho

Meri to aadat hai nigahon ko jhuka kar milna

Wafaa kay qaid khano main sazaein kab badalti hain


Wafaa kay qaid khano main sazaein kab badalti hain

Badalta dil ka mousam hai hawaein kab badalti hain

Libaada orh kar gham ka nikal jaatay hain sehra ko

Jawaab aye keh na aye adaein kab badalti hain

Koi paa kar nibhaata hai koi kho kar nibhaata hai

Naye andaaz hotay hain wafaein kab badalti hain

Shaam ka manzar , uljha raasta , ek kahani , tu aur main


Shaam ka manzar , uljha raasta , ek kahani , tu aur main

Dhalta suraj , barhta saya , kashti rani , tu aur main

Band ik kamra , chup ka manzar , bhuli bisri deepak yaad

Tanhai , dukh khouf ki lazat , dilbar'jaani , tu aur main

Titli , khushboo , rang ki baatain , shabnam se sharmilay khwaab

Aas ka panchi , gum sum khwaish , raat ki raani , tu aur main

Palkain , chilman , sharma sharmi , kam kam goya nazrain , qurb

Raaton jaisi seedhi seedhi ik na'daani , tu aur main

Hon gay juda hum is tarah , imkaan to na tha


Hon gay juda hum is tarah , imkaan to na tha
Yeh dil kabhi bhi is tarah , weeraan to na tha

JAisay hua hai ab keh woh , halaat se waqif
Pehlay woh kabhi is tarah , anjaan to na tha

Woh shaher se gaya hai to , ronaq bhi lay gaya
Yeh shaher is tarah kabhi , sunsaan to na tha

Ek pyaar ki jageer ka , maalik tha main kabhi
Pehlay se youn hi be-sar-o-samaan to na tha

Mohsin hum ne ishq main , paya naffa bhout
Is karobaar main koi , nuqsaan to na tha

Dekh kay tum ko hosh main aana


Dekh kay tum ko hosh main aana
Bhool gaye, yaad raha tum aur zamana
Bhool gaye
Jab samnay tum aa jaatay ho 
Kiya janay kiya ho jaata hai 
Kuch mil jaata hai kuch kho jaata hai 
Hum kiya jaanain yeh kiya ho jaata hai 
Chaha tha yeh kahain gay socha tha woh kahin gay 
Aye woh samnay to kuch bhi na keh sakay bas 
Dekha kiya unhain hum ne 
Dekh kar tum ko yaqeen hota hai 
Koi itna bhi haseen hota hai 
Dekh paatay hain kahan hum tum ko 
Dil kahin hosh kahin hota hai 
Aa kar chalay na jaana , aisay na sataana
Dy kar hansi labon ko aankhon ko mat rulaana 
Dil dena na be'karaari ka karaar ban kay
Yaadon main kho na jaana tum intizaar ban kay
Bhool kar tum ko na jee payein gay 
Tum ho gi jahan jayein gay 
Hum koi waqat nahin hain dost 
JAb bulaao gay chalay ayein gay 
Jab samnay tum aa jaatay ho 
Kiya janain kiya ho jaata hai 
Kuch mil jaata hai , kuch kho jaata hai 
Kiya jaanain kiya ho jaata hai  

Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai


NA koi umang hai , na koi tarang hai 
Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai 

Akaash se giri main aik baar toot kay aisay 
Duniya ne phir na poocho luta mujh ko 

Na kisi ka saath hai , na kisi ka sang hai 
Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai

Lag kay galay se baabul kay main na roi 
Doli uthi jaisay arthi uthi ho jaisay 

Yeh dukh aaj bhi meray ang hai sang hai 
Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai 

Sapno kay devta kiya tujh ko karon main 
Arpan pathar ki ho main chaya main aanso'on ka darpan 

Yeh hi  mera roop hai , yeh hi mera rang 
Meri zindagi hai kiya , ek katti patang hai

Hum se her shaam mili hai tera chehra ban kar


Kabhi aansoo , kabhi kushboo , kabhi naghma ban kar 
Hum se her shaam mili hai tera chehra ban kar 

Chaand nikla hai teri aankh kay aansoo ki tarah 
Phool mehaktay hain teri zulf ka saya ban kar 

Meri jaagi hui raaton ko usi ki hai talaash 
So raha hai meri aankhon main jo sapna ban kar 

Dil kay kaaghaz par utaara hai tu shairon ki tarah 
Meray honton pe machalta hai tu naghma ban kar

Raat bhi ayi to bujhti nahin chehray ki chamak 
Rooh main phail gaya hai woh ujaala ban kar 

Mera kiya haal hai yeh aa kay kabhi dekh to lay
Jee raha hoon tera bhoola hua wada ban kar 

Dhoop main kho gaya woh haath chura kay aanchal 
Ghar se jo saath chala tha mera saya ban kar 

 


Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray


Yeh dard ki aahain juda hui raahain 
Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray
Mohabbat kay saray zakham dheeray dheeray 

Abhi naaz hai tootay dil ko wafa pe 
Keh tootain gay saaray bharam dheeray dheeray 
Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray  

Dil mera chahye keh seenay se dil main nikaal kay phaink doon 
Be'dard is be'reham ko hawa main uchaal kay phaink doon 
Dhoka diya mujh ko , dhoka diya 
Lamhon se haaray , bujhay nazaray 
Ab to sahain gay yeh gham dheeray dheeray 

Tanha akelay main yaadon kay melay main tum gaye chor kay 
Chahat ki rasmon ko wadon ko qasmon ko tum gaye tor kay 
Ghariyaan sitam gar kat'ti nahin , ulfat kay manzar se hat'ti nahin 
Jahan bhi jaaon , tumhain hi paaon 
Rukain gay hamaray qadam dheeray dheeray 

Bhula dain gay tum ko sanam dheeray dheeray 


Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataiye shayed yeh hi to pyaar hai


Ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataiye
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Be'taabiyon main dharkan meri chain paye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Kuch bhi kaha na , kuch bhi suna na 
Phir bhi be'chain dil hai hamara 

Behkay qadam hai mushkil main hum hain 
Dekho sambhlay bhala kaisay yaara 

Chahye bina bhi hum nazdeek chalay aye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Nazrain bichaa dain pehray  bitha dain dil pe
Yeh dil kisi ki na maanay 

Kaanton pe chal kay sholon pe jal kay rogi
Mil kay rahain gay dewaanay 

Chahat ki lu to aandhi main bhi chil'milaye
Shayed yeh hi  to pyaar hai 

Yeh mulaqaatain yeh teri baatain 
Ek pal na main bhool paaon 

Kitni mohabbat hai kitni chahat hai 
Tum ko kaisay bhala main bataon

Acha lagay jab woh samnay muskuraye 
Shayed yeh hi  to pyaar hai  
 
 

Kisi nazar ko tera intizaar aaj bhi hai


Kisi nazar ko tera intizaar aaj bhi hai 
Kahan ho tum , keh yeh dil be'qaraar aaj bhi hai 

Woh wadiyaan woh fizaein keh hum milay thay jahaan 
Meri wafa ka wahin par mizaar aaj bhi hai 

Na janay dekh kay kiyon un ko yeh hua ehsaas
Keh meray dil pe unhain ikhtayaar aaj bhi hai 

Woh pyaar jis kay liye hum ne chor di duniya 
Wafa ki raah main ghayal woh pyaar aaj bhi hai 

Yaqeen nahin hai magar aaj bhi yeh lagta hai 
Meri talaash main shayed bahaar aaj bhi hai 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai


Kabhi kabhi meray dil main 
Khayal aata hai 
Keh jaisay tujh ko 
Banaya gaya hai meray liye 

To ab se pehlay sitaaron main bas rahi thi kahin 
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai meray liye 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh yeh badan , yeh nigahain meri amanat hain 
Yeh gaiso'on ki ghani chaaon hai meri khatar 
Yeh hont aur yeh baanhain meri amanat hain 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay bajti hain sheh'naeyaan  si raahon main 

Sohaag raat hai , ghoonghat utha raha hoon main 
Simat rahi hai , tu sharma kay apni baanhon main 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay tu mujhay chahey gi umar bhar youn hi 
Uthay gi meri taraf pyaar ki nazar youn hi 
Main jaanta hoon keh tu ghair hai , magar youn hi 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
 

Woh larki jo meray dil main basa karti thi



Saath roti thi meray , saath hansa karti thi 
Woh larki jo meray dil main basa karti thi 

Meri chahat ki talab'gaar is darja thi keh woh 
Musalay pe nimaazon main dus karti thi 

ik lamhay ka bicharna bhi giraan tha us ko 
Rotay huye mujh ko khud se juda karti thi 

Meray dil main raha karti thi dharkan ki tarah 
Aur saye ki tarah saath chala karti thi 

Rog dil ko laga baithi anjaanay main 
Meri aaghosh main marnay ki dua karti thi 

Baat qismat ki hai faraz , juda ho gaye hum 
Warna woh to mujhay taqdeer kaha karti thi 


Baat qismat ki hai faraz , juda ho gaye hum


Saath roti thi meray , saath hansa karti thi 
Woh larki jo meray dil main basa karti thi 

Meri chahat ki talab'gaar is darja thi keh woh 
Musalay pe nimaazon main dus karti thi 

ik lamhay ka bicharna bhi giraan tha us ko 
Rotay huye mujh ko khud se juda karti thi 

Meray dil main raha karti thi dharkan ki tarah 
Aur saye ki tarah saath chala karti thi 

Rog dil ko laga baithi anjaanay main 
Meri aaghosh main marnay ki dua karti thi 

Baat qismat ki hai faraz , juda ho gaye hum 
Warna woh to mujhay taqdeer kaha karti thi 


Phir apnay liye koi azaab maang raha hai


Khizaan kay mousam main gulaab maang raha hai 
Phir apnay liye koi azaab maang raha hai 

Jaan maangta to main zara taughafal na karta 
Magar woh mujh se meray khwaab maang raha hai 

Ata kar kay meri zeest ko hijar ki azeeatain 
Aur mujh se wisaal-e-rut kay hisaab maang raha hai 

Khataein karna hi raha mashgala us ka 
Main kiya doon sila ussay woh sawaab maangta raha  hai

Apni samjh main us ki guftagoo bhi nahin aati 
Aur woh an'kahay sawalon kay jawaab maang raha hai 

Mujh ko apnay wajood pe bhi das'taras nahin haasil 
Aur dil-e-na'daan hai mehtaab maang raha hai 

Koi zindagi se ghabra gaya is qadar 
Kashti ka musaafir hai aur gardaab maang raha hai

 

Aisa nahin keh shakhs acha nahin hai woh


Aisa nahin keh shakhs acha nahin hai woh 

Jaisa meray khyaal main tha waisa nahin hai woh 

Takhleeq asmaan pe meray liye hua 

Mana keh is zamanay par mera nahin hai woh

MAin ne poocha kaisay ho


MAin ne poocha kaisay ho 
Badlay ho ya waisay ho 

Roop wohi andaaz wohi 
Ya phir is main koi kami ?

Hijar ka kuch ehsaas to ho ga 
Koi tumharay paas to ho ga 

MAin bichra yeh majboori thi 
Kahaan manzoor mujhay doori thi 

Saath hamara kab choota hai 
Rooh ka rishta kab toota hai 

Aankh se jo aansoo behtay hain 
Tum ko khabar hai kiya kehtay hain 

Main ne kaha awaaz tumhari
Aaj bhi hai hamraaz hamari 

Phool wafa kay khil jayen gay 
Hum ik din mil jayein gay 

Aaj door se hi koi salaam kar gaya


Aaj door se hi koi salaam kar gaya 

Apni yaadon ka ghulaam kar gaya 

Apni zindagi girvi rakh kar khrida tha jissay 

Woh hi hamain nelaam kar gaya

Rasm-e-duniya hai haqeeqat ko chupa kr milna


Her adawat pe mohabbat ko saja kr milna 

Rasm-e-duniya hai haqeeqat ko chupa kr milna 

Jis ka kirdaar sitaaron ki tarah roshan ho 

Kitna dushwaar hai us shakhs ko ja kar milna 

Tum mohabbat ko fraib samjhtay ho 

Meri to aadat hai nigahon ko jhuka kar milna

Sookhay hont , sulagti aankhain , sarson jaisa rang


Sookhay hont , sulagti aankhain , sarson jaisa rang 

Barson baad woh dekh kay mujh ko reh jaye ga dang 

Kiyon na ab apni chooriyon ko kirchi kirchi kar daalon 

Dekhi aaj ik sundar naari , pyaray piya kay sang

Her gharri dard ki shiddat se sisakti aankhain



Her gharri dard ki shiddat se sisakti aankhain 

Aur oper se teray wasal kay khwabon kay azaab 

Roz aangan main kharray pairr se girtay pattay 

Nabz aur dil ki bagawat se 

Tarapti hai hayaat 

Is bharray shaher main bharra hua logon ka qehat 

Roz hoti hai meray saath deewaron ki jharrap

Roz ik saans ko phansi ki saza milti hai 

Ab to aa ja meri jaan kay pyaaray dushman 

Ab to a jaa keh teray hijar kay qaidi ko yahaan 

Roz is shaher main marnay ji dua milti hai

Badalta dil ka mousam hai hawaein kab badalti hain


Wafaa kay qaid khano main sazaein kab badalti hain 

Badalta dil ka mousam hai hawaein kab badalti hain 

Libaada orh kar gham ka nikal jaatay hain sehra ko 

Jawaab aye keh na aye adaein kab badalti hain 

Koi paa kar nibhaata hai koi kho kar nibhaata hai 

Naye andaaz hotay hain wafaein kab badalti hain

Pyaar kar kay us ko dil se mitaana mushkil tha


Pyaar kar kay us ko dil se mitaana mushkil tha 

Woh toofaan palkon par rok paana mushkil tha 

Asaan laga ussay yaad kar kay mar jaana

Kiyon keh ussay bhool kay jee paana mushkil tha

tu aur main


Shaam ka manzar , uljha raasta , ek kahani , tu aur main 
Dhalta suraj , barhta saya , kashti rani , tu aur main 

Band ik kamra , chup ka manzar , bhuli bisri deepak yaad 
Tanhai , dukh khouf ki lazat , dilbar'jaani , tu aur main 

Titli , khushboo , rang ki baatain , shabnam se sharmilay khwaab 
Aas ka panchi , gum sum khwaish , raat ki raani , tu aur main 

Palkain , chilman , sharma sharmi , kam kam goya nazrain , qurb
Raaton jaisi seedhi seedhi ik na'daani , tu aur main

Yeh dil kabhi bhi is tarah , weeraan to na tha


Hon gay juda hum is tarah , imkaan to na tha 
Yeh dil kabhi bhi is tarah , weeraan to na tha

JAisay hua hai ab keh woh , halaat se waqif 
Pehlay woh kabhi is tarah , anjaan to na tha 

Woh shaher se gaya hai to , ronaq bhi lay gaya 
Yeh shaher is tarah kabhi , sunsaan to na tha 

Ek pyaar ki jageer ka , maalik tha main kabhi 
Pehlay se youn hi be-sar-o-samaan to na tha 

Mohsin hum ne ishq main , paya naffa bhout 
Is karobaar main koi , nuqsaan to na tha 
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...