Kiya main tum ko kabhi yaad nahi aya
kabhi kisi dar'gaah main diya jalatay huye
lach'chakti shaakh pe pehla gulaab khiltay huye
kabhi youn hi makhsoos dhun ko suntay huye
kabhi youn hi kitaab parhtay huye
barastay abar main chat par kabhi nahatay huye
kisi khyal main baithay se uth kar chaltay huye
kisi bhi raat ko youn hi teh'haltay huye
akelay door tak khamoshi main chaltay huye
khala main zaat ke be'asara bhataktay huye
kisi pahaar par sambhal kar chaltay huye
utartay chaand ka mojon main aks partay huye
khizaan main sookhay patay ka shor suntay huye
mitay huye darakhton se naam parhtay huye
to kiya main tum ko kabhi bhi yaad nahin aya
kisi gulaab ki tehni se tor kar bhi nahin
kisi kabootar ki gardan ko choo kar bhi nahin
kisi darakhat ke saye main baith kar bhi nahin