Jan 5, 2017

Honay ka gham ussay bhi hai


Honay Ka Gham Kis Ko Nahin 

Honay ka gham ussay bhi hai 
Aur mujh ko bhi 
Kabhi na honay ka andesha 
Ussay bhi hai aur mujh ko bhi 

Aik Dhundla Sa Khawab


Aik Dhundla Sa Khawab 

Kacchi kamaan si naye chand ki 
Aur us ki khushbu 
Aas paas gehray rangon ka 
Zehreela jadu 
Aik Pairr aur aik saamp sa
Ik main aur ik tu 

Apnay Ghar Kay Sehan Main


Apnay Ghar Kay Sehan Main 

Deewaron par harri bail hai 
Us se ooper taaray hain

Sab se oper khulla aasman 
Aur us kay nazaray hain  

Dukh bhi tha us ko shadi ka


Zindagi ki Ranga Rangi 

Dukh bhi tha us ko shadi ka 

Khush bhi hai woh dekho kitni 

Main Jaisa Bachpan Main Tha


Main Jaisa Bachpan Main Tha 

Main Jaisa Bachpan Main Tha 
Usi tarah main ab tak hoon 
Khullay baagh ko daikh kar 
Buri tarah hairaan 
Aas paas meray kya hota hai 
Us sab se anjaan

Dhoop Main Aik Ghair Aabaad Shaher Ka Nazara


Dhoop Main Aik Ghair Aabaad Shaher Ka Nazara 

Aik kunwan tha beech main ik peetal ka mor 

Khaali shaher darona Kharra tha chaaron aur 

Chand nikla baadlon se raat gehri ho gayi


Kohsaar murri main sardiyan

Chand nikla baadlon se raat gehri ho gayi 
Jaisay yeh duniya Khuda ki goongi behri ho gayi 
Daikh kar woh mujh ko nagan aur zehreeli ho gayi 
Jisam resham ban gaya rangat sunehri ho gayi 
Sar kay ooper shaakh thi aur us kay ooper aasman 
Aankh us ki surakh aur rangat sunehri ho gayi 

Laal peeli chand'dani barfon pe dhalti daikhna 
Be'samar aandhi nazar rangon se jalti daikhna 
Aik khawaish so tarah kay rukh badalti daikhna 

Phailti hai shaam dekho doobta hai din ajab


Dushmano Kay Darmiyaan Shaam 

Phailti hai shaam dekho doobta hai din ajab 
Aasman par rang dekho ho gaya kaisa ghazab 
Khait main aur lawn main ik ru'posh se dushman ka shak 
Sar'sarahat saamp ki gandum ki wehshi gar mehak 
Ik taraf dewaar-o-dar aur jalti bujhti batiyan 
Ik taraf sar par kharra yeh mout jaisa aasman 

Husan Main Gunnah Ki Khawaish


Husan Main Gunnah Ki Khawaish 

Husan to bas 2 tarah ka khawab lagta hai mujhay 
Aag main jalta hua 
Ya barf main soya hua
Darmiyan main kuch nahin 


Doob chala hai zehar main us ki aankhon ka her roop


Saatwan darr khulnay ka samaa

Doob chala hai zehar main us ki aankhon ka her roop 

Dewaron par phail rahi hai pheeki pheeki dhoop 

San'nata hai shaher main jaisay , aisi hai awaz 

Ik darwaza khullay ga jaisay koi purana raaz

Roshniyan hi roshniyan Aur nohay thakkay jahazon kay


Sahili Shaher Main Aik Raat 

Roshniyan hi roshniyan Aur nohay thakkay jahazon kay 
Baarish main jaadu kay manzir khullay huye darwazon kay 

Laakh jatan se bhi nahin maana 
Dil ko dikhaya beetay dino kay hungamon ka tamasha bhi 
Shaher hai sara pathar jaisa 

Mera bhi dushman hai yeh aur us kay lahu ka pyasa bhi 
Main bhi apni soch main gumm hoon 
Pagal ho kar naach rahi woh hotal ki raqasa bhi 

Khulli sarak veeran pari thi


Guzar'gaah par tamasha 

Khulli sarak veeran pari thi 
Bhout ajab thi shaam 

Ooncha qad aur chaal niraali 
Nazrein khoon Aashaam

Saray badan par maccha hua tha 
Rangon ka kohraam 

Laal hont youn dehak rahay thay 
Jaisay lahoo ka jaam

Aisa husan tha us larki main 
That'tahk gaye sab log 

Kaisay khush khush chalay thay ghar ko 
Lag gaya kaisa rog 


Main to beetay dino ki khoj main hoon


Main to beetay dino ki khoj main hoon 

Tu kahan tak chalay ga meray saath 

Hamaray Aaitabaar ki had poocthay ho to lo Suno


Hamaray Aaitabaar ki had poocthay ho to lo Suno !!

Unhon ne din ko kaha raat . . . . To hum so gaye !!

Tu rooth kar gaya hai to mat aa keh mujh se


Tu rooth kar gaya hai to mat aa keh mujh se 

Youn manzar teri shakist ka daikha na jaye ga 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...