Her adawat pe mohabbat ko saja kr milna 
Rasm-e-duniya hai haqeeqat ko chupa kr milna 
Jis ka kirdaar sitaaron ki tarah roshan ho 
Kitna dushwaar hai us shakhs ko ja kar milna 
Tum mohabbat ko fraib samjhtay ho 
Meri to aadat hai nigahon ko jhuka kar milna 
No comments:
Post a Comment