Abhi to hum nahin bolay
Abhi to aap hain
Aur aap ka zor-e-khitabat hai
Bhout alfaaz hain na'dir
Bhout be'sakhta jumlay
Abhi to lab kushaai aap ki
Apni gawahi hai
Abhi to aap hain zil-e-ilahi
Aap hi ki baad'shahi hai
Abhi to ilm-o-hikmat
Lafz-o-gohar aap hi kay hain
Abhi sab faisalay
Sab mehr-o-mehzar aap hi kay hain
Abhi sab zar , jawahir , maal-o-doulat
Aap hi kay hain
Abhi sab asbaab-e-shohrat
Aap hi kay hain
Abhi kya hai
Abhi to aap ka jabroot
Lehjay main ayaan ho ga
Abhi to aap hi kay natq-o-lab se
Aap ka qissa biyaan ho ga
Abhi to mohtram bas aap hain
Khud apni nazron main
Mo'azam , moh'tashim alqaab hain
Khud apni nazron main
Abhi to goonjti oonchay sur'ron main
Aap hi hain madah khawan apnay
Sabhi lutf-o-karam ghar kay
Makaan-o-la'makaan apnay
Abhi to aap hi kehtay hain
Kitna khoob kehtay hain
Jo dil main aaye kehtay hain
Ho jo matloob kehtay hain
Magar jab aap ki seerat pe
Saro guftagoo ho lay
To yeh bhi yaad rakhiye ga
Abhi to hum nahin bolay
Poet : Peerzada Raza Qasim
No comments:
Post a Comment