College main 
Professor hi jab aatay hon hafta waar college main 
To ooncha kiyon na ho taleem ka miyaar college main 
Agarcha doosray mashroob bhi mehngay nahin miltay 
Magar chalta hai aksar sharbat-e-de'daar college main 
Woh digree kay bajaa'ye "Meem" lay kar loat aaya 
Milla tha daakhla jis ko samandar paar college main 
Mujhya dar hai keh hum dono kahin samdhi na ban jayein 
Meri gul'naar college main , tera gulzar college main 
No comments:
Post a Comment