Mar 31, 2017

Mohabbat main woh lamhaat intihaai moh'tabar hotay hain


Mohabbat main woh lamhaat intihaai moh'tabar hotay hain 

Jab "daikhna" Ibaadat 

Aur "choona" gunnah tasawur kiya jaye  

Rooh main koi gham hai po'sheeda


Rooh main koi gham hai po'sheeda 

Zindagi be'sabab udaas nahin 

December jab bhi aata hai


December jab bhi aata hai 

Woh pagli ....
Phir se beetay mousamon ki 

Talkhiyon ko yaad karti hai 
Purana card parhti hai 
Keh jis main uss ne likha tha 
Main loat'on ga december main 
Naye kapray banati hai 
Woh sara ghar sajaati hai 
December kay her ik din ko 
Woh gin gin kar bita'ti hai 
Joun hi 15 guzarti hai 
Woh kuch toot jati hai 
Magar phir bhi 
Purani albamon ko khol kar 
Maazi bulaati hai !!
Nahin maloom yeh uss ko 
Keh beetay waqat ki khushiyan 
Bhout takleef deti hain 
Mehaz dil ko jalaati hain ....
Youn hi din beet jatay hain 
December loat jata hai 
Magar woh khush feham larki 
Dobara se calender main 
December kay maheenay kay safhay ko 
Morr kar phir se 
December kay sehar main 
Doob jaati hai 
Keh aakhir uss ne likha tha 
Main loat'on ga december main 

Mar 29, 2017

Woh eenton ki wicktein , woh toota sa bala


Woh eenton ki wicktein , woh toota sa bala 
Woh galiyon ki ronaq , woh apna "Mohallah"

Woh jaibon main sikkay macchatay thay shor 
Ameeri kay woh din , woh matti ka gal'la 

Aye bachpan bata tu kahan kho gaya hai 
Ya keh de tu ab "Bara " ho gaya hai 

Khamoshi khaa gayi wa'garna


Khamoshi khaa gayi wa'garna 

Hum guftagoo kamaal kartay thay 

Mareez-e-ishq hai tu , dawa-e-dil samjh dil'bar ko


Mareez-e-ishq hai tu , dawa-e-dil samjh dil'bar ko 

Phir marz janay , dawa janay , shifa janay , khuda janay 

Uss ko chaha bhout magar woh mila nahin


Uss ko chaha bhout magar woh mila nahin 

Laakh koshishein ki faasla mitta hi nahin 

Uss ko zamanay ne majboor iss qadar kar diya keh woh 

Meri kisi sada pe thehra hi nahin 

Her kisi se poocha sabab uss kay na milnay ka 

Her aik ne bataya keh woh teray liye bana hi nahin 

Main tamaam tar koshishon kay ba'wajood haar gayi 

Aur woh ussay mil gaya , jis ne ussay maanga hi nahin 


Mar 28, 2017

Kabhi jo hum nahin hon gay


Kabhi jo hum nahin hon gay 

Kabhi jo hum nahin hon gay 
Kaho kis ko batao gay 
Woh apni uljhanein sari 
Woh be'chaini main doobay pal
Woh aankhon main chuppay aansu 
Kissay phir tum dikhao gay 
Bhout tum ko rula'ein gay 
Bhout chaho gay phir bhi tum 
Hamein na bhool pao gay 
Kabhi jo hum nahin hon gay 


Kai silsalay , kai khawab thay


Aik nazam , jo shayed tumharay liye kahi gayi 

Kai silsalay , kai khawab thay 
Jo teri talab kay junoon main 
Meri dasta'ras main nahin rahay 
Tujhay chahana meray bas main tha 
So wohi hua 
Magar uss kay baad kay mar'halay ....
Keh guzarna jin se mo'haal hai ....
Woh jo shab thi 
Teray wisaal ki 
Woh jo subha thi 
Naye saal ki 
Kahin kho gayi ....
Koi dar khulla 
Na hawa chali 
Faqat ik naqsh-e-khayal hai 
Jissay hum ne rakha aziz tar 
Magar ab woh naqsh-e-khayal bhi 
Tera aks-e-zohra jamaal bhi 
Teray aabru'on kay 
Bas ik isharay ka muntazir 
Mera ik shakista sawal bhi 
Meri rah'guzar ka ghubaar hai 


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna
Jo tum ma'yoos ho jao to mujh se guftagoo karna 
Yeh aksar ho bhi jata hai keh koi kho bhi jaata hai 
Muqaddar ko satao gay 
To phir yeh bhi so jata hai 
Agar tum hosla rakho , wafa ka silsala rakho 
Jo tum se pyar kar baithay to uss se raabta rakho 
Main yeh da'way se kehta hoon 
Kabhi na'kaam na ho gay 
Mohabbat ko samjh jao 
Kabhi bad'naam na ho gay 

Main subha-o-shaam likhta hoon


♥♥♥♥ Sab se acchay lafz ♥♥♥♥

Main subha-o-shaam likhta hoon 

Zameen par jis qadar 

Achi zabanein boli jaati hain 

Main un se harf chunta 

Aur tumhara naam likhta hoon 


Kabhi utro youn meray dil kay kacchay aangan main


Kabhi utro youn meray dil kay kacchay aangan main 

Kisi udaas mousam main 

Kisi veeran lamhay main 

Chupkay se dabbay paon 

Meri aankhon pe rakh do haath apnay 

Aur hanstay huye keh do 

Boojh lo to 

Hum tumharay 

Na boojho to 

Hum tumharay 

Chalay bhi aayo


Chalay bhi aayo !!

Chalay bhi aayo 
Keh main to khud ko tumharay rangon main rang chuka hoon 
Tumharay saanchon main dhal chuka hoon 
Tumharay kehnay par aa kay dekho 
Main khud ko kitna badal chuka hoon !


Kamaa kay itni doulat bhi main apni maa ko de na paya


Kamaa kay itni doulat bhi main apni maa ko de na paya 

Keh jitnay sikon se maa meri nazar utaara karti thi 

Rat'gajay barhaa liye issi hisaab main hum ne


Rat'gajay barhaa liye issi hisaab main hum ne 

Mohabbat tum ko hai ? nahin hai ?Thi?Nahin thi ?

Laakh apnay gird hifazat ki lakeerein kheencho


Laakh apnay gird hifazat ki lakeerein kheencho 

Aik bhi in main nahin Maa ki dua'on jaisi 

Mar 25, 2017

Ae meray rat'jagon kay sathi


Sathi

Ae siyah , udaas tareek raahon main 
Tanhaiyon kay saathi !
Aa kisi shab ,
Meri aankh main utar 
Apni khawabeeda aankhon se , 
Koi khawab-e-wasal hi bakhash 
Be'naam meri zaat ko 
Gumaan kay khayal se
Apnay saath ka yaqeen de
Ae meray rat'jagon kay sathi !


Anjaan is ghum se koi reh nahi sakta


Anjaan is ghum se koi reh nahi sakta

Koi sabar karta hai to koi seh nahi sakta

Mohobbat to har dil ko ho hi jati hai


Bas koi izhar karta hai to koi keh nahi sakta

O saahiba, o saahiba



O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba 

Kaise kati raatein, kaise kate woh din
Kaise jeeye tanha, kaise rahe tere bin

Chaaron taraf phaili dard ki tanhai
Shaam-o-saher hum ko yaad teri aayi

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Apni nigaahon mein tum ko basa lain gay 
Dil ki dhadkan mein tum ko chhupa lain gay 

Hum pe jo guzri hai tum ko bataayen gay
Cheer kay dil apna tumko dikhaayen gay

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

Milen gay tum se to bataayen gay
Keh kitna pyaar hai hamein

O saahiba, o saahiba
O saahiba, o saahiba

Nahin sajday kiye hum ne kabhi shahon ki chokhat par


Nahin sajday kiye hum ne kabhi shahon ki chokhat par 

Hamein jitni zaroorat ho Khuda se maang letay hain 

Tumhara kehna hai


Tumhara kehna hai 

Tum mujhay be'panah shiddat se chahatay ho

Tumhari chahat 

Wisaal ki aakhri hadon tak 

Faqat meray naam ho gi 

Mujhay yaqeen hai mujhay yaqeen hai 

Magar qasam khanay walay larkay 

Tumhari aankhon main aik till hai 

Chandni raat kay haathon pe sawar utri hai


Chandni raat kay haathon pe sawar utri hai 
Koi khushbu meri dehleez kay paar utri hai 

Is main kuch rang bhi hain , khawab bhi , meh'kaar bhi hai 
Jhil'milaati hui khawaish bhi hai , inkaar bhi hai 
Issi khushbu main kai dard bhi , afsanay bhi 
Issi khushbu ne banaye kai dewane bhi 

Meray aanchal pe umeedon ki qataar utri hai 
Koi khushbu , meri dehleez kay paar utri hai 


Issi khushbu se kisi yaad kay dar khultay hain 
Meray pairon se jo liptay to safar khultay hain 

Yeh hi khushbu jo mujhay ghar se utha laayi thi
Ab kisi tor palat kar nahin janay deti 
Meri dehleez bulaati hai mujhay , loat aayo !!
Yeh hi khushbu mujhay wapis nahin janay deti 

Ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai 
Koi khushbu meri dehleez kay paar utri hai 

Mujhay dushmano ki khabar na thi


Mujhay dushmano ki khabar na thi 

Mujhay doston ka pata na tha 

Teri daastan kuch aur thi 

Mera waqiya kuch aur tha 

Kabhi loat ayein to poochna nahin 

Daikhna unhein ghour se 

Jinhein raastay main khabar hui 

Keh yeh raasta koi aur hai 




Mar 12, 2017

Insaan ko zaib hi nahin deta junoon-e-mout


Be'wajah Dushmani 

Insaan ko zaib hi nahin deta junoon-e-mout 

Insaniyat to laaiq-e-sad ehtraam hai 

Tehzeeb kay khilaaf hai be'wajah dushmani 

Bhai ka khoon bhai pe youn bhi haraam hai 

Youn hi lakeer kurachtay hain apni qismat ki


Khawab 

Youn hi lakeer kurachtay hain apni qismat ki 

Wa'garna un ki hatheli main darj hi kya hai ?

Kuch iss liye bhi woh aankhon ko band rakhtay hain 

Keh khawab daikhtay rehnay main harj hi kya hai ?

Badli jo rutt gharoor kay gard-o-ghubaar ki


Udhaar 

Badli jo rutt gharoor kay gard-o-ghubaar ki 

Dastaar khull gayi teray jhootay waqar ki 

Hum ne kaha na tha keh na bad'mast ho kay chal 

Mehangi bhout paray gi yeh "izzat udhaar ki"

Soi hui qismat ko jagaana hi paray ga


Lahu

Soi hui qismat ko jagaana hi paray ga 

Zaalim ka her ik naqsh mitana hi paray ga

Ik umar se roshan hain jo muflis kay lahu se

Ab aisay chraghon ko bujhana hi paray ga 





Ik roz to kashmir ki kaliyan bhi khilein gi


Ik Roz

Ik roz to kashmir ki kaliyan bhi khilein gi 

Ik roz to dharkay ga yahan zouq-e-namu bhi 

Ik roz to mehkay gi mussarat se yeh wadi 

Ik roz to dehkay ga "Musalmaan" ka lahu bhi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...