Mar 2, 2014

Yeh Aankh jab zara nam ho aur barish ka mousam ho


Yeh Aankh jab zara nam ho aur barish ka mousam ho

Mujhay lahaq lahaq tera gham ho aur barish ka mousam ho

Udasi jam se jate hai kisi baraf ki manand

Khyalon main agar tum ho aur barish ka mousam ho


Bhout din ho gaye shayed sahara kar liya us ne

 

Bhout din ho gaye shayed sahara kar liya us ne
Hamaray baad bhe aakhir guzara kar liya us ne

Hamara zikar to us ke labon pe aa nahin sakta
Hamain ehsaas hai hum se kinara kar liya us ne

Woh basti gahair ki basti woh koocha ghair ka koocha
Suna hai ishq bhe ab to dobaara kar liya us ne

Suna hai ghair ki banhoon ko woh apna samjhta hai
Ya lagta hai meray dukh ko gawara kar liya us ne

Bhula kar piyaar ki qasmain woh wadaay tor kar mohsin
Kisi ko zindage se bhe piyara kar liya us ne

Poet : mohsin naqvi

Kabhi Us ka chehra Gulaab hua karta tha





Kabhi Us ka chehra Gulaab hua karta tha
sab ki nazron ka woh khwaab hua karta tha

chaand sitaray us ke samney maand partay thay
Woh to khud mehtaab hua karta tha

Lehja aisa tha jaisay khilti hui kali
Apni baton main woh la jawab hua karta tha

Phir youn hua usay ishq ho gay kisi se
Mohabbat lafz jis kay liye mazak hua karta tha

Phir toot ke bikhra aisay keh sambhal na paya
Woh jo apni misaal ap hua karta tha

Kiya Tum bhi shaam ki dehleez pe


Kiya Tum Bhe

Shaam ki dehleez pe

Aas key deep jalatay ho

Aur kisi Awara patay ki Aahat pe

Darwaze ki taraf

Bhagay Jatay Ho

Kiya Tum Bhe

Dard Chupaney ki koshish kartay kartay

Aksar thak se jatay ho

Aur Bila waja muskuratay ho

kiya tum bhe

Neend se Pehlay

Palkon pe dheron Khwaab sajatay ho

ya phir bistar pe late kar

Rotay Rotay so jatay ho

kiya tum bhe


Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota


Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
Daboya mujh ko honey ne na hota main to kiya hota

Hua jab gham se youn be-hiss to gham kiya sar ke katney ka
Na hota gar juda tan se to zano pe dhara hota

Hui mudat keh Ghalib Mar gaya par yaad ata hai
Woh her baat pe kehna keh youn hota to kiya hota

Poet : Ghalib

Meri zameen par jo chandani hai woh sab teri hai


Meri zameen par jo chandani hai woh sab teri hai
Meray falak pe jo dil kashi hai woh sab teri hai

Jo titliyon ke paron pe likhay hain khat meray hain
Yeh jugnoyon main jo roshni hai woh sab teri hai

Jo shab pe chai khamoshiyan hain woh sab meri hain
Sehar main jitni bhi naghmagi hai woh sab teri hai

Jo teray manzar main aur manzar hain sab meray hain
Jo meray sapney main shairy hai woh sab teri hai

Jo teri muthi main khushboain hain woh sab meri hain
Jo meri Aankhon main roshni hai woh sab teri hai

Agar Woh Mehraban hota to !


Agar Woh Mehraban hota to!

Meri Aankhon main na jhilmilati nami hoti

Na meri dil ki wadi main khizan ka qafla rukta

Agar woh merban hota to

To meri Be noor Aankhin main sitaray qaid kar deta

Meri zakhmi hathali par woh koi phool rakh deta

Meray hathon ko apney hathon main le kar woh yeh kehta

Mohabbat roshni hai !

Rang hai

Kushboo hai

Sitara Hai

Qasam Mujh Ko Mohabbat ki Mujhay to sab se piyara hai

Magar aisa woh tab kehta 

Agar Woh Mehraban hota to  !


Yaadon ke phool sookh na jayein

Yaadon ke phool sookh na jayein 
 Is liye
Aakhon ko ashk baar kiya hai kabhi kabhi

Manzil-e-gham ki fizaon se lipat ke ro loon



Manzil-e-gham ki fizaon se lipat ke ro loon
teray daman ki hawaon se lipt kar ro loon

Jam-e-mea peenay se pehlay mera jee chahta hai
Bikhari zulfon ki ghataon se lipt kar ro loon

Zard gunchon ki nighaon main nighain daloon
Surk pholon ki qabaon se lipt kar ro lon

Aany walay teray rastay main bichaon Aankhain
Janay walay teray paon se lipt kar ro lon

Apney majboor taqadas ke saharay sagar
der-o-kaaba ke khudaon se lipt kr ro loon



Mohabbat ka iraada bhi badal jana mushkil hai




Mohabbat ka iraada bhi badal jana mushkil hai
Tumhain khona bhe mushkil hai tumhain pana bhe mushkil hai

Udasi teray chehray ki gawara bhe nahin lakin
Teri khatar sitaray tor ke lana bhe mushkil hai

Zara se baat pe Aankhain bhego kar baith jatay ho
Tumhain to apney dil ka haal batana bhe mushkil hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...